Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 1

How Sleep can help you lose weight:

 Kya aapko pata hai ki nind proper ya sufficient naa hone pe ye bahut bada reason ban sakta
hai aapke fat lose naa hone ka?
 Jab aap puri nind lete ho to aapki body me sare hormones balance me rehte hai, lekin nind
kam nind ki vajah se ye hormones out of balance ho jaate hai aur hamari body stress me
chali jaati hai.
 Stress me jaane pe hamari body cortisol naam ka horomone produce karti hai jo ki ek fat
storing hormone hai.
 Agar aap kisi ki karan continuously apni nind puri nahi karte hai to aapki body chronic stress
se jugarti hai isase aapki body ko mentally aur physically bahut issues hote hai.
 Official journal of the Sleep Research Society ne 8 weeks k study ko publish kiya jisme 2
group pe experiement kiya gaya tha.
 Ek group calorie restriction pe rakha gaya aur dusre group ko calorie restriction k sath 5 se
5.5 hours k sleep restriction pe bhi rakha gaya tha.
 8 weeks k baad dono group ne calorie deficit aur food thermodynamics ki vajah se almost
similar amount me weight lose kiya lekin dusra group jo sleep restriction pe tha us group ne
almost 50% kam fat loss kiya compared to first group. Iska matlab hai ki dusre group ne fat k
sath muscle bhi lose kiya jo ki aapke liye bilkul bhi acha nahi hai. Aur unka resting metabolic
rate bhi kam tha.
 Isliye agar aap fat lose karna chahte hai aur ek healthy body maintain karna chahte hai to
sabse important hai ki aap apni nind puri kare.
 Isase aapka resting metabolism improve hoga, hormones proper function karenge, stress
control me rahega, unwanted food cravings kam ho jaegi aur overall healthy aur fresh feel
karoge.
 Aise hi aur health related videos k liye mujhe follow kare. Stay healthy stay fit.

You might also like