Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 12

 

 
Hanfiyoon Ki Bebasi 👇 
 
Hanfiyoon ke sab madaris mein Miskaat-ul-Masabeha padhayi jati hai aur Miskaat ke jo musanif hai Imam 
Wali-ud-Deen Abu Abdullah Muhammad Bin Abdullah Khateeb Al-Amri Al-Tabrezee Rahimahullah (Mutawafi 740 Hijri) 
farmate hai ki 👇 
 

th
Aap (Abu Haneefa) ki zindagi mein 4 Sahaba Kiraam zinda the , Anas Bin Malik Basra R A mein, Abdullah Bin Abi Oofa 

ee
R AKufa mein, Sahal Bin Sa’id Sa’adi R AMadina Munawarah mein aur Abu Tufail Amir Bin Waasila R A Makka 

ad
Mukarma mein, Taham In mein se kisi say bhi Aap ki mulaqaat nahi huyi aur na Aap ne In say barahirast kuch nahi 
eH
suna hai”. 
 
hl

Ab Hanfiyoon ka dawa hai ki Abu Haneefa Rahimahullah Taba’een mein say the lekin jo kitab in ke madarish mein 
A

padhayi jati hai aur kitab ke musanaf hi kahte hai Abu Hanifa Taba’e nahi the is liye Hanfiyoon ke liye yeh 
tE

parayshaani hai, Toh Hanafi Deobandi Alim Ilyas Ghuman ne iska jawab dene ki koshish kiye aur yeh tasoor dene ki 
a

koshish kiye hai ki Yeh Sahib-e-Miskaat ka tasamah hai aur unki galti hai  
iy

 
m
Ja

{Qafila-e-Haq, Jild no.8, January, February, March, Shumaar no.1, Safa no.10-20} 
 
lekin haqiqat is ke khilaaf hai , Aayiye hum Ilyas Ghuman Deobandi ke dalail ka tahqeqe jaiyeza lete hai 👇 
 
Dalil no.1- : Imam Mofaq Al-Maki Rahimahullah ne Imam Muhammad Bin Umar Al-Ja’aabi Rahimahullah (M 355 H) ki 
sanad say rewayat kiya hai ki 👇 
 
‫ﻋﻦ اﺑﻰ ﺣﻨﯿﻔﺔ ]رﺣﻤﻪ اﷲ[ ﻗﺎل راﯾﺖ اﻧﺲ ﺑﻦ ﻣﺎﻟﻚ ﻣﻰ اﻟﻤﺴﺠﺪ ﻗﺎ ﺋﻤﺎ ﯾﺼﻠﻰ‬ 
 
{Manaqib Moqaf Al-Maki, Jild no.1, Safa no.24, 25, Masnad Abi Haneefa Li Abi Nu’ayeem, Safa no.24} 
 

1 / 12
Tarjama-: Imam Abu Haneefa Rahimahullah farmate hai ke Main ne Hazrat Malik Bin Anas Radiallahu Anhu ko masjid 
mein namaz padte dekha. 
 
Jawab​ 👇 
 
Is rewayat ki sanad kuch is tarha hai 👇 
 
‫ﺣﺪﺛﻨﺎ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﻋﻤﺮ ﺑﻦ إﻣﻼء و ﺣﺪﺛﻨﻲ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ إﺑﺮاﻫﯿﻢ ﻋﻨﻪ ﺣﺪﺛﻨﻲ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﻋﻤﺮ ﺑﻦ اﻟﺒﺮاء ﺛﻨﺎ أﺣﻤﺪ ﺑﻦ ﻣﻮ ﺳﻰ ﺑﻦ ﻋﻤﺮان اﻟﺤﺠﻠﻲ ﻣﻦ‬ 
‫ﻛﺘﺎﺑﻪ ﺛﻨﺎ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﺳﻌﯿﺪ ﺛﻨﺎ أﺑﻲ ﺛﻨﺎ أﺑﻮ ﯾﻮﺳﻒ ﻋﻦ أﺑﻲ ﺣﻨﯿﻔﺔ‬ 
 
Yeh rewayat daragzail wojuhaat ki waja se jhooti hai 👇 
 

th
[1] Moqaf Bin Ahmad Al-Maki majhool hai, Iski tawseeq kise bhj mutabar Muhadith ne nahi kiye hai jabki Ibn Taimiya 

ee
aur Zahabi ne inki rewayat par jarah ki hai. 
 
ad
eH
Imam Ibn Taimiya (Rahimahullah) farmate hai ki wo ulma-e-hadith mein say nahi aur na is fun mein us ki taraf rojo’a 
kiya jata hai. 
hl

 
A

{Minhajus Sunnah, Jild no.3, Safa no.10} 


tE

 
a

Imam Zahabi (Rahimahullah) farmate hai kii Iski kitab Fazail-e-Ali Main ne dekhe hai us mein intiha’e kamzoor 
iy
m

riwayaat bohut zyadah hai. 


Ja

 
{Tareekh-e-Islaam, Jild no.39, Safa no.327} 
 
[2] Abu Bakr Ahmad Bin Musa Bin Imraan bhi majhool hai, Agar yeh Ahmad Bin Musa Abi Imran hai jiski qunyat Abul 
Hasan Jarjaane hai toh kazab hai. 
 
{Leesanul Mezaan, Jild no.1, Safa no.235, Rawe no.741} 
 
[3] Sa’id Bin Muhammad par shaded jarah kiya gaye hai. 
 
{Leesanul Mezaan, Jild no.3, Safa no.18, Rawe no.67} 
 

2 / 12
[4] Abu Yousuf mukhtalif fi rawe jabki jamhoor muhadithseen ne da’if karar diya hai. 
 
Abu Abdullah Muhammad Bin Ismaa’eel Al-Bukhaaree (Rahimahullah) ne kaha Tarakoohu (Muhadithseen ne isko 
tarak kiya hai). 
 
{Al-Taareekh Al-Kabeer, Jild no.8, Safa no.397} 
 
Imam Bukhari (Rahimahullah) ne Kitab-ul-Du’afa Al-Sagheer (Rawi no.425) mein bhi Abu Yousuf ko zikr kiya hai. 
 
Abu Zur’aah Ar-Raazee ne Kitaab Ad-Du’afa (2/672, Rawe no.376) mein zikr kiya hai. 
 
Abu Hafs Amr Bin Ali Al-Falaas ne kaha Abu Yousuf sodooq hai magar bohut galtiya karta tha. 

th
 

ee
{Taareekh-e-Baghdaad, Jild no.14, Safa no.260, Sanad Sahih} 
 
ad
eH
 
 
hl

Dalil no.2:- Imam Abu Na’ayeem As-Bahani Rahimahullah (M. 430 H) apne sanad se riwayat karte hai 👇 
A

 
tE

‫ ﻃﻠﺐ اﻟﻌﻠﻢ ﻓﺮﯾﻀﺔ ﻋﻠﻰ ﻛﻞ ﻣﺴﻠﻢ‬:‫ ﺳﻤﻌﺖ رﺳﻮل ﺻﻠﻰ اﷲ ﻋﻠﯿﻪ و ﺳﻠﻢ ﯾﻘﻮل‬:‫ﻋﻦ اﺑﻰ ﺣﻨﯿﻔﺔ ﺳﻤﻌﺖ اﻧﺲ ﺑﻦ ﻣﺎﻟﻚ ﯾﻘﻮل‬ 
a

 
iy
m

{Masnad Abi Haneefa Li Abi Nu’ayeem, Safa no.24} 


Ja

 
Tarjama: Imam Abu Haneefa Rahimahullah farmate hai ke Main ne Hazrat Anas Bin Malik Radillahu Anhu say suna, 
Wo farma rahay thay ke Main ne Rasoolullah ‫ ﷺ‬ko yeh farmate suna ke Ilm haasil karna har musalman par faraz 
hai. 
 
 
Jawab​ 👇 
 
Is rewayat ki sanad yeh hai 👇 
 
‫ﺣﺪﺛﻨﺎ أﺑﻮ اﻟﺤﺴﻦ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ أﺣﻤﺪ اﻟﻤﺆ اﻟﺤﺒﻠﻲ ﺛﻨﺎ إﺑﺮاﻫﯿﻢ ﺑﻦ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﻋﻤﺮوﯾﻪ ﺛﻨﺎ أﺣﻤﺪ ﺑﻦ أﺑﻲ اﻟﺼﻠﺖ ﺑﻦ اﻟﻤﻐﻠﺲ ﺛﻨﺎ ﺑﺸﺮ ﺑﻦ اﻟﻮ ﻟﯿﺪ‬ 
‫ﺛﻨﺎ ﯾﻌﻘﻮب ﺑﻦ إﺑﺮ اﻫﯿﻢ ﻋﻦ أﺑﻲ ﺣﻨﯿﻔﺔ‬ 

3 / 12
 
Is rewayat ka rawi Ahmad Bin Muhammad Bin Salat Bin Galas Al-Hamani Kazab hai. 
 
{Mezaan-ul-Atidaal, Jild no.1, Safa no.284-285, Rawi no.554 [838]} 
 
Imam Darqutni (Rahimahullah) ne kaha 👇 
 
‫ﯾﻀﻊ اﻟﺤﺪﯾﺚ‬ 
 
Wo hadith gadta tha. 
 
{Kitab-ul-Duafa Wa Matrokeen, Safa no.123-124, Rawi no.59} 

th
 

ee
Imam Asbahani (Rahimahullah) ne Kitab-ul-Duafa (Safa no.65, Rawi no.31) mein zikr kiya hai. 
 
ad
eH
Ibn Adi (Rahimahullah) ne kaha  
 
hl

‫ﻣﺎ رأﯾﺖ ﻓﻲ اﻟﻜﺬاﺑﯿﻦ أﻗﻞ ﺣﯿﺎء ﻣﻨﻪ‬ 


A

 
tE

Main ne nahi dekha hai is jaisa kazab, besharamoon mein say tha. 
a

 
iy
m

{Al-Kamil, Jild no.1, Safa no.328, Rawe no.44 , Mezaan-ul-Atidaal, Jild no.1, Safa no.284-285, Rawe no.554 [838]} 
Ja

 
Khateeb Bagdadi (Rahimahullah) is ke riwayat ke bare mein farmate hai 👇 
 
‫وﻻ ﯾﺜﺒﺖ ﻷﺑﻲ ﺣﻨﯿﻔﺔ ﺳﻤﺎع ﻣﻦ أﻧﺲ ﺑﻦ ﻣﺎﻟﻚ واﷲ اﻋﻠﻢ‬ 
 
Aur sabit nahi hai Abu Haneefa ka Anas Bin Mailk se sama, Allah Bahtar jaanta hai. 
 
{Tareekh-e-Bagdad, Jild no.4, Safa n.207-208, No.1896} 
 
Dalil no.3:- Fiqhya Wa Qazi Abu Abdullah Hussain Bin Ali Al Saymeri (M. 436 H) apne sanad say bayaan karte hai 👇 
 

4 / 12
‫اﺟﺘﻤﻊ اﻟﱠﻨﺎس َﻋَﻠ ْﯿ ِﻪ َﻓﻘﻠﺖ ﻷﺑﻲ ﻣﻦ َﻫ َﺬا اﻟﺮﺟﻞ‬ ْ ‫ﻋﺸﺮة ﺳﻨﺔ َﻓِﺈذا َأﻧﺎ ﺑﺸﯿﺦ ﻗﺪ‬
َ ‫ﺣﺠﺠﺖ َﻣ َﻊ أﺑﻲ ﺳﻨﺔ ِﺳ ّﺖ َوِﺗ ْﺴﻌﯿﻦ وﻟﻲ ِﺳ ّﺖ‬ ْ ‫ﺎل‬ َ ‫ﻋﻦ أﺑﻲ ﺣﻨﯿ َﻔﺔ اﻧﻪ َﻗ‬ َ
َ
‫ﺎل أ َﺣﺎ ِدﯾﺚ َﺳﻤﻌﻬَﺎ ﻣﻦ‬ َ
َ ‫ُﺤ ﱠﻤ ًﺪا ﺻﻠﻰ اﷲ َﻋَﻠ ْﯿ ِﻪ َوﺳﻠﻢ ﯾَُﻘﺎل َﻟ ُﻪ ﻋﺒﺪ اﷲ اﺑْﻦ ْاﻟ َﺤﺎرث ﺑﻦ ُﺟ ْﺰء َﻓﻘﻠﺖ ﻷﺑﻲ أي َﺷ ْﻲء ِﻋ ْﻨﺪه َﻗ‬َ ‫ﺎل َﻫ َﺬا رﺟﻞ ﻗﺪ ﺻﺤﺐ ﻣ‬ َ ‫ َﻓ َﻘ‬ 
ِ
‫اﻟﱠﻨِﺒﻲ ﺻﻠﻰ اﷲ َﻋَﻠ ْﯿ ِﻪ َوﺳﻠﻢ َﻓﻘﻠﺖ ﻗﺪﻣﻨﻲ ِإَﻟ ْﯿ ِﻪ َﺣﱠﺘﻰ أﺳﻤﻊ ِﻣ ْﻨ ُﻪ َﻓﺘﻘﺪم ﺑَﯿﻦ ﯾَﺪي َﻓﺠﻌﻞ ﯾﻔﺮج ﻋﻨﻲ اﻟﱠﻨﺎس َﺣﱠﺘﻰ َدَﻧ ْﻮت ِﻣ ْﻨ ُﻪ َﻓ َﺴﻤﻌﺘﻪ ﯾَﻘُﻮل َﺳ ِﻤﻌﺖ َر ُﺳﻮل‬ 
‫ﯾﺤَﺘﺴﺐ‬ْ ‫ْﺚ َﻻ‬ُ ‫اﷲ ﺻﻠﻰ اﷲ َﻋَﻠ ْﯿ ِﻪ َوﺳﻠﻢ ﯾَﻘُﻮل ﻣﻦ ﺗﻔﻘﻪ ِﻓﻲ دﯾﻦ اﷲ َﻛﻔﺎ ُه اﷲ ﻫﻤﻪ ورزﻗﻪ ﻣﻦ َﺣﯿ‬ 
 
{Akhbaar Abi Haneefa Wa Ashaba Li Seymeri, Safa no.18} 
 
Tarjama:- Imam Abu Haneefa Rahimahullah farmate hai ke 96 H. mein main ne apne walid sahab ek saath Hajj kiya, 
us waqt meri umar 16 saal thi, meri nazar ek Shaikh par padi jis ke gardoh guwoon hujoom tha, main ne apne walid se 
poocha ke Yeh buzurg kaun hai ? jawab diya Yeh wo shaks hai jisne Nabi Sallallahu Alahi Wasallam ki sohbat 
ikhtiyaar ki hai, Inka naam “Abdullah Bin Haris Bin Jazae” hai, main ne kaha Un ke paas kya hai ? Jawab diya ki In ke 
pass ahadith hai jo Nabi Sallallahu Alahi Wasallam say suni hai, maine kaha: muje aagey le chale taake main inse 

th
ahadith sunu, Mere walid logon ko hatakar Muje qareeb kiya toh main ne suna Aap Radiallahu Anhu ne farmaya ke 

ee
Nabi Sallallahu Alahi Wasallam ka farmaan hai: Jo Allah ke deen ki samaj bojj haasil karta hai Allah iski zarooriyaat 

ad
ka khud kafeel ba njaata hai, Ise wahaan se rizq deta hai jahaan say us ko ghuman bhi nahi hota. 
eH
 
  
hl

 
A

Jawab​ 👇 
tE

 
👇 
a

Is rewayat ki sanad kuch is tarha hai


iy
m

 
Ja

‫ﺎل َﺛَﻨﺎ َأ ْﺣﻤﺪ ﺑﻦ‬ ‫ُﺤﻤﱠﺪ ﺑﻦ ﺣﻤ َﺪان ﱠ‬


َ ‫اﻟﻄﯿَﺎِﻟ ِﺴ ّﻲ َﻗ‬ َ ‫ُﺤﻤﱠﺪ َﻗ‬
َ ‫ﺎل َﺛَﻨﺎ ﻣ‬ َ ‫ُﺤﻤﱠﺪ ﺑﻦ ﻣ‬ َ ‫اﻟﺮ ْأي َﻗ‬
َ ‫ﺎل َﺛَﻨﺎ أﺑﻲ َأﺑُﻮ ﻋﺒﯿﺪ اﷲ ﻣ‬ َ ‫ﺣﺪﺛَﻨﺎ َأﺑُﻮ ﺑﻜﺮ ِﻫ َﻼل ﺑﻦ ﻣ‬ 
‫ُﺤﻤﱠﺪ اﺑْﻦ اﺧﻲ ِﻫ َﻼل ﱠ‬ َ
‫ُﻮﺳﻒ َﻋﻦ أﺑﻲ ﺣﻨﯿ َﻔﺔ‬ ُ ‫ﱠﺎﻋﺔ َﻋﻦ أﺑﻲ ﯾ‬ َ ‫ُﺤﻤﱠﺪ ﺑﻦ َﺳﻤ‬ َ ‫اﻟﺼ ْﻠﺖ َﻗ‬ 
َ ‫ﺎل َﺛَﻨﺎ ﻣ‬ ‫ﱠ‬
 
Yeh rewayat daragzail wojuhaat ki waja say jhoote hai 👇 
 
[1] Abu Bakr Hilal Bin Muhammad majrooh rawi hai. 
 
{Mezaan-ul-Atidaal, Jild no.4, Safa no.316, Rawi no.9278} 
 
[2] Abu Ubaidullah Muhammad Bin Muhammad majhool hai. 
 
[3] Muhammad Bin Humdaan bhi majhool hai. 

5 / 12
 
[4] Ahmad Bin Muhammad Bin Salat Bin Galas Al-Hamani Kazab hai. 
 
Is rewayat ki jhoot hone ki ek zabardast dalil yeh hai ki Abdullah Bin Haris (Radiallahu Anhu) ki wafaat 80 Hijri Ya 80 
Hijri k baad, Ya 85 Hijri Ya 86 Hijri, Ya 87 Hijri, Ya 88 Hijri mein hue hai 
 
{Tahzeeb At-Tahzeeb, Jild no.5, Safa no.179, Al-Istiya’aab Fi Marifatil Sahaba, Safa no.301}  
 
aur Abu Haneefa (Rahimahullah) ki wiladat 80 Hijri mein huyi hai toh Imam Sahab ki umar us waqt 8 ya 7 ya 6 ya 5 
ya 4 ya 3 ya 2 ya sirf 1 saal ki thy. 
 
Gaur karne ka makaam hai 96 Hijri mein Imam Sahab ne hajj kiya aur Sahabi-e-Rasool ‫ ﷺ‬ko dekha jabki Sahabi 

th
96 Hijri say phle hi wafaat paa gaye the lihaza yeh riwayaat jhooti hai. 

ee
 
  
ad
eH
 
Dalil no.4: Imam Muhammad Bin Al Hasan Al Shaybani (M. 189 H) Imam Abu Haneefa say rewayat karte hai. 
hl

 
A

‫ ﯾﺎ اﺑﺎ اﻟﺪرداء! ﻣﻦ‬:‫اﺧﺒﺮﻧﺎ اﺑﻮ ﺣﻨﯿﻔﺔ ﻗﺎل ﺣﺪﺛﻨﺎ ﻋﺒﺪاﷲ ﺑﻦ ﺣﺒﯿﺒﺔ ﻗﺎل ﺳﻤﻌﺖ اﺑﺎ اﻟﺪرداء ﯾﻘﻮل ﻛﻨﺖ ردﯾﻒ رﺳﻮل اﷲ ﺻﻠﻰ اﷲ ﻋﻠﯿﻪ و ﺳﻠﻢ ﻓﻘﺎل‬ 
tE

ً
‫ﻣﺨﻠﺼﺎ و ﺟﺒﺖ ﻟﻪ اﻟﺠﻨﺔ‬ ‫ﺷﻬﺪان ﻻاﻟﻪ اﻻاﷲ‬. 
a

 
iy
m

{Kitab-ul-Asaar Ba-Riwayat Muhammad, Safa no.44, Raqam-ul Hadith 373, Masnad Abi Haneefa Li Abi Nu’ayeem, Safa 
Ja

no.175} 
 
Tarjama: Imam Abu Haneefa Rahimahullah farmate hai ki Mujse Hazrat Abdulllah Bin Abi Habeeba Radiallahu Ahnu 
ne bayan kiya ki Main ne Hazrat Abu Al-Darda’e Radiallahu Anhu say suna, farma rahe the ki Mai Huzoor Sallallahu 
Alahi Wasallam ke peeche sawari par baitha tha Aap ne farmaya: Aye Abu Al-Darda’e! Jis shaks ne ikhlaas k saath “‫ﻻ‬ 
‫ ”اﻟﻪ اﻻاﷲ‬ki gawahi de toh uske liye Jannat wajib ho gayi. 
 
Jawab​ 👇 
 
Is rewayat ki sanad yeh hai 👇 
 
‫ ﻗﺎل أﺑﻮ اﻟﺪرداء‬:‫…و ﺛﻨﺎ اﺑﻦ اﻟﻤﻘﺮيء ﺛﻨﺎ ﺑﺸﺮاﻟﺮواﺳﻲ ﺛﻨﺎ ﻣﺼﻌﺐ ﺑﻦ ﻋﺒﺪاﷲ اﻟﻮاﺳﻄﻲ ﺛﻨﺎ ﯾﺰﯾﺪ ﺑﻦ ﻫﺎرون ﺛﻨﺎ ﻋﺒﺪاﷲ ﺑﻦ أﺑﻲ ﺣﻨﯿﻔﺔ ﻗﺎل‬. 

6 / 12
 
Is riwayat ki sanad ka bhi ata pata nahi hai kyunki 
 
[1] Basheer Al-Rosee majhool hai. 
 
[2] Mus’ab Bin Abdullah Al-Wasti bhi majhool hai. 
 
Kitab-ul-Asar Imam Muhammad say sabit nahi hai kyunki is kitab ka marqazi rawi Abdullah Bin Muhammad Bin 
Ya’qoob Al-Haarithi kazab hai. 
 
{Mezaan-ul-Atidaal, Jild no.2, Safa no.496, Rawi no.4571} 
 

th
Abu Abdullah Muhammad Bin Al-Hasan Bin Farqad Ash-Shaybaani khud bhi majrooh rawi hai  

ee
 

ad
1.Imaam Abu Zakariyyah Yahya Bin Ma’een Bin Awn Al-Baghdaadi (Rahimahullah) (Mutawafi 233 Hijri) ne kaha: 
eH
“Jahmi Kazzab”. 
 
hl

{Kitaab Ad-Du’afa Lil Ukaylee, Safa no.1217, Rawi no.1611, Sanad Sahih} 
A

 
tE

Note:- Wallahu Alam ho sakhta hai yahaan Kazib say muraad galti hai, Arabic mein Kazib galti par bhi bola jata hai. 
a

 
iy
m

2.Imaam Abu Abdullah Ahmed Bin Muhammad Bin Hanbal Ash-Shaybaani Al-Baghdaadi (Rahimahullah ) (Mutawafi 
Ja

241 Hijri) ne kaha: “Koi cheez nahi hai aur Is ki hadith likhi hi na jaye”. 
 
{Al-Kamil Fi Da’afa Ar-Rijaal, Jild no.9, Safa no.180, Rawi no.14541, Sanad Sahih} 
 
3. Imaam Abu Hafs Amr Bin Ali Bin Bahr Al-Fallaas Al-Basari (Rahimahullah) (Mutawafa 249 Hijri) ne kaha: “Da’if”. 
 
{Tareekh –e-Bagdad, Jild no.2, Safa no.572, Rawi no.543, Sanad Sahih} 
 
4. Abu Ishaaq Ibraaheem Bin Ya’qoob Al-Juzjaani (Rahimahullah) (Mutawafi 259 Hijri) ne bohut khoobsurat andaaz 
mein kaha: “Asad Bin Amr, Muhammad Bin Al-Hasan aur (Hasan Bin Ziyaad) Al-Lu’luwi se Allah farig ho chuka hai”. 
 
{Ahwaal ur-Rijaal, Safa no.76-77, Ta 96-99} 

7 / 12
 
“Allah farig ho chukka hai” yeh Juzjaani ki jarah ka ek khaas andaaz hai. Joya wo Surat Ar-Rahmaan ki Aayat no.31 ki 
taraf ishara karte the .Wallahu Alam. 
 
Is ka yeh matlab bhi ho Sakhta hai Allah Ta’alah ne hamen in say najaat dey diye hai. 
 
5.Imaam Abu Zur’ah Ubaydullah Bin Abdul Kareem Ar-Raazi (Rahimahullah) (Mutawafi 264 Hijri) ne kaha: 
“Muhammad Bin Al-Hasan jahmi tha”. 
 
{Tareekh-e-Bagdad, Jild no.2, Safa no.570, Rawi no. 543, Sanad Sahih} 
 
6. Imaam Abu Abdur Rahmaan Ahmed Bin Shu’ayb Bin Ali Al-Nasaa’ee (Rahimahullah) (Mutawafi 303 Hijri) ne kaha: 

th
“Da’if”. 

ee
 

ad
{Kitaab Ad-Du’afa wal Matrokeen, Safa no.266, Mezaan-ul-Atidaal, Jild no.3, Safa no.513, Rawi no.7374} 
eH
 
7. Abu Ja’far Muhammad Bin Amr Bin Moosa Bin Hammaad Al-Ukaylee (Mutawafi 322 Hijri) ne Muhammad Bin 
hl

Al-Hasan ko apne Kitaab Ad-Du’afa me zikr kiya aur koi difa’a nahi kiya. 
A

 
tE

{Kitaab Ad-Du’afa Lil Ukaylee, Safa no.1217, Rawi no.1611} 


a

 
iy
m

8. Saheeh Ibn Hibbaan ke musanif, Abu Haatim Muhammad Bin Hibbaan Bin Ahmed At-Tameemi Al-Busti 
👇 
Ja

(Rahimahullah) (Mutawafi 364 Hijri) ne kaha


 
“Aur wo (Muhammad Bin Al-Hasan) ne murji tha, is ki taraf dawat deta tha wo aqalmand tha (laykin) hadith mein wo 
koi cheez nahi hai, wo siqa rawiyon sa riwayat bayaan karta tha aur un mein isay waham ho jata tha, jab aise harqate 
us say bohut zeada sarzad huyi toh wo kasrat say galtiya karne ki waja say matrook karar diya jane ka mustahiq ban 
gaya, kyunki wo in (murjiyon) ke mazhab ki taraf dawat dene wala tha”. 
 
{ Kitaab Al-Majroheen Min-ul-Muhadithseen Ad-Du’afa wal Matrokeen, Jild no.2, Safa no. 275-276} 
 
 
9. Abu Ahmed Abdullah Bin Adee Al-Jarjaani (Rahimahullah) (Mutawafi 365 Hijri) ne kaha 👇 
 

8 / 12
“Muhammmad Bin Al-Hasan Ahle Hadith mein se nahi Us ki hadith ke saath mashgul hona aisa kaam hai jis ki koi 
zorurat nahi hai Muhammad Bin Al-Hasan aur is jaisay logo ki riwayaat say Ahle Hadith bay niyaaz hai”. 
 
{ Al-Kamil Fi Da’afa Ar-Rijaal, Jild no.9, Safa no.182-183, Rawi no.14541} 
 
10. Imaam Abu Hafs Umar Bin Ahmed Bin Shaaheen Al-Baghdaadi (Rahimahullah) (Mutawafi 385 Hijri) ne 
Muhammad Bin Al-Hasan ko apne mashoor kitab Tareekh Asmaa Ud-Du’afa wal Kazebeen mein zikr kiya aur koi difa’a 
nah kiya. 
 
{ Tareekh Asmaa Ud-Du’afa wal Kazebeen, Safa no.163, Rawi no.536 } 
 
 

th
Tahiqi Ka Khulasa:- Maloom hua Imam Muhammad Bin Hasan ko jamhoor Muhadithseen ne daif karar diya hai. 

ee
 
  
ad
eH
 
In 4 dalail ke baad Ilyas Ghuman ne Muhaqeqeen ki tasreyaat pesh kiye hai, Unka jawab mukhtasaran diya ja sakhta 
hl

hai ki In sab ulema ne apne daway ki koi dalil bayaan nahi kiye hai lihaza dawa hi mardood hai. 
A

 
tE

Ilyas Ghuman Ka Usool 👇 


a

 
iy
m

Ilyas Ghuman likhte hai ki Laykin yeh mosoof ka mahaz dawa hai jiski haqeqat kuch nah Mousoof ne yeh dawa kiya ki 
Ja

“Imam Abu Haneefa Rh ne In mein say kise se bhi riwayat nahi kiye” lekin is par koi dalil de, lihaza yeh dawa bila dalil 
hone ki waja se gair maqbool hai .Is tafseel say maloom hua ki Sahib-e-Mishkaat Rahimahullah ne mazkorah Hazrat 
ki jin ibaratoon ko bunyaad banaya hai wo qata’an bay bunhaad aur dawa mahaz hai  
 
{Safa no.17 aur 20} 
 
  
 
Abu Haneefa Taba’ee Nahi The​ 👇 
 
Abu Haneefa (Rahimahullah) ke muqalideen ke dalail 👇 
 

9 / 12
1. Muhammad Bin Sa’id ne kaha 👇 
 
  
” ‫ ﻗﺪ‬، ‫ ﻗﺪم أﻧﺲ ﺑﻦ ﻣﺎﻟﻚ اﻟﻜﻮﻓﺔ وﻧﺰل اﻟﻨﺨﻊ وﻛﺎن ﯾﺨﻀﺐ ﺑﺎﻟﺤﻤﺮة‬:‫ ﺳﻤﻌﺖ أﺑﺎ ﺣﻨﯿﻔﺔ ﯾﻘﻮل‬:‫ﺣﺪﺛﻨﺎ أﺑﻮ اﻟﻤﻮﻓﻖ ﺳﯿﻒ ﺑﻦ ﺟﺎﺑﺮ ﻗﺎﺿﻲ واﺳﻂ ﻗﺎل‬ 
‫ﻣﺮارا‬
ً ‫”رأﯾﺘﻪ‬ 
 
Is riwayat ka khulasa yeh hai ki Abu Haneefa Rh ne kaha ki Main ne Anas Bin Malik (radiallahu anhu) ko kufa mein 
dekha. 
 
{Aqwad Al-Jamaan Fi Manaqib Al-Numan (49), Tazkeratul Huffaz (1/168, No.163), Manaqib-e-Abi Haneefa (7-8)} 
 
Jawab​ 👇 

th
 

ee
[1] Iske bunyadi rawi Sayaf Bin Jabir majhoolul haal hai, Is ki towseekh kisi mustanad kitab mein mojood nahi hai. 
 
ad
eH
[2] Dosri baat yeh riwayat Ibn Sa’id ki kitab “Al-Tabqaat” mein mojood nahi hai. 
Is Riwayat ko Hakim Kabeer Abu Ahmad Muhammad Bin Muhammad Bin Ahmad Bin Ishaq ne apne Kitab Al-Asami 
hl

Wal Kuna (4/184) mein is riwayat ko daraj-zail sanad aur matn se riwayat kiya hai 👇 
A

 
tE

“‫ ﺣﺪﺛﻨﻰ ﻋﺒﺪاﷲ ﺑﻦ ﻣﺤﻤﺪ‬:‫ ﺣﺪﺛﻨﻲ أﺑﻮ ﺑﻜﺮ ﻋﺒﺪاﷲ ﺑﻦ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﺧﺎﻟﺪ اﻟﻘﺎﺿﻲ اﻟﺮازي اﻟﺤﺒﺎل ﻗﺎل‬:‫ﺣﺪﺛﻨﻲ أﺑﻮﺑﻜﺮ ﺑﻦ أﺑﻰ ﻋﻤﺮ واﻟﻤﻌﺪل ﺑﯿﺨﺎرى‬ 
a

‫ ﺳﻤﻌﺖ‬:‫ ﻧﺎ أﺑﻮ اﻟﻤﻮﻓﻖ ﺳﯿﻒ ﺑﻦ ﺟﺎﺑﺮ ﻗﺎﺿﻲ واﺳﻂ ﻗﺎل‬:‫ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﺳﻌﺪ ااﻟﻬﺎ ﺷﻤﻲ ﺻﺎﺣﺐ اﻟﻮاﻗﺪي‬:‫ﺑﻦ ﻋﺒﯿﺪ اﻟﻘﺮﺷﻲ اﻟﻤﻌﺮوف ﺑﺎﺑﻦ أﺑﻲ ﻟﺪﻧﯿﺎ‬ 
iy
m

ً ‫ ﻗﺪم أﻧﺲ ﺑﻦ ﻣﺎﻟﻚ اﻟﻜﻮﻓﺔ وﻧﺰل اﻟﻨﺨﻊ وﻛﺎن ﯾﺨﻀﺐ ﺑﺎﻟﺠﻬﺮ ﻗﺪ رأﯾﺘﻪ‬:‫“ أﺑﺎ ﺣﻨﯿﻔﺔ ﯾﻘﻮل‬ 
‫ﻣﺮارا‬
👇 
Ja

Jawab:- Yeh riwayat do (2) wojuhaat say daif hai


 
[1] Abu Bakr Bin Abi Umaro ki tawseekh na maloom hai. 
 
[2] Is mein bhi Sayaf Bin Jabir majhoolul haal hai. 
 
Isse maloom hua na yeh riwayat Ibn Sa’id se sabit hai na Abu Haneefa Rh se. 
 
  
 
2. Khateeb Bagdadi (rahimahullah) ne kaha 👇 
 

10 / 12
” ‫ رأى أﻧﺲ ﺑﻦ ﻣﺎﻟﻚ وﺳﻤﻊ ﻋﻄﺎء ﺑﻦ أﺑﻲ رﺑﺎح‬، ‫“ اﻟﻨﻌﻤﺎن ﺑﻦ ﺛﺎﺑﺖ أﺑﻮ ﺣﻨﯿﻔﺔ اﻟﺘﯿﻤﻲ إﻣﺎم أﺻﺤﺎب اﻟﺮأي وﻓﻘﯿﻪ أﻫﻞ اﻟﻌﺮاق‬ 
 
Ya’ani Numan Bin Sabit Abu Haneefa Al-Taime Ahle rai ke imam aur faqee thy Ahle Iraq ke, Anas Bin Malik 
(Radiallahu anhu) ko dekha aur Aat’ah Bin Abi Rabah se sama kiya. 
 
{Tareekh-e-Bagdad, 13/323-324, no.7279} 
 
Jawab: Galiban Khateeb Bagdadi ki nazar mein Sayaf Bin Jabir wali riwayat thi jo ki sabit kar chukay hai hum ki wo 
daif hai. 
 
Yeh hi hukum baki muhadithseen ke liye hai jaisay Imam Zahabi, Ibn Kaseer, Ibn Hajar wagarahah ke liye hai aur in ke 
aqwal pesh karne ki zorurat nahi hai. 

th
 
👇 
ee
Abu Haneefa (Rahimahullah) k Taba’ee na hone k dalail
 
1. Imam Darqutni (Rahimahullah) se sawal kiya gaya ki 👇 
ad
eH

 
hl

 
A

“‫”أﺑﻮ اﻟﺤﺴﻦ اﻟﺪارﻗﻄﻨﻲ واﻧﺎ اﺳﻤﻊ ﻋﻦ ﺳﻤﺎع أﺑﻰ ﺣﻨﯿﻔﺔ ﻋﻦ أﻧﺲ ﯾﺼﺢ‬ 
tE

 
👇 
a

Kya Abu Haneefa rh ka Anas (Bin Malik (Radiallahu anhu)) se sam’a sahih hai ? Toh Aap ne jawab diya
iy
m

 
Ja

“‫”ﻗﺎل ﻻ وﻻ رؤﯾﺘﻪ ﻟﻢ ﯾﻠﺤﻖ أﺑﻮ ﺣﻨﯿﻔﺔ أﺣﺪا ﻣﻦ اﻟﺼﺤﺎﺑﺔ‬ 


 
Nahi aur na Abu Haneefa ka Anas (Radiallahu) ko dekhna sabit hai jabkii Abu Haneefa ne toh kisi Sahabi say (bhi) 
mulaqaat nahi kiye hai. 
 
{Sawalaat-e-Sahime Lil Darqutni (Safa no.263, No.383), Tareekh-e-Bagdad (4/208, no.1896, Sanad Sahih)} 
 
Maloom hua Khateeb Bagdadi say bohut phelay Imam Darqutni ne is ka fasela kiya hai aur yeh bhi maloom hua ki wo 
Anas Bin Malik (Radiallahu anhu) wali riwayat ko sahih nahi mante tha warna yeh kabi nahi kahte 

2. Abu Yahiya Abdul Hameed Bin Abdur Rehman Al-Hamani farmate hai 👇 
 

11 / 12
“‫ ﻣﺎ رأﯾﺖ أﺣ ًﺪا أﻛﺬب ﻣﻦ ﺟﺎﺑﺮ اﻟﺠﻌﻔﻰ وﻻ أﻓﻀﻞ ﻣﻦ ﻋﻄﺎء ﺑﻦ أﺑﻰ رﺑﺎح‬:‫”ﺳﻤﻌﺖ أﺑﺎ ﺣﻨﯿﻔﺔ ﯾﻘﻮل‬ 
 
Main ne Abu Haneefa rh ko farmate hue suna 👇 
 
Main ne Jabir Jo’afi se zeadah jhuta koi nahi dekha aur Ata’ah Bin Abi Rabaha sae zeadah afzal koi nahi dekha. 
 
{Al-Ilal Al-Sageer Lil Tirmidhi (Safa no.891, Sanad Hasan), Al-Kamil Ibn Aadi (2/537 ya 2/327, Sanad Hasan)} 
 
Is se sabit hua Abu Haneefa ne Anas Bin Malik (Radiallahu Anhu) ko bilkul nahi dekha warna wo yeh kabi na farmate 
kii “Main ne Aat’ah (Tabi) se afzal koi nahi dekha”. Yeh aam logu ko bhi maloom hai ki har Sahabi har Tabeyi se afzal 
hai aur jab Imam Sahab ne khud ealaan farma diya hai ki Unhu ne Aat’ah se zeada afazal koi insaan nahi dekha toh 
sabit hogaya ki Unhu ne kise Sahabi ko nahi dekha. 

th
 

ee
 

ad
Mashoor Sufi Ali Bin Usmain Al-Hajwari ne Imam Sahab ko Taba’a Taba’een ke tabqat mein zikr kiya hai. 
eH
 
{Kashf-ul-Mahjoob [Arabic Page no.302], [Urdu Page no.138], [English Page no.169]} 
hl

 
A

Tahqiq Ka Khulasa :-​ Abu Haneefa (Rahimahullah) Taba’ee nahi balki Taba’a Taba’ee the. 
a tE
iy
m
Ja

12 / 12

You might also like