Khaak e Maqtal

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 8

KHAAK-E-MAQTAL

SCENE#1
(Dance on Noori Song, Fawad Enters)

Noori: Peechy hato! Phir agaye ho tum mera sar khanay kanglay!

Fawad: Arey Noori, Meri Jaan! Tum aabhi tk naraz ho main kitni dafa tou
maafiyan maang chuka hoon.

Noori: Tum sirf maafiyan hi mangna, meri farmaishein na puri krna,


farmaishain tou tum sirf apni us biwi ki puri kartey ho.

Fawad: Aye Haye!! kis manhoos ka naam lelia tum ne, us aurat ki taraf tou me
dekhna pasand nahi krta, tum tou meri jaan ho.

Noori: Rehny dou! Ek sonay ka kangan you dila nahi sakay, bara aya peechy
phirne wala, ab tab hi mere pas aana jab kuch leekr ao.
Fawad: Aray laya hun na ye dekh. tere liye itnay paisay laya hun
Noori counts money says: lekin sonay ke kangan dilao gay to he agay koi baat
hogi
Fawad: Noori… Noorri OHOO! (SITS DOWN ON THE FLOOR SAR PAKAR KE)

–SCENE END–

SCENE#2:

(Fatima khansi kar rahi hogi, Maa usay dilasa detay huwe)

Maa(hadia): Na pareshan ho meri bachi, abhi tumhary abba ajayegy tou tumhe
haspataal lekey chalun gi

(FAWAD KUCH DHOONDHTAY HUWE ENTER HOGA)

Hadia: Fawad! Fawad aagaye Aap, dekhain zra fatima ki tabiyat raat se kitni
kharab hai usay haspataal lekr chalty hain

Fawad: meray paas tim logon ko denay ke liye koi paisay nahi hain (dhoondhta
rhyga)

Hadia: Fawad aap meri baat sun rahy hain? (Bazu pakrygi)

Fawad: (zor se baazu churwayega) Peechy hat ja pagal aurat aur mujhe bata
woh jo sonay k kangan jo tunay shaadi par pehnay thy woh kahan hain? Bol
kahan hain? (zor se baazu pakry ga)

Hadia: (Apna baazu churwatay huwe)


Woh kangan iss ghar me akhri koi keemti cheez reh gaye hai woh me
tumhe nahi de sakti! Pehly hi sab kuch tumary nashay aur ayashi ki nazar ho
gaya hai! (haath upar krygi, haath me kangan hoga)

Fawad: Ohh yey tou yahan hai… DEY MUJHE DEY! (dhakka)

(dhaka dega aur kangan utaar ke le jayega)

(Hadia gir k roti rahy gi, fatima uss k paas ayegi)

Fatima: Ammi yey abbu ko kia masla hai kyon bas ghar akay jhagra krty rehty
hain aur aap ko maartay hain (RONAY LAGY GI) Mujhe abbu bilkul nahi
pasand.

Hadia: Na rou meri bachi, Fawad tou jesse bhool hi gaya hai ke iska koi
khaandaan hai. Nashay aur uss tawaif khanay ne ussko barbaad krdia hai.
Lekin tu pareshan na ho meri bachi me tujhe Dr. Raza k paas le kr jaungi. Iss
darinday ka bs ek who khuda taras dost hai jo hamari madad karta hai. Aa
chalain!

(Chadaar krty huwe chalay jayegi)

–SCENE END–

SCENE#3
(CLINIC SCENE)

(Dr. Raza bethay hongy, haadia aur fatima khanstay huwe enter hongy)

Dr. Raza: Aray Salam Hadia, tum yahan kese? Aur guriya bhi saath aye hai.

Hadia: Walaikum Assalam Dr. Raza bas yey fatima ki wajah se apkay paas ana
para, iss ki tabiyat bohat kharab hai.

Dr. Raza: Aray kia hogaya(Check krty huwe)


Fatima tumhe tou bohat taiz bukhaar hai aur gala bhi kharab lag raha
hai. Lekin Hadia tum pareshan na ho me dawa likh deta hoon InshaAllah 2 3
din me araam ajayega.

Hadia: Bohat shukriya Dr. raza, mein tou ghabra hi gaye thi (ronaay lagay gi)

Dr. Raza: Ohou Hadia kia hogaya, rou mat aur yey batao itni pareshaani me
fawad tumhary sath kyon nahi aya?

Hadia: (Tanzia hasay gi) Fawad ne tou mushkilon me mera saath dena kab ka
chor dia hai Dr. Raza, ab tou bas ek naam ka hi rishta hai. Uske nazdeek tou
meri aur fatima ki hesiyat khaak barabar hai.
Dr. Raza: Hadia me tou khud tumhe kia kahun key kis kis tarah k kissay sunta
hoon iske. Juway aur iski rangeen mizaaji se tum logo ki zindagi barbaad krdi
hai. Laanat hai aese shakhs par.

Hadia: Mein tou ab bas apnay maula ki rehmat ki aas par hoon, pata nahi kab
fawad ko apni ghaltiyon ka ehsaas hoga.
Umeed ki bas ab ek hi kiran nazar aati hai k aglay haftay mera beta dusray
shehr se apni taleem mukamal kr ke wapis arah hai,wohi mera sahara banyga.

Dr. Raza: Chalo yey tou bohat achi baat hai Hammad wapis araah hai, usse
kehna mujhse bhi akar zaruur milay.

Hadia: Jee zaroor Dr. Raza! Chalain ab me chalti hoon apka pehly hi bohat waqt
leliya, Bohat shukriya.

Dr. Raza: Aray shukriya ki koi baat nahi. Fatima beta Apna khyaal rakhna!

(Hadiya aur fatima uth kar chalay jayegy)

–SCENE END–

SCENE#4

(Hammad makes an entry)

Hammad: AMMA!.. AMMA! Salaam, kidhr hain aap!

Hadia: Arayy mera beta agayaa! Mera chaand..itni dair baad aya hai iss dafa.

Hammad: Aray maa ab tou agaaya na! Aap batain kesi hain? Fatima kidhr hai?

(Fatima bhagtay huwe aye gi)

Fatima: bhai bhai aap agaye!... mere liyey tohfay laye hain kia?

Hadia: Aray pagli! Bhai ko bethnay tou dey (Hammad bethay ga)

Hammad: aray bohat saray tohfay laya hoon tumhary liyey, tum idhr betho tou
sahi. Batao kya karti ho aaj kal, parhayi kesi jaa rahi hai?

Hadia: (jatay jatay rukay gi) OHOU! Mein sabzi walay se sabzi lena tou bhool hi
gaye. Ja meraa beta daur k sabzi tou pakar la, phir me apnay betay k liyey khana
banaugi

Hammad: theek hai maa, abhi bazaar se sabzi lekey ataa hoon pphir hum khana
khatay hain.
(hammad chala jayega)
–SCENE END–
SCENE#5
(MARKET SCENE)

(Hammad jaraha hoga)

Shafique: aray aray hammad! Tum kab aye?

Hammad: aray Shafique bhai aap! Kese hain? Kitna arsa hogaya aap se milay
huwe.

(GALAY MILAYGY)

Shafique: Me theek tum batao? Iss dafa tou kaafi arsay baad aye ho. Ghar me
sab thee?

Hammad: Jee Jee sab theek bas Ammi ne sabzi lanay ka kaha tha tou wohi
leney jaraha tha.

Shafique: (tanzia hanstay huwe) Ooh tou tumhe tumhari ammi abhi tk aami
kehny deti hain apny aap ko?

Hammad: shafique bhai iss baat ka kia mtlb hai?

Shafique: betaa tumhari ammi k ab ammiyon walay kaam tou nahi rahy na
(tanz)

Hammad: (ghussay me) SHAFIQUE BHAI!

Shafique: Aray yey tou muhallay me sab jantay hain. Ab tou suna hai tumhari
ammi ki beemariyan hi kaabu me nahi arahi aj kal. Dr. Raza k clinic k chakkar
baray lag rahy hain, pata tou karwao masla kia hai?

Hammad: Shafique Bhai(Collar pakryga) Aap mujh se baray hain iska yey mtlb
nahi k aap kuch bhi boltay jayegy aur me chup chaap sunta rahunga.

Shafique: Aray Hatoo! Ghairat doosron ke girebaan pakarnay se nahi ati balkay
apnay ghar ki aurton par qaabu rakhnay se aati hai. “Pata nahi kia hi khandaan
hai” (Collar churwatay huwe bolay ga aur tanzia has k chala jayega)

(hammad kuch dair rukayga aur ghussay me wapis ghar ki taraf jayega)

–SCENE END–

SCENE#6
Dr.Raza brings cake to hadia’s house. knocks door
Hadia: Aray de.Raza aslamualaikum aap yahan?

Dr.Raza: w.salaam hadia. fawad ghar par hai.

hadia: nahi dr raza fawad toh pata nahi kahan hai ap undar aa kay baithain
hamad bus ata he hoga.

Dr raza: acha hammad beta bhi a gaya hai.Acha hai ussay bhi mulakat ho jaye gi
(fawad enters in drunk state.)

Hadia: fawad ye kia kar rahay ho sambhalo khud ko.

Fawad: peechay hut!

Dr raza: fawad kya hogaya hai tumhien.

fawad: Tu! Tu yahan kya kar raha hai.


(geereban pakray ga)

Hadia: fawad ghar aye mehman kay sath yeh kartay hain?

(hammad enters)

Hammad: Abba yeh kya ho raha hai, aur main yeh kya baatain sun raha hoon?

Fawad: Oh toh a gaye tum bhi apni maa key beghairtian dekhnay. Yeh dekh teri
maa kiskay sath hai.

(Fawad geereban pakray ga)

Fawad: idhar aa behaya insaan, bata mere ghar main kya karta phir raha hai.

Hadia: fawad yeh kya bol rahay ho tum. Tum, Tum ghalat samjh rahay ho.
(fawad slaps hadia)

Hammad: Abu!

Fawad: moun band kar apna budchalan aurat. yeh tera yaar hai na jiskay sath
mere peth peechay ishq lara rahi hai.

Dr. raza: Fawad ye kya boli jaa rahay ho hosh mien ao (fawad se sharaab ki
bottle cheentay hoye) Hammad beta tum meri baat suno, aesa kuch bhi nahi
hai!

Fawad: Durr reh mere betay se begherat insaan! Aray me tou tujhe apna dost
samjhta tha. Tu tou meri hi biwwi k saath…

Dr. raza: (Ghussay me) Zabaan sambhaal kar Fawad!


(JAMEELA ENTERS)

Jameela: HAAN HAAN! Hum hi apni zabaanain sambhalain, tum apni


harkatain na sambhalo!

Fawad: aray jameela baaji aap? Aap kab ayen? (Uski taraf ayega)

Jameela: Aray chotay bhai mujhe tou aana hi tha, puray muhallay me qissay hi
aese hain, kia bakwaas tere ghar me shuru hui hai?

Fawad: Mein kia bataun Baaji! Mujhe tou khud iss aurat ne kahin munh
dikhanay k qabil nahi chora.

Jameela: kyon ry haadia teri gherat kiya bilkul hi khatam hogaye hai. Banda
apni umar hi lehaz kr leta hai lekin pata nahi konsi jawani charhi hai. Aur
hammad tu bhi agaya apni maa k kartoot dekhny.
Aray kia faida aesi jawaan aulaad ka jo maa ko lagaam na de saky.

Haadia: BAS KR DEIN JAMELA BAAJI! Khuda ke liyey bas krein. Yey aap log
mere jawaan betay k samne mujh par kis tarah k ghatiya ilzaam laga rhy hain.
Aesi koi harkat nahi ki mene jis per mujhe ya aap logo ko sharminda hona
paray. Aur Dr. raza unhe kis bina par apne katehray me khara krdia? Uss
insaan ka bs yehi kasoor hai k usne sar par shafqat ka haath rakha jab hamary
sarparast(fawad ki taraf ishara) ne hamari zimadari uthanay se inkaar krdia.

Fawad: fazool baatien na kr! Aray mene tou apna sab kuch tum logo par lutaya
hai.

Haadia: hum par lutaya hai? Me batau apnay betay ko k kis par lutaya hai sab.

(fawa thappar marne k liyey haath uthayega, dr raza haath pakar kr rokyga)

Dr. raza: Hosh kro fawad! Yey kia tareeka hai aulaad k samne biwi se baat krne
ka? Aur theeek tou keh rahi hai woh khud tum tawaif khanay se bahir nahi atay,
yey nahi bataya betay ko?
Haadia tou mere liyey bohat ba-izzat hai me uske liyey kuch ghalat soch bhi
nahi skta.

Jameela: baatain suno iss be-haya mard ki khud dost ki biwi par nazar rakhta
hai aur mere bhai par jhootay ilzaam laga raha hai.
Dekh raha hai hamad inke lachan, teray peeth peechy yey sb hota raha hai

Dr. raza: hammad beta in logo ki baaton me mat aao yey sb bakwaas kr rhy
hain. Tumhari maa be-kasoor hai
(hammad full ghussay me)

Hammad: BANDD KREIN AAP SB YEY TAMASHA!! Chupp hojaye sb


(Dr. raza ko pakar k ghar se nikalty huwe)
Phuphoo aap bhi jayeen apny ghar (unke agay haath joray ga)
Aur ammi mujhe tujh se yey umeed nahi thi.

Jameela: haan bhai hum tou jarahy hain, tum hi sambhalo is badnaami ko

(jameela and fawad leaves)

(hadia will leave crying)

Hammad sits down sarr paakarr k. Sides se whispers of all the taunts from
shafique and different voices. Sounds of laugh.

Hammad will act schizophrenic

He will then shout loudly.

Hammad gets up aur munh me bolna shuru krdega ghussay me:

Hammad: aaj me iss aurat ko nahi choruga. Mere pechy se yey sb hota raha hai.
Aaj yey nahi bachygi kahaan hai. (jakay side se chhurri uthayega)

(haadia side pey beethi rou rahi hoogi)

Hammad usko baazu se pakar k khara kryga

Haadia: hammad yey kia kr rhy ho? Tum meri baat tou suno? Mene aesa kuch
nahi kia, tera baap mard tha iss liyey usko kisi ne uski harkaton pey kuch nahi
kaha aur hum aurtain dehleez se kadam bhi bahir rakhain tou hum gunah gaar
ho gayen. Iss muashray ka insaaf sirf aurat ki dafa hi jaagta hai? Aur hammad
tu tou mera beta hai meri baat ka yakeen kr. (uska baazu pakrygi)

Hammad: bas kr de maa(haath churayega) )nahi hoon me tera beta. Meri aesi
maa ho hi nahi skti.iss harkat k baad tunay apna aitebaar kho dia hai. Aaj nahi
choruga bs bht taanay sun liyey mene logo me

Fatima: bhai ye…ye aapne kya kardia (rotay hoye) kyun kiya aap ne aesa. kesay
yaqeen kar liya aapnay logon ki baaton pe. aap to yahan thay bhi nahi. aap ke
peechay abbu ammi ko itna maartay thay. bus aap he to ammi ka sahara thay
hamari umeed ki kiran thay. par aapne ammi par itna bara bohtan laga ke
unko…(ronay lag jaye gi)

(dono ki isi behas me hammad usko churri maryga aur haadia zakhmi hoky
neechy gir jayegi)
—LIGHTS WILL GO OUT AT THIS MOMENT–

—SONG STARTS PLAYING–

IN THIS TIME BEING HAADIA K DONO HAATHON PEY CHAINS BANDH K


LAYEGY AND ENTER WITH 4 MEN JO USKO EK EK SIDE SE KHEENCHY GY
SHOWING K SOCIETY KESE EK WOMAN KO DOWN KRTI HAI. (REFERENCE
VIDEO)

Haadia keeps trying to get back on her feet but keeps getting dragged and then
finally falls down. The men then leave, she keeps laying there.

—-SONG ‘MAI TERE CHUNARIYA’ PLAYS—

Hammad enters realizing what he did, and sits near his mother. Mulaika
narrates end part. —-THE END–

You might also like