Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 19

Shirk Kya Hai?

-Allah ke Alawa kisi ko bhi khaliq ,Malik, Raziq Ya


Mudabbir manna ya ibadaat me se koi ibadat Ghairullah
ke liye karna Shirk Kahlata hai.

Shirk Sabse Bada Zulm hai:

Surat Ul Luqman ayat 13

Allah Farmata hai "Beshak Shirk Sabse Bada Zulm


Hai"

-Hafiz Ibn Kaseer Rahimahullah is ayat ki tafseer me


kahte hain ke Bahot bade zulm se muraad ye hai ke ye
sabse bada zulm hai isse bada zulm koi nahi hai aur kyun
na ho isliye ke shirk karne wala haqeer pani se bani hui ek
makhlooq ya mitti se paida ki gayi ek makhlooq ko utha
karke Allah Rabbul Aalameen ke muqable me lakar khada
kar deta hai. Lehaza shirk bahot bada zulm hai.
Surat ul Anaam ayat 82

"Jo log imaan laye aur apne imaan ke sath shirk ko


alooda nahi kiya inhe ke liye Aman o salamti hai aur
yahi Log raah e raat par hain."

#Shirk itna bhayanak jurm hai ke Allah ne shirk karne se


mana kiya hai aur usko haraam qarar diya hai.

Allah Farmata hai


Surat un Nisa ayat 36
"Tum Allah ki ibadat karo aur uski ibadat me kisi ko
shareek na banao."

Phir dusri Ayat me Allah farmata hai

Surat ul Anaam ayat 151


"Ap kah dije aao mai padh kar sunaoon wo Chizen jo
tumhare Rabb ne tumhare upar haraam ki hain. Wo
ye ke tum Allah ke sath kisi ko shareek na thahraao.."

Upar di gayin dono aayato me Allah ne shirk se mana aur


haram kiya hai isliye bando ko chahiye ke wo apni
peshaani sirf Allah ke aage jhukaayen, apne haathon ko
sirf Allah ke samne phailaayen apni muraaden sirf Allah
se maange taki wo shirk se bache rahen.

Sahi Bukhari aur Sahi Muslim ki Riwayat hai:


Rasool ‫ ﷺ‬ne apne sahaba ko mukhatib karke farmaya "
kya mai tumhe sabse bade gunaah ke bare me na
bataaun?
Sahaba ne kaha Rasool ‫ ﷺ‬hame zarur bataiye ,
unhone farmaya
" Allah Rabbul Aalameen ko uski makhlooqaat me se
kisi ke sath shareek karna aur Walidain ki Nafarmani
karna ye sabse bade gunaah hain".

Ek Dusri Hadees me Rasool Allah‫ ﷺ‬ne farmaya ke 7


halaak o barbaad Kardene wali chizon se bacho usme se
ek aapne kaha ke Shirk Se bacho"
Sahi Bukhari, Muslim

Shirk ek Aisa Jurm hai jo Naqabile Muaafi hai


Agar shirk karne wala bina sachhi tauba ke mar jaye to
uska ye jurm Naqabile maafi hai aur wo hamesha
hamesha ki jahannam me rahega.

Surat un Nisa ayat 116


"Beshak Allah Ta'ala apne saath shirk kiye jane ko
maaf nahi karta iske alawa jo gunah hain Allah jiske
liye chahta hai maaf kar deta hai, aur jo shakhs Allah
ka shareek banata hai wo door ki gumraahi me ja
pada hai."

Surat ul Furqan ayat 70

Allah Farmata hai "Siwaye un logon ke jo tauba karlen


aur imaan le ayen aur nek kaam karen, aise logon ke
gunahon ko Allah Ta'aalaa nekiyon se badal deta hai,
Allah Ta'aalaa bakhshne wala meharbaani kerne wala
hai."

Shirk ki maujoodgi me bande ke saare amaal barbaad


aur zaya ho jate hain:

Surat uz Zumar ayat 65


Allah Nabi ‫ ﷺ‬ko mukhatib karke farmata hai
"Aur yaqeenan aap ki taraf bhi aur aap se pehle (ke
tamaam nabiyon) ki taraf bhi wahee ki gai hai ke agar
aap ne shirk kiya to bila shuba aap ka amal zaaya
hojayega aur bil-yaqeen aap nuqsaan uthaane waalon
mein se hojaayenge."

Surat ul Anaam me ayat no.88 me pachchees(25) Ambiya


ka zikr karne ke baad Allah Rabbul Aalameen farmata hai
"Bil-Farz(agar maan liya jaye) in Ambiya ki jamaat se
bhi shirk ho jaye To Allah Tala inke sare amaal zaya
aur barbaad kar dega"
Yani unme se kisi ke koi bhi amal ko Qubul nahi karega.
Shirk Karne Wala Hamesha Ki Jannam Me Rahega

Surat ul Maaida ayat 72

Allah Tala Farmata hai "Jo Shakhs Allah ke sath Shirk


karega Allah ne uspar jannat ko haraam qarar diya
hai aur uska thikana jahannam hi hai"

Shirk Ke Nuqsanaat

Mushrik Ke Dil Se Allah ki Tazeem aur Mohabbat


Kam ho jati hai.
Mushrik Apne peer ki mohabbat aur Tazeem me itna badh
jata hai ke Allah ki mohabbat aur Tazeem me kami aajati
hai lehaza jab jab Mushrik ke samne Allah ka zikr kiya
jata hai to wo itna khush nahi hota jitna ke wo uspar
khush hota hai jisko usne apna wali aur peer maan rakha
hai

Surat uz Zumar ayat 45 me Allah Farmata hai

“Aur jab Ek Allah ka zikr kiya jaaye to unn logon ke


dil nafrat karne lagte hein jo aakhirat ka yaqeen nahi
rakhte, aur jab Uss ke siwa (ghairo ka) zikr kiya jaaye
to unn ke dil khil kar khush ho jaate hein."

Shirk Mushrik Ko Tabaah o barbaadiyon ki ghati me


gira deta hai

Surat ul Hajj ayat 31

"Aur Uss ke saath kisi ko shareek na karo, (Suno!)


aur jo koi Allah Ta'aalaa ke saath shirk kare to goya
woh aasman se gir pada, ab ya to use parinde uchak le
jaayenge ya hawa kisi door daraz ki jagah par phenk
de gi."

Shirk Mushrik Ko Napaak Bana Deta Hai

Surat ut Tawba ayat 28 Allah Farmata hai "Aye Imaan


walon Beshak mushrik Napaak Hai"

Mushrik Shirk Karne ki wajah se Allah ke talluq se


badgumaani ka shikaar ho jata hai

Jab Mushrik Allah ke siwa dusro ko mushkil kusha, hajat


rawa,ghaus e azam aur Daata tasawwur karta hai to yani
ke wo Allah se badgumaani karta hai. Kyunki Agar
Mushrik in sifaato ka malik sirf Allah ko manta tab wo
ghairo ko na pukarta aur naahi ghairon ke darbaar ke
chakkar lagata. To isse ye baat lazim samjh me aati hai ke
mushrik Goya ke nauzubillah Allah ko naqis samjhta hai,
aur Allah ke ikhteyaraat pe usey shak hai aur wo
badgumaani me mubtila hai.

Is Na-Qabile Mafi Jurm Ki Qabahat bayan karte hue


Surah Fatah ayat 6 me Allah Farmata hai

"Aur taake unn munaafiq mardon aur munaafiq


aurton aur mushrik mardon aur mushrika aurton ko
azaab de jo Allah Ta'aalaa ke baare mein bad-
gumaaniyan rakhne waale hein, aur musibat laot kar
inhi par aane wali hai, Allah Ta'aalaa unn par
naaraaz hua aur unhen la'nat ki aur unn ke liye
jahannam tayyaar ki aur woh (bahot) bura thikana
hai."

Shariyat E Islamiya Ne un tamaam darwazo ko band


kar diya jo shirk tak leke jane wale hain.

Rasool ‫ ﷺ‬Ki tareef me


mubalgha(hyperbole/exaggerated statements) karna
mana
Rasool ‫ ﷺ‬farmate hain " Mera maqam waise na badhaao
jaise Isaaiyon ne isa Ibn Mariyam ka badha diya tha mai
to Allah ka banda hu lehaza tum mujhe sirf Allah ka
banda Aur Rasool Kaho.
(Sahih Bukhari)
Lehaza pata ye chala ke Jab Nabi ‫ ﷺ‬ne apne liye
mubalgha karna mana kar diya to ghairo ki liye mubalgha
karna ye shariatan najayez aur haram hai.

Qabro ko pukhta karne aur unpar sajda karne se


mana kiya hai taki Shirk ka darwaza band ho jaye

Rasool ‫ ﷺ‬farmate hain " Qabron Ko pukhta na kiya


jaaye, uspar baitha na jaaye aur naa hi uspar tameer
ki jaaye.
(Sahih Muslim)

Shariat ne Qabro Ke upar imarat banane se mana


kiya hai

Ayesha Raziallahu anha aur ibn Abbasi Raziallahu


anhuma bayan karte hain " jab Rasool ‫ ﷺ‬us marz me
mubtila hue jisme aapki wafaat ho gayi to aape
mutaaddid baar farmaya Allah ki Lanat ho
yahoodiyo par , Allah ki Lanat ho nasraniyon par
unhone apne Nabiyon ki Qabro ko sajde ki jagah bana
liya."
(Sahih Bukhari)

To malum ye chala Jab Ambiya ki Qabro ko sajde ki


jagah banana jayez nahi to phir awliya ki Qabro pe jo
sajde kiye jate hain wo bhala kaise jayez ho sakte hain.

Qabron Ki taraf mu karke namaz padhna Mana hai

Rasool ‫ ﷺ‬farmate hain " Qabron ki taraf mu karke


Namaz Na padho aur Naa hi Qabron par baitho."
(Sahi Muslim)

Hamare Muashre me dekha jata hai ke bahot se log apne


buzurgon aur awliyaaon ki Qabro ki taraf rukh karke
namaz padhte hain aur waha baith kar chilla kashi karte
hain ye Shariat ne mana kiya hai.

Unchi Qabron Ko Zameen se barabar karne aur


unpar banai gayi imaarato ko girane ka hukm
Syedna Ali Raziallahu anhu bayan karte hain ke "Mujhe
Rasool ‫ ﷺ‬ne mujhe ye hukm dekar bheja ke mai har
but(idol) aur Mujassame ko mita du aur har unchi
Qabr ko Zameen ke barabar Kar du"
(Sahih Muslim)

Qabron Aur Mazaraat Ki Ziyarat Ke Liye Sawaab Ki


Niyat Se Safar Karna Shariyat Ne Haraam Kaha Hai

Rasool ‫ ﷺ‬ne farmaya "Teen masjido ke alawa kisi bhi


masjid ki taraf aap sawab ki niyat se ziyarat ke liye
nahi ja sakte Masjid e Haraam, Masjid e Nabwi aur
Masjid e Aqsa"
(Sahih Muslim, Bukhari)

Shirk Ki Qismen

1.Shirk e Akbar
2.Shirk e Asghar
Shirk E Akbar ki 3 Qisme hain

1.Shirk fir Rububiya -Allah Rabbul Aalameen ki


Rububiyat me shirk karna.
Maslan-
-Allah ke alawa kisi ko khaliq ,malik aur mudabbir
manna, izzat o zillat dene wala manna, nafa wo nuqsan ka
malik smajhna ya Allah ki Rububiyat ka sire se inkaar kar
dena jaise Firaun ne kiya tha ke usne Allah ki Rububiyat
ka inkar karte hue khud ko Rabb man liya.

-Isaaiyon aur Nasraniyon ne Allah ki Rububiyat me


shareek banaya aur ye daawa kiya ke Rabb Teen hain.

-Awliya aur saleheen ke mutalliq ye aqeeda rakhna ke


maut ke baad inhe Qaynaat me hajaten poori karne aur
mushkilaat ko taalne ka ikhteyaar hasil ho jata hai ye
manna bhi Allah ki Rububiyat me shareek banana hai aur
ye shirk fir Rububiya hai.

2.Shirk Fil Asma Wa Sifaat yani


Allah ki Tawheed e Asma wa Sifaat me shirk karna

Maslan-
Allah ki Asma wa Sifaat ka sire se inkaar kar diya jaye.

Allah ki Sifaat ko makhlooqaat me Tasleem kar liya jaye.


Jaise Ilm e Ghaib ka Daawa karna, kuch log Daawa karte
hain ke Jinno ko ilm ghaib hai, ya Nabi ‫ ﷺ‬ko ilm ghaib
tha Jabki ghaib ka ilm Sirf Allah ki sifat hai.

Jaise Sajde Allah ke liye kiye jate hain magar kuch log
Ghairo ke liye bhi sajde karte hain.
Isi tarah Duaayen Allah se mangi jati hain magar kuch log
Ghairo se bhi dua mangte hain.Isi tarah hajat Rawaai
Allah ki jaati hai lekin kuch log Ghairo se bhi hajat
Rawaai karte hain.Ghareeb Nawaz aur Daata Allah ko bhi
mana jata hai aur ghairo ko bhi mana jata hai, ghause
azam aur dastageer Allah ko bhi mana jata hai aur ghairo
bhi mana jata hai to ye sari Chizen Allah ki Asma wa
Sifaat me shirk hain.

3.Shirk Fil Uluhiya/ibadat


Yani Allah Rabbul Aalameen ki ibadat me shareek
banana
Maslan-
Ghairullah se mangna, khauf rakhna, madad mangna,
tawakkul karna, aur janwar zibah karna

Ghairullah se Dua Mangna Ye kah kar ke Ham gunahgaar


bande hain hamari Allah nahi sunega lehaza inke zariye
hamari Rasaai ho jayegi ham inse kahte hain aur ye
hamari taraf se Allah se kah denge

Allah Farmata hai Surah Yunus ayat 106 me


"Aur Allah Ta'aalaa ko chhod kar aisi cheez ki
ibaadat mat karna jo tujh ko na koi faida pahoncha
sake aur na koi nuqsan pahoncha sake. Phir agar aisa
kiya to tum zaalimon mein se ho jaaoge."

Allah aage ki ayat 107 me farmata hai "Aur agar


Allah tum ko koi khair pahonchaana chaahe to Uss ke
fazl ka koi hatane wala nahi, woh apna fazl apne
bandon mein se jis par chaahe nichhawar karde aur
woh badi maghfirat badi rehmat wala hai."
Allah Surah Fatir ayat 2 me farmata hai

"Allah Ta'aalaa jo rehmat logon ke liye khol de so


uska koi band karne wala nahi aur jis ko band karde
so uske baad uska koi jaari karne wala nahi aur Wohi
ghaalib hikmat wala hai.”

Allah ki ibadat me shirk karne ki ek surat ye bhi hai ke


Ghairullah se waisi mohabbat ki jaye jo Allah se honi
chahiye.

Ghairullah se is baat ka khauf karna ke wo apni taqat aur


qudrat se hame nuqsan pahucha sakta hai.

Ghairullah se is baat ki ummid rakhi jaaye ke ye hame


faida pahucha sakte hai.

Un chizon par Ghairullah se bharosa rakhna tawakkal


rakhna jiska ikhteyaar sirf Allah ko hai. Jaise Peero,
faqeero se awliyaaon se ye bharosa aur ummid rakhna ke
ye hame rizq dene wale hain, awlaad dene wale hain, aur
hame kisi shar se bachane wale hain

Shirk e Asghar se muraad wo shirk hai jo bande ko


shirk e Akbar tak pahucha de.

Jaise-Ghairullah ki qasme khana

-Aisa kahna ke “ jo Allah chahe aur aap chahen” balki


kahna ye chahiye “Jo Allah chahe uske baad aap chahen.”

-Badshaguni manna aur Faal Nikaalna Shirk e Asghar hai


Shirk e Asghar ki ek misaal ye bhi milti hai ke Shadiyon
me aksar log Jantari dekh kar shadi karte hain ye shirk e
Asghar hai isse bachhna chahiye.

-Najoomi aur kahino ke paas jana unko haath dikhana aur


unki baaton pe Yaqeen karlena ye haraam hai aur shirk e
Asghar hai.
-Taweez pahenna, kada pahenna ya dhaga bandhna pairo
hatho me ye shirk e Asghar hai

-Ghair Sharai Jhaad phook karwana

Aur Akhir me Wo Dua Jo Rasool ‫ ﷺ‬Shirk Se bachne


ke liye kiya karte the

"Aye Allah Ta'ala se Mai Panaah chahta hu ke ilm


hone ke bawjood tere saath kisi ko shareek karun aur
mai tujhse bakhshish chahta hun ke mai baghair ilm
ke tere sath kisi ko shareek karun."
(Sahih Al-Jame)

End

You might also like