Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 4

congress ke purane presidents ka sach

de di azadi bina khadak bina dhal sabarmati ke sant tune kar diya kamal..

jitne balidan huye aur hinsa hui uska koi hisab aur credit nahi..

kaun sachcha deshbhakt tha, kaun dalal tha congress aur angrezo ka.. janiye

azadi me theka congressiyo ka tha.. unka ye kehna hai.. rss ko gali dete rehte hai ye.. inko sach chupana
hai..

gandhi nehru ne kya kamal kiya batate hai.. dhyan se sune

sab documented evidence hai..

rss ka yogdan nahi tha bolte h congress, ok maan lete hai..

27 sep 1925 rss founded 5 logo ne, us time hindu mahasabha thi.. savarkar, madan mohan malviya, lala
lajpat rai bad me jude. in 22 saal ke liye rahul gandhi aur congress dhindhora pitti hai ki rss ne kuch nhi
kiya..

15 aug 1947 me azadi mili ya transfer of power hua jo man lo

1885 me congress bani

31 sal bad

1916 me book likhi gayi.. important.. yuva bharat.. young india.

cong president krantikari lala lajpat rai ne ye book likhi

Page 111-113 me likha hai


Ye andolan na janta ki prerna se shuru hua na unke hisab se yojna banayi

“Sach to ye hai ki is andolan ke piche janta ki prerna thi hi nahi, us samay bharat ki janta ne apne apko
is andolan se nahi joda jisse am janta ko bharosa ho jata ki is andolan ke sucharu sanchalan se uska
astitva juda hua hai. Ye andolan ek angrez viceroy ke sujhao par ek angrez dwara shuru hua. “

Yaha se khel shuru hua..

Is congress andolan ka netritva bharat me un logo ne shuru kiya jo sarkari naukri me the ya in sevao se
sambandhit the. Aur jo log sarkari naukri me pravesh chahte the unko isme liya gaya. Jo log sarkar se
apni baat manwana chahte the wo jude congress se. Ye aisa sangathan tha jisme angrezo ke dalal aur
chaplusi karne walo ko joda gaya..

Lala lajpat rai ne likha: ye neta janta me josh bharne me asamarth rahe, aisa shayad isliye huya kyuki
unme tyag bhavna kami thi. Un netao ki amdani sampannata kam nahi hui, un netao ko unche pad diye
gaye sarkari naukriyo me. Jis karan janta aur is sangathan me avishwas ki khai chaudi ho gayi.

Kya congress is baat ka jawab de payenge?

Pg 164 me likha:

Congress ke anek neta ko aisho aram aur shant jiwan se prem hai ki unhe dharna aur updrav karne se
ghabrate the. Aam logo ko sath nahi jod paye. Kuch swathi the aur kuch kayar the. Unhe judge banna
tha aur council ke sadasya banne ki chah rakhte the. Wo log Rai bahadur ki padvi pana chahte the
angrezo se. Kintu ham aise logo ko rastrawadi nahi maante. Ye bhi satya hai ki koi bhi party aise logo se
achuti nahi rehti jo lalachi hote. Kuch neta udarwadi hai kintu vicharo se garam dal ke hai unme sahas ki
kami hai, wo apne aapko garam dal ki pankti me nahi bitha pate. Kuch neta apne hito ki vridhdhi ke liye
chintit rehte hai.

Ye hai congress ka charitra..

Pg 98 me likha hai:

Congress ki sthapna samrajya hito ke liye ki gayi thi. Yah to spasht hai ki congress ki sthapna aane waale
khatro se british samrajya ko bachane ke liye hi ki gayi thi, na ki bharat ko swatantra karane ke liye. Us
samay british samrajya ke suraksha ki mukhya tha, aur bharat ke hit gaud the. Isse bhi koi inkar nahi
karega ki angrez apne us samay ke adarsh ke anukul hi chalti rahi. Ye kathan ekdam nitant nyayyukt
evam tarksangat hai ki congress ke sansthapak ye jante the ki bharat me british shashan ke chalta rehna
atyant awashyak hai. Isiliye unki chesta thi yatha Shakti kisi bhi agantuk vipatti se british samrajya ki
raksha ki jaye aur unko aur majboot kiya jaye. Unki drishti me desh vashiyo ki rajnitik mango ki purti
tatha bharat kir rajnitik pragati gaud thi.

Congress ki sthapna me 31 saal bad ye karm the aur rss ke azadi tak 22 saal me 5 log ki bhumika par
congress sawal uthate hai ki unhone kuch nahi kiya. Khud unhone kya kya karm kiye unhe yaad rakhna
chahiye.
Book likhi 1916 me aur 1920 me lala lajpat rai congress ke adhyaksh chune gaye. Congressiyo ne swikara
tha jo unhone likh wo sach tha.

Congressi 1942 ke bharat choro andolan ki baat karte hai. Usme Nehru ko hero banakar prastut karte
hai. Us samay nehru kaise lad raha tha sun lijiye aap log.

Angrezo ki secret CID dept ke officer the dharmendra gaud. Unhone usi department ke kuch important
archived files nikale aur ek book likhi. Krantikari andolan ke adhkhule panne.

Unhone Nehru ke upar kuch likha hai.. dhyan dijiye.. Dharmendra Gaud ne khud jo file submit ki thi CID
department me, us document ke aadhar par unhone apni pustak me likha:

Page 112 me likha hai-

Ye 1942 me bharat choro andolan ke samay ki baat hai. Bade netao ko Jailo me aish aram ke sath rakha
jata tha A/B class ke jail me. Jo sachche krantikari the unhe Q class ki jail me rakha jata tha. Inse chakki
chalwayi jati thi. Rassi batwayi jati thi, agya na maanne par kal kothri me band kar diya jata tha. Lekin
Nehru aur unke pariwar ko hamesha vip treatment diya gya. Nehru ki choti behan Viay Lakshmi Pandit
Lucknow jail me band thi sabse sukhi thi. Inspector general of Prison Col Oberoi ke adesh par Lucknow
central jail me ek aramdayak cottage ka nirman kiya gaya. Unke rehne aur khane pine ki suvidha ki
vyavastha angrezi dhang se ki gayi thi. Unki sari mange turant puri kar di jati thi. Wo hazratganj lucknow
me Mayfair cinema dekhke aati thi Col Oberoi ke sath unki car me.

Ab ham knighthood ya sir ki upadi ke bare me baat karte hai. Ye sarvoch samman hai jaise bharat me
bharat ratna diya jata hai. Sir ki upadhi ki 2 shart hoti hai. Pehli shart Apko queen ke age daya ghutna
tikwaya jata tha. Dusri shart thi jo bhi ye upadhi leta tha unhe british samrajya ki wafadari ki kasam
khani padti thi.

Ab Congress ke kuch Presidents aur mahatvapurna logo ke bare me janiye jinhone sir ki upadhi leli.

Firoz Shah Mehta ko 1900 me congress president banaya gya, to inhone itni gajab ki ladai rahi bharat ki
azadi ke liye ki 4 saal bad 1904 me inko sir ki upadhi de di gayi.

Ab dusra nam suniye. 1900 Narayan Ganesh Chandawarkar me INC ka adhyaksh banaya gaya. Wo desh
ke liye kitne wafadar the isi baat se pata chal jata hai ki congress ke adhyaksh banne ke 1 saal bad hi
1901 me unko angrezo ne Bombay high court ka judge bana diya. Aba age aur had suniye. Desh ko
angrezi sashan se mukt karane wali party ka adhyaksh jise Bombay HC ka judge bankar british ki aisi seva
kari ki 10 sal bad 1910 me british ne sir ki upadhi de di. 1913 me jab ye judge ke pad se retire hokar fir
congress ka neta ban gaya.

1907 aur 1908 me lagatar congress adhyaksh Ras behari ghosh. (bose nahi jo subhash Chandra bose
neta ji ke sath the. Dono ko ek mat samajhiye) Unhone azadi ki ladai itni nistha se ladi thi ki 1915 me
unko bhi sir /knighthood ki upadhi dedi. Ye log RSS ki baat karte hai.
1885 se 1915, 30 sal me ye 4 th adhyaksh the unhone bhi angrezo kea age sir ki upadhi lekar ghutne tek
diye. 1897 me angrez sarkar ke advocate general Chettur Sankaran Nair congress ke adhyaksh bane.
Inhone bhi aisi azadi ki ladai ladi ki 1904 me companion of indian empire aur 1912 me sir ki upadhi mil
gyi.

Congress ko Sonia Gandhi Rahul Gandhi ko sharm aani chahiye. Aur congress ke chatukar journalists ko
bhi jinhone 75 saal tak sach samne nahi laye. Desh ki ankho me dhul jhoka sabne.

Ye 7 lakh balidaniyo ko apmanit karti hai congress jo jhut bolti hai ki azadi ki aisi ladai ladi. Bhagat singh
Chandrasekhar azad aur baki sare krantikariyo ke balidan ko apmanit karti hai congress.

Ye to sirf 4 naam ginaye. Jo chote neta the aur jo adhyaksh nahi bane waise gaddaro ke prati congress ka
prem janiye. unke bare me bataya jaye to raat khatam ho jayegi lekin list khatam nahi hogi.

Ek aisa hi hai gaddar jiska naam tha fazal Ali. Angrezo ne Khansahab aur fir Khan bahadur ki upadhi de di.
1942 me bharat choro andolan se samay fajal ali ne angrezo ke aage ghutne tek ke unke prati vafadar
rehne ki kasam khayi aur sir ki upadhi leli. Us fajal ali ke sath congress ne azadi ke bad kya kiya. 1947 me
Nehru sarkar ne Orissa ka governer banaya fir assam ka. 1959 me assam ka governor rehte mara. Jis
gaddar ke sharer par chil kauwe mandrane the us gaddar ko tirange me lapet kar vida kiya gaya. Sharm
aani chahiye congress ko, itihaskaro, patrakaro ko jinhoe ye sachchai samne nahi aane diya. 1925 me
bane rss se swal karte hai congress, inhe sharam nahi aati aur dusro se jawab mangte ho.

EK aur naam Gopalswami Iyengar ek bureaucrat the angrejo ke. Isne angrezo ki itni chatukarita ki , ki
angrez khush ho gaye aur isko 1941 me sir ki upadhi dedi. Iske bad congress ne kya kiya? Azadi ke bad
sarkar bante hi Nehru ne kya kiya, unko bina vibhag ka cabinet mantri bana diya. Fir 1948 – 1952 tak
desh ka pehla rail mantra tha ye. Iske baa 1952 me fir se desh ka rakshamantri banaya gaya. Ye hai asli
congress. Ye kya jawab denge besharm congress wale. Ye bolte hai sirf hamne desh azad karwaya.
Savarkar, Subhash Chandra Bose aur baki krantikariyo ke balidan aur mahatva ko daba diya. Aur pappu
bolta hai ki mere parivar ne desh ke liye balidan diya.

Nehru 10 bar jail gya total 8 sal 6 mahine. Aiyashi me jail term bitaya. Kitabe achcha khana, achcha
karma diya gya. Aur takla jisne bina khadak bina dhal ke azadi dila di usne 6 bar me 5 sal 9 mahine jail
kata.

Inhone bhagat singh, ChandraSekhar azaad aur baki krantikariyo ke sath kya kiya, aage bataunga. Aap
soch nahi sakte, itne neech the taklu aur Nehru. Apko bataunga bhagat singh ki fasi ka badla kisne liya
aur fir congress ne uske sath kya kiya. Ye vistar me bataunga udham singh ke parivar ke sath kya kiya.
Apko kakori kand ke bare me bataunga ki kaun tha jisne mukhbiri ki thi jis karan ramprasad bismil
ashfaqullah khan aur rajendranath lahiri ko fansi di gyi. Sab documented evidence dunga apko.

Gandhi ke vanshaz ko koi nahi janta, lala lajpat rai lal bahadur shastri ke vanshaj ko koi nahi janta.. lekin
ye Nehru ke vanshaz zyada uchalte hai. Bapauti sampati samajh rakha tha desh ko.

Koi congressi batayega ki kisi congressi ko fansi nahi hui, na zyada lamba umra kaid jail mila, cellular jail
me kala pani saja kisi congressi ko nahi mili.

You might also like