Noha - Safar e Imam Hussain

You might also like

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 2

Jab karbala ki simt barha haq ka rehnuma

Kuch agaya khayal jo maan kay mazar ka


Aya sue baqeeh woh Zahra Ka laadla
Rukhsaar rakh kay sadr-e-lahad par yeh di sada
Chutta hai ab madina meray dil ko thaam lo
Ammaa ghareeb betay ka aakhir salam lo

Ammmaa tumharay laal say chut ta hai aaj ghar


Ammmaa tumharay laal say bar gashta har nazar
Ammmaa tumharay laal ka dushman hai har bashar
Ammmaa tumharay laal ka hai aakhri safar
Sehra main dil kay tukro ki basti basay ga
Ammmaa Hussain Ab na madinay main aye ga

Maan say yeh keh raha tha abhi maa'n ka laadla


Awaz ayi qabr say aye meray mahlaqa
Sadqay teray museebat-o-ghurbat kay fatima
Bas aye Hussain Bas kay hila arsh-e-kibriya
Tarpay abul hassan Bhi dil-e-bay qarar say
Beta Rasool-e-haq nikal aye mazar say

Ay meray laal Teray iraadon kay main nisaar


Yeh aakhri safar hai meray dil ka iztarar
Kaisay kahon jo dil pay guzarti hai gul azaar
Hota hai bay cheraagh meray baap Ka mazar
Jo tujh pay zulm hongay yeh dukhya uthay ge
Beta yeh ghum naseeb teray saath jay ge

Aanso bahaongi teray ranj-o-alam kay sath


Aankhain bechaongi teray naqsh-e-qadam kay sath
Zehra Nidhaal hogi har ek taza ghum kay sath
Mera kalaija niklay ga akbar Kay ghum kay sath
Ghabra na meray laal Har ek dukh bataongi
Main teray sath laashay akbar Uthaongi

Jayega tu jo nehar pay bhai Ki laash per


Main teray sath sath chalongi barehna sir
Beta Hussain Kia tujhe is ki nahi khabar
Abbas Tera bhai to mera dil-o-jigar
Tu laash layega to safay ghum bechaongi
Main goud main katay huay haatho ko laongi

Beta hassan Kay laal ki khaatir yeh kya malaal


Meray hassan Nay tujh pay nichaawar kia woh laal
Fidye kay waastay koi karta hai yun malaal
Beta Main us ghari bhi rahungi shareek-e-haal
Ghum hai qadam utha kay dil-e-paash paash kay
Tukray chunungi ran mai main qasim Ki laash kay

Haan meray laadlay meri zainab Say hoshyaar


Bay parda ho na jay kahin meri parda daar
Mehmil kay sath sath hoon abbas Zee wiqaar
Taqeed ho yeh akbar-e-mehro ko bar bar
Aamada har qadam pay rahay peshwai ko
Takleef ho na raah main zehra Ki jay ko

Ja marqad-e-rasool(s.a.w.w) pay aye mere laala faam


Laazim hai nana jaan(s.a.w.w) ko bhi aakhri salaam
Dena meri taraf say yeh hasrat bhara salaam
Mumkin nahi madinay main zehra Karay qayaam
Tum bhi laho main apna chaman dekhnay chalo
Zaineb Kay bazoon main rasan dekhne chalo

You might also like