Naat Phonetic

You might also like

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 20

bestowed wisdom and judgement

PREFACE
on him. Through him, Allah has
Praise be to Allah who is opened eyes that were blind,
unique in possessing his most hearts that were covered and ears
splendid name and he alone that were deaf.
possesses invincible might. He it As for the immense merits of
is who sent Messenger from praising the messenger (Allah
amongst themselves to both Arabs bless him and grant him peace)
and non-Arabs. One who was the We know of nothing in Allah's crea-
most noble of them, the purest of tion in the heavens of the earth
them in nature and upbringing and that is greater than Allah's final
ultimately the most superior of prophet (Allah bless him and
them. May Allah shower his peace grant him peace). It Is therefore
and blessings upon him forever. incumbent upon one to recognise
Allah purified him in both the great and noble status he
spirit and body and kept him free possesses. Having become aware
from all faults and blemishes and of this status, though we may truly
1 2

come to understand it, one can ever manages to do justice to his


only praise him. For he transcends great status. This short Compilation
the other prophets (Peace he upon of na'at will indeed go some way
them all) both physically and in however, towards illuminating the
terms of nobility to such an extent hearts of the believers with love for
that none can equal him in knowledge our master Muhammed (Allah
and noble nature. All inward and
bless him grant him peace).
outward perfection has ended with
him and none is equal to him in May Allah reward all those
magnificence. The depth of our who have made any kind of
knowledge concerning him is that contribution to this book and
he is the best of all creation and shower his blessings upon us all
we are incapable of praising him as well as forgiving us through his
in accordance with his true status. mercy for our shortcomings. -Ameen
His praises are heard in
(Maulana) Mohsin Haweliwala
every corner of the globe. Yes not
(Khatibo Imam Gausia Mosque-Bolton)
a word uttered by human tongues
3 4
 INDEX  S.N. SUBJECT P.N.
S.N. SUBJECT P.N. 18 Noorani darbar madinewaleka 37
19 Ya mujammil noore mujassam 38
1 Chal Qalam... 8
20 Main Nazr karun jano jigar... 40
2 Kya bayan ho hamd teri... 9
21 Main Madine chala... 41
3 Kasida Burda Sharif (Arbi) 10
4 Allaho Rabbo Muhammadin 11 22 Meine rukh kar liya Madineka 43
5 Ujala jiska hai do jahanmein 13 23 Karlo maqbul ya Rasoolallah 45
6 Kaun Shahre Makkamein... 16 24 Kalbhi tha aur aaj bhi hei... 47
7 Nabi nabi nabi nabi... 17 25 Aanevalo ye to batao... 49
8 Mere Soniya.... 20 26 Is karamka karun shukr... 49
9 Jashne Amade... 21 27 Bigdi bhi banaenge.... 50
10 Dilki Duniya ko Sajao Aka 23
28 Madni Madinewale 51
11 Jab Hushna tha Unka Jalwa 25
29 Uthado parda Dikhado chehra 52
12 Sallallah jane aalam 29
30 Aai fir yad madineki rulaneke liye 54
13 Kya mahenkte hai... 31
14 Tu sham-e-rialat hain... 32 31 Do jahanmein koi tumsa... 54
15 Nibhalo tum nibhalo tum... 34 32 Mera dil tadap raha hai... 55
16 Mujhko Taybah bulahi lete hain 35 33 Sarkar apna roze-e-anwar... 57
17 Arshe haq he masnade rif'at... 36 34 Jab bhi koi puchhta hai... 58
5 6

S.N. SUBJECT P.N.  CHAL QALAM 


35 Sabse A'ala wa Aula... 59 Chal Qalam ab hamde Rab maqsud hai
36 Farshwale Teri shaukat... 61 Tera mera sab ka jo ma'bud hai
37 Unki mahenkne dilke... 62 Yun to Quraan hei hidayat ki Kitab
38 Chamak Tujhse pate hein... 63 Par kisi ka tazkera maqsud hai
49 Hajio aao shahenshahka... 64 Waddoha washshamsa jees ki shan hai
40 Habibe Khudaka nazara karun... 65 Han vahi Ahmed vahi Mahmud hai
41 Muraden Mil rahi hai.... 66 Unka charcha har zaban par hei rawan
42 Ka'beke darke samne... 67 Unki khushboo har jagah moujud hai
43 Lamakanse bhi aage... 69 Azamate Ahmed mein jisko he shubah
44 Khushravi Achchhi lagi... 70 Han vahi shaitan vahi mardood hai
45 Alfaz nahin milte sarkarko... 72 Aur jo karta hai un per jaan fida
46 Pulse utaro rah gujar ko... 73 Wo Mubarak hai vahi Masaud hai
47 Haq lailaha illallah... 74 Noor ki barsat hoti hai vahan
48 Jhule Jhule pyare Muhammed 76 Jis jagah per mehfile maulud hai
49 Dilko unse Khuda juda... 77 Parhate rahiye 'Nazmi' naate Mustafa
50 Duae 'Raza' 78 Han isi mein roohki behbud hai
51 Mustafajane rahmatpe Lakhon 79 Chal Qalam ab hamde rab maqsud hai
Salam... Tera mera sabka jo ma'bud hai
7 8
 KYA BAYAN HO  KASIDA BURDA SHARIF 
HAMD TERI  Moula ya salle wasallim daiman abadan
Kya Bayan Ho Hamd Teri Ala Habibeka Khayril Khalqe Kullehimi
malike Arshe Azim Alhamdolillhe Munshil Khalqe min adani
Had nahin lutfo karam ki Teri Sumassalato Alal mukhtare fil qadami
a Rabbe Karim Amin tazak kore jiranim bejis-lami
Mazaj Tadamana jaramim muklatim bedami
Hai kalame pak shahid
Astagferullah min kawlim bila amalin
fesla yeh hei atal
Lakad nasabto behi naslal lezi okomi
Hei fana har ek shay ko
Mohmedun sayyadul koneny wassa-k-len
Zat hai teri Qadim Wal farikene min urbiv vamin ajamee
Jisse hum pahchane tujh ko Nabiyyunal amirunnahi ful abadun
aur tere mehbub ko Barrafi kavle laminho wala na ami
Tune bakhshi hai Elahi humko Huval habibullazi turza shafa atohu
wah aqle saleem le kylle havlim minal ahvale mukthemi
Dekhkar aasare jalva Ya akramul khalke maliman aluzo behi
kha gaye gash ekdam Siva-k-Endhululil hadesil amami
Kya tere didar ko asan Ya Rabbe bil Mustafa ballig makasedana
Samjhe the Kaleem Fagfir lana ma madaya waseal karami
9 10

 ALLAHU RABBU Fir wo tujhi ko bhool jae


Dil ye tera guman hai
MUHAMMADIN 
Rokiye sarko rokiye
Allahu rabbu muhammadin
Haan yahi Imtihan hai
Salla Alayhe Wasallama
Nahnu Ibadu Muhammadin Wo jo na thei to kuch na tha
Salla Alayhe Wasallama Wo jo na ho to kuchh na ho

Arsh ki aqla dang hei Jan hai wo jahan ki


Charkhme aasman hei Jan hai to Jahan hai
Jane Murad ab kidhar Khauf na rakh Raza Zara
Hai tera makam hai Tu to hai abde Mustafa
Arsh pe taza cher-char
Tere liye aman hai
Farsh pe turfa dhum dham
Tere liye aman hai
Kan jidhar lagaiye
Teri hi dastan hai   
Tujhsa siyahkar kaun  
Unsa Shafi hai kahan 
11 12
 SALLALLAHO Koi saliqa hai Arzuka na
Bandagi meri bandagi hai
ALA MOHAMMED 
Darood parhana salam parhana
Ujala jiska hai do jahan mein Har aek pal unka nam parhana
Wo mere Aqa ki roshni hai
Jo arz karna unhi se karna
Unhi ke kadmon ki barkaton se Sikhaya rab ne hamen yahi hai
ye zindagi aaj zindagi hai
Bashir kahiye nazir kahiye
Wo khushbue zulfe Mustafa hei
Unhen seeraze munir kahiye
Ke mushk bhi heich jiske aage
Mahekti galiyan ye kah rahi hai Jo sar basar hei kalame rabbi
Sawari Unki Abhi Gai hai Wo mere aaqaki zindagi hai

Hisab ka din Kathin toHoga Kisika Ehsan kyun uthayen


Magar hamen unka aasra hai Kissiko Halat kyun batain
Wo aa hi jaenge bakhshwane Tum hi se mangenge tumhi doge
Shafaat unko ata hui hai Tumhare Darse hi lav lagi hai

Ye sab tumhara karam hei aqa Jamane bhar mein ye qaeda hai
Ke bat ab tak bani hui hai Jiska khana usika gana
13 14

Jo neamaten jinki kha rahe hain  KON SHAHRE


MAKKAMEIN 
Unhi ke ham git ga rahe hain

Bane ga jane ka fir bahana Kon Shahre Makkamein subha subha aya hai
Kahega aakar koi diwana Jiske noorse aalam sara jagmagaya hai
Gaibse needa aai Aamina Mubarak ho
Chalo diwano tumhen madina Tune rahmate haqse noore Haq ka paya hai
Madinewale bula rahe hain
Aql sabki hairan hai dekhkar shahe din ko
Ye bashar to hei lekin kyun na Enka saya hai
Wohi hain Ahmed Wohi Mohammed
Wohi hei Mahmood wohi hei Hamid Innama an basharum mislukum ke parde mein
Haqne apne jalwon ka aina sajaya hai
Hamid wo hai Saeed wo hai Thi needa Shabe asra udnu minni ay Mehbub
Unhinse 'Nazami' ki loa lagi hai Be dharak chale aao hamne hi bulaya hai
Ya nabi me tumper kyun na jano dil fida kardun
   Hamne apko pakar to Khudako paya hai

  Damane nabi ashique ab na hum se chhutega


Hamne unse jo manga woh khudase paya hai

Unka zikr karnese zindagi sawarti hai
Unki yadon me marna mominoka jina hai
15 16
Rahmatonki barishmein gar wo bhig jayega Zamin bane Zaman bane makin bane makan bane
Jashne mustafa dilse Jisne gar manaya hai Chuni bane chuna bane wo vajhe kunfakan bane
Kaha ye maine ay Khuda ye kiske sadke mein bana
Ay Raza mein tum per kyun na jano dil fida kardun
Hamne apko pakar sunnatonko paya hei To Rabne bhi kaha yahi nabi nabi nabi nabi

Ya nabi ata kar do sadaqa un navason ka Wo husne intekhab hei wo ishque lajawab hei
Jeesne dinki khatir apna sar kataya hai Wo rahmatonke bab hei wo noorke shabab hei
Wo jis taraf nikal gaye Fizamein fool khil gaye
Ya nabi chale aao intezar karte hain Kali Kali pukar uthi nabi nabi nabi nabi
Apke diwanone bazmko sajaya hai
Jamaliyat apse tajalliyat apse
   Takhayyulat apse tasarrufat apse
Bas ek nigahe Mustafa ke qibla bhi badal gaya
 NABI NABI NABI NABI  Khamida sar hai khusravi nabi nabi nabi nabi

Chaman chamanki dilkashi gulonki hei wo tazgi Chale jo qatal ko Umar kaha kisine rok kar
Hei chand jinse shabnami wo kahkashanki roshni Kahan chale ho aur kidhar mizaj kyun he arsh par
Fizaon ki wo ragni hawaonki wo nagmagi Zara bahanki lo khabar Fida hei wo rasool par
Hei Kitna pyara naam bhi nabi nabi nabi nabi Woh keh rahi hei har gari nabi nabi nabi nabi

Wo amade bahar hei wo noorki katar hai Umar chale bahanke ghar gazabmen soch soch kar
Fiza bhi Khushgawar hei hawa bhi mushkbar hai Udaenge ham unka sar jo hei nabi ke din par
Hawase maine jab kaha ye kon aa gaya bata Suna hei jab Quraan ko Khudake us bayan ko
Hawa pukarti chali nabi nabi nabi nabi Umarne bhi kaha yahi nabi nabi nabi nabi
17 18

Wo husne intekhab hei wo ishqe bemisal hai  MERE SONIYA MADINE


Jo charkhaka hilal hei nabika wo bilal hai
WICH REN WALEA 
badan sulagti ret par ke thar thara uthe Hajar
Zaban per thi sada yahi nabi nabi nabi nabi
Kadi menu vi bulale us dar pe
Kadi meribhi tamanna puri kar de
Wo Ishque ka usul tha wo Sunniat ka phool tha
Madine wichh ren walea...
Wo aisa ba usul tha ke aashique Rasool tha
Raza se maine jab kaha ye shan kisne ki ata Dam dam yaad teri dil wich rehandiye
Razane bhi kaha yahi nabi nabi nabi nabi Rundiyane akhiyante nindar na pehandiye
Sanu sabja gunmbad dikhlade
Raza ka ye payam he wazifae tamam hai Kadi meribhi tamanna puri kar de...
Wahi to nek naam hai nabi ka jo gulam hai
Sadka shahida da dur howan duriya
Jo Aashique Nabi hua Khudaka wo wali hua
Sadloji Koal mukh jawan majburiya
Wahi huva he jannati nabi nabi nabi nabi Sane sutte naseeb jaga de
Kadi meri bhi tamanna puri kar de...
  
Kali Kali julfe te ankh mastaniye
  Soniya he sab teri dunya deewaniye
 Ek noori Zalak dikhlade
Kadi meri bhi tamanna puri kar de...
19 20
Aamena bibi sabse ye kahne lagin
Heejra dee raat lambi kede pass jawan mein Dua ho gai qabool Allah hi Allah...
Dil deeya geella kenu adib sunawa mein
Tudee sun le koal bula le... Arsh se farsh tak noor ka hei saman
Kadi meri bhi tamanna puri kar de... lae tashrif duniamein kheirul wara
Aasi ummatki qismat sawarne lagi
 JASHNE AMADE RASOOL  Barishen rahmatonki baras ne lagi

Jashne amade rasool Allah hi Allah Ay halima teri loriyon ke liye


Bibi ameena ke phool Allah hi Allah Rabke aa gaye rasool Allah hi Allah...
Noor ki tan gai chadren char soo But gire tut kar khakme mil gaye
Hooro gilman ki poori hui aarzoo Kufrake fayle badal sabhi chhat gaye
Mustafa mujtaba shahe konon makan Jab rookhe mustafa ki padi roshani
Rab ke sarkar jab ho gae roobroo Ye zameeno zaman khuldmein bat gaye
Fir khudane kaha mere maheboob tum Huro gilman malaike sabhi aaj he
Ho rasoolon ke rasool Allah hi Allah Zikre Ahmed mein mashgool Allah hi Allah
Chehra-e-Mustafa jab dikhaya gaya Shameeyane khushi ke sajae gaye
Jhuk gaye taare aur chand sharma gaya Shad ke nagme sabko sunae gaye
Aamena dekh kar muskurane lagi Har taraf shor salle ala ho gaya
Hawwa maryam bhi khushiyan manane lagin Aaj payda habibe Khuda ho gaya
21 22

Fir to jeebrilne bhi ye elan kiya Fikre duniya mein na aasu nikle
Ye Khuda ke hei rasool Allah hi Allah
Apni ulfatmein rulao aaqa
Chehra Quraan ki dekho tafsir hai
Noor hi noor hai haq ki taswir hai Jitne moamin hein pareshan shaha
Mustafa mustafa ke ujalon ke rang Sabki bigriko banao aaqa
Rahmatonse saji ek taswir hai
Jaane konen jo hei shafi ulwara
Akhari waqt ada ho sunnat
Ayse pyare hei rasool Allah hi Allah Peerke din jo qaza ho aaqa

 DILKI DUNIYAKO Hubbe duniyase bachao muzhko

SAJAO AAQA  Muzhko apna hi banao aaka

Apne rauze pe bulakar muzhko


Dilki duniyako sajao aaqa
Apni ulfatmein jilao aaqa Soi taqdir jagao aaqa

Shoqe didar mein sou jis shab "Shakir-e-Razvi" hei aasi shaha
Apna didar karao aaqa Muzda bakhshishka Sunao aaqa
Mere dil ki hei tamanna har dam
Apna ghar isko banao aaqa    
23 24
 JAB HUSN THA UNKA Jab Shamae risalat raushan ho
JALWANUMA... 
Kyun kar na jale parwanae dil
Jab rashke masiha aa jaye
Bimar ka aalam kya hoga
Jab husna tha unka jalwanuma
Moula Ya Salli...........
Anwarka aalam kya hoga
Har koi fida hei bin dekhe Chahe to isharonse apne
Kaya hi palat den duniyaki
Didarka aalam kya hoga
Ye shan he unke Gulamonki
Moula Ya Salli...........
Sardarka aalam kya Hoga
Jis waqt the khidmatmein unki Allah Allahu Allah......
Siddeeqo Umar Usmano Ali Allaho gani subhanallah
Us waqt rasoole akramke Kya khoob he rozeka naqsha
Darbarka aalam kya hoga Mehrabe haramka Jalika
Allah Allahu Allah...... Meenarka aalam kya Hoga
Moula Ya Salli...........
Sun sunke sahabaki batein
Kahte hein arabke zarron par
Jab log musalman hote the
Anwarki barish hoti hei
Fir sarware aalamki yaro Ay 'Najm' na jane taybah ke
Guftarka aalam kya hoga Gulzarka aalam kya hoga
Moula Ya Salli........... Allah Allahu Allah......
25 26

Sarkare do aalamke rookh par Jab unke gulamon ke dar par


Anwarka aalam kya hoga Jhukte hein salatine aalam
Jab zulfaka zikra hei Quran mein Fir koi bataye aaqake
Rookhsar ka aalam kya hoga Darbarka aalam kya hoga
Moula Ya Salli........... Moula Ya Salli...........

Jis waqt halimaki godi Dushmanke bhi haqmein aaqa to


Anware Khudase roshan thi Rahmatki Duaen Karte the
Us waqt Halima daike Fir koi batae aaqa ke
Gharbarka aalam kya hoga Jan nisar ka aalam kya hoga
Allah Allahu Allah...... Allah Allahu Allah......

Jab unke gada bhar dete hein Hai nam men unke itna asar
Shahane zamana ki jholi Jee uthte hein murde bhi sunkar
Mohtaj ka jab ye aalam hei Wah hal agar khud hi puchhe
Mukhtarka aalam kya hoga Bimar ka aalam kya hoga
Moula Ya Salli........... Moula Ya Salli...........

Mahboobe Khuda ke jalwonse Ek simt Ali Ek simt Umar


Imanki aakhen roshan hain Siddeeque idhar Usman udhar
Bin dekhe hi jab ye haalat hai In jagmag jagmag taron mein
Didarka aalam kya hoga Sarkarka aalam kya hoga
Allah Allahu Allah...... Allah Allahu Allah......
27 28
Sagarko ishare se apne Imanki Tabani ke liye
kuz mein bhara tha Khwajane Kya khub nagine humko diye
Ye shan hei hindke Raja ki Khwaja ajmeri gause jali
Jagrajka aalam kya hoga Aur Raza banaye Allahne
Allah Allahu Allah......
Allah ko ye manzur na tha
Lailaha Illallahu Mohammedurrasoolullah. Koi misl bane aaqa-ka-mere
 SALLALLAH JANE Is waste rahmate aalamka
AALAM...  Koi saya na banaya Allah ne
Adam ko safi Ibrahim ko Khalil
Sallallah jane aalam Moosa ko Kalim Isa ko Masih
Tere naz uthae allah ne Aur Sarware aalam ko apna
Tere hi liye a pyare Nabi
Mahboob banaya Allah ne
Kounen banae Allah ne
Moulude Nabiki mahefilko Banneke liye ummati jinka
Jo log sajaya karte hain Moosa bhi duaen karte the
Firdose barinmein unke liye Ye karam hei hamko aaqa ka
Hei mahal banaye Allah ne Ummati hay banaya Allah ne
Ma ahsanaka teri sirat hai Gar puchhe koyi azmate mustafa
Ma ajmalaka teri surat hai "Naaz" fauran hi ye keh dega
"Warafa-ana laka Zikrak" kehkar Ek mere hi aaqa ko apna
Tere rutbe barhae Allahne Didar Karaya Allah ne...
29 30

 KYA MAHAKTE HEIN Jab gire muhn sooe maykhana tha


MAHAKNEWALE  Hoash mein hain ye baheknewale
Shama yaade rookhe jaana na bujhe
Kya mahakte hein mahakne wale Khak ho jaye bharaknewale
Boo pe chalte hein bhatakne wale
Kafe dariya-e-karam he 'Raza'
Jagmaga uthi meri gorki khak Panch Fuwware chhalaknewale
Tere Qurban chamaknewale
Kyun 'Raza' aaj gali sooni hai
Mahe be daag ke sadke jaun Uth mere dhum machane wale
Yun damakte hein damaknewale
Gule Taibah ki sana gate hain  TU SHAMAE
Nakhle tooba pe Chahakne wale RISALAT HAI... 
Aaseeyo tham lo daman unka
Woh nahin hath jhataknewala Tu shamae Risalat hai aalam tera parwana
Tu mahe nabuwwat hai ay jalwae janana
Sunniyo unse madad mange jao
Jo sakie kausar ke chehre se naqab uthe
Pare bakte rahen baknewale
Har dil bane maikhana har aankh ho paymana
Maut kaheti hei ke jalwa he qareeb
Dil apna chamak uthe imanki tal-at se
Ek zara sole bilakne wale Kar aankhen bhi noorani a jalwa-e-Janana
31 32
Is darki huzoorihi isyanki dawa thaheri Jee karta hai tohfemein mein bhejun unhe aankhen
Hay zahre ma-asika taybah hi shifa khana Darshanka to darshan ho nazraneka nazrana

Her phool mein boo teri her shama mein zau teri Aabad ise farman viran hai dile Noori
Bulbul hai tera bulbul parwana hay parwana Jalwe tere bas jayen aabad ho virana

Pite hain tere darka khate hain tere darka Sarkarke jalvonse roshan he dile Noori
Pani hai tera pani dana hai tera dana Ta hashr rahe roshan Noorika ye Kashana
Sange dare jana par karta hun jabin sai
Sajda na samajh najdi sar deta hun nazrana  NIBHALO TUM
Gir par ke yahan pahoncha mar mar ke ise paya NIBHALO.... 
Chhute na iIlahi ab sange dare jaanana
Nibhalo tum nibhalo tum nibhalo ya rasoolallah
Sarkar ke jalwon se roshan hai dile Noori Boolalo ab madine mein boolalo ya rasoolallah
Ta hashr rahe roshan Noori ka ye kashana Nibhalo tum nibhalo tum nibhalo....
Sarshar hamein karde ek jame labalabse Satate hain jo duniyawale iska kuchh nahin hai gam
Ta hashr rahe saqi aabad ye maykhana Mujhe bas apna kahekar tum bulalo ya Rasoolullah
Dunyan mein hamein tumne jab apna banaya hai Nibhalo tum neebhalo tum nibhalo...
Mahesharmein bhi kah dena ye hei mera diwana Sunehri jaliyonke samne pahuncha hun mein aaqa
Pineko to pi lunga par shart zara see hai Mujhe apni ziyarat tum kardo ya rasoolallah
Ajmer ka saqi ho Bagdad ko maykhana Nibhalo tum nibhalo tum nibhalo...
Tasadduk gause azamka tawassul aala hazrat ka
Wah kahte na kahte kuchh wah karte na karte kuchh Baquie pak ke Qabil bana do ya Rasoolullah
Ay kash wah sunlete muzhse mera afsana Nibhalo tum nibhalo tum nibhalo...
33 34

Ata ho ilmki daulat ata ho deenki daulat Mere haalat unpe hain roshan
Dame aakhir madeena bhi ata ho ya Rasoolallah
Jab to bigri bana hi dete hain
Nibhalo tum nibhalo tum nibhalo....
Nigahe Mufti-e-Aazam ne zinda kar diya dil ko Inke halat sabke halat unpe hain roshan
Unhika sath mahesharmein ata ho ya Rasoolullah
Nibhalo tum nibhalo tum nibhalo....
Jab to bigri bana hi dete hain
Tamanna ye lia jatue he aaka 'Shakire Razvi' "Shakire" be nawanka rakh ne bharam
Use ijne madeena fir ata ho ya Rasoolallah
Nibhalo tum nibhalo tum neebhalo.... Apna maheman bana hi lete hain

 ARSHE HAQ HE
 MUJHKO TAYBAH
MASNADE.... 
BULA HI LETE HAIN... 
Arshe haq hay masnade rif-at Rasoolullahki
Mujhko taybah bula hi lete hain Dekhni hay hashr mein izzat Rasoolullahki
Apna mangta bana hi lete hain Qabra mein laherayenge ta hashra chashme noor ke
Jalwa farman hogi jab tal'at Rasoolullahki
Koi husne amal naheen phir bhi
Mere aaqa nibha hi lete hain La va rabbil arsh jisko jo mila unse mila
But-ti hai koanenmein ne'amat rasoolullahki
Jab tarapta hai did ko koi
Wo jahannamein gaya jo unse mustagni huwa
Apna jalwa dikha hi dete hain Hei Khalilullahko hajat Rasoolullahki
35 36
Suraj ulte panw palte chand isharese ho chak Apna thikana dozakhmain wo dekhega
Andhe najdi dekhle qudrat Rasoolullahki Kon, Jisne kiya inkar madinewale ka
Tujhse aur jannatse kya matlab wahabi dur ho Jannati hai wo jannati hai wo jannati hai
Hum rasoolullahke jannat Rasoolullahki Kon, jiske dilmein hai pyar madinewaleka
Ham bhikari wo karim unka Khuda unse Foozun Apne to apne hain dushman bhi bole
Aur na kahena nahin aadat Rasoolullahki Kya, ke aala hai kirdar madinewaleka
Ahle sunnat ka he bera par as-habe huzur Mere dilki bas ek tamanna hai
Najm hai our naw hai itrat Rasoolullahki Har sunnike dilki ek tamanna hai
Tut jayenge gunahgaronke fauran aido band Unke aashique ki bas ek tamanna hai
Hashrko khul jayengi taqat Rasoolullahki Kya, ke ho jaye didar madinewaleka
Ay "Raza" khud sahibe Quraan hain maddahe hujoor 'Mohsin' ek din ham bhi taybah jaaenge
Tujse kab mumkin hai fir midhat Rasoolullahki Aur dekhenge darbar madinewaleka
Noorani darbar madinewaleka
 NOORANI DARBAR Harsu hai Izhar madinewaleka
MADINEWALEKA... 
 YA MUZAMMIL NOORE
Noorani darbar madinewaleka MUJASSAM 
Harsu hai izhar madinewaleka
Ya Muzammil noore mujassam Ya habibi ya maulai
Leke chalo ab mujhko madine le ke chalo Taswire kamale mohabbat tanvire jamale khudai
Kyun ke main to hun beemar madinewaleka Ya Muzammil noore mujassam...
37 38

Teri ek nazar ke talib tere ek sukhan per qurban Tu raese roze shafa'at tu amire lutfo inayat
Sallallah tere ek sukhan per qurban Sallallah tu ameere lutfo inayat
Ho aaka tere ek sukhan per qurban Ho aaka tu ameere lutfo inayat
Ye sab tere deewane ye sab tere shaydai... Tu raese roze shafa'at tu amire lutfo inayat
Hai Adeeb ko tujse nisbat mein gulam hun tu aaqai
Tera wasf bayan ho kisse teri kaun karega barai
Sallah teri kaun karega
Ho aaqa teri kaun karega barai
barai
 MAIN NAZAR KAROON
Madani teri kaun karega barai JANO JIGAR.... 
Tera Wasf Bayan ho kisse teri kaun karega barai
Us garde safarmein gum hai Jibrile aminki rasai Main nazar karoon jano jigar kaisa lagega
Rakhdun dare sarkar pe sar kaisa lagega
Sarkar tere aanese gulshanmein baharen aai
Sallallah gulshanmein baharen aai Aa jaen muqaddarse shahe din jo mere ghar
Mustafa gulshanmein baharen aai Main kaisa lagunga mera ghar kaisa lagega
Sarkar tere aanese gulshanmein baharen aai... Jab durse hai itna hasin gumbade khazra
Ab chha gai harsu khushiyan masrur hai sari khudai Iss paar hai aisa to udhar kaisa lagega
Jab jalwa fagan hue aqa sajde mein jhuka tha Kaba
Gausul warase puchh len ek roz ye chalkar
Ho kaba sajdemein jhuka tha Kaba
Jab jalwa figan huve aaka sajdemein zuka tha kaba
Bagdadse taybahka safar kaisa lagega
Ay Aamina kaisi teri qismat hai khudane banai Khwaja piyase puchh le ek roz ye chalkar
Ay majhare shane jamali ay khwajae bandae aali Ajmer se Taybah ka safar kaisa lagega
Nabiji ay Khwajae bandae aali Mahsarki tamazat main wo qudratke farishte
Mujhe hashrmein kaam aajae mera zauque sukhan aarai
Torenge jo najdi ki kamar kaysa lagega
39 40
 MAIN MADINE CHALA...  Kaise dube bhala ye safina mera
Jab ho tum nakhuda main Madine chala
Main madine chala main madine chala
Dage dil door ho dil mera noor ho
Hai karam apka main Madine chala
Aysi de do zeeya main Madine chala
Jaame rahmat sada mujhko bhar bhar pila Rakh liya hai bharam hai karam hi karam
Ay mere sakia main Madine chala Hai aata hi aata main Madine chala
Aaj tak na mili isse badhkar khushi Wo madina kahan ye kamina kahan
Jab ye maine suna main Madine chala Hay karam apka main Madine chala

Kya khushi aaj hai apni me'araj hai Unke minar par jab ke aaye nazar
Muzdae jafizan main madine chala Kya qarar aayega main Madine chala
Roza-e-mustafa dekhker ya Khuda
Paunga shab kadar unke darbar per
Kya sukun paunga main Madine chala
Kya muqaddar mera main Madine chala
Unke darbar mein unki sarkar mein
Ya Nabi ya Nabi ya Nabi ya Nabi
Bakhshwane khata main Madine chala
Gun gunata huva main Madine chala
Ye naseeba mera yun jaga de khuda
Hogi ab haazari unke darbar ki
Jab kahe dil mera main Madine chala
Chahie aur kya main Madine chala
Ya khuda kar ata ishqe Ahmed Raza
Main Gunahgar hun Sakht badkar hun
Mangta ye dua main Madine chala
Bakhshwane khata main Madine chala
41 42

Lab pe hai dam-b-dam nikle taybah mein dam Kaise kah dun ke be sahara hun
Hai yahi ilteja mein Madine chala Mujhko aaqa mila Madineka
Mere Khwaja piya faiz hai apka Abre rahmat ko ab barasne do
Apki hai aata main Madine chala Dhul hi jaega daag sineka
Main Madine mein aata jata rahun
Bakht chamka tera "Sayyade" be nava
Bakht chamkaiye kamine ka
Ho gai hai ata main Madine chala
Jo tarapta hai hazriko huzur
zina de do unhe Madineka
 MAINE RUKH KAR LIYA Mujhko taybahmein dafn honeko
MADINE KA...  Kar do tukra ata Madineka
Khwajae Khwajganke sadke mein
Kya bigare koi safine ka Main musafir bana Madineka
Maine rukh kar liya Madineka Gauso, Khwaja, Razao ibne Raza
Jaanibe naar main na jaunga Naam khulde barinke zineka
Maine rukh kar liya Madineka Kashti tehrik ki ye chalti rahe
Rakhlo aaqua bharam safineka
Apni ulfatka jaam do mujhko 'Shakire' khasta hal per ho karam
Mast kar do mujhe Madineka Fir se sahil bana Madineka
Chashme rahmat pare muj per bhi Hai yahi wirde 'Shakire Razvi'
lutf aa-aige aur jineka Maine rukh kar liya Madineka
43 44
 KARLO MAQBUL YA Khuld mein apne saath le lena
Apne bandonko ya Rasoolallah
RASOOLALLAH...
Tere bande lagae baithe hain
Karlo maqbul ya Rasoolallah Tera hi aasra Rasoolallah
Ye meri iltija Rasoolallah
Piro murshid mere janabe Raza
Baanie majlise mubarak ko
Unpe saya tera Rasoolallah
Dijiye bahetar sila Rasoolallah
Unki aulad sab fale foole
Jitne sunni shariqe majlis hain
Hashra tak daima Rasoolallah
Sab pe kar do karam Rasoolallah
Hamido mustafa Raza ke phool
Aapke aastanke bande hain
Mahke ta hashra Rasoolallah
Bakhsh do har khata Rasoolallah
Sada aabad unke dost rahe
Har musibatmein kijiye imdad
Phale Phoole sada Rasoolallah
Jab pukare koi ya Rasoolallah
Sab marizane ahle sunnatko
Unki fauran murad bar aai
De do kamil shifa Rasoolallah
Jisne dilse kaha Rasoolallah
Nechari kandhwi wahabise
Qabramein hasro nashro meezan mein
Sunniyonko bacha Rasoolallah
Har amal bacha Rasoolallah
45 46

Ahle Sunnatke natawanonko Past Wo kaise ho sakta hai


Kardo taqat ata Rasoolallah jisko haqne buland kiya
Donon jahan mein unka charcha
'Shakire Razvi' pe bhi fazla rahe kal bhi tha aur aaj bhi hai
Har ghari aapka Rasoolallah
Yun to jahan mein peer bahot hai
Apne bande Jamile Razvi ko ai barkati diwano
Khas banda bana Rasoolallah Mere Razaka murshid hona
sab ke baski bat nahin hai

 KAL BHI THA AUR Batlado gustakhe nabiko


gairate sunni zinda hai
AAJ BHI HAI...  Dinpe kat marneka jazba
kal bhi tha aur aaj bhi hai
Lab per naate pak ka nagma
kal bhi tha aur aaj bhi hai Charo taraf hai deenke dushman
beech mein tanha mera Raza
Mere nabise mera rishta
Aisemen islam bachana
Kal bhi tha aur aaj bhi hai
sabke baski bat nahin
Aur kisi janib kyun dekhen Hafizo quari aalimo mufti
aur kisise kyun mangen ban sakta hai har koi
Apna sab kuch gumbade khazra Muftie Aazam banke dikhana
kal bhi tha aur aaj bhi hai sabke baski bat nahin
47 48
 AANEWALO YE TO Lamha lamha hai mujh per nabi ki ata
Dosto aur mangun main maulase kya
BATAO... 
Kya ye kam hai ke mere Khudane muze
Aanewalo ye to batao shahere Maina Kaisa hai Apne mahbub ka ummati kar diya
Sar unke kadmome rakh kar thuk kar jina kaisa hai
Jo dare mustafake gada ho gaye
Gumbade Khazra ke saye mein baithke tum to aae ho Dekhte dekhte kya se kya ho gaye
Us sayemein Rab ke aage sajda karna kaisa hai
Aisi chashme karamki hai sarkarne
Dil aankhen aur rooh tumhari lagti hai sayrab muje Donon aalam mein mujhko gani kar diya
Darpe unke bethke aabe zamzam pina kaisa hei
Koi mayus louta na darbar se
Diwano aankhonse tumhari itna puchh to lene do
Waqte dua roze pe unke aansu bahana kaisa hai
Jo bhi manga mila mere sarkar se

Waqte rukshat dil ko apne chhor vahan tum aaye ho Sadke jaun 'Niyazi' main lajpal ke
Ye batlavo 'Israt' unke darse bichhana kaisa hei Har gada ko sakhine sakhi kar diya

 IS KARAM KA KAROON   BIGRI BHI BANAENGE 


Is karamka karoon shukra kaise ada Bigri bhi banaenge jalwe bhi deekhaenge
Jo karm mujhpe mere nabine kiya Ghabrao na deewano sarkar bulaenge
Main sajata thaa sarkarki mahefilen Mil jaengi taabiren ek roz to khwabon ki
Mujhko har gamse rabne bari kar diya Gir jaengi diwaren sab dekhna rahon ki
49 50

Ham roza-e-aqdas per jab aasun bahaenge Shaha aisa jazba paun ke khub sikh jaun
Ham masjide nabvee ke dekhenge meenaron ko Teri sunnaten sikhana madni madinewale

Aur gumbade khazra ke pur noor nazaron ko Meri aadaten ho behtar banu sunnaton ka paiker
Mujhe muttqui banana madni madinewale
Ham jake madina fir wapas nahin aaenge
Meri aanewali naslen tere ishq hi mein machlen
Dil ishqe nabi mein to kuchh aur tadapne do Unhen nek tum banana madni madinewale
Is did ki aatishko kuchh our bharakne do
Tere gam mein kash "Attaar" rahe har ghari giraftar
Ham tishna dili chalkar zamzamse bujhaenge Game mal se bachana madni madinewale
Lillah tum aaquase rudad meri kehna
Ye puchhkar aaquase Ai Hajiyo tum aana  UTHADO PARDA
Israt ko dare aqdas kab aap bulaenge
DIKHADO CHEHRA... 
 MADNI MADINEWALE...  Uthado parda dikhado chehra
Ke noore baari hijab mein hai
Mujhe darpe fir bulana madni madinewale
Maye ishqu bhi pilana madni madinewale
Zamana tareek ho raha hai
Ke maharo kabse naquab mein hai
Teri jabke did hogi wahin meri eid hogi
Hai wo mithi nigahwala
Mere khwab mein tum aana madni madinewale
Khudaki rahmat hai jalwa farma
Ye karam bara karam hai tere hathmein bharam hai Ghazabse unke Khuda bachae
Sare hashra bakhshwana madni madinewale Jalale baari itaab mein hai
51 52
Khare hain munkar nakeer sar per  AAI FIR YAAD MADINEKI
Na koi haami na koi yaavar
RULANEKE LIYE 
Batado aakar mere payambar
Ke Sakhta mushkil jawab mein hai Aai fir yaad Madineki rulaneke liye
Unhiki bu mayae saman hai Dil tarap utha hai sarkar mein janeke liye
Unhika jalwa chaman chaman hai
Kash main urta firoon khake madina bankar
Unhise gulshan mahak rahe hai Aur machalta rahun sarkar ko paneke liye
unhiki rangat gulab mein hai
Khudae qahhar hai ghazab per Bakhshdi naatki daulat mere aaquane mujhe
Kitna pyara hai wasila unhen paneke liye
Khule hain badkariyon ke daftar
Bachalo aakar shafi-e-mahsar Gam nahin chhor de ye sara zamana mujhko
Tumhara banda azab mein hai Mere aaqua to hai sinese lagane ke liye
Karim aisa mila ke jiske Aai fir yaad Madineki.......
Khule hain hath Aur bhare khazanen
Batao ay mufliso ke fir kyun
  
Tumhara dil ijtirab mein hai  DO JAHAN MAIN KOI TUMSA
Karim apne karam ka sadqa DUSRA MILTA NAHIN... 
Laime be qadrako na sharma
Tu Aur 'Raza'se hisab laina Do jahan main koi tumsa dusra milta nahin
Raza bhi koi hisab mein hai Dhundhate firte hain mehro maah pata milta nahin

53 54

Jo Khuda deta hai milta hai isi sarkar se Ke dawa wahin milegi
Kuchh kisiko haqse is darke siva milta nahin
Mujhe le chalo Madina Madina
Kya ilaqa dushmane mahebubko Allahse Taswire mustafa jo
Be razae mustafa hargiz Khuda milta nahin
Nazar aa rahi hai dilmein
Koi mange ya na mange milneka dar hai yahi Main souchtahun dil mein
Be atae mustafai mudda-aa milta nahin Mera dil hai ya Madina Madina
Door sahil moaj hail paar bera kijiye Deedare mustafako
Naw hai majdhar mein aur nakhuda milta nahin
Aakhen taras rahi hain
Vasle maula chahte ho to vasila dhoondh lo Dushwar ho gaya hai
Be vasila najdiyo hargiz Khuda milta nahin Unke bagair jina Madina
Kis tarah ho hazeere dar nooria be par shaha Nahin malo zar to kya hai
Nake roke dushamanone rasta milta nahin
Main garib hun yahina
Hein safae Zaheerike saza suman khum khub Mere ishque mujhko le chal
Jiska batin saf go ba safa milta nahin Tuhi janibe Madina
Mujhe gardeesho na chhero
 MERA DIL Mera hai koi jahan mein
TARAP RAHA HAI....  Main abhi pukar lunga
Nahin door hai Madina Madina
Mera dil tarap raha hai Shabo roz barh raha hai
Mera jal raha hai sina Meri tishnagika aalam
55 56
Ye pyas kab bujhegi Beegre huve ban jaenge sab kam dosto
Mere saqiye Madina Madina Mushkil mein aaquako zara dilse pukariye
"Iqbal"e na tawan ki Aaqa yahan maujud hain iman hai mera
Bas ek ilteja hai Sab ya Rasulallahka vird lagaiye
Rahe zindagi salamat
Jis waqt tazkera ho shahe zee Vaqarka
Main bhi dekh loon Madina Madina Apne dilo neegah adabse jhukaiye
Ban jaiye khuluso aqidatki ek misal
 SARKAR APNA ROZA-E- Sabko daroode pak ka nagma sunaiye
ANWAR DIKHAIYE...  Ushshaque kar rahe hain taqaza ye barbar
khaki huzoore pak ki naaten sunaiye
Sarkar apna roza-e-anwar dikhaiye
Hum dard ke maron ko bhi taybah bulaiye
 JAB BHI KOI PUCHHATA HAI
Guzre hamari zindagi gumbadke saye mein
Bas aisi zindagi hamein sarkar chahiye AHLE SUNNAT KI SANAD 
Jaun kahan dar chhorkar ham aapka shaha Jab bhi koi puchhata hai ahle sunnatki sanad
Ham aasiyon ko apne daman mein chhupaiye Pesh kar dete hain ham to A'ala Hazratki sanad

Sare gunah ham aasiyonke dhul hi jaenge Nafsi nafsi hashra mein hoga Rasulonka jawab
Yade Rasoole pak mein aansun bahaiye Mustafake hath mein hogi shafa-at ki sanad

57 58

Naksh karlo naame Ahmed apne dil par sunniyo Apne maulaka pyara hamara nabi
Han yahi hai naare dozakhse hifazat ki sanad Donon aalam ka dulha hamara nabi
Khandane mustafaka martaba kya puchhana Bujh gai jis ke aage sabhi mashalen
Hai Quraane pak mein unki taharat ki sanad
Shamaa vo lekar aya hamara nabi
Is liye parhate hain hum sunni khare hokar Salam
Hai yahi sarkare taybahse mohabbatki sanad Jin ke talwon ka dhuvan hai aabe hayat
Hai wo jaane masiha hamara nabi
Hai alif misle Kayam ha hai ruku sajdah hai mim
Dale Ahmed hai musalman ki ibadatki sanad Khalque se aulia auliya se rosul
Aur rasoolonse a'ala hamara nabi
Hind mein hai sunniyon ke jitne bhi darul uloom
Sab ke sab hai sayyadul ulmaki mahenat ki sanad Jis ki do bund hai kausaro sal-sabeel
Shekh najdi tumko ham kis toarse apna kahen Hai vo rahmatka darya hamara nabi
Jao pahele lao tum sunni jama'at ki sanad Kaun deta hai deneko munh chahiye
Is liye 'Nazmi' parha karta hai na'ate mustafa Denewala hai sachcha hamara nabi
Misle hassan usko bhi mil jae qurbat ki sanad Kya khabar kitne tare khile chhup gaye
Our na dube na duba hamara nabi
 SABSE AULA WA A'ALA Jaise sabka Khuda ek hai vaise hi
HAMARA NABI...  In ka unka tumhara hamara nabi

Sabse oula wa a'ala hamara nabi Gamzadon ko Raza muzda dijiye ke hai
Sabse bala wa wala hamara nabi Be kason ka sahara hamara nabi
59 60
 FARSHWALE TERI SHAUKAT  UNKI MAHEKNE DIL KE 
KA ULOO KYA JANEN  Unki mahekne dil ke gunche khila diye hain
Jis rah chal gae hain kooche basa diye hain
Farshwale teri shaukat ka Uloo kya janen
Jab aa gai hain joshe rahemat pe unki aankhen
Khusrawan arsh pe urta hai farera tera
Jalte bujha diye hain rote hansa diye hain
Dhare chlte hai aata ke wo hai qatra tera
Allah kya jahannam ab bhi na sard hoga
Tare khilte hain sakhake woh hai talwa tera
Ro roke mustafane darya baha diye hain
Ek main kya mere isyanki haqiqat kitni
Aane do ya dubodo ab to tumhari janib
Mujhse sao lakhko kafi hai ishara tera
Kashti tumhipe chhori langar utha diye hain
Tere tukron se palen gairrki thokarpe na dal
Mere karim se gar qatra kisine manga
Jhirkiyan khaen Kahan chhor ke sadqa tera
Darya baha diye hain dur be baha diye hain
Tere kadmon mein jo hain gair ka munh kya dekhen
Unke nisar koi kaise hi ranj mein ho
Kaon nazron mein charhe dekhke talwa tera
Jab yad aa gaye hain sab gam bhula diye hain
Mein to malik hi kahunga ke ho malik ke habeeb
Ek dil hamara kya hai aazar uska kitna
Ya-ni mahboobo muhib mein nahi mera tera
Tumne to chalte firte murde jila diye hain
Tere sadke mujhe ek bund bahut hai teri
Hamse faqeer bhi ab feri ko uthte honge
Jis din achchhon ko mile jam chhalakta tera
Ab to gani ke dar per bistar jama diye hain
Teri sarkarmein lata hai Raza usko shafi
Mulke sukhan ki shahi tumko Raza musallam
Jo mera gaus hai aur ladla beta tera
Jis simt aa gae ho sikke bitha diye hain
61 62

 CHAMAK TUJHSE PATE  HAJIYO AAO


HEIN SAB PANEWALE  SHAHENSHAHKA RAUZA
Chamak tujhse pate hain sab panewale
DEKHO 
Mera dilbhi chamka de chamkanewale
Hajiyo aao shahenshahka rauza dekho
Barasta nahin dekhkar abre rahmat Qaba to dekh chuke qabe ka qaba dekho
Badon per bhi barsade barsanewale
Aabe zamzam to piya khub bujhain pyasen
Madineke Khitte Khuda tujhko rakhe Aao jude shahe kausar ka bhi darya dekho
Garibon faqiron ke thehranewale
Khub aankhonse lagaya hai gilafe qaba
Tu zinda hai vallah tu zinda hai vallah kasre mehboob ke pardeka bhi jalwa dekho
Mere chashme aalam se chhup janewale
Dhum dekhi hai dare qabape betabon ki
Main mujrim hun aaqa mujhe sath lelo
Unke mushtakon mein hasratka tarapna dekho
Ke rastemein hai jabaja thanewale
Rukne shami se miti wah shate shame ghurbat
Tera khaen tere gulamon se uljhe
Ab madineko chalo subhe dil aara dekho
Hai munkir ajab khane gurranewale
Gaur se sun to Raza qabese aati hai sada
Rahega yunhi unka charcha rahega
Meri aankhon se mere pyare ka roza dekho
Pare khak ho jayen jal janewale
Raza nafsa dushman hai damme na aana Hajiyo aao shahenshahka rauza dekho
Kahan tumne dekhe hain chandranewale Qaba to dekh chuke qabe ka qaba dekho
63 64
 HABIBE KHUDAKA Mera dino iman farishte jo puchhen
Tumhari hi janib ishara karun main
NAZARA KAROON MAIN 
Khuda aisi quwwat de mere qalam main
Habibe Khudaka nazara karun main Ke bad mazhabonko sudhara karun main
Deelo jan un per nisara karun main
Khuda khairse lae wo din bhi 'Noori'
Mujhe apni rahmatse tu apna kar le Madineki galian boohara karun main
Siwa tere sabse kinara karun main
Main kyun gairki thokaren khane jaun  MURADEN MIL RAHI HAIN
Tere darse apna guzara karun main SHAD SHAD UNKA... 
Ye ek jaan kya hai agar ho karoron Muraden mil rahin hain shad shad unka sawali hai
Tere naam per sabko wara karun main
Labon per ilteja hei hath mein rozaki jali hai
Tera zikr lab per Khuda dik ke under Teri surat teri sirat zamanese nirali hai
Yunhi zindagani guzara karun main Teri har har ada pyare dalile bemisali hai
Dame vapasi tak tere geet gaun Wo hai allahwale jo tuze wali rahe apna
Mohammed mumajjad pukara karun main Ke too allah wala hai tera allah wali hai
Tere darke hote kahan jaun pyare Faqiro be nawao apni apni joleeyan bharlo
Kahan apna daman pasara karun main Ke bara bat raha hai faez per sarkare aali hai
65 66

Nikala kab kisiko bazme faize aam se tumne Apne Karam se ay Khuda
Nikala hai to aanewalon ki hasrat nikali hai Ishqe Rasul kar aata
Khuda shahid ke roze hashrka khataka nahin rahta Akhari dam labon per ho
Mujhe jab yaad aata hai ke mera kaon wali hai
Salle ala sada faqat
Tumhare dar tumhare aastan se main kahan jaun
Na mujhsa koi bekas hai na tumsa koi wali hai Duniya ki sari ne'amaten
Hasan ka dard dukh maoroof farma kar bahali ho Meri nazar mein hech ho
Tumhare hath mein dunya ki ma'aruf bahali hai Rakhneko sar pe gar mile
 QABE KE DAR KE SAMNE Na'laine mustafa faqat
MANGI HAI YE DUA FAQAT 
Munkar nakeer qabramein
Qa'abe ke dar ke samane Hamse sawal jab karen
Mangi hai ye dua faqat Aise mein vird ham rakhen
Hathon mein hashra tak rahe Aapke naam ka faqat
Damane mustafa faqat
Taybah ki sair ko chalen Naza'ake waqt jab meri
Kadmon mein unke jaan den Sanson mein inteshar ho
Dafna ho unke shaher main Meri nazarke samne
Hai yahi ilteja faqat Gumbad ho wo hara faqat
67 68
Din rat mere samne Jisne deene ahmedko khoon deke sincha hai
Tazkerae habib ho Wo Husaine A'azam hai sayyede shahadat hai
Mujhse marize ishqki Hamko makre shaitanki fikr kya ho gam kyun ho
Hai yahi ek dava faqat Ham pe Gause A'azam ki jab nigahe rahmat hai
Hamne kaske pakra hai apne khwaja ka daman
Naate Rasule pak hai Sare hind per jinki batini hukoomat hai
'Nazmi' ka maqsade hayat
Fakhra hai hamein ham hain aale mustafa wale
Qabramein bhi labon per ho Mustafa ke kumbe ka hum pe daste shafqat hai
Sarkarki sana faqat
Ham gunahgaron per ek nigahe rahmat ho
Yun nabi hamein pal pal aapki zaroorat hai
 LA MAKANSE BHI AAGE Tum ko 'Nazmi' nisbat hai aale pake at-har se
JISKI SHANE RIF'AT HAI  Jinki shan ki mazhar aaya-e-taharat hai
La makanse bhi aage jiski shane rif'at hai
Wo nabie barhaq hai razdare wahdat hai  KHUSRAVI ACHCHHI
Zikre mustafa mein hai zikr kibriya pinhan LAGI NA SARVARI
Ahmado ahad mein bas mimki masafat hai ACHCHHI LAGI 
Munkaro nakeer hamse jab sawal puchhenge Khushravi achchhi lagi na sarvari achchhi lagi
Ham durood parh denge jo hamari aadat hai Ham faqironko Madineki gali achchhi lagi
69 70

Door the to zindagi be rang thi be qaif thi  ALFAZ NAHIN MILTE
Unke kuchemein gaye to zindagi achchhi lagi
SARKAR KO KYA KAHIYE 
Mein na jaunga kahin bhi dar Nabika chhorkar
Mujhko koo-e-mustafaki chakri achchhi lagi Alfaz nahin milte sarkar ko kya kahiye
Maut jab mangi dayare mustafake samne Jibril salami den darbar ko kya kahiye
Mautko bhi aarzoo meri bari achchhi lagi
Akhlaqe Mohammedki kya shan nirali hai
Jinko karna ho shahanshahonki ta'arifen karen Dushman bhi parhe kalma kirdar ko kya kahiye
Mujhko aaqua bas tumhari na'at hi achchhi lagi
Misaqe azal mein jo iqrare bala thehra
Kahke diwana mujhe thukra diya sabne magar
Jari hai wo mehshar taq iqrar ko kya kahiye
Mere aaqa ko meri diwangi achchhi lagi
Naz kar tu ay halima sarware kaonen per Bas ek palak jhapki Me'araj hui puri
Gar lagi achchhi to teri jhonpadi achchi lagi Un sahibe rif'at ki raftar ko kya kahiye
Walehana ho gae jo tere kadmon per nisar Ek Ek sahabi per firdous bhi nazan hai
Haq ta'ala ko ada unki bari achchhi lagi Siddeeqo Umar Usman qarrar ko kya kahiye
Aaj mehfil mein 'Niyazi' na'at jo maine parhi Wo gaar ke jisne ek tareekh banai hai
Aashiqane mustafako wo bari achchhi lagi Us gaar ko kya kahiye Us yaar ko kya kahiye

 'Nazmi' teri naaton ka andaz nirala hai


Mazmoon anokhe hain ash-aar ko kya kahiye
71 72
 PULSE UTARO RAH  HAQ LAILAHA ILLALLAH
GUZARKO KHABAR NA HO  AAMANNA BE RASULILLAH 

Pulse utaro rah guzar ko khabar na ho Lailaha illallah illallah illallah


Jibril par bichhaen to par ko khaber na ho Haq lailaha illallah amanna be rasilallah

Kanta mere jigarse game rozgar ka Khalqke rahbar aa pahunche


Yun khinch lijiye ke jigar ko khabar na ho Haqke payamber aa pahunche
Shafa-e-Mehshar aa pahunche,
Faryad ummati jo karen hale zaar main
Saqiye kausar aa pahunche
Mumkin nahin ke khaire bashar ko khaber na ho
Jism se jab ho jaan juda
Aisa guman de unki vilamein khuda hamein Ham ko mile firdaus mein ja
Dhundha karen per apni Khabar ko khaber na ho Loote hum qurb ka maza
Aap ki ay mehbube khuda
Ay shoak dil ye sajdah gar unko rawan nahin
Jab hangame raboodan ho
Achchha wo sajdah kijiye ke sar ko khaber na ho
Hath mein apka daman ho
Unke siwa Raza koi hamin nahin jahan Wadie aiman madfan ho
Guzra kare pisarpe pidarko khaber nahin Gulshane jannat maskan ho
73 74

Jannat ki jab sair karen  JHULE JHULE PYARE


Ham bhi sab hamrah chalen MUHAMMED... 
Haoze kausar per pahunchen
Hath se aap ke jam piun Jhule Jhule pyare Muhammed
Bakhsha mere maan baapko bhi Noor ke zulemein zule
Ahle wafa arbab ko bhi Dai Halima zula zulaen
Ahle sunan as-habko bhi Rahmate aalam zulen
Ahle wafa ahbab bhi Unka Jhula rahmatwala
Daaware kul ay rabbe ula Arsh se aala farshse bala
Sadqa zate mohammed ka Kahte hain jhulanewale
Jaari rahe taroze jaza Noorke paiker jhulen
Maslak ahle sunnat ka Aaqa ka sab naaz uthaen
Daaware kul Ai rabbeula
Sadqe jaen wari jaen
Saqka gause aazamka
Jaari rahe ta roze jaza
Hooro malaik jhumke gaen
Maslak a'ala hazrat ka Khizr ke rehbar jhule
Maula dil ka zang chhura Arshe ula per janewale
Qalbe 'Noori' paye jeela Raaz Khudaka panewale
Dilko kar de aaina Rabka jalwa dekhnewale
Jismein chamke ye kalma Saqiye kausar jhule
75 76
Dai Halima ke ghar aaya Sab tabibon ne de diya hai jawab
Aamenabibi ka hai jaya Aah ! Isa agar dawa na karn
Qudsiyon ne milkar gaya Jab teri khoo hai sabka ji rakhna
Shafae meshar jhule Vahi achchha jo dil bura na kare
Bekason bebas ke wo mohsin
Donon jahanke hai wo mohsin Le 'Raza' sab chale Madine ko
Gaibse aai sadaye mohsin Main na jaun are Khuda na kare
Shafae mahshar jhule
 DUA Raza
 DEELKO UNSE KHUDA
Ya Elahi har jagah teri ataka saath ho
JUDA NA KARE.... 
Jab pare mushkil shahe mushkil kusha ka sath ho
Dilko unse Khuda juda na kare Ya Elahi bhul jaen naza ki takleef ko
Be kasi lutle Khuda na kare Shadia didare husne mustafa ka sath ho

Ye wahi hain ke bakhsh dete hain Ya Elahi garmi-e-Mehsarse jab bharken badan
Kaun in jurmon per saza na kare Damane mahboob ki thandi hawaka sath ho

Dil kahan le chala haramse mujhe Ya Elahi jab zabanen bahar ayen pyas se
Are tera bura Khuda na kare Sahibe kausar shahe judo ata ka sath ho
77 78

Ya Elahi jo duaen nek hum tujhse karen Dooro nazdeeq ke sunnewale vo kaan
Qudsiyon ke lab se aamin rabbana ka sath ho Kane la'le Karamat pe lakhon salam

Ya Elahi jab Raza khwabe giranse sar uthaen Patli patli gule qudsaki pattiyan
Daulate bedar ishqe mustafa ka sath ho Un labonki nazakat pe lakhon salam

Wo zaban jisko sab kunki kunjee kahen


 MUSTAFA JANE RAHEMAT Uski nafiz hukumat pe lakhon salam
PE LAKHON SALAM... 
Wo dason jinko jannat ka muzda mila
Mustafa jane rahmat pe lakhon salam Us mubarak jama'at pe lakhon salam
shame bazme hidayat pe lakhon salam
Mujhse khidmat ke qudsi kahen han 'Raza'
Shahre yare iram tajdare haram Mustafa jane rahemat pe lakhon salam
Naubahare shafa'at pe lakhon salam

Shabe asrake dulha pe daim dorood 


Nqushae bazme jannat pe lakhon salam

Ham garibon ke aaqua pe behad dorood 


Ham faqiron ke sarwat pe lakhon salam

Jiske aage sare survaran kham rahen
Us sare taaj rif'at pe lakhon salam
79 80

You might also like