Isale Sawab Ki Sharayi Haisiyat

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 4

ISALE SAWAB KI SHARAYI HAISIYAT

PAANI SE ISAAL E SAWAB

HADEES 06:

Umme Saad k Liye KUN’WA (WELL)

“Hazrat Saad Bin Ubada ُ‫ض َی هللاُ َع ْنه‬


ِ ‫ َر‬arz karte hai YA RASOOL ALLAH ‫ صلى هللا عليه و آله وسلم‬meri
Maa Wisal Kar gayi, Mai unki taraf se sadka karna chahta hu konsa sadka Afzal rahega, Sarkar ‫صلى هللا‬
‫ عليه و آله وسلم‬ne farmaya PAANI, Chunance unhone ek KUN’WA (Wall) khudwaya aur kaha ‘ ‫َه ِذ ِه ُأل ِّم‬
‫س ْع ٍد‬
َ ’ yaani Ye Umme Saad K liye”

References :
(Sunan Abu Dawood Vol : 02, Kitab 09 : Al Zakat, Baab 561 : Paani Pahuchane K Fazail, Pg : 180,
Hadees : 1681)
(Mishkat Al Masabih Vol : 01, Pg : 362, Hadees : 1912)
(Imam Munzir ne At Targhib Wa Tarhib Vol : 02, Pg : 41, Hadees : 1424)

yehi rivayat Imam Nasai ne kuch yu likhi hai

HADEES 06 (A):

“Hazrat Sa’d Bin Ubaada ُ‫ض َی هللاُ َع ْنه‬


ِ ‫ َر‬Riwayat Karte Hain Ki Un Kee Waalida Fawt Ho Gayi.
Unhone Arz Kiya : Ya Rasool Allah ‫! صلى هللا عليه و آله وسلم‬
Meri Waalida Fawt Ho Gayi Hain, Kya Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Kar Sakta Hoo’n ? Aap ‫صلى هللا‬
‫ عليه و آله وسلم‬Ne Farmaya : Ha’n Unhone Arz Kiya : To Koun Sa Sadqa Behtar Rahega? Aap ‫صلى هللا‬
‫ عليه و آله وسلم‬Ne Farmaya : Paani Pilaana. (To Unhone Aik Kuwa’n Kharid Kar Musalmanon Ke Liye
Waqf Kar Diya) Phir Yah Kuwa’n Madinah Munawwarah Me Sa’d Ya Aale Sa’d Ke Paani Kee
Sabeel (Ke Naam Se Mash’hoor Tha).”

References :
(Imam Nasai , Sunan Nasai Vol : 06, Pg : 255, Kitab No 30 - Kitab Al Wasaya, Baab No 9 :Zikreel
Ektelafi Ala Sufyan, Hadees : 2666)
(Imam Nasai, Sunan Al Kubra Vol : 04, pg : 112, Hadees : 6491)
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol : 05, Pg : 284, Hadees : 22512)
(Imam Tabrani Majmaul Kabir Vol : 06, Pg : 20, 5379)

Pata chala k Sirf wo amal jaise Haj roza sadkat se hi nahi balki dusre amal jaise paani k jariye bhi
Isaal kiya jaa sakta hai aur aakhir us wakt Paani ka intekhab kyu dusre Sahaba e Kiram Radi Allaho
Anho ko alag alag amal bataya Hazrat Saad bin Ubada Radiallahu anho ko ye kyu ? Unhe bhi koi
amal Haj roza sadkaat bataya jaa sakta tha na ?

Maazra ye tha us wakt Madina e Munawarra me Paani ki killat thi lihaja hukm huwa Paani ka kuwa
khudwao aur phir logo ko paani mila ab jab jab log us paani k kuwe se sairaab hote hai sabka Sawab
Hazrat Saad ibn Ubada Radi Allaho anho ki walida mazida ko pahuchta hai.

Is hadees e paak se bahot se masle hal huwe jinme chand hum yaha bhi likh rhe hai jaise Jarurat k ain
ki cheez Isaal kare chunki us wakt paani ki killat thi to paani ka hukm huwa aur hum aaj dekhe to aaj
bhi bahot si jagah paani ki killat hai aaj Ummat e Muslima ko acche Hospitals, education, Deeni
Madaris ki jarurat hai to in sabko banake apne buzurgo k naam se mansoob karna phir jab tak usse
Musalmaan fayda uthayga un marhoomeen aur buzurgo ko bhi iska nafa hoga.

Dusri ek baat pata chali baaj jahil khawarij wahabi ye bhi kahte hai k kisi khane peene ki cheez ko
kisi k naam se mansoob kar dena ye shirk hai.
Is hadees e paak se ye bhi subaha khatm huwa k kisi k naam se mansoob kardena katayi nazaiz o shirk
biddat nahi balki KHUD NABI E KARIM ‫ صلى هللا عليه و آله وسلم‬ne KUWE ko Hazrat Saad Ibn Ubada
radi allaho ki walida k naam se mansoob kiya hai agar ye nazaiz o shirk biddat hota to hargiz ye amal
sabit na hota. Aur Is Hadees ki shara me Imam Aini Likhte hai Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho anho
farmate hai Hum Sahaba e Kiram ki aadat thi k hum jaate aur ussi kuwe ka paani pite taaki saad ibn
Ubada ki walida mazida ko iska mazeed nafa pahuche”

Isi trah Musalmaan jaha jagah hoti hai permanent Sabil e Imam Hussain Radi Allaho Anho k naam se
banayi jaati jis se log paani pite hai aur wahi jaha jagah ki killat hoti hai log Muharram k mahine me
Sabil E Hussain Radi Allahu Anho kayam karte hai lihaja ye amal kahi se nazaiz nhi lkin bugz e ahle
bait ne kya se kya bana diya in khabiso ko.

KHANA SAAMNE RAKH K KALAM E ILAHI PADHNE KA SABOOT

HADEES 07 :

Hazrat Anas ُ‫ض َی هللاُ َع ْنه‬


ِ ‫ َر‬farmate hai jab Nabi e Paak ‫ صلى هللا عليه و آله وسلم‬ne Hazrat Zainab Radi
Allaho Anha Se Nikah Kiya To Meri Walda Hazrat Umme Sulaim Radi Allaho Anha Ne Hais
(Sattu,Ghee, Or Khazoor Se Bana Huwa Khana) Bana Kar Ek Tabaq me Rakha Or Mujhe Kaha Ise
Nabi e Karim ‫ صلى هللا عليه و آله وسلم‬Ki Khidmat e Aqdas Me Le Jao Main Khidmat e Aqdas ‫صلى هللا‬
‫ عليه و آله وسلم‬Me Hazir Huwa To Nabi E Karim ‫ صلى هللا عليه و آله وسلم‬Ne Farmaya Jao Or Musalmano
Me Se Tumhe Jo Mile Usse Bula Lao Mujhe Jo Mila Bula Laaya or Nabi e Akram ‫صلى هللا عليه و آله‬
‫ وسلم‬Ne Dua Padha or Jo Kuch Rab Ko Manzoor Tha wo Aap ne Dua Me Padha Phir Log Ghar Me
Dakhil Hote Khana Khate Aur Nikal Jaate Sab Ne Sair Hokar Khaya Or Chale Gaye Kuch Log Baithe
Rahe Unho Ne Lambi Baatein Shuru Kardi Nabi E Karim‫ صلى هللا عليه و آله وسلم‬Unhe Kuch Kehne Se
Haya Karte The Nabi E Paak ‫ صلى هللا عليه و آله وسلم‬Ghar Se Bahar Tashrif Le Gaye Magar Woh Log
Wahin Bethe Rahe.

Us Wakt Allah Ta’ala Ne ye Aayat Nazil Farmayi,


Aye Imaan Waalo Nabi e Pak ‫ صلى هللا عليه و آله وسلم‬K Ghar Me Begair Izazat Dakhil Na Huwa Karo,
Na Khane K Wakt Taktey Raha Karo Haa Agar Tumhe Khane Pe Bulaya Jao To Jarur Aao Lekin
Khana Khane K Baad Chale Jaya Karo Baatein Karne Me Na Lage Raho Tumhari Ye Harkatein Nabi
e Karim ‫ صلى هللا عليه و آله وسلم‬Ko Taklif Deti Hai Magar wo Sharm Ki Wajah Se Tumhe Kuch Nahi
Kehte Or Allah Taala Haq Baat Kehne Me Sharm Nahi Karta

Reference :
(Surah Ahzaab Ayat 53)

Reference :
(Sahi Muslim Vol : 02 , Kitab No 16 Kitabun Nikah, Baab : Ummul Momineen Zainab Bint Jahsh k
Nikah Ka Bayan aur Hizab k Mutaalik Nuzool e Wahi Ka Bayan, Hadees : 1428)
(Jamai Tirmizi Kitab No 47 Kitabut Tafseer, Hadees : 3524)

Is Hadees e paak se wajeh huwa k Nabi e Karim ‫صلى هللا عليه و آله وسلم‬
Khane pe Dua padhte the aur Khane pe Quran padhna ye hargiz haraam nahi hai agr wo mukhalif
maante hai to unko yakini taur pe apna saboot pesh karna chahye ALLAH Taala Quran e Karim me
farmata hai

‫ش َهدُونَ َأنَّ هَّللا َ َح َّر َم ٰ َه َذ‬ ُ ‫قُ ْل َهلُ َّم‬


ْ َ‫ش َهدَا َء ُك ُم الَّ ِذينَ ي‬

“Tum Farmaao Laao Apne Wo Gawaah Jo Gawahi De Ki ALLAH ne Usse Haraam Kiya”
Reference :
(Surah Anam, Ayat 150)
Is aayat e Mubaraki se wajeh huwa k dalail mukhalifeen ko dena hai k Khane ki Cheez pe Quran e
Karim padhna haraam hai to uski daleel kaha hai aisa nahi hai k jo dil chahe jis cheez ko chahe aap
haraam shirk bolde.

Aur Ahem baat Khane Se Pehle Shuru me hi Musalmaan BISMILLAH padte hai wo kya hai dar asal
Quran ki hi aayat to hai ab Musalmaan padte hai jo kehte hai Khane Pe Quran naa padho wo kon hai
ab hum nahi kahte aap samajh gaye honge.

To pata chala Khane pe QURAN padhna bhi jaiz hai aur Saad ibn Ubada Radi Allahu Anho ki hadees
e paak se wajeh huwa k kisi Peene ki cheez ko Kisi k naam se mansoob karna bhi jaiz to ab yehi sunni
karte hai to ye amal kaise nazaiz huwa ?

MITHA HALWA PAKANA KYU ? HALWA BANANA KAISA

HADEES 08 :

“Umool Momineen Hazrat Ayesha Siddiqua Tahira Radi Allaho Anha se rivayat hai k Nabi E Karim ‫ه‬
‫ و آله وسلم صلى هللا علي‬Halwa (Sheerni) Aur Shahed (Honey) Pasand Farmate The”

References :
(Sahi Bukhari, Vol : 02 ,Kitab No 76 Al Tibb,Hadees :5682)
(Sahi Bukhari, Vol : 02 ,Kitab No 74 AL Taam’at (Food),Hadees : 5431/5599)
(Sunan Ibn Majah, Kitab No 29 AL Taam’at (Food),Hadees : 3448)
(Imam Tirmizi ne Shama’il E Muhammadiya Kitab No 26, Hadees : 163)

Pata chala Halwa to Khud Huzoor Nabi E Karim ‫ ه و آله وسلم صلى هللا علي‬ko pasand tha isliye Ahle
Sunnat khoob khate hai ab khud faisla karlo jo cheez Aaka ‫ ه و آله وسلم صلى هللا علي‬ko pasand hai tum
uska mazaak udhao to tum kaun ho ?

QURAN PADHKE ISAAL E SAWAB KARNA KAISA ?

Is unwaan pe bhi kaum e wahabiya bahot shor o gul macha ti hai k Quran padhke Isaal e Sawab nhi
kiya jaa sakta hai halanki ye bas unka apna faisla hai shariat ka hukm nahi hai apni soch se aqaid
nazariat kayam kar bethe hai agar wakayi wo haq pe sacche hai apne kaul me to ek SAHI mustanad
Dalil Hadees e paak se wajeh karde k kaha Quran padhke Isaal e Sawab karna mana hai ? Ye hum
unpe chodte hai.

HADEES 09:

“Jo Kabristan me 11 martaba Surah Ekhlaas padhke tamam Ahle Kaboor ko ISAL E SAWAB karde
to sabke barabar Isal e sawab karne ka azr karne waale ko Milega”

References:
(Jami' Jawami' Al-Suyuti, Vol 08 Pg : 280, Hadees : 23102)

Hazrat Ali Radi Allaho Farmate Hai Ki Huzoor Nabi E Karim ‫ ه و آله وسلم صلى هللا علي‬ne Farmaya Jo
Shaksh Kabristan K Pass Se Guzre Aur Surah Ekhlaas 11 Martaba Padhe Phir Uska Sawab Murdo Ko
Bakhs De To Usko Murdo Ki Tadad K Barabar Azro Sawab Milega”

References:
(Durre Mukhtar)
Imam Ahmad Ibn Hambal Rahimullah Ka Farmaan,
“Jab Tum Kabristan Jaao To Surah Fatiha Aur Muwazatain Aur Surah Ekhlaas Padho Aur Inka
Sawab Ahle Kaboor Aur Pahuchao Bila Subah Wo Unhe Pahuchta hai”

References:
(Imam Suyuti Ash Sharahusudoor Pg : 289)

“Jo shaks Juma k Din Apne Walidain ya inme se kisi ek ki kabr ki ziyarat kare aur uske pass SURAH
YASEEN padhe baksh diya jaaye”

References:
(Imam Abi Adi ne AL Kamil Vol : 06, Pg : 260)

To pata chala Quran padhke bhi Isaal karna ye koi aaj ka amal nhi hai balki jamhoor ulma mashaikh
ka amal raha hai ispe aur Shariat ne bhi isko mana nahi farmaya hai to hum in mashaikh fukaha ko
maane ? yaa aaj k tum angrezi paidawar ko ?

Agr tumhe wakayi takleef hai to option khula hai tum apne murdo k liye isaal naa karo hum
Musalmaan to karnge. Now Choice is Yours

Aur is masle me mazeed detail k liye Imam Suyuti ki Ash Sharausudoor k aakhri hisse ko padhle
kaafi doubts clear hojynge. In Sha Allah Taala.

You might also like