Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 15

Assalam-O-Alaikum

In lessons mai apko forex trading ki basic


batain batai jayen gi taa k ap forex ko
theek tarha samajha sako
Dear friends agar ap forex ko as a
profession karna chahte ho to ap ko forex
ki basic tamam batu ka pata hona zaruri
hai. ak software chalana forex nahi hai
bohat say loog ye kehtay hain k humay
meta trader chalana aa gaya hum ko
trading aa gai agar ap un say forex ki
defination b puchay gay to unko nahi aati
hoge.aisa trader ban'nay say behtar insan
trading he na karay,,,forex k baray main
thora bata du aor logu ki galat fehmi dour
kar du k kuch loog samjhte hain k forex
pesa bananay wali machine hai aor kuch
loog samjhte hain k pesa barbaad karnay
wala field hai,ab agar daikha jaye to donu
ki baat theek hai,to main ap say question
karta hu ap kaya samjhte ho?????
Dear friends ap b yehe sochte hu gay k
hum is field say bohat pesa kama sakte
hain,magar nahi ye ak business hai aor ye
har business main hota ha k jahan nafa hai
wahan nuksan b hai,ye hum pe hai k hum
kam kis tarha kam karty hain.nafa kamate
he hum ko bohat khushi hoti hai aor hum
emotions ko control nai kar paty aor har
kisi ko bataty phirty hai aor nuksan ho jaye
to pura din bhook nahi lagti,iss ka matlub
ye hua hum sara kam pesay k liye kar rahy
hain na k learning aor experience k liye,
humay nafa ho humay khush hona chaye
magar daikhen ye aaya kyun?kaya reason
hai?maine kon c trade lagai aor kis method
say lagai to mujhe nafa aya?agar humay
nuksan ho jata hai to hum ko daikhna
chaheye k ye kyun huaaa?har nuksan k
pechay qismat nahi hoti hum khud aor
hamari lalach hoti hai,hum jan bhuj k high
level pe kam karnay ka Risk laitay hain aor
phir nuksan kar k beth jatay hain hum ye
kyun nahi samjhte k hum abhi us level k
trader nahi hain humay low level pe chal k
field ko samajhna hai aor market main
expert ban'na hai,,so yahan par bat simple
si hai humy is field ko apni aqal aor
sammjh k sath chalana hai aor is mai humy
properly work karna hai.kyun k na to hum
kahi jany waly hai na he ye field kahi jany
wala hai so kyun na hum thora time is ko
sekhny mai dain taa k hum behtar trade
kar saky aor asaani say ak monthly ak achi
income kama saky,,,,koi b business ho wo
sekh kar insan agay barhta hai jub wo sekh
raha hota hai us ko field mai hony wali
complications ka pata chalta hai wo apny
experts say ye complications k bary mai
puchta hai aor isi tarha wo sekh kar agay
barhta hai laikan agar koi b business ho ap
bina sekhy he karna lag jaye to ya to ap ko
us business mai loss hoga aor ya phir apko
wo filed properly chorna pary ga.aor
maine apny 6 sal k experience mai bohat
say aisy log daikhen hain jo field ko
hamesha k liye chor chuky hain jub un say
wajah puchi jati hai to wo kehty hain k
hum busy hoty hain ye hota hai wo hota
hai matlub ye k wo log bahany banate hain
magar asal wajah pechy ye hoti hai k un ko
kuch ata na tha aor sekha nahi tha aor wo
kam karnay beth gaye loss hua aor field
chor diaa kyun k kuch log to is field mai
loan lay kar kam karty hain jub loss ho jata
hai to wo loan wapas karnay k liye physical
kam karty hain to ye sub is dunia mai hota
hai.
Mai,
ap ko aisi he batain bataou ga jo basic hain
jo trading main apko bohat si help karain
gi.
in lessons main say agar koi baat ,koi
defination,koi concept agar apki samjh
main nahi aata ap mujh say kisi b waqat
message ya call pay poch saktain hain taa
k hum ak lesson ko full samajh kar agay
barhain,forex main har pechla lesson
apnay aanay walay aglay lesson say
related hota hai so pehlay apko previous
lesson ko samjhna hoga phir aagay chalna
hoga,is tarha say trading ap k liye bohat
he easy ho jaye gi.
Maine nay bohat koshash ki hai k mai in
lectures ko aasaan say aasan banaou taa k
mery client behtar toor pe samjh
sakain...ab barhte hain lecture ki taraf,
Lesson number 1
Forex kaya hay?

Agar hum kisi country jatay hain to hum


sub say pehly wahan Currency exchanger
booth search karty hain taa k hum apnay
country ki currency us country ki Currency
main convert kara lain taa k hum wahan
money use kar sakain.aor us money ko
apny daily k kamu mai use kar saky.

For Example,

Ap America say Japan aye hain ap


Currency Exchanger booth pe ja k
Exchange rates ko daikh k heran ho jatay
ho k mera one dollar 100 yen (yen japan ki
currency hai) k equal hai aor ap khush ho
jatay ho k mai yahan ameer ho jaou ga
laikan wo khushi jald khatam ho jati hai
jub ap ak juice ka glass petay ho and ap ki
pocket half empty ho jati ho.ap nay ye sub
kia anjany main apni zarurat ki wajah say

Laikan,,,,

Actually ap nay Forex ko Experience kia.ap


nay ak Currency ko dosri Currency main
convert kia.ab ap faraz karo ap ak
American ho and Japan ja rahay ho,Japan
main apko Yen ki zaruart ho ge is liye ap
Dollar sale kar k Yen buy kar lyte ho laikan
jub ap buy karnay jatay ho to currency
exchanger booth pe currency rates change
ho gaye hote hain.ye international rates
hote hain jo har second change hote hai.in
change hote currency rates say hum pesay
b kama saktain hain wo kis tarha ye insha
Allah during course sekhaya jaye ga.

Foreign exchange market ka introduction,,,

aaj kal forex ya phr Fx k name say jani jati


hai.Forex 2 words ka combination hai
1.For
2.Ex
word For indicate karta hai Foreign ko yani
kisi aor country ki currency
word Ex indicate karta hai Exchange ko
yani ak chez day kar koi b or chez lay laina,
so foreign exchange ko short kar k Forex
kaha jata hai aor iss forex ko short kar k Fx
kaha jata hai.
ye world ki sub say bari market hai kisi
country ki currency ko kisi aor country
main changing ko foreign exchange kaha
jata hai.forex market 1971 mai bani ye ak
aisi International market hai jahan hum
world ki different Currencies ki trading kar
saktain hai.ye market 24 hour open rehati
hai.aisa dunia k different areas main
mojood Time zones k faraq ki wajah say
mumkin ho pata hai jub European markets
close hoti hain to Asian markets kam start
kar dyti hain aor jub asian markets band
hoti hain phr ak bar European markets
aglay din k liye open ho jati hain is tarha
ye international market 24 hour open rehti
hai.is market main ap kisi b waqat koi b
currency ki purchasing and selling kar
saktay hain.Market saturday and sunday
close hoti hain.New york stock exchange
ko kon nahi janta ye wo market hai jahan
daily 22.4 billion dollar ki trading hoti hai
laikan foreign exchange market is say
bohat bari hai jis main daily 6 to 7 trillion
dollar ki trading hoti hai.ab main zara
stock exchange ka explain kardu.world ki
sub say bari stock exchange market New
York Stock exchange hai is ko (NYSE) b
kaha jata hai is market main daily 22.4
billion dollar ki trading hoti hai.ap rozana
NYSE k baray main news main sunty hu
gay k NYSE aj up gai aj NYSE down aa gai
wagaira wagaira.karachi stock exchange
be is k same hai jis k baray main daily news
aati hain.laikan agar ap is market ko forex
market k sath compare karain to currency
market yani forex market stock market say
20 times bari hai.G han 20 gunaah bari,,,ye
ak huge market hai jahan 5 trillions dollars
ak din main trade hota hai.laikan hum
retails traders hain jinhu nay currency
trading karni hai so retail traders k liye iska
volume 1.49 trillion dollars hai.is sy ap ko
andaza ho gaya hoga ye market kitni bari
hai.ab ye itni bari market hai jis mai daily
itna huge volume trade hota hai to kaya
hum is field ko bina sekhy samjh sakty hain
ya ye field ko aisi machine hai jis mai pesa
dala jaye to kal double ho kar nikal ata
hai.jub b koi b business start kiaa jata hai
sub say pehly us business k background ko
daikha jata hai k ye hai kayaa aor is mai
hum kis tarha say agay barhy gay to humy
faida hoga.is field mai hum trader log high
finance management logu aor banks say
compete yani fight kar rahay hoty hain to
kaya ye sub bina sekhy hum kar sakty
hain? ye ak international market hai jis
mai har insan kam kar skta hai magar wo
insan agar ye soch ly kar kam kary ga k
bina sekhy mai itni bari market say ameer
ho jaou ga to mai samjhu ga k wo insan
galat fehmi mai hai.
Aab yahan par ak aor point discuss karta
hu k agar koi insan kisi country say
pakistan aata hai and apni currency ko
pakistani rupees main convert karata hai
to pakistani ruppes ki qeemat barhay gi is
ka matlub rupiye ki qadar main azafa hoga
wo azafa kyun hoga kyun k ruppes ki
demand hui is amal ko inflation ya urdu
mai afraaat-e-zar kaha jata hai yani ruppe
ki value mai kami ya azafa.aor wo currency
down hoge jo wo insan apnay sath lay kar
aya tha.up honay wali currency hamesah
trading main buy hoti hai aor low hoany
wali currency sell hoti hai.main ak aor
example dyta hu.hum apnay country say
har saal different cheazen import karty
hain jesa k fruits,gandam,aor kapas
wagaira.hum un countries ko ye cheaze
sale karty hain aor unko humain payment
ruppes main karni parti hai so wo apni
currency ko ruppe main convert karty hain
kisi exchanger k through.iss tarha hamary
rupee ki qeemat international market main
up ho jati hai aor us currency ki qeemat
down ho jati hai.ak aor example hai hum
america say machiens buy karty hain
humay america ko payment dollar main
karni parti hai hum apnay ruppee dollar
main convert kar k unko pay karty hain is
tarha rupee ki qeemat down aa jati hai aor
dollar up ho jata hai.ak aisi cheez jis ki
demand ho aor us ki demand mazeed barh
jaye wo cheez value gain kar jati
hai.import and export forex market par
kafi asar dalty hain aor is import export
mai hony wali currency ki exchanging he
foreign exchange hota hai.ak din main ak
currency ki qeemat kai dafa oper nechay
ati hai humay is change hoti currency ko
buy karna hai jub ye up hoge humay faidah
day gi aor hum earn karain gay iss tarha
hum 24 hour koi b currency buy ya sell kar
sakte hain hum currency buy sell karty hain
humay forex ki zuban main Traders kaha
jata hai..jo humay currency exchange
karnay main help karta hai usay hum
Broker kehtain hain ya phir trader kisi b
currency ko lay k jo order karta hai usay
pura karnay waly ko broker kaha jata
hai.agar trader kahay ga currency sell
kardo wo broker usay usi waqat sell kardy
ga agar trader kahay ga ye currency buy
kardo broker usi waqat wo currency buy
karday ga.brokers ki b kafi types hoti hai
wo sub types aor un ki working apko
professional course mai teach ki jaye gi.ak
achy broker mai kaya kuch hona chahye
aor kaya daikh kar hum nay apna pesa
broker par invest karna hai sub ak video
call k through apko professional course
mai teach kiaa jaye ga.kuch broker aisy
hoty hain jo legal hoty hain magar wo bech
mai fraud kar rahy hoty hain us fraud ka
paata kaisy karna hai aor us fraud say
kaisy bachna hai oor fake broker ko kis
tarha jan na hai ye sub kuch teach kiaa
jaye ga.
mery is likhy huye lesson main say agar koi
baat ap ko samajh nahi aayi to ap mujhsay
msg ya call par poch saktain hain mujhe
khushi hogi agar ap mujhsay kuch puchain.
please call at:03005694552.........
email :abdulshakoor473 @gmail.com

You might also like