Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 16

Assalam-o-Alaikum

lesson number 4

Topic

forex language/types of pair and pair


trading.

Forex mai currencies pair main trade


ki jati hain,forex trading ak he waqat
mai ak currency ka buy karna aor
dosri ka sell karna hai,means agar ap
ak currency buy karty hoto dosri ko
sell kar rahy hoty ho,dear friends
tamam currencies ak broker ya dealer
k through trade ki jati hain aor
currencies hamesha pair main trade
hoti hain
Example

EUR/USD ya phir GBP/JPY (great


british pound / japenies yen )

Dear friends jub ap forex market main


trade karty hoto ap ak ksi b currency
pair mai buy ya sell kar rahy hoty
ho,for example EUR/USD ka jo pair
ha us mai apko lagta hai Euro
valuable ho gaya ha up jaye ga to ap
EUR/USD k pair mai se Euro buy kar
laity ho,aor agar isi EUR/USD k pair
main apko mehsos ho k aj Euro ki
market down jaye gi to ap Euro sell
kar dyte ho,bat karny ka maqsad jub
b hum trade karain gy hum ak pair ko
trade karain gay aor us pair mai se ak
currency ko buy ya sell krain gy,
ab sawal ye hai k exchange rate kis
tarha change hoty hai previous
lesson main hum ye parh chukay
hain k exchange rates hote kaya hain
aor aaj hum study karain gay k
exchange rates change kaisay hote
hain wo kon say factors hain jo rate
ko up aor down aanay pe majboor
karte hain,exchange rate kisi b waqat
kisi b currency k strong ya weak
hony se fluctuate hoty hain aor ye
har pair mai aisa hota hai,for example
EUR/USD k pair mai Euro strong hota
hai aor euro up chala jata hai laikan
U.S dollar Euro k against weak ho
jata hai.Jub Euro weak hota ha wo
down ajata hai aor U.S dollar valuable
ban jata ha aor strong ho jata hai,is
tarha euro ka rate up aor down aye
ga second cheaz jo economy hai agar
economy strong hoge to rates up
hugay,aor agar us country main
war,haadsay,un employment,ya aisa
kuch ho raha ho jo k theek nahi
samjha jata to wo weak hota aye ga
aor currency rates kam ho jaye
gay.....umead hai samjh aa gaya hoga
k exchange rate kis tarha change
hote hain......

Ab main apko btata hu major


currencies pair kon kon sy hain,

Wo currencies pair jin k sath U.S


dollar attach ho market mai sub se
zayada aor taizi sy trade kiye jaty
hain.Tamam major pairs bohat
zayada liquidity rakhty hain yani wo
move zayada hoty hain,kon kon sy
country mai konsa major pair trade
kia jata ha ye ab mai btany wala hu,
Major pair EUR/USD Euro zone /
United States is pair k country hain
aor ye world main as a major zayada
trade hota hai is pair ko "euro
dollar"kaha jata hai
Major pair USD/JPY United States
Japan is pair k countries hain aor
isko forex language main"dollar
yen" b kaha jata hai
Major pair GBP/USD United Kingdom
/ United States countries say related
hai aor ye world main frequently
trade hota hai aor is pair ko forex
language main "pound dollar"kaha
jata ha
Major pair USD/CHF United States/
Switzerland countries say related hai
aor ye pair puri dunia mai as a major
pair frequently trade hota hai aor is
pair ko forex language Main "dollar
swissy"kaha jata hai.
Major pair USD/CAD United States /
Canada is pair k country hain aor is
pair ko forex language main "dollar
loonie"kaha jata hai,
Major pair AUD/USD Australia aor
united states of america is pair k
country hain aor is pair ko forex
language mai "aussie dollar"kaha
jata hai.Ya phr hum is ko asustrialan
dollar/U.S dollar b bol sakte hai
Major pair NZD/USD New Zealand aor
united states is pair k country hai aor
is pair ko forex language main "kiwi
dollar" kaha jata hai hai,
Dear friends yad rahy k in currencies
k name forex ki language mai yehe
use hoty hain,apko pata hona chahye
k kon c currency kis country ki hai
kis session mai zayada trade hoti ha
aor uska orignal name and nick name
kya hai,

Ab main ap ko Minor Currency Pairs


ka batanay ja raha hu.....
Ye wo pair hoty hain jin main U.S
dollar exist na karta ho,means unki
base ya quote currency mai U.S
dollar trade na hota ho,
in ko cross-currency pairs ya simply
"crosses." b kaha jata hai,ab bohat
se crosses aisy hain jo zayada trade
kiye jaty hain,ye wo pair hoty hain jin
main
EUR, JPY, and GBP trade kiye ja rahy
hu laikan yad rahy k in pairs mai U.S
dollar majud nai hoga,
Euro Crosses yani wo pair jin mai
Euro majud hai
Crosses EUR/CHF Euro zone
/Switzerland is ka countries hai aor is
pair ko forex language main "euro
swissy"kaha jata hai
Crosses EUR/GBP Euro zone / United
Kingdom iss ka countries hai aor is
pair ko forex language main "euro
pound"kaha jata ha
Crosses EUR/CAD Euro zone /
Canada countries se related ha aor is
pair ko forex language main "euro
loonie"b kaha jata hai,
Crosses EUR/AUD Euro zone /
Australia countries sey related hai
aor is pair ko forex language main
"euro aussie"kaha jata hai
Crosses EUR/NZD Euro zone / New
Zealand countries se related hai aor
is pair ko forex language main "euro
kiwi" kaha jata hai,
ab Yen Crosses ki details apko dydu,
Crosses EUR/JPY Euro zone / Japan
is pair k countries hain aor is pair
ko forex language main "euro yen"
or "yuppy" kaha jata hai,
Crosses GBP/JPY United Kingdom /
Japan iss pair k countries hain aor is
pair ko forex language main
"pound yen" or "guppy" b kaha jata
hai,
Crosses CHF/JPY Switzerland /
Japan countries say related hai aor is
pair ko forex language main "swissy
yen" kaha jata hai,
Crosses CAD/JPY Canada / Japan
countries se related hai aor is pair ko
forex language main "loonie yen"
kaha jata ha,
Crosses AUD/JPY Australia / Japan
countries sey related pair ha aor is
pair ko forex ki zuban main "aussie
yen" b kaha jata hai
Crosses NZD/JPY New Zealand /
Japan is pair k countries hain aor is
pair ko forex language main "kiwi
yen" kaha jata hai,

Ab main apko Pound Crosses ka


btanay ja raha hu,

Pound crosses GBP/CHF United


Kingdom / Switzerland countries se
related pair hai aor is pair ko hum
forex language main "pound
swissy"kaha jata ha,
Pound crosses GBP/AUD United
Kingdom / Australia countries se
related ha is pair ko forex language
main "pound aussie"kaha jata ha
Crosses GBP/CAD United Kingdom /
Canada countries se related hai aor
is pair ko hum forex ki zubaan main
"pound loonie"kehty hai
Crosses GBP/NZD United Kingdom /
New Zealand countries se related hai
aor is pair ko forex ki language main
"pound kiwi" kaha jata hai,

Ab kuch aor Crosses hain jo ye hain

Crosses AUD/CHF Australia /


Switzerland countries se related hai
aor is pair ko hum "aussie swissy"b
kehty hai
Crosses AUD/CAD Australia / Canada
countries se related ha aor is pair ko
forex language mai "aussie loonie"b
kaha jata hai
Crosses AUD/NZD Australia / New
Zealand countries ka pair ha aor isko
hum"aussie kiwi"b kehty hain,
Crosses CAD/CHF Canada /
Switzerland countries ka pair hai aor
forex language main isko"loonie
swissy"b kaha jata hai,
Crosses NZD/CHF New Zealand /
Switzerland countries ka pair ka aor
is pair ko hum "kiwi swissy"b kehtey
hain
Crosses pair NZD/CAD New Zealand /
Canada countries sey related pair hai
aor hum isko "kiwi loonie"b kehty
hain

Dear friends in ko forex language


main yad karnay ka asaan method ye
hai k ap alag alag currency ka forex
language main name yaad karain.ap
ko pair automatic yad ho jaye ga ap
ko is lecture ko theek say yad karna
hoga q k forex language ka ak bara
portion is lecture main discuss kiaa
gaya hai..

Ab main apko Exotic Pairs ka btanay


ja raha hu ye wo pair hoty hain jin
mai ak currency major pair sy li gai
hoti ha aor dosri currency kisi b
emerging economy ki hoti hai,exotic
pair mai major currency ka to humy
pata chal jaye ga laikan jo emerging
currency hoge us ka name broker ya
exchanger apni marzi sey rakhta
hai,ak important bat yahan pe bta du
k ye pair crosses,majors ki tarha
zayada trade nahe hoty aor in pairs ki
transaction fee b zayada hoti hai,yani
brokers spread say hat kar in par
kam karnay walu say commission
charge kar rhy hoty hai in pairs k
bary mai apko pata hona chahye,
Exotic pair USD/HKD United States /
Hong Kong countries se related hain
Exotic pair USD/SGD United States /
Singapore se related hai
Extotic pair USD/ZAR United States /
South Africa countries se related ha
aor inko "dollar rand"kaha jata ha
Exotic pair USD/THB United States /
Thailand countries se related hain
aor inko "dollar baht" b kaha jata ha,
Exotic pair USD/MXN United States /
Mexico countries se related ha is
pair ko"dollar peso" b kaha jata ha,
Exotic pair USD/DKK United States /
Denmark countries se related ha is
pair ko "dollar krone"b kaha jata ha,
Exotic pair USD/SEK United States /
Sweden countries se related hain,
Exotic pair USD/NOK United States /
Norway sey related pair hai,
Ye thay exotic pair,yahan pe dear
friends main apko btana chahta hu k
exotic pair ka spread Usd/Jpy ya
Eur/Usd k pairs se zayada hota
ha.Main apko bta chuka hu k spread
kaya hota.Bid rate and ask rate mai
difference ko spread kehty hai.Jitna
spread kam hoga otna ap profit
zayada kamaye gy.Matlub low spread
acha hai and high spread thek nai
hai.
3,4,5 ka spread thek hota hai,jub k
7,10,ka ya zayada ka thek nai hota,
for example EUR/USD
ka rate 1.3334/1.3337 hai,
to iska spread 3 ka ha jo best hai,
laikan
exotic pair EUR/HKD ka rate
1.4440/1.4450,ha to iska spread
10,hua jo k thek nahe.
Is liye kam spread waly pairs pe trade
karain aor achi income earn karain.

Agar is lesson main kuch samjh nahi


aya ap again poch sakte hain mujhe
ap kisi b waqat call kar sakte hain
Please call at 03005694552,
email=abdulshakoor473 @gmail.com
Best Regards:
Abdul shakoor.....

You might also like