Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 4

Patta patta buuta buuta haal hamaara jaane hai

Jaane na jaane gul hi na jaane baagh to saara jaane hai

Sarsari tum jahaan se guzre


Varna har jaa jahaan e diigar tha

Baar e duniya mein raho ghamzada ya shaad raho


Aisa kuchh kar ke chalo yaan ki bahut yaad raho

Mir hum mil ke bahot khush hue tumse pyaare


is kharaabe mein meri jaan tum aabaad raho

Saare aalam par hun main chhaya hua


Mustanad hai mera farmaaya hua

Is fan mein koi betah kya ho mera muaariz


Avval to main sanad hun phir ye meri zabaan hai

Hum aap hi ko apna maqsuud jaante hain


Apne sivaae kisko maujuud jaante hain

Naazuki us ke lab ki kya kahiye


Pankhudi ik gulaab ki si hai

Mir amadan bhi koi marta hai


Jaan hai to jahaan hai pyaare

Mizhgaan e tar ko yaar ke chehre pe khol Mir


Is aab-khasta sabze ko tuk aaftaab de

Sirhaane Mir ke koi na bolo


Abhi tuk rote rote so gaya hai

Rekhta rutbe ko pahunchaya hua uska hai


Mo`ataqid kaun nahiin Mir ki ustaadi ki

Guftugu hum se Rekhte mein na kar


Ye hamaari zabaan hai pyaare

Bulbul ghazalsaraai aage hamaare mat kar


Sab humse seekhte hain andaaz guftugu ka
Ye tavahhum ka kaarkhaana hai
Yaan vahi hai jo aitbaar kiya

Dil se mere laga na tera dil hazaar haif


Ye sheesha ek umr se mushtaaq e sang tha

Ashk aankhon mein kab nahiin aata


Lohu aata hai jab nahiin aata

Mir darya hai sune sher zabaani uski


Allah allah re tabiiyat ki rawaani uski

Paida kahaan hain aise paraganda tab`a log


Afsos tumko Mir se sohbat nahiin rahi

Dekh to dil ki jaan se uthta hai


Ye dhuaan sa kahaan se uthta hai

Mir ke deen o mazhab ko tum puuchhte kya ho unne to


Qashqa khincha dair mein baitha kab ka tark-islaam kiya

Yahi jaana ki kuchh na jaana haaye


so bhi ik umr mein hua maaloom

Kahen hain Mir ko maara gaya shab us ke kuuche mein


Kahiin vahshat mein shayad baithe baithe uth gaya hoga

Aawaargaan e ishq ka puuchha jo main nishaan


Musht e ghubaar le ke saba ne uda diya

Mir se puuchha jo main aashiq ho tum


Ho ke kuchh chupke se sharmaaye bahot

Tadpe hai jab ki seene mein uchhle hai do do haath


Gar dil yahi hai Mir to aaraam ho chuka

Mir saahab tum farishta ho to ho


Aadami hona to mushkil hai miyaan

Saraapa aarzu hone ne banda kar diya humko


Vagarna hum Khuda the gar dil-e-be-mudd’a hote
Shart saleeqa hai har ik amr mein
Aib bhi karne ko hunar chahiye

Sab maze darkinaar aalam ke


Yaar jab hamkinaar hota hai

Rone pe hum jo aaven koi kasar rahe hai


Ruumaal do do din tak juun abr tar rahe hai

Hamaare aage tera jab kisuu ne naam liya


Dil e sitamzada ko humne thaam thaam liya

Kin neendon ab tuu soti hai aye chashm e girya-naak


Mizhgaan to khol shahr ko sailaab le gaya

Dil hai meri baghal mein sad-paara


Aur har paara iska aawaara

Hum khaak mein mile to mile lekin aye sipahr


Us shokh ko bhi raah pe laana zaroor tha

Kal paaon ek kaasa-e-sar par jo aa gaya


Yaksar wo ustukhwaan shikaston se chuur tha
Kahne laga ki dekh ke chal raah be-khabar
Main bhi kabhuu kisuu ka sar e pur-ghuruur tha

Chaman mein gul ne jo kal daava-e-jamaal kiya


Jamaal-e-yaar ne munh uska khoob laal kiya

Mere sang e mazaar par Farhad


Rakh ke tesha kahe hai yaa ustaad

Humko deewanagi shahron hi mein raas aati hai


Dasht mein qais raho koh mein Farhad raho

Phool gul shams-o-qamar saare hi the


Par humein unmein tumhin bhaaye bahot

khilna kam kam kali ne seekha hai


Uski aankhon ki neem-khwaabi se

Yaad uski itni khoob nahiin Mir baaz aa


Naadaan phir wo jee se bhulaaya na jaaega
Ab dekh le ki seena bhi taaza hua hai chaak
Phir hum se apna haal dikhaaya na jaaega

Jo is shor se Mir rota rahega


To hamsaaya kaahe ko sota rahega

Dikhaai diye yun ki bekhud kiya


Humein aap se bhi juda kar chale

Kya kahun tumse main ki kya hai ishq


Jaan ka rog hai bala hai ishq

Raah e duur e ishq mein rota hai kya


Aage aage dekhiye hota hai kya

Hum hue tum hue ki Mir hue


Uski zulfon ke sab asiir hue

Koi tum sa bhi kaash tum ko mile


Mudd’aa humko intiqaam se hai

aag the ibtida e ishq mein hum


Ab jo hain khaak intiha hai ye

Kin neendon ab tu roti hai aye chashm e giryanaak


Mizhgaan to khol shahr ko sailaab le gaya

Shahron mulkon mein jo ye Mir kahaata hai miyaan


Deedni hai pa bahot kam nazar aata hai miyaan

Jam gaya khuun kaf e qaatil pe tera Mir zi-bas


Unne ro ro diya kal haath ko dhote dhote

Hum faqeeron se be-adaai kya


Aan baithe jo tumne pyaar kiya

You might also like