Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 3

Hey guys is video me hum baat karenge ki apne youtube videos ke liye footages knha se le..

vo
bhi free.. or moives clip ya fir kisi ke youtube video ko agar hume use krna hai to to hum kaise
kre.. or google ki copyright images ko hum kaise use kree..

videos me kuch chize hoti hai jisase ki video bahut attractive banta hai… example ke liye
music,sound effect,video footages ye video ki jaan hote hai. or isme video footages ka bahut
bda hath hota hota

Hum sbko pta hai ki hum apne videos me jitni jyada or jitni acchi footages lagayengee video me
explanation utna hi accha hota hoga... hum sub chate hai ki hume video footages mile or iske
liye pixabay,pixeles,videvo.. vnah par jaate hai or vnha par hume footages or images milti to
hai. Par par kabhi kuch kaam ki nhi hoti.. hume jo chahiye hoti hai vo mil nhi paati hai..

Or in sites ko chhodo aapne kai baar kuch yyoutubers ko dekha hoga joki moives clip use krte
hai. youtube ke videos use karte hai.. google ki images use karte hai aap sochte honge ki unhe
copyright nhi aata kya..

Or in ytbers me mai bhi shamil hu… mene to apne deepak daiya channel par bhar bhar ke
moives clip,google images,cricket videos ki bhi mene bahut si clip use ki hai,, or bhi youtube
videos se clips nikal kar use ki hai.. or bahut ki hai or aaj tak footage ki vjh se ek singal claim tak
nhi aaya..

Or yeto kuch bhi nhi, mai aapko ek channel batata hu getsetflyfact har in video inka 10 minute
se uper hi rhta hai or is month me 18 videos inke channel par aaye hai or har videos me kam
kam se 100 footage use krte hai joki youtube videos & movies se hi nikalte hai.. to month me ye
total 1800 and year me karib 21500 copyright footages use krte hai to copyright aata kyu nhi..
hum facttechz ko hi dekh le unhone ne bhi to hazaro copyright images and footages use ki hai..
unka channel to bilkul secure hai.. kaiyo ke man me ye sawal hai ki inko copyright aata kyu nhi

To ab mai ynha par kuch esa bolne wala hu joki kai logo ke liye shocking bhi ho skta hai.. agar
aapne koi bhi video banaya hai or aapko use video ke liye video clips chahiye to aap youtube se
le skte ho.. or agar aapko google ki images chahiye to vo bhi aap le skte ho..

Ab aap soch rhe honge ki yrr yeto glt hai.. copyright aa gaaya to.. nhi aata kisi youtube video ki
clip use krne se copyright nhi aata hai.. fair use policy kahti hai ki agar aapne koi video banaya
hai or us video ka main part cover krne ke liye aap bina permission ke bhi saamne wali ke videos
se clip nikal kar use kar skte ho… exect to mujhe nhi pta lekin shayad 15 second ki clip hum kisi
video mese nikal kar humare videos me use kar skte hai.. lekin me recommend kruna 5-10
second ya usase bhi kam hi use kre.. to cpoyright nhi aata mai aapko example deta hu deepak
daiya channel par maine niraj chopra se realated ek video banaya tha usme mene olympics jo
channel hai yee isase bhi kuch clips nikali thi lekin bahut hi kam time ke liye or alg alg video se
esa na ho ki aap ek hi video se 5 secodns ki 5-6 clip nikal lo.. to agar aap kisi ke videos se 4-5
second ke clip nikalte bhi ho to ganarally copyright nhi aata.. jaise cricket channel ho gye.
Movies ho gyi, koi badi documentries ho gyi.. inse agar ap clip nikal skte ho agar aapko zarurat
ho to.. lekin me recommend krunga ki kisi indivisual pesonal ki videos se clip na hi nikale to
accha hai kyuki mene kai saare yt crrator ko dekha hai ki kisi en agar unke videos ka koi part
use kiya ho to vo copyright maar dete hai.. or sath hi sath apni okat bhi dikha dete hai.. maan ki
vo aapka videos hai aapka us par pura hak hai lekin creator hokar aap crestor ki feelings ko nhi
smjh skte.. to aap ek asli creator nhi hai.. aap jo bhi is vidoe ko dekh rhe hai meri aap sub se ek
request hai ki aap abhi kisi bhi mukam par ho or aage chahe kisi bhi mukam par pahunch jao
apne se chhote ye bde har cretor ka sath do naki unko copyright mar do.. mujhse log puchhte
hai mail par ki mai aapka videos use kr lu mai bolta hu dil khol ke kro.. vo puchhte hai ki sir me
aapki videos ko dusri language me covert krke apne chnnel apr daalna chata hu.. mene bola kro
koi problem nhi.. meri or se kabhi bhi kisi ko bhi copyright issue nhia ayega tab tak jab tak ki
meri videos kuch glt purpose ke liye use kar rhe ho… sahi purpose ke liye use kar rhe ho to mere
deepak daiya channel se aapko agar footages chahiye to aap bina kisi jhijhak ke le skte hai.. or
sirf aapko footage prvoide krane ke liye 1.5 mahine se mai watermakr nih lga rha hu mai chata
hu ki kisi ko koi bhi problem nhi ho mera video agara vo use kar rha hai.. isiliye me watermakr
bhi nhi lga rha hu or na hi lagaunga.. or purane videos me jo me watermark aa bhi rha hai to
aap use crop le or fir use kar le.. to aapko mere channel se bhi bahut sari clips mil jayegi.. or ek
or mere ek friend ka channel hai health and joy anki editing bhi humari teamhi kri hai to aap
vnha se clips use kar skte …

Or mene abhi community tab me puchha bhi tha ki kay aapko kabhi koi copyright strike aayi hai
to sirf unhi ko aayi hai jisne cricket ki puri live stream ki ya fir puri ki puri movie ya fir direct uske
kuch sence upload krne ka socha tha.. lekin unko kabhi koi issue nhi aaya jisne aapne video ke
ek chhote se part ko cover krne ke liye usnki clips use ki hai.. and google ki jo images hai unhe
bhi aap use kar skte hau par thoda dhyan se.. jis bhi type ki images aapko chahiye,youtube par
dekho ki us type ki images kya kisi ne use ki hui hai agar haan to aap bhi kar skte ho unhe agar
koi issue nhi aaya to aapko bhi nhi aayega… or mai fir kah du ki fooatges lena hi hai to
moives,documentries, or cricket ke alg alg official chnnels jo hote hai unhi se sirf clips hi
nikale..ek chhota sa part.. cricket ki live strream kroge,puri moview hi upload krna hai ya fir
bahut hi bdi bdi clips agar use kar li to fas jaoge..
Or ek chiz jo aapko dara skti hai vo ye ki fair use policy or description me discliamer and credit
dene ke bavjood bhi saamne wala agar chahe to copyrigght de skta hai.. lekin agar aap
education purpose ke liye use krte ho.. apne videos ke kisi ek chhote se part ko cover krne ke
liye ek chhoti si clip use krte ho to 99.999% cases me koi problem nhi hoti.. or bacha hua 0.1%
ka risk to aap le hi skte jab kyuki or iqshq hai.. or video agar smjh me hi aaya ho to ek baar or
dekh lena lekin koi glti matt krna.. or agar koi question ho to comment kar dena or agar aapko
ansewr [ta ho kisi ki comment ka to usko replty bhi kar dena agar mai nhi kar paun to..

You might also like