Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 3

Narrator(Ravish) : kahani un yuvak mein se kisi ek ki Jo Chann behrupiyo ke Karan apne laksh se bhatak

jate hai or laakho maasumo ko maut ke ghaat utar dete hai. Ab toh sab utho jaago aur aaavaz lga do
atankvadi ko nhi aatanvaad ko jad se mitaa do. Naa faile aisa aatank jo humari ruh kapkapa de. Milkar
karo kuch esa vo apne hath apni jaan gava de. Ghar bethe behrupiyo ka koi naa koi toh bhesh hoga
chikegi yeh zamin or mitti mein desh hoga. Uss mukaam se pehle hi aatankvad mein aag lagado.

x (Interrogation room) x

Jiya : koii haiii?!?!? koiii haii? koi tohh jawab doo

Kshitij : Ms jiya (Flashback to the train scene)

Pranjal : acha beta apna khayal rkhna or humey bhul mat Jana or dvai time par lelena

Jiya : papa ap pareshan kyu ho rahe haii meinn naukri pr jarahi huu Jang pr nhi

Jiya’s Sister(Rounak) : bhen ap jaldi wapas ana warna mere sath khelega kon
Jiya: arey behen tum fikar mat kro mein ajaugi

Both pranjal and Rounak : acha apna dhyan rkhna


(Yashvi enters)

Police Officer(Yashvi) : ms. Jiya lagta hai badi jldi mein hai app, kaha jane ka irada hai apka
Jiya : maaf kijiye mene apko pehchana nhi

Police Officer(Yashvi) : pehchan ne ki baat chodiye ap aiye Thane chaliye


Jiya : mein apke sath kahi nhi jarahi or ap kon haii

Police Officer(Yashvi) : apko humare sath enquiry purpose ke liye Thane chalna hoga

Jiya : yeh kya bataneezi haii kis enquiry ki purpose ki baat kr rhe haii ap mein nhi jaugi kahi

Police Officer(Yashvi) : leke chalo isey

(Back to present)

Kshitij : Ms. Jiya ye laptop kiska hai

Jiya : yeh toh Mera hi hai

Kshitij : toh aap toh fir yeh bhi jante hoge ki ye humare pass kaise aaya?

Jiya : dekhiye ap kehna kya chahte hai sidha sidha bta dijiye Or mujhe Jane dege

Kshitij : yeh laptop tumhari dost Rita ka hai

Police Officer(Yashvi) : wahi Rita Jo ek attankvadi hai or tumne us vardat mein uski madad ki thi
Jiya : ap log kya bole ja rahe haiii mene kisi ki koi madad nhi ki haii

Kshitij : havaldar lekar aoo usey


Police Officer(Yashvi) : pehchana isey kon hai yeh ?

Rita : mein janti hu useyy yeh mere mission mein crime partner thi
Jiya : Rita yeh kya bole jarahi ho tum yar tum bhul gyi kya hum toh ache dost hote the na btade inhe
sb sach sach

Police Officer(Yashvi) : lejao is Rita ko ab

Jiya : Rita suno tohh suno Naa

Kshitij : ab na tum bohot buri phas chuki ho meri baat maano humare saath co-oprate kro usme hi
Tumhari bhalai hai Or ye yaad kro ki tum Rita se kab mili thi

Jiya : 2 saal pehleee

(Flashbackkk)

(Anmol laying there,as Rita’s dead father)

Jiya : sambhalo apne apkoo Rita sambhalo apne apko Upar Wale par bharosa rkho
Rita : kis upar Wale pr? jisne mujhse mere papa chin liye

Jiya : nhi nhi Rita nhii


Rita : aakhir kya galati thi unki ki vo dango ke samey bahar chle gye samaj seva ke liye

Jiya : mein janti hu Rita unki koi galti nhi thi tum smjho meri baat
Rita : mein sabko mat dalungi, badla lugi mein

Jiya : pagalo wali batein mat kro Rita

Rita : bas bohot hogyaa tumhe meri madad krni hai toh kro wrna jaoo papa mein dilaungi apko insaf
papa ap chinta na kro

Jiya : sambhalo apne ap ko rita

(Present)

Police Officer(Yashvi) : arey ye kya fizool ki batein laga rkhi hai sach btao

Jiya : jab mein uske ghr gyi thi Mera laptop wahi reh gya tha

Kshitij : wah wahh or tumne kabhi wapas bhi nhi manga, kahaniya mat bnao

Jiya : dost hai who meri

Police Officer(Yashvi) : chup bilkul chup yeh dekh saboot throws the sheets on my face

Jiya : dekhiye meri baat samajhiye mere khilaaf kisi ne saajiz ki hai ap mujhe Jane dijiye mere papa or
behen mera intejaar kr rhe hai.

(Yashvi takes Jiya to jail)


Narrator : jiya bolti reh gyi mere papa or meri behen mera intejaar kr rhe haii or Maine kuch nhi Kiya
lekin jiya ki bat nhi suni ( Back to jail)

Anmol : dekho jara kya halat bna rkhi hai tumne apni

Jiya : yeh tum keh rhe ho jo meri is halat ke jimmedar ho


Anmol : nhi Jiya nhi yeh toh bas is paushak ke karan hai varna mein toh is system ke agey ek katputli
hu

Jiya : acha akhir kehna kya chahte ho tum

Anmol : acha toh tum kya sochte ho tum yaha se bahar hoge or sab tumhe svikaar krlenge

Jiya : mein koi gaddar nhi huu ayi smjh


Anmol : kya bitegi tumhare papa par jab vo tumhe yaha dekhege

Jiya : bas ab bas ab or nhi suna jata yeh kis chij ki saja mil rhi hai mujhe Akhir mein kese niklu is daldal
se

Anmol : dekhoo tum yeh lo (hands her a gun) kal desh ke liye bohot bda din hai tum kal khud khushi
krke hamesha ke liye amar hojaogi
Jiya : arey yeh kya rehe ho nhi nhi mein nhi kr skti yehh yeh galat hai

Anmol : Zara dekho apne apki iss halat ko theek krne ke liye mardo
Jiya : parrrr

Anmol : par kya? bachalo humey or khatam krdo khud ko

Jiya : nhi nhi nhi (throws the gun away)

Gurbani : yeh din ke liye paida kiya thajiya tumhe tumhari maa ne ki unki beti ek aatanvadi Bane

Palak : dekha yahi hota hai humare sath ek kide ki tarah rond diye jate hai hum sab
Gurbani : agr kisiko marna hi hai toh apne andr ke shaitaan ko maaroi

Palak : shaitann konsa shaitan tum usey maro jinhone tumhari yeh halat bnadi hai

Gurbani : nahi jiya tum esa kn kroge inlogo ka toh Kam haii bhole logo ko fasana

Jiya : bass bohot hogya

Gurbani : nhi jiya nhi

Palak : mardo Mardo Continuous shouting

(Jiya picks the gun)

x x Jiya kills him(anmol) and then kills herself x x

You might also like