Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 2

Mukesh Ambani JIO 5G project me 2 lakh crore rupees invest karnewale hay.

Jio 5G dunia ka Sabse bara aur advanced 5G network banne ja raha hay. Yes, Aapne sahi suna Pure
dunia ka Sabse bara aur advanced 5g Network.

Ab itna bada investment ka peeche asli reason kea hay? Telecom business toh hay hi, par aur kea
unique business plan hay itna bada investment ke peeche.?

Discuss karenge uo bhi. Lekin usse pehele samajhte hay ke JIO 5G special kiu hay.

JIO 5g aapne wired aur wireless dono technology se 33 lakh square KM area cover karnewala hay. 33
lakh square KM, jo ki India ka total area hay. Reliance ka daba hay ke pure desh me, inha tak ke jaha
sirf satellite phone chalta hay us jagah bhi JIO 5G ka high speed network milega. Matlab, desh ke har
kone pe, Siyachen ki choti se lekar Nagaland ki jungle tak har jagay pe ab 5G speed ka network
milega.

Ab Samajhte hay JIO 5G kaise Airtel aur Vodafone se baheter hay.

Airtel aur Vodafone aapna already bana hua 4G ka jo infrastructure hay, usme hi 5G signal bhejenge
isse kahete hay Non Stand Alone 5G. Ab isme speed pahele se toh improve ho jayega lekin utna nehi
hoga jitna 5G me milna chahiye. Kiuki, jo infrastructure use ho raha hay uo 4G ke hisab se bana tha.

Dusri taraf, JIO stand alone 5G launch kar raha hay. Isme pura infrastructure 5G ke requirement ke
hisab se banaya ja raha hay. JIO ne end to end 5G stack develop kia hay. Yea sampoorn roop se cloud
native, software defined aur digitally managed hay. Inha tak ke yea Quantum Security jaisa
advanced features ko bhi support karta hay.

Aur India me JIO eklauta service provider hoga jiske paas Stand Alone 5G dene ki capacity hogi. Ab
kiuke jadatar advanced services me high speed internet aur seamless connectivity ki jaroorat hay, uo
AI driven service ho, video calling ho ya cloud computing. Yea JIO ko ek competitive advantage dega
Indian Telecom Market ko Rule karne me.

Ab aatein hay dusra aur main topic pe. Yea JIO 5G project pe itna bada invest karne ke peeche
Reliance ka long term vision kea hay.
Ab tak yea sabit ho chukka hay ki future digitalization me hi hay. Yea Sirf India hi nehi puri dunia ki
baat hay. Aur iske liye chahiye high speed data. Jadatar advanced services aaj high speed data
transfer pe dependent hay. Aur yea telecom market leader ko dega ek huge end user base. Aur uske
sath milega un users ke data, jaise ke unka preference, unke pasand na pasand, unke expense
pattern. Aur fir unko customers ko unke jaroorat ke hisab se specific product ya service becha ja
sakta hay.

Aur Reliance kuch ayse industries me already hay jaha is information ka best use ho sakta hay. Aur
isme faida business ko bhi hay aue end user ko bhi hay.
Online retail –

Online Entertainment –

Cloud PC Service.

For example, Entertainment. Maximum content consume hota hay ya toh OTT me

Yea toh gaya reliance ki faide ki baat, desh ko kea faida honewala hay??

History utha ke dekhen toh Reliance ne jab jab Telecom Industry me apna kadam rakkha entire
Industry ka hisab kitab hi badal diya. They have revolutionized the entire industry. Waise dekha jaye
toh Reliance jaha bhi kadam rakkha kahani kuch similar hi hay.

Aapko yaad yah 2002 me, Reliance ka mobile aay tha 501 rupees wala. Usse pehele Mobile ek status
symbol tha, sirf rich log afford kar sakte the. Kiuke Mobile device bhi mehenga tha aur service toh
bahut hi mehenga tha. Reliance 501 launch hua, aur mobile aam logon tak pouch gaya aur baki
service providers bhi majboor ho gaye rate girane me.

2016 me jab JIO launch hua tha tab ki kahani toh sabko yaad hi hoga. Airtel or VodaFone chodke baki
toh sabki dukan hi bandh ho gayi. Vodafone ko bhi Idea se merger karna para survive karne ke liye.
Data ka cost itna kam ho gaya ke aaj dunia me sabse sasta data India me milta hay.
Yea jo youtube ka itna growth India me, Fir OTT, online content, online education, pure desh ka
digitalization, yea sab possible hua JIO launch hone ke baad hi.

Aur Is baar bhi kafi cheezein change hoga, Sirf telecom industry disrupt nehi hoga, bahut sara
business opportunity bhi samne aayega, multiple growth prospect bhi dekhneko mileg

You might also like