Rapido Case Stud1

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 4

Rapido Case Study

Hello everyone,
Aaj Rapido ka user base 1 crore se jada ho chukka hay. Compny ka valuation
800 million dollars hay. Company ko already 300 million dollars se bhi jada
funding mil chukka hay. Par kea aapko pata hay, Ek wakt tha jab koi investor
Rapodo ko fund karna nehi chahte the. Kisiko bharosa nehi tha Rapido ke
potential me.
Yea kahani us smay ki hay jab Arvind Sanka apna start up Karrier pe kaam kar
rahe the. Karrier ek logistic and supply chain driven company tha. Yea aapne
clents ko unka saman ek jaga se dusre jaga transport karne me help karta tha.
Kaha jata hay ke Arvind Sanka aapne project ko lekar 70 to 75 investors ke paas
gay the par kisiko isme viability nehi dikha aur koi bhi invest karne ke liye taiyar
nehi hue.
Bahut jaldi Sanka ko yea samajh me aa gaya ke agar jaldi grow karna hay toh
B2B chodke B2C business me enter karna padega.

Ab B2C me deal karna hay toh pahele jaisa trucks ya vans use nehi kar sakte.
Kiuke iska operating cost high hay, already market me bahut competition hay,
fir bada gari traffic me fasega jisse delivary delay hoga. Aur jaise ke kahete hay,
need Is the mother of invension, inha bhi ek naya idea aaya. Aur uo tha
2wheelers ka use karna.
Motorcycle ka operating cost kam hay, yea traffic me bhi kam fasta hay aur
kam time me destination me bhi pouchta hay. Inha Arvind aur unke 2 Co-
founders Pawan aur Rishikesh ne yea realise kia ke, yea jo problems uo solve
kar rahe te yea sirf logistics market ka problem nehi tha. Yea same problem tha
passenger transportation market ka bhi. Market me available jo options the ya
toh uo uncomfortable aur jada time consuming tha jaise ke Bus. ya toh fir
expensive tha jaise ke cab. Aur ek motorcycle Taxy yea problem solve kar sakta
hay. Aur Arvand, Pavan and Rishikesh ne milke shuru kia Rapido.

Suru me sabse bara challage tha passengers ka mindset badalna. Suru se hi ek


notion tha ke 2wheeler taxy safe nehi hay. Isko solve karne ke liye Rapido ne
pehele din se hi Insurance launch kia aur motorcycles me tracking devices
lagaya rash riding rokhne ke liye. But isse bhi bara challenge unke liye wait kar
raha tha. OLA and UBER bhi 2wheeler segment launch kar diya. Ab Ola – Uber
ke pass kafi fund tha alag alag offer se passenger or riders ko attract karne ke
liye.
Ab Rapido jo bhi investor ko approach kia sabne ek hi sawal poocha, Jo k eek
legitimate sawal hay. OLA –Uber bhi same service de raha hay, Un logo ke paas
taxi business me jada experience and expertise hay uparse OLA – UBER
financially bhi bahut strong hay. Aap kaise compete karoge inke sath.
Inha pe ab challage tha business ko grow karana par kam se kam capital
expenditure ka sath.
Rapido Motorcycle owners ko onboard karna shuru kia. Inha pe bhi
competition tha kiu ke OLA-UBER bhi riders ko onboard kar rahe the. Inha
Rapido riders ki onboarding process ko smooth karne ke upar dhyan diya.
Rapido Captain app launch hua. Iske jariye koi bhi bahut asaani se as a Captain
onboard ho sakta hay, Bas ek android phone chahiye with internet connection.
2009 ke baad liya gaya motorcycle, valid driving licence, bike ka registration
certificate, buke ka insurance aur PAN card.

Shuru me Rapido ke pas Captains bahut kam the. Rapido me Rider ko captain
kaha jata hay. Yea bhi company ka strategic decision hay. Iske bare me hum
aage discuss krenge. Ab kiuke Shuru me Rapido ke pas Captains bahut kam
the, toh customers ko asani se ride nehi mil raha tha ya toh wait karna par raha
tha. But ek unique customer behaviour dekha gaya, log actually wait kar rahe
the jada waiting time tak and cancel nehi kar rahe the. Jo ke customer
satisfaction ka indicator tha.

Rapido ke founders ko suru me hi samajh me aa gaya tha ke agar itna


competition ke bich me grow karna hay toh apne 2 sabse bare stake holders ka
khayal rakhna parega. Pahela Passenger ya ni ke customer dusra company ke
taraf se jo customer se milte hay, ya ni ke Captains.
Apne users ko better service dene ke liye Rapido kuch steps liya.
Jaise ke,
Waiting time kam karna, Price control me rakhna, yea ensure karna ke
cancellation nah ho, har motorcycle pe monitoring tool lagana take koi bhi
captain jada speed se apna two-wheeler na chalayen.
Wakt ke sath kuch aur improvements aaya. Jaise ke Snooze Button. Agar aap
kahi se Rapido book karne ki koshish kar rahe ho aur aas paas aapko koi
motorcycle nehi dikh raha hay toh aap snooze button ko daba do. Aapke
nearby location me jaise hi koi Captain available hoga uo aapke liye book ho
jayega.
Fir Rapido paas bhi ek naya feature hay. Jisse aap ekbaar paas kharid lete ho
toh aapko aage ke rides me discount milta hay. Regular users ke liye yea ek
bahut accha feature hay. Aur ye bhi ensure ho jat ahay ke ab uo user Rapido hi
use karega.
Par users ko accha experience dene ke liye jaroori hay ke company ka jo face
hay jo actually users ko service dete hay uo satisfied aur motivated rahe. Hnaa,
hum baat kar rahe hay captains ki.
Inha Rapido market ke dusre players se alag raste chala.
Jaise OLA-UBER inhe Driver ya Rider bolte the, Rapido apne riders ko Captain
naam diya. Ab yea ayse dekha jaye toh koi badi baat nehi hay par iska ek
positive psychological effect tha riders ke upar. Inha unhe paise ke sath ijjat bhi
mil raha tha.
Dusra hay Daily / Weekly payout. Riders ka generally expectation raheta hay ke
aapne paise ke liye jada wait na karna pare. Rapido me ek captain aapna
income daily or weekly nikal skta hay. Baki companies ki tarah mahina bhar
wait karna nehi padta hay aapna paisa nikalne ke liye.
Aur jaise humne already discuss kia, Rapido join karne ka process simple
banaya gaya.

2016 me Rapido ko bada break mila jab Hero Motocorm Ke chairman Pawan
Munjhal aur Google Ke India Head Ranjan Anandan ne Rapido me Invest kia as
a seed fund.
Iske baad Rapido ka management ek naya strategy liya, jo Rapido ke growth ke
liye masterstroke tha.
Unhone major cities ko chorkar small cities pe focus karna decide kia.
Generally in chote cities me alternatives bhi kam hote hay, competition bhi
nehi hota hay aur logo me acceptance bhi jada hota hay. Inha pe rapido un
logoko target kia jo bus me ya Auto me travel karte hay.
Chote sharo ko target karna ek gamechanger decision sabit hua. Aaj RApido 90
sahero me hay. 5 lakh captain juda hay inke sath, 1 crore se jada users hay
Rapido me. Company ka revenue 1250% jump kia. Aur April 2022 tak company
ka valuation 800 million dollar ho chukka hay.

Is case study se. As a business student or as an enterprenuer hume kea sikhne


ko milta hay.
1. Khudka evaluation kare, aur jaha course correction ki jaroorat ho jald se
jad action le.
2. Apne frontline team ka dhyan rakkhe. Yea log hi aapke customers se
daily service dete hay. Yea motivated rahenge toh aapka customer
statisfaction bhi high rahega.
3. Pura market me concentrate karne se pahele small segment ya clusters
to target karo jaha growth opportunity jada hay.

Doston hume aapki support chahiye channel ko grow karne me, Agar aapko
yea video accha laga ho toh please video ko like kariye aur channel ko
subscribe kariye.
Wapas milte hay bahut jaldi ek naye video ke sath.

You might also like