Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 4

ACTUAL LECTURE FROM HERE

--------------------------------------------------------------------------------------------------------

Urticaria jisse pitti ki bimari se bhi jaana jaata hai ek aam or takleef dene wali
bimaari hai jo aksar practise mein dekhe jaati hai.

Takleef de kyon ?
Woh isliye eh lambe time ke liye chal sakti hai aur jaise hamne aapko pichle video
mein batlaya aapki QOL ko asar kar sakti hai

Lal uthe hue dadore alag alag shape aur size mein @ pic
vibhan jagah par maaujood@ pic

Sabhi khujli allergy nahin hoti


Lekin har allergy Mein Khujli hona bahut zaroori hai

URTICARIA ya pithi do kism ke

Agr che hafte se kam hai to acute kehlai jaati ha


Aur zyada hai to chronic kehte

Acute bachon mein zyda hoti hai !

Khane ke ek do ghanta mein aajana aur 24 ghante se zyada nahin rehna


Food se allergy ki khasiyat hai
Yeh
Kire,@ jantu @ Infections @ child with thermometer in mouth.@ ya dawai se bhi ho sakti

Chronic urticaria pithi lambe waqt ke liye hoti


badhon mein zyada hoti hai
Issme mein khane ki wajah nahin ke barabar hai
Zyada tar koi wajah hi nahin hoti hai
Kuch wajah jiske ke liye tapaas karna zaroori hai woh thyroid , paet , gurde ya jigar
ki bamiri
Blood Pressure @ spygmanometer ki kuch dawaiyon se bhi badh sakti

Allergy test @se isme kuch khaas fyda nahin

Yeh bimaari
Kabhi dhopp, garmi ya Kabhi Thandak
Ya pressure jaise ki tight kapdon se badh jaa sakti
STRESS yani tension aur depression se bhi badh sakti .

Kai mariz iske liye doctor shopping karte aur kuch to baba ke paas bhi jaate hain

Allergy goliyan jaise cetirizine bilastine zyda se zyda dose mein aap le sakte aur
zarroorat padhe to zindagi bhar bhi aap isse le sakte hain bina kisi nuksaan ke

yahan par Steroids na istimaal karen to behtar hai aur agar sabr rakhe to iss bimari
par kabhu paa sakte bina kisi nuksaan

--

-------------------------------------------------------------------------------------------------------

Ab skin ki doossri aam bimari hai

---Eczema jisse Atopic dermatitis kehte hain Allergy mein


aksar pehle saal mein hi shuru ho jaati hai.
Chere par@ hone se maa baap mein bahut pareshani rehti hai . isss dar se ki age
chal kar nuksan nah ho
Yeh unki galat fehmi rehti hai

Jaise aap dekh rahe hain yeh aise dikhai de ti hai@

Ham isse CONTACT DERMATITIS kehte hain agar khaas taur pe metal ya
chemicals jaise aap ka make up ka samaan, washing powder,perfume, plastic
ke chappals se contact hone par ho rahi hai@

Eczema mein koi special tests nahin hai.


Lekin kabhi kabaar allergy test karna padta hai yeh maloom karne ke liye ki khane
ki wajah se to naa badh rahi hai yeh@

Management
iske Illaaj ka bunyadi hissa hai tvachha ki nami
Iske liye moisturizers istemaal karna behad zaroori hai

Inn moisturizers mein na color Na scent hona chahiye.


Paraffin jelly isi ke liye best hai@
Isse hamesha bulk mein hi kharidiye ga kyon ki bimari lambi hai aur moisturizer ko
hamesha dil khol ke lagane ki zaroorat rehti hai
Jo best tareeka hai aapko iss picture ke zariye samjhata hoon

Normal insaan mein tvacha aise hoti hai


Jaise eent aurr cement ki pakki diwaar.
Isse na baher se irritants andar aa sake ya nami andar se bahar jaa sake
Jaise bobby picture mein chavi band ho jaye bandh kamre mein aap gaana sune
the

Lekin eczema patient mein yeh deewaar aisi khurdari ho jaati hai.
Andar se bahar nami jaate rehti aur baher se ander irritant aate rehte hain
jisse inflammation ya sujan hoti hai aur aapki khujli badh jaati.

Iska ilaaj bahut simple


Teen minute tak pani lagaye aur teen minute ke andar gel lagaa de jisse ek kawach
ya shield bann jaye

Best results ke liye din mein teen baar gila karen aur teen baar kachi jild pe laga dein
kam se kam teen minute mein

Steroids cream @ka issme ek badha aur aham role hai


Yeh kai strength ya takat mein aatE haiN
par hamesha kam se kam samaye ke liye istimaal kare aur kam se kam takat wali
ko istemaal karen

Saabun SYNDET @ bol kar ek khaas sabun hota hai.


Kapde simple rahe sirf cotton ke istimaal kare

Eczema ki bimari khujli ki wajah se dimaag aur nafs par bada asar karti hai.

Ilaaj mein ke dauraan is par tawajjo dein aur iska khaas ilaaj karna chahye.
BIMARI THEEK TO DIMAAGI SUKOON

Bimari kabhi badti kabhi kam hoti lekin aksar bachon mein 5 saal ke andar chali jaati

ya ek doosra roop le leti hai

Jo bhi ho iska ek pakka ilaaj hai agar aap mein SABR YA DAHRIYA hai

Aur aakhir mein ek baat! har allergy ki bimaari ke liye khaas taur pe food colorants
aur processed foods na istamaal karen to aapki behtari

END

yeh saare jagahon par hoti hai@ khaas taur pe gardan aur inn sabhi jagah par
dikhai deti

You might also like