Naran 2

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 3

Start of the vlog would be seeing some of the shots of Video in which your talking or

interviewing about market place or hotels, or restaurants.

INTRO VIDEO!!!

Assalam alaikum dosto! Agar aap Naraan ka trip plan kar rahe hain aur basic informations ki
talaash main hain… to aaj ki video aap ke liye kafi informative hone wali hai ….

Viewers ! Previous vlog main, ham ne sardiyon aur garmiyon main Naraan ke atmosphere aur
mobile reception ke baray main baat ki , agar aap ne abhi tak meri woh video nahi daikhi to
aap oper diye gaye link par click kar ke meri us video ko daikh sakte hain.

Meri aaj ki video ka maqsad aap ke Naran ke safar ko khushgwaar aur araam deh banana hai.

Is liye main chahon ga keh aap Yeah video aakhir tak dekhye, kiun keh is video mein, main un
tamam points par baat karun ga jo aap ke Naran Trip ke liye fayedamand saabit ho saktay hain.

Naran main bazaar is 1.5 km long street, which is filled with souvenier shops, clothings,
restaurants and mostly hotels. Waisay to Naran bazar ke aik corner sai dosray corner tak
paidal jane main taqreeban 20 sai 25 minute lagte hain , haan ! agar aap Bazaar sai apni man-
pasand shopping karte jain to aap ko 1 sai 1 1/2 hours bhi lag sakta hai…

Dosto! Jo maza raat ko bazaar mein khoomnay ka hai wo din mein nahin hai.

Din ko tourists site seeing ke liye nikal jaatay hain, mostly log saif ul mulook aur ird gird ka area
visite karte hain. but Shaam ke waqt Naran Bazar main rush shuru ho jaata hai aur takreeban
raat 2 baje tak yahan rush rehta hai.

Waisay to Naran bazaar mein hotels ki kammi nahin hai lekin agar aap peak season mein
yahan aane wale hain aur family ke saath arahay hain to mera mashwara yeah hai keh hotel ki
reservation pehle se kara dena aap ko khawaar hone sai bacha sakta hai,

Dosto ! hotels ki baat ho hi rahi hai to kiun na hotel room ke rates ke baray main bhi jaan lain,
… Off season rates to understood hai kam hotay hain, lekin peak season mein lazmi baat hai
rates zyada hote hain jo keh Rs. 3 000 se le kar 5000 tak bhi jate hain.

IS liye agr aap ne pehlay sai reservation nahi karwayi aur wahan ja kar booking karane ka plan
hai to mera mashwara hai keh pehlay different hotels search karin aur zaroorat paray to
bargain bhi karin aur haan booking karne sai pehlay hotels ke rooms visit karna na bholeye ga.

To chalye Naran bazar main sab sai pehlay aik holte room ka visit karte hain.

Then will start showing the NARAN STREET!!!

Aap mein se jo log Murree gaye hain wo jaantay hain Murree aur Murree bazaar bohat
congested hai. British raaj main Murree goron ke lye garmi se bachnay ke lye aik escape tha.

Northern areas main sai Murree easy reachable place hai. Is lye wahan par hamesha rush
rehta hai…... Lekin Naraan Bazaar Murree ki banisbat behtar developed bazaar hai.

Jab se KKH bana hai tab se log Naran ki taraf bhi rukh karnay lagay hain. Naran Bazaar Murree
ke bazaar se 3 gunah bara bazaar hai.

Jaisa keh aap dekh rahe hain is bazaar ki road kafi khulli hai aur yahan gari ki parking ke lye bhi
jaga baa asaani mill jaati hai.

Har saal yahan 4 se 5 million tourists atay hain. Sirf Eid ke dauraan, 4 se 5 lakh logh Naran eid
ki chuttiyan enjoy karne aate hain.

Weekend mein yahan zyada rush hota hai aur traffic bhi zyada hoti hai.

November mein yahan tourist ana kam ho jaatay hain kiun keh sardi ho jaati hai.

Viewers!

Agar aap Saiful Mulook se ho kar wapis ayen gay to aap ko yaqeenan bhook lagi ho gi kiun keh
Saif ul Mulook hai to bohat khoobsoorat lekin wahan par kuch khanay ki khaas facility nain hai.

So laazmi baat hai aap shaam ko wapis ayen gay to aap ne kkuch kahan hai.

Aap ko yahan Street vendors se le kar SUBWAY bhi mille gay. China Super market u can buy
almost everything reasonable rates par

Sgsr aap chahin to mein aap ko kuch achay restaurants recommend kar sakta hoon: bUTT
tIKKA KARAHI - Gateway Restaurant - Punjab Tikka House - Moon restaurant but they are all
bit expensive yet famouse.

Waise to bazaar raat ke 2 baje tak khulla rehta hai lekin kuch shops 24 ghantay bhi khulli rehti
hain.
In sab ke ilawa, yahan 3 adad medical stores hain.

aur 1 hospital ka unit jo aap ko main pull ke paas mille ga.

Naran mein 2 Petrol stations hain

Is ke ilawa Allied, Habib aur Bank Islami ki bhi aik aik branch hai with ATM facilities.

Agar good reception ki baat karin to comparatively Telenor works well then other networks.

Chun keh, Naran Bazaar aik tourist spot hai is liye like every other tourist place yahan ke rates
bhi normal markets ki nisbat high hain, but that’s normal coz Naran ki zayadha tar economy ka
daro madaar tourism industry par hai.

Hope aap ko mere vlog sai kafi fayeedah howa ho ga, Aap se darkhaast hai, channel ko
subscribe aur like kijye. Milte hain next vlog main,,,,,, tab tak ke liye

ALLAH NIGH E BAAN

........................................................................................................................................................
.............................................STOP...................................................................................

You might also like