#22 Aham Qurani Ahkamaat

You might also like

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 4

Seerat-un-Nabi (SAWS)Madani Daur

Class #22 13th January 2024

Aham Qurani Ahkamaat


Ahkaam = Orders/Commmands/Pillar
Sharii’at = Law/Norm/Mazhab – Seedha aur khulaa huwa raasta

1. Insaanon ke bad-amaal ke asraat poori qaum par padhte hain bataaya gaya aur
yahi bad-amaal/akhlaaq poori qaum ke zawaal ka zariya bante hai
Ex: Qaume-e-Shoaib, Qaum-e-Samood, Qaum-e-Aad, Qaum-e-Nuuh, Qaum-e-Luut
2. Individual personality development ke liye Makki daur mai bunyaadi ahkamaat
mile:
▪ Shirk na karo
▪ Walidain ke saath nek sulook karo, Rishtedaaron ka haq adaa karo
▪ Na Fuzool kharchi karo aur na Kanjoosi karo
▪ Qatl na karo - Ek Insaan ka qatl saari insaaniyat ke qatl ke baraa-bar hai
▪ Yateem ka maal na khao, uske saath izzat ka sulook karo
▪ Ahad ki paabandi karo aur Naap-tol mein kami na karo
▪ Kisi aisi cheez ke peeche na padho jiska tumhe ilm na ho
▪ Aur zameen par akad kar na chalo
3. Madani muaashre ki tashkeel ke liye Allah swt ne sharii’at naazil ki

Quran Ke Chand Aham Ahkamaat:


1. Khaane Ke Ahkaam: Surah Baqara # 173
a. Murdaar na khao
b. Khoon na khao
c. Suvvar (Khinzeer/Pig) ka gosht na khao
d. Allah ke sivaa kisi aur ka naam liya hua khana na khao

2. Roze (Fasting) Ke Ahkaam: Surah Baqara #184


a. Agar tum mein se koi beemar ho ya safar par ho toh doosre dinon mein
utni hi taadaad poori karlen
b. Ek roze ka fidiya (Compensation) ek miskeen ko khaana khilana hai

3. Hajj Aur Umrah Ke Ahkaam: Surah Baqara # 197-200


“Allah ki khushnoodi ke liye jab Hajj aur Umrah ki niyyat karo toh use poora karo Aur
agar kahin ghir jao toh jo qurbani mayyassar aaye, Allah ki janaab mein pesh karo
Aur apne sar na mundhao jab tak ke qurbani apni jagah tak na pohanch jaye”
4. Sharaab Aur Nashe Ki Chiizon Par Pabandi ke Ahkaam:
Sharaab par pehla ahkaam Surah Baqara # 219 mai ayaa jahan bataya gaya ke
sharaab mai badee kharaabi hai agarche uss mai munafa hi kyun na ho Isske
baad Surah Maedah #90 aur Surah Nisa # 43 mai mukammal taur par issko
haram qaraar diya gaya

5. Yateem Ke Saath Sulook Ke Ahkaam: Surah Baqara #220


a. Jis tarz-e-amal mein unke liye bhalaayi ho, voh hi ikhtiaar karna behtar hai
b. Agar tum apna aur unka kharch aur rahna sehna mushtarik (Combined) toh
usme koi muzaaiqa (harj) nahi

6. Qasam (oath/vow) ke Ahkaam: Surah Baqara # 224/225


“Allah ke naam ko aisi qasmein khane ke liye istemaal na karo, jinse maqsood neki
aur taqwa aur bandagaane khuda ki bhalai ke kamon se baaz rehna ho”

7. Sood(Interest) Par Pabandi Ke Ahkaam: Surah Baqara # 275/276 &


278/279
“Aye logon jo imaan laaye ho! Khuda se daro aur jo kuch tumhara sood (Interest)
logon par baaqi reh gaya hai use chorh do, agar waqeyi tum imaan laaye ho Lekin
agar tum ne aisa na kiya toh aagaah hojao ke Allah aur uss ke Rasool (SAWS) ki taraf
se tumhare khilaaf elaan-e-jung hai”

8. Aapasi Lain-Dain Aur Qarz Ke Ahkaam: Surah Baqara # 280 - 283


a. Muqarrara muddat ke aapas mein lain dain ko likhna
b. Qarz lene wala agreement ko dictate karey aur Allah se darna chahiye ke
ussme koi kami-peshi na kare
c. 2 aadmiyon ko gawaah banao, agar 2 mard na ho toh 1 mard aur 2 aurtein
ho taki ek bhool jaye toh doosri ussey yaad dilae
d. Gawaahon ko gawaah ban-ne se inkaar nahi karna chahiye
e. Muamila chaahe chota ho ya bada ho, document banana mein susti na karo
f. Tijaarati muamile decide) karte waqt gawaah banao aur kaatib aur gawaah
ko na sataao
g. Shahaadat hargiz na chupao – chupane waley ka dil gunaah mein aalooda
hai aur Allah tumhare aamaal se be-khabar nahi hai

9. Ahad Ke Ahkam:
Surah Baqara # Neki toh ye hai ………aur jab koi ahad karlein toh apne ahad ko
poora karney ke aadi hon”
Surah Mominoon# 8 mein Allah swt momineen ke ausaaf ginaate hue batata hai;
“Voh apni amaanaton aur apne ahad ka paas rakhte hain”
a. Sabse pehla ahad insaan par jo farz hai wo sirf Allah ki itaat karna hai
b. Allah ka naam lekar jo ahad kiya jaaye usse poora karna
c. Muaamlaat (dealings) mein hone waley ahad ko poora karna
d. Rishtedaar, Padosi ke huqooq poora karna bhi ahad hai

10. Zina Ki Sazaa Ke Ahkaam:


a. “La-Taqrabuz-Zina” – Zina ka qareeb bhi naa jaao - Bani-Israeel #32
b. Sahih Bukhari - Hz Anas bin Malik (RA) se rivaayat hai ke Aap saws ne
farmaaya “Aankh zina karti hai, hath zina karta hai, paer zina karte hain,
zaban zina karti hai aur phir sharam-gah zina karti hai”
c. “Qabees aurtein qabees mardon ke liye hain aur qabees mard qabees
aurton ke liye Paakeezah aurtein paakeezah mardon ke liye hai aur
paakeeza mard paakeeza aurton ke liye” - Al-Noor#26
d. Surah Nisa #15-16 - Zina ko Criminal Offence qaraar diya gaya hai aur isski
saza 100 kode muqarrar kardi gayee

11. Parde Ke Ahkaam:


“Aye Nabi (SAWS)! Apni biwiyon aur apni betiyon aur musalman aurton se kehdo ke
apne upar apni chaadaron ke pallu latka liyaa karein Ye zyaada munasib tareeqa hai,
taake voh pehchaan li jaayein aur sataayi na jaaye Allah swt Ghafoor aur Raheem
hai” (Al-Ahzab#59)

Surah Noor #31 mai aurtaun ko mazeed ahkaam milein hain:


a. Ghar par – Apne sar aur seene ko dhaank kar rakhein
b. Ghar se niklein toh – Apne banao singaar ko chupaein aur bajne waley
zewar pehen kar na niklein
c. Mehram rishtedaar ke alawa kisi aur ke saamne bann-sanwar kar na aayein

12. Hayaa ke Ahkaam: Surah Noor # 30 & 31


Mardon aur aurton ko hukum hai ke haya ke taur par apni nazrein neechi karlein
aur apni sharmgahon ki hifazat karein Ek doosre ko ghoorne ya taank-jhaank
karne se manaa kar diya gaya

13. Husn-E-Sulook Ke Ahkaam: Surah Baqara # 83


a. Pehla haq Allah ka hai - Allah ki bandagii karo, uss ke saath kisi ko shariik na
banao (Ita’at aur paristish)
b. Maa-baap ke saath neyk bartao karo
c. Qurabat-daaron, yateemon aur miskinon ke saath husn-e-sulook
d. Padosi rishte-daar se, ajnabi hum-saaye se, pehlu ke saathi se
e. Musafir, naukar se jo tumhare qabze mein hon ahsaan ka maamla rakho
f. Allah aise shakhs ko pasand nahi karta jo, maghroor ho, aur apni badai par
fakhr kare, jo kanjoosi karte hain aur doosron ko bhi kanjoosi ki hidaayat
karte hain Allah ne apne fazl se jo unhein diya usse chupate hain
14. Bribery Par Pabandi Ke Ahkaam: Surah Baqara #188
Aapas mai ek doosrey ke maal na-haqq taur par mat khao aur na haakimon/judges
ko maal do iss gharz se ke tumhein doosraun ka maal zaalimana tareeqey se
khaane ka mauqa mil jaaye

15. Maal Kharch Karne Ke Ahkaam: Surah Baqra # 215


a. Apne walidain par
b. Rishtedaron par
c. Yateem / Miskeen par
d. Musafiron par

16. Mushrikeen se Nikaah Par Pabandi ke Ahkaam: Surah Baqra # 221


Mushrikeen se nikaah par pabandi mard aur aurtaun ke liye bataa di gayee – jab
tak ke wo eemaan na laayein

17. Bin-biyaahe Rehne Par Pabandi Ke Ahkaam: Surah Noor #32 & 31
Maushrey main aurton aur mardon ke bin-biyaahe baithe rahne ka tariqa
napasand qaraar diya gaya aur hukm diya gaya ke ghair shaadi-shuda logon ke
nikaah kiye jaayein
‘Celibecy/tajarrud’ – fahaash aur buri qabrein sunn-ne aur pahilaane ki taraf
raaghib karta hai

Ahkamaat Naazil Karne Ki Wajah:


1. Allah swt ne na sirf iss kaayenaat ko aur iss mein maujood har system ko banaya
hai balke khud issko chalaa rahein hai. Jab saarey nizam Allah ke hai toh sab par
hukumat ka ikhtiyaar bhi sirf aur sirf Allah ko hai
2. Allah swt ne insaan ko paida kiya hai aur isski khaamiyon ko achchi tarah se
jaantein hai. Insaan ko bhalaayi aur buraaee ki tameez sikhane Allah swt ne
ahkaamaat naazil kiye hain

Allah swt ne insaan ki kaamyabi ke saare zaraaye bataa diye,


ahkamaat se rehnumaee bhi kar di – Kya hum taiyyar hain
kaamyab hone ke liye ya phir kaamyabi ke naye usool humne
khud bana liye?

You might also like