A Full Marsiya of Hazrat Abbas BY

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 2

23:40 (9 a a ··· ml ::.111 ml .

11 I ·55%

A Full marsiya of Hazrat Abbas BY... 1

Seena sipar the mashk pe roke hue the dhal


Ladne mein bhi Hussain ke bachcho'n ka tha khayaal
Kehta tha dagmaga ke faras par wok Khush Khisaal
Farzand ko sambhaaliye,Ya Sher-e-Zuljalaal
Jaa pohchu'n mashk le ke jo thodi si raah
ho Aisa na ho ke pyaaso'n ki basti tabaah
ho
Ye kehte the ke toot pada lashkar-e-shareer
Bas chur ho gaya pisar-e-Shaah-e-Qillageer
Aakar laga miyaan-e-do abroo pe aik teer
Teora gaya Ali-e-Wali ka Mah-e-Muneer
Chhori jo bag paav faras ke bhi ruk gaye
Phaila ke haath mashk-e-Sakina pe jhuk gaye
Sheh daud kar pukaare ke aata hu Bhai Jaan
Ghar lut gaya hai khaak udata hu Bhai Jaan
Taaqat badan mein ab nahi paata hu Bhai Jaan
lk ik qadam pe thokarein khata hu Bhai Jaan
Dast-e-shikasta bete ki gardan mein dale hain
Bhaiyya humein to Akbar-e-Mehru sambhaale hain
Akbar ne Sheh ke haath pakad kar basad buka
Rakkhe chacha ke seene pe aur ro ke ye kaha
Leeje yahi hai laash-e-Alamdaar-e-Bawafa
Chillaye jhuk ke laash pe Sultan-e-Karbala
Tooti hui kamar hai sambhaalo Hussain ko
Bhaiyya zara gale se laga lo Hussain ko
Abbas haath kat gaye shaano'n se hai
ghazab Reti pe do taraf hai tumhara lahu ye
sab
Loota humein Rasool ki ummat ne
besabab Bhaiyya humari jaan nikalti hai
tan se ab Mar jaayenge,jila do humein mu
se bol ke
Do baatein kar lo bhai se aankhon ko khol ke
Ghash mein suni jo girya-e-Shabbi r ki sada
Chauke tadap ke Hazrat-e-Abbas-e- Bawafa
Aahista ki ye arz ke ai Sibte Mustafa
Is pyaar ke nisaar, is ulfaat ke fida
Zeba hai nikle jaan agar peshwaai ko
Goya Rasool aaye hain Mushkil Kushaai ko
Ye keh ke roye,Sheh ki taraf ki nazar baghaur
Jhuk kar pukaare Shaah ke "Bhaiyya kaho kuch aur"
Tadpa qadam pe Sheh ke wo maqtool-e-zulm o jaur
Write a comment ... Send

You might also like