Web Page Maker Complete Urdu Tutorial by Murad Khan

You might also like

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 6

Web Page Maker Complete Urdu Tutorial (Murad Khan)

WPM: P1 open web page maker apko white blank page nazar ai ga. Us pr double click kren. Ya format menu main properties pr click kren. Apky samny page properties open ho jai ga sb sy pehly meta tag main jain. Title main apni site ka name likhen. Title apke web browser main top pr show ho ga. Author main apna naam. Keywords main apni site ky pages likh dain jo ap bnana chahty hain jese, software. Games, etc. Aur description main apni site ky bary main introducition likh dain. Jb koi google main apke site ko search kry ga tu meta tag main jo ap ny likha hai woh google main show hoga. WPM: P2 meta tag ky bad ata hai backgroud. Background ky change krny ky 2 tariqy hai. 1st background image ke option ko check kren. Aur browse ke option main ja kr koi ache se picture select kr lain. Aur ok kr dahn. Agar ap chahty hain ke background picture apni jaga pr rahy aur baqi data apne jaga badlta rahy tu fixed background ko check kr dain. Repeat ke option sy ap apni background pic ko reapeat, no repeat aur x, y yani amode aur ufqi rukh pr Aur unhain top, center, bottom main rukh pr adjust kr skty hain. Background music ky neachy. background music ko browse kr ky add kr skty hain. Forever hamisha chalta raha ya Loop sirf aik bar ya jitni bar ap chahen music play kr skty hain. WPM: P3 2nd tariqa. background image lagany kelye ap wabpage maker ke image liabrary use kren. Go to insert menu. Then image. And click on from liabrary. Liabrary main sb sy pehly background ke option ate hai. Yahan sy b ap koi acha sa background image select kr skty hain. Background dainy ky bad bari ati hai ky hum apni site ky top pr site ka banner lagain. Agar apky pas apna bnaia hoa banner hai tu go to insert menu, then image and click on from file sy apna bnania hoa banner select kr lain ya image liabrary main sy koi acha banner select krlain. WPM: P4 banner pr site ka name likhny kelye insert menu main text pr click kren. Main page pr aik chota sa box show ho jai ga. Jis pr double click to edit text likha ho ga us pr click kren. Text editor show ho jai ga. Yahan apni site ka naam likhen jese ITkit. Aur size, font, color dain aur ok kr dain. Ise tara aik new text add kren jis main site ke chote se discription ho. Jese The learning place of IT. Aur usy site ky name ky sath banner pr laga dain.

WPM: P5 hmara jo 1st page bna hai. Uska naam index.html hoga. Ab hm apni site main new pages add kren gain. Page menu main jakr agar new page jo bilkul blank hoga add krna chahen to add new page pr click kren. Aur agar index page ke same copy chahty hain tu clone page pr click kren. Right side pr site contect ke bar hoge usmain page 2 likha ajai ga. Jo alag new page bn jai ga. Page2 ko rename krky sotwares ka name likh dain. Ise tara 3, 4 pages aur bna lain. Games, books etc kay. WPM: P6 pages add krny ky bad hm un pages ko aik dosry ky sath link kren gain aur isky lye hm apni site main buttons add kren gain. Insert menu main jain aur navigation bar pr click kren. Apky samny bohat sy bttns show ho jain gain. Jo acha lagy woh select kren. Ab new window open ho ge. Jis main hm bttns pr naam likhen gain. Sb sy pehly index ke jaga home aur jo pages hm ny add kye thai. Unky naam ajain gain. Aur right side main url pr ke option main wahe pages select kren. Aur uper customize ke option sy hm apny bttn b change kr skty hain aur jb un pr koi mouse lai ga tu sound ke awaz paida hoge woh b add ho skte hai. Ok kren main page pr bttn ajain gain. Agar woh sirf aik page pr ain hain tu us pr right click kren aur include on all pages pr click kren sb pages pr woh bttn ajain gain. WPM: P7 ap ny aksar kuch sites pr right sy left text ya news flash ghomti hoe dheke hoge. Usko marquee kehty hain. Insert main 10th option marquee ke hai. Click kren aur text jaisa box ajai ga jis main text right to left ja raha ho ga. Us pr click kren aur text editor sy text add kren aur ok krdain. Phr marquee box pr right click kren aur properties pr click kren. Yahan sy ap marquee ke direction change kr skty hain color border aur maquee ke speed fast ya slow kr skty hain. Differnt scroll behavior apply kr skty hain. WPM: P8 ap apni site main rollover images add kr skty hain, mean jb unpr mouse laia jata hai. Woh image auto change ho jata hai. Insert menu main jain, phr images objects main aur rollover image pr click kren. Rollover image window show ho jai ge. Orignal image main woh image dain jo normaly site pr show ho ge. Mouse over image woh image add kren jb pehly waly image pr mouse laia jai tu new wala image show ho. Aur Mouse over sound sy koi sound add kren. Jb koi mouse image ky oper lai ga tu image b change ho jai ga aur sound ke awaz b ai ge.

WPM: P9 ap apni site main photo gallery b add kr skty hain. Image objects main jain. Aur photo gallery pr click kren. Aur add ke option sy jitne chahen pictures add kren. Page main shape add krna chahen tu insert main shape pr click kren aur rectangle round aur ELLPse main sy koi b select kr skty hain. Kisi 2 data ky darmian line lana chahty hain tu insert menu main 6th option horizentol line select kren. WPM: P10 insert menu main 7th option table ke ati hai. Table aksar jaga kam ata hai. Table pr click krny pr table ka menu open ho jai ga. Aur ap apni marzi sy rows aur coloums add kr skty hain. Table add krny ky bad table editor ajai ga. Aur ap phr table main text image add kr skty hain. Aur ok kr dain. Table ky bad hyperlink ke option ate hai. Hyper link sy hm kisi text, image ko kisi dosry page ya web site ky sath link kr skty hain.next option book mark ke ati hai. Agar hm chahty hain k visiter hamari site ko apny books marks main add krlai taa k woh kisi b waqat hamari site ko visit krsky tu hm bookmark ka icon add krty hain. Next lecture inshallah kal. File main jakr save as kr ky project save kr lain. Preview check krny kelye file menu main privew in browser ke option sy apni site ka priview check kren. WPM: P11 insert menu main 11th option flash ke hai. 1st flash movie main ap swf extention file add kr skty hain swf main flash games, flash banners aur bttns bny hoty hain jo net sy easly mil jaty hain. Next option flash video ke hai. Ismain hm flv extention ke file add krty hain. Hm youtube sy jo video download krty hain woh flv extention main hote hain. Woh video hm yahan sy add kr skty hain. Video add krny ky bad F5 press kren page ka preview directly show ho jai ga. Aur bohat he acha sa video player b add ho chuka hoga. WPM: P12 flash main 3rd option flash slideshow ke hai. Ismain hm bohat he khobsorat flash photo slidshow bna skty hain. Just add main ja kr pictures add kren aur preview check kren dil khush ho jai ga. Flash ky bad 12th option media ke ati hai. Media main audio, window media video, real video aur quick time ke format ke video add kr skty hain. Jin main mp3, wma, wmv, asx, avi, rl, mov type ke files shamil hain.

WPM: P13 media ky bad form ke option ati hai. Form main bohat sy action create krty hain. Q k yeh thora sa advance hai. Islye is option ko ignore krdain form main last option example email form ke hai. Is option sy apke site ka visiter apko email msg directy apke web site sy apke email id ko send kr skta hai. Email form pr click kren woh page main add ho jai ga. Phr Email Form pr click kren uske ke properties show ho jain ge. 3rd box main jahan mailto:support@webmagemaker.com likha hoga. Wahan apni email id likh dain. Jese mailto:Murad@Letshostpk.com aur ok krdain. Jb b koi visiter apke site pr msg likh kr type kry ga woh apko mail ho jai ge. WPM: P14 form ky bad add ons ke option ati hai. Jis main paypal online money transaction ke option hai. Magar paypal pakistan main nain hai. Add ons ky bad sb sy mazedar cheaz ready to use java script hai. Us pr click kren. Java b scriptiing action kelye use hota hai. Aur uske coding bohat mushkil hote hai. Magar yahan coding ka koi chakar nain just click and ok aur woh action add ho gia. WPM: P15 java scrip main pehla option live clock ke hai. Jis ko page main kahen b rkh skty hain. 2nd dancing star cursor ke hai. Apky ky cursor ky sath yellow type ky small stars agay pechay ghomy gain next elastic trail ke hain jis main small blue balls apky cursur ky sath bhagty rahen gain. Snow effect main ap apni site pr snow girty hoy dheka skty hain. WPM: P16 next option highlight image ke ho ge. Is main jb b koi image add kren gain woh madham se ho ge aur jb us pr click kren gain tu woh highligh ho jai ge. Next wave text ai ga. Jis main text waves ke tara harkat kry ga. Ap apna text add kr skty hain. Waves ky bad scroll bar color ke option hoge ap ny dheka hoga. K browser ke right side pr jo scrol bar hota hai uska color gray ya blue type hota hai. Ap yahan sy uska color change kr skty hain. Last option counveyor belt slide show ke hai. Is main b photo slideshow bnte hai. jis main by defaul pictures right to left move kr rahe hon ge ap direction b change kr skty hain. WPM: P17 java scritp ky bad html code or script code ke option ai ge. Agar apko html ya java script ate hai. Tu ap apni marzi sy is main jo kuch chahen html coding main add kren. Jin friends ko blog bnana ata hai woh isy Gadget samaj lain. Visiter counter, chat room, live tv, ke html aur java coding net sy search krky html editer main copy paste kr dain. Last option ati hai. Iframe ke. Iframe main hm aik page ky andr 2nd page ya web link show kr skty hain. Agar ap ko

koi web site ache lage ho tu ap usy external file ya web url sy add krdain. Woh site apky web page main show hoge. WPM: P18 insert menu hatam. Ab 1st file menu open kren. New site from templates pr cick kren apky samny bne bnai web sites ajain ge. Apko jo templats acha lagy woh select krlain aur usmain apni pasand ky text aur images add krdain. Templats net sy b mil jaty hain. Agar ap ny net sy koi download kia hai tu file menu main ja kr import ke option sy woh template import krky edit kr lain. WPM: P19 file ky bad 2nd menu edit ka hai jis main cut, copy past, ke options hain pages aur insert ky bad format menu ata hai format menu main text link style sheet ko jesay CSS b kehty hain. Hyperlink text pr color aur font effect lane kelye use kia jata hai. Jb hyperlink text pr cursur laia jata hai ya click kia jata hai tu iska font ya color change hojata hai. Next option color and border main hm page main mojod data table etc pr color aur boder laga skty hain. Next menu tools ata hai. Us main site map main apke site ky pages show hoty hain. Opions ko aise he chorh dain. Last menu help ke hai. Jis main ap webpage maker ky bary main aur tamam options ky bary help ly skty hain. WPM: P20 ok friends site bn gai. Ab usy publish mean online lana hai. Sb sy pehly byethost.com pr ragister ho jain woh apko apke email main kuch detail send kren gain woh note krlain. Web page maker main file menu main publish pr click kren. Agar site ko pc main save krna hai tu local directrory main browser krky save kr dain. Ya phr online kelye remote site ko check kren phr new pr click kren. Aur byethost sy apko email ai hai. Wahan sy site host name, copy krky site host main likhen. remote folder main htdoc likhen aur user pasword jo apko mila hai woh dain aur ok krdain. Apke site upload ho jai ge. Aur apky byethost pr bnai gai site main show ho jai ge. Next lecture inshallah kl. Byethost ka makamal procedure btaon ga. WPM: P21 sb sy pehly byethost.com pr jain free hosting pr click kren. Phr ap ky samny main page ajai ga. Top right side pr ragistration ke option ho ge wahan pr click kren. Next ragistration form ai ga. Ragistration form main apni site ka name dain. Jo kuch aisa hoga. www.murad.byethost4.com baqi form fill kren. Id pasword dain aur ok kr dain. Apke ragistration complete ho jai ge. Aur apke site bn jai ge. www.UrSiteName.byethost.com

WPM: P22 ab ap apni email check kren. Apko byethost ke taraf sy email ai ho ge. Us main ftp host site, host name, aur pasword etc hoga woh note krky save krlain. Net sy Filezila ya cute ftp software download kren. Install kren. Top pr kuch box hon gai un main hostsite, hostname aur pasword dain. Port 21 kr dain aur connect kr dain ap byethost ky server pr apni site sy connect ho jain gain. WPM: P23 apky pas aik folder show ho jai ga. Jis ka naam htdoc ho ga. Ab apny jo webpage maker main local drive ke option sy apni site ko publish kia hoga woh select all krky usy mouse sy pakar kr htdoc folder main chor dain. Woh upload hona start ho jai ga. Agar koi file upload na ho tu usy resume krdain. Files upload hony ky bad apni site check kren apke site show ho rahe hoge. WPM: P24 2nd tariqa yeh hai ky ap byethost.com sy BT wali id jo apko email main ai hoge. Us sy login hon. Apky samny apke site ka control panel ajai ga. Aur apke site ke tamam details b ajain ge. File manager main jain. Wahan htdoc folder pr click kren aur upload ky bttn sy ap tamam files ko aik aik krky upload kr dain. Ya phr apny data ko zip main compres krky zip wale option sy upload krdain woh usy hud he decompres kr dai ga. Aur apke site show kr dai ga. WPM: P25 3rd aur easy tariqa hai k ap apny browser main. Ftp.byethost.com likhen woh ap sy id aur pasword mangy ga. Bt wali id aur apna pasword dain apky samny PC ke drive ke jaise window open ho jai ge jis main htdoc folder hoga. Htdoc folder main apna data copy kr dain. Apke site upload ho jai ge. Bt wali id woh ge jo apko email mai ai hoge. Bt_54321 etc. Lecture of webpage maker complete.

(Murad Khan) Master_Mind4050@yahoo.com

0344-4595233

You might also like