Bad Mazhabon Se Rishte

You might also like

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 30

Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

Qur’an e Kareem & Ahaadees-e Mubaaraka


ki Roshni me

Bafaiz: Shehzaada-e AalaHazrat


Huzoor Mufti-e Aazam Hind

Rahmatullahi Ta’ala Alaihi

Tasneef:
Faqih-e Millat
Mufti Jalaalud-Deen Ahmed Amjadi
Rahmatullahi Alahi

Roman By: Janab Riyaz Iqbal Sahab


Publisher:
Center of Islamic Studies Jamiatur Raza
Bareilly Shareef
Email: jamiaturraza@imamahmadrazatrust.org
Publishing Date: 12/01/2022 || Version 1.0

1|P ag e| w ww. i ma ma h madr azatr ust.org


Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

INTESAAB
Un Tamaam Musalmaanon Ke Naam Jo
ALLAH Jalla Shanuhu RASOOL Sallallahu
Ta’ala Alaihi Wasallam Aur Sahaaba-E-Kiraam
Wa Buzurgan-E-Deen Ridwanullaahi Ta’ala
Alaihim Ajma’een Se Sachchi Mohabbat
Rakhte Hain Aur in Ke Dushmanon, Bad
Mazhabon Aur Murtaddon Ke Yahaan Shaadi
Biyaah Karne Se Parhez Karte Hain.

Jalaalud-Deen Ahmad Amjadi

2|P ag e| w ww. i ma ma h madr azatr ust.org


Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

Nigaah-E-Awwaleen
Aaj kal bahot se Gumraah wa badmazhab ahl-e-sunnat wa
jama’t se mel-jol karke inke yahaan shaadi biyaah karne ki
zyada se zyada koshish karte hain taake inko aasaani ke
saath apna hum aqeeda bana sakein aur awaam-e Ahl-e
Sunnat apni bewaqoofi se unke yahaan rishta kar lete hain.
Aur is tarah thode hi dinon mein woh Gumraah ho kar
ALLAH ‫ ﷻ‬wa RASOOL ‫ ﷺ‬aur Sahaaba wa Buzurgaan-e-deen
ki baargaah ke gustaakh wa be-adab ho jaate hain.

Lihaaza Gumraahon, Badmazhabon aur Murtaddon ke


saath uthne baithne aur unke yahaan shaadi biyaah karne
ke baare mein Qur’an-o Hadees ka hukm Ahl-e- Sunnat wa
Jama'at ko bataane ki garz se yeh risaala likh diya taa ke
woh in se door rahein aur inke yahaan rishta karke apne
Imaan ko khatre mein na daalein.

Dua hai ke Allah Ta’ala Ahl-e-Sunnat wa Jama'at ke liye is


risaale ko Mash’al-e-raah banaaye aur humko Ambiya-e-
Kiraam, Sahaaba-e-Izaam aur Buzurgaan-e-deen ke
dushmanon se har tarah door rehne ki taufeeq e rafeeq
bakhshe. Aameen

Jalaalud-Deen Ahmad Amjadi

3|P ag e| w ww. i ma ma h madr azatr ust.org


Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

Insaan Aur Musalmaan ki Qismaein

Insaan ki do qismein hain, Musalmaan aur kaafir. Phir kaafir ki bhi


do qismein hain. Kaafir e asli aur kaafir e murtad. Kaafir e asli woh
kaafir hai jo shuru hi se kalma-e-Islam ko na maanta ho. Jaise
daheriya, Majusi, Mushrik aur Yahood o Nasaara wagairah.

Aur Kaafir e murtad ki bhi do qismein hain. Murtad Mujaahir aur


Murtad Munaafiq. Murtad Mujaahir woh kaafir hai ke jo pehle
musalmaan tha phir khullam khulla Islam se phir gaya aur kalma-
e La Ilaaha Illallaah ka inkaar karke daheriya, Mushrik, Majusi ya
Kitaabi wagairah kuch bhi ho gaya.

Aur Murtad Munaafiq woh kaafir hai jo kalma-e La Ilaaha Illallaah


ab bhi padhta hai, apne aap ko musalmaan hi kehta hai magar
KHUDA wande quddoos, Huzoor SAYYED-E- AALAM ‫ ﷺ‬ya kisi
NABI ki tauheen karta hai ya deegar zarooriyaat-e-deen mein se
kisi baat ka inkaar karta hai. Kaafiron mein sab se bura yehi
Murtad Munaafiq hai ke musalmaan bankar kufr sikhaata hai aur
ALLAH ‫ ﷻ‬wa RASOOL ‫ ﷺ‬ko gaaliyaan deta hai.

Aur Musalmaan ki bhi do qismein. Saheeh Musalmaan aur


Gumraah. Saheeh Musalmaan woh hai jo zarooriyaat-e-deen ko
tasleem karne ke saath tamaam zarooriyaat-e-Ahl-e-Sunnat ko
bhi maanta ho aur Gumraah musalmaan woh badmazhab hai jo
zarooriyaat-e-Ahl-e- Sunnat mein se kisi baat ka inkaar karta ho
magar uski bad-mazhabi hadd-e-kufr ko na pahonchi ho.

4|P ag e| w ww. i ma ma h madr azatr ust.org


Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

Bad mazhab aur Ahaadees-e-Kareema:

Woh Musalmaan jo bad-mazhab hain unke baare mein Rehmat-


e-Aalam ‫ ﷺ‬ka hukm jaanne ke liye mandarja zail hadeesein
padhein.

1.Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se marwi hai ke Sarwar-e-


Kaainaat ‫ ﷺ‬ne farmaaya:

‫اذا رايتم صاحب بدعة فکفھروا یف وجھه فان ﷲ يبغض لک مبتدع‬

“Jab tum kisi bad-mazhab ko dekho to uske saamne tursh-rui se


pesh aao. Is liye ke Khuda-e-ta’ala har bad-mazhab ko dushman
rakhta hai.” (Ibn-e-Asaakir).

2.Hazrat Huzaifa RadiyAllahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke


RASOOL E AKRAM ‫ ﷺ‬ne irshaad farmaaya:

‫ال يقبل ﷲ لصاحب بدعة صوما وال صلوة وال صدقة وال جحا وال معرة والجھادا وال رصفا‬
‫والعدال خیرج نم السالم کما خترج اشعرة نم العجی‬

“KHUDA-e-TA’ALA kisi bad-mazhab ka na Roza qabool karta hai,


na Namaaz, na Zakaat, na Hajj, na Umrah, na Jihaad aur na koi
Nafl na Farz. Bad-mazhab Deen-e- Islam se aisa nikal jaata hai
jaisa ke goondhe huwe aate se baal nikal jaata hai.”
(Ibn-e-Maaja)

3.Hazrat Abu Amama Raziyallahu Anhu se marwi hai ke


SARKAAR E AQDAS ‫ ﷺ‬ne farmaaya:
‫اھل البدعة اکلب اھل النار‬
“Bad-Mazhab dozakh waalon ke kutte hain.” (Daar Qutni)

4.Hazrat Ibrahim bin MaseeraRaziyallahu Anhu se riwaayat hai ke


RASOOL E KAREEM ‫ ﷺ‬ne farmaaya:
‫نم وقرصاحب بدعة فقد اعان یلع ھدم االسال‬
5|P ag e| w ww. i ma ma h madr azatr ust.org
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

Jis ne kisi bad-mazhab ki izzat ki to is ne Islam ke dhhaane par


madad ki.
(Mishkaat Sharif)

Bad-mazhab ki taazeem se Islam ke dhhaane par madad kaise


hojaayegi?
Is sawaal ka jawaab dete huye mohaqqiq alal itlaaq Hazrat
Sheikh Abdul Haq Mohaddis Dehelwi Bukhaari Rahmatullahi
Ta’ala tehreer farmaate hain. Bad-mazhab ki izzat karne mein
sunnat ki haqaarat aur zillat hai. aur sunnat ki haqaarat Islam ki
buniyaad dhhaane tak pohoncha deti hai.
(Ash'atul Lam'aat jild 1)

5.Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke


REHMAT E AALAM‫ ﷺ‬ne hukm farmaaya:

‫ان مرضوا فال تعودومه وان ماوتا فال تشھدو مه وان لقیتمومه فال تسلموا علهیم والجیالسومه وال‬
‫تشاروبمه وال تؤالکومه وال تناکحومه والتصلوا علهیم والتصلو معھم‬
Bad-mazhab agar bimaar pade to in ki ayaadat na karo agar mar
jaaye to in ke janaaze mein shareek na ho. unse mulaaqaat ho to
unhe salaam na karo. unke saath na baitho, unke saath paani na
piyo. Unke saath khana na khao. unke saath Shaadi biyaah na
karo. unke janaaze ki Namaaz na padho aur unke saath Namaaz
na padho. (Muslim shareef)

Note: - Is Hadees Shareef ko abu Dawood ne Hazrat ibn e Umar


se aur Ibn-e Maaja ne Hazrat Jaabir se aur Aqeel-o Ibn-e Habbaan
ne Hazrat Anas se riwaayat kiya. Raziyallahu Ta’ala Anhum

Khulaasa e Ahaadees:
In tamaam Hadeeson ka khulaasa yeh hua ke saare
Musalmaanon mein bad-mazhab sab se zyaada bure hain in se
khush akhlaaqi ke saath pesh aana jaayez nahin ke KHUDA-e
TA'ALA in ko dushman rakhta hai aur in ki koi Ibaadat nahin qubool
farmaata hai chaahe farz ho ya nafl. Wo jahannamiyon ke kutte
hain. Unki izzat karna mazhab e Islam ke dhhaane par madad
karna hai.
Unka har tarah se Islami boycott kiya jaayega yaani unse kisi
6|P ag e| w ww. i ma ma h madr azatr ust.org
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

qism ka mazhabi ta'alluq rakhna jaayez nahin. Unse salaam karna


aur unke saath uthna baithna aur khaana peena jaayez nahin aur
unke yahaan Shaadi biyaah karna jaayez nahin.

SARKAAR E AQDAS ‫ ﷺ‬ka ye tamaam hukm in logon ke baare


mein hai ke jo bad-mazhab to hain magar unki bad -mazhabi had-
e kufr ko nahin pohonchi hai. Rahe woh log jo ke murtad hain to
unke baare mein sharee'at e Islamiya ka hukm bohot sakht hai.

Murtad ka hukm:

Woh murtad ke jo khullam khulla Islam se phir gaya aur kalma e


La ilaaha illallaah ka inkaar kar diya is ke baare mein hukm yeh
hai ke haakim e Islam usey teen din qaid mein rakhe, phir agar
woh tauba karke Musalmaan ho jaaye fabiha warna usey qatl
karde.
(Durre Mukhtaar wa Shaami, jild 3)
Aur woh log jo ke apne aap ko Musalmaan hi kehte hain aur
hamaari tarah Namaaz-o Roza bhi karte hain magar ALLAH ‫ ﷻ‬ke
Mehboob pyare MUSTAFA ‫ ﷺ‬ki ya kisi doosre NABI ki tauheen
karke murtad ho gaye to woh chaahe Sunni barelvi kahe jaate ho
ya wahaabi deobandi, badshaah e Islam unki tauba nahi qabool
karega yaani unhe qatl kardega. Faqeeh e Aazam hind Murshidi
Hazrat Sadarush Shariah alaihi rehmat o rizwaan tehreer farmaate
hain:
“Murtad agar irtedaad se tauba karle to us ki tauba maqbool hai
magar baaz murtaddeen maslan kisi NABI ki shaan mein
gustaakhi karne waala ke us ki tauba maqbool nahin. Tauba
qabool karne se muraad yeh hai ke tauba karne ke baad badshah
e Islam usey qatl na karega.” (Bahaar-e Sharee'at jild 9, safha 127)

Lekin NABI ‫ ﷺ‬ke gustaakh ko qatl karna choonke badshaah e


Islam ka kaam hai aur yeh hamare yahaan mumkin nahin, to ab
maujooda soorat mein Musalmaanon par yeh laazim hai ke aise
logon ka mazhabi boycott karein, un ka zabeeha NA khaayein,
unke yahaan Shaadi biyaah NA karein, unki Namaaz e janaaza na
padhe aur na Musalmaanon ke qabrastaan mein unhe dafan hone
dein.
7|P ag e| w ww. i ma ma h madr azatr ust.org
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

Khulq e Azeem:

ALLAH ‫ ﷻ‬wa RASOOL ‫ ﷺ‬ke dushmanon bad-mazhabon aur


murtadon ka mazhabi boycott karna, unse door rehna, unke
yahaan Shaadi biyaah na karna aur unke saath sakhti se pesh
aana bad-akhlaaqi nahin hai balke khulq e azeem se hai ke
KHUDAWAND Quddus aur us ke pyare MUSTAFA ‫ ﷺ‬ne hum ko
yahi hukm farmaaya hai aur hamare buzurgon ne hum ko yahi
sabaq diya hai ke bad-mazhabon aur murtadon se door raho.
Unke yahaan rishta naata karna to badi baat hai unke saath uthna
baithna bhi gawaara na karo.

Irshaad e Khudawandi hai:

"Aur agar shaitaan tum ko bhulaade to yaad aane ke baad zaalim


qaum ke paas na baitho." (Para-7 rukoo-14)

Aur KHUDA-e Ta’ala irshaad farmata hai:


"Aur zaalimon ki taraf na Jhuko ke tumhe (jahannum ki) aag
chhuyegi."
(Para-12 rukoo-10)

Aur bad-mazhabon ke baare mein NABI-E KAREEM sahib-e


khulq-e Azeem ‫ ﷺ‬ki paanch hadeese aap pehle padh chuke hain.
Is muqaam par Muslim shareef ki ek hadees aur padhein,

SARKAAR-E AQDAS ‫ ﷺ‬ne farmaaya:


"Un se door raho aur unhe apne se door rakho. kahin woh tumhe
Gumraah na karde. kahin woh tumhe fitna mein na daal de."
Aur Imam Rabbaani Mujaddid Alf e saani Hazrat Sheikh Ahmed
Sarhindi Rahmatullahi Alaihi tehreer farmaate hain:
ALLAH ‫ ﷻ‬ne Apne HABEEB-E LABEEB ‫ ﷺ‬se irshaad farmaaya
ke kufr waalon par sakhti karo, to RASOOL-E KHUDA ‫ ﷺ‬jo ke
khulq-e azeem se mausoof hain unko sakhti karne ke hukm
farmaane se ma’loom hua ke kufr waalon ke saath shiddat se pesh
aana khulq e azeem mein daakhil hai.

8|P ag e| w ww. i ma ma h madr azatr ust.org


Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

KHUDA ke dushmanon ko kutte ki tarah door rakha jaaye. unke


saath dosti wa mohabbat ALLAH ‫ ﷻ‬wa RASOOL ‫ ﷺ‬ki dushmani
tak pahoncha deti hai (kalma wa Namaaz ke sabab) aadmi
gumaan karta hai ke woh Musalmaan hai, ALLAH ‫ ﷻ‬wa RASOOL
‫ ﷺ‬par Imaan rakhta hai (is liye un se dosti aur rishta karta hai) lekin
woh yeh nahin jaanta ke is tarah ki behooda harkatein uske Islam
ko barbaad kar deti hain.

Aur Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Faazil e Barelvi


Rahmatullahi Alaihi irshaad farmaate hain:

“Ameer ul Momineen Umar Farooq e Aazam Raziyallahu Anhu


ne Masjid-e Aqdas-e NABI ‫ ﷺ‬mein Magrib ke baad kisi musaafir
ko bhooka paaya. Apne saath kaashaana e aqdas-e khilaafat mein
le aaye, uske liye khana mangaaya. Jab woh khaana khaane
baitha, koi baat bad mazhabi ki us se zaahir huwi. Fauran hukm
hua khaana utha liya jaaye aur usey baahar nikaal diya jaaye.
Saamne se khana uthwa liya aur usey nikalwa diya”.
(Al Malfuz jild 1, safa 94)

Badmazhabon aur murtadon se door rehne aur in ko apne se


door rakhne ka hukm is liye hai ke unse mel-jol rakhne aur unke
paas uthne baithne par kufr ka qawi andesha hai.
(Fatawa Razwiya jild dahum nisf aakhir safha 311 mein hai)
Imam Jalaaluddin Suyooti Rahmatullahi Alaihi Sharhus-sudoor
me farmaate hain:
“Ek shakhs raafziyon ke paas baitha karta tha uske marte waqt
logon ne usey kalma e taiyyaba ki talqeen ki. Usne kaha nahin
kaha jaata. Poocha kyun? kaha yeh do shakhs khade hain. Yeh
kehte hain to unke paas baitha karta tha jo Abu Bakr wa Umar
Raziyallahu Anhuma ko bura kehte the ab chaahta hai kalma padh
kar uthe na padhne denge.

Jab Siddiq-e Akbar wa Farooq-e Aazam Raziyallahu Ta’ala


Anhuma ke bura kehne waalon ke paas baithne waalon ki yeh
haalat hai to jo log ALLAH ‫ ﷻ‬aur RASOOLALLAH ‫ ﷺ‬ko bura kehte
hain, inki tanqees-e shaan karte hain aur inhe tarah tarah ke aib
lagaate hain, unke paas baithne waalon ko kalma naseeb hona
aur bhi dushwaar hai”.
9|P ag e| w ww. i ma ma h madr azatr ust.org
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

Aur jab aise logon ke paas baithne waalon ko kalma naseeb


hona dushwaar hai to jo log unke yahan rishtedaari karke dosti wa
mohabbat ka qila qaayam karte hain unko kalma naseeb hona aur
zyada dushwaar hai. KHUDA-e Azza wa Jal aise logon ko Imaan
ki mohabbat ataa farmaye, Aameen!

Galat fehmi:

Bohot se log yeh samajhte hain ke jo shakhs Musalmaan ke ghar


paida huwa aur uska naam Musalmaanon ki tarah hai to woh
chaahe jaisa aqeeda rakhe aur ALLAH ‫ ﷻ‬wa RASOOL ‫ ﷺ‬ki shaan
mein jo chaahe bake sachcha pakka Musalmaan hi rahega
badmazhab-o Gumraah aur Kaafir-o Murtad nahin hoga, to yeh
badi galat fehmi hai.

Ibn-e Jareer, Tibraani, Abu Ashshaikh aur Ibn-e Mardoya


Raeesul Mufassireen Hazrat Abdulla bin Abbas Raziyallahu Ta’ala
Anhuma se riwaayat karte hain ke kuch log RASOOL-E AKRAM
‫ ﷺ‬ki shaan mein gustaakhi ka lafz bole. HUZOOR ‫ ﷺ‬ne unse
mutaalba farmaaya to un logon ne qasam khaayi ke hum ne koi
kalma HUZOOR ‫ ﷺ‬ki shaan mein be-adabi ka nahin kaha hai, is
par yeh aayat e kareema naazil huyi.
"ALLAH ki qasam khaate hain ke unhone nahin kaha, Aur
beshak zaroor unhone kufr ki baat kahi aur Islam mein aane ke
baad kaafir hogaye."
(Para-10, Rukoo-16)

Dekhiye! ALLAH TA'ALA ne khullam khulla farmaaya:


woh log Musalmaan the, kalma padhne waale the aur Namaaz-
o Roza karne waale the magar HUZOOR SAYYAD-E AALAM ‫ ﷺ‬ki
shaan mein gustaakhi ka lafz bolne ke sabab kaafir hogaye,
Musalmaan nahin rah gaye.

Aur Ibn e Abi Shaiba, Ibn-e Almunzar, Ibn-e Abi Haatim aur Abu
Ash Shaikh Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Ta’ala Anhu
ke shaagird-e khaas Hazrat Imam Mujaahid Raziyallahu Ta’ala
anhu se riwaayat karte hain ke SARKAAR-E AQDAS ‫ ﷺ‬ne ek
10 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

shakhs ki gum-shuda oontni ke baare mein farmaaya ke woh


falaan jangal mein hai. Is par ek shakhs ne kaha UNKO gaib ki kya
khabar? HUZOOR ‫ ﷺ‬ne us shakhs ko bulaakar daryaaft farmaaya
to usne kaha hum to aise hansi mazaaq kar rahe the, is par yeh
aayat e mubaaraka naazil huwi.

"Aur Aye Mahboob agar tum un se poocho to kahenge ke hum to


yun hi hansi khel mein the Tum farma do kya ALLAH, aur Is ki
aayaton aur US ke RASOOL se Hanste Ho? Bahaane na banao.
Tum Kafir Ho Chuke Musalmaan Ho Kar".
(Para-10 Rukoo-14)

Is aayat-e kareema mein bhi waazah taur par farmaaya gaya yaani
kufr ka kalma zabaan se nikaalne ke sabab momin hone ke baad
kaafir hogaye. Lihaaza yeh samajhna bohat badi jahaalat hai ke
Musalmaan ALLAH ‫ ﷻ‬wa RASOOL ‫ ﷺ‬ki tauheen kare to bhi woh
Musalmaan hi rahega kaafir nahin hoga.

Aur HUZOOR ‫ ﷺ‬ke wisaal farmane par kuch logon ne kaha hum
kalma wa Namaaz padhenge aur sab kuch karenge magar zakaat
nahin denge yaani zakaat ki farziyat ka aeteqaad jo zarooriyat-e
deen mein hai iska inkaar kar diya to kalma-o Namaaz padhna
inhe kuch kaam na aaya aur woh murtad ho gaye jaisa ke
Mohaqqiq Alal Itlaaq Hazrat Sheikh Abdul Haq Mohaddis Dehalvi
Bukhaari Rahmatullahi Alaihi ne tehreer farmaaya.
Musailma ke saathi aur manaen-e zakaat murtad huye.
(Ashatul Lama’at, jild 1 l,safa 83)

Aur ALLAH ‫ ﷻ‬ke MEHBOOB ‫ ﷺ‬ki Azmat ka aeteqaad aham


zarooriyaat-e deen mein se hai. lihaaza jo log HUZOOR ‫ ﷺ‬ki
tauheen-o be-adabi karke UNKI azmat ka inkaar kar rahe hain woh
ba-darja-e Aula murtad hain. Kalma aur Namaaz unhe murtad
hone se nahin bacha sakega.

Aur Hazrat Abu Saeed Khudri Raziyallahu Ta’ala Anhu se


riwaayat hai, woh farmaate hain ke hum log HUZOOR ‫ ﷺ‬ki khidmat

11 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

mein haazir the aur HUZOOR ‫ ﷺ‬maal-e ganeemat taqseem farma


rahe the ke Zul Khawesra naam ka ek shakhs jo qabeela-e Bani
Tameem ka rehne waala tha aaya aur kaha aye ALLAH ke
RASOOL! insaaf se kaam lo. HUZOOR ‫ ﷺ‬ne farmaaya teri
jasaarat par afsos. Mai hi insaaf nahin karunga to aur kaun insaaf
karne waala hai. Agar Mai insaaf na karta to tu khaayeb-o Khaasir
ho chuka hota. Hazrat Umar Raziyallahu Ta’ala Anhu ne arz kiya
YA RASOOLULLAH! mujhe ijaazat dijiye ke main is ki gardan
maar dun to HUZOOR ‫ ﷺ‬ne farmaaya.
Usey chhod do us ke bohot saathi hain jin ki Namaazon aur
rozon ko dekh kar tum apni Namaazon aur rozon ko haqeer
samjhoge. Woh Qur’an padhenge magar Qur’an unke halaq se
nahin utrega. (in zaahiri khoobiyon ke ba-wajood) woh Deen se
aise nikle honge jaise teer shikaar se nikal jaata hai.
(Bukhari shareef, jild 1, safa 509)

Aur Hazrat Abu Saeed Khudri wa Anas bin Maalik Raziyallahu


Ta’ala Anhuma se riwaayat hai ke RASOOL-E KHUDA ‫ ﷺ‬ne
farmaaya:

Anqareeb MERI ummat mein ikhtilaaf-o iftiraaq waaqae hoga. Ek


giroh niklega jo achchi baatein karega lekin kirdaar gumraah-kun
aur kharaab hoga. Woh Qur’an padhenge magar Qur’an un ke
halaq ke neeche nahin utrega. Woh Deen se aise nikal jaayenge
jaise teer shikaar se nikal jaata hai.
(Mishkaat shareef, safha 308)
In Ahaadees-e Kareema se bhi maaloom hua ke HUZOOR ‫ ﷺ‬ke
farmaane ke mutaabiq bohot se log aise honge jin ki Namaaz aur
Rozon ke saamne Musalmaan apni Namaaz aur Rozon ko haqeer
samjhenge. Woh log Qur’an bhi padhenge magar iske ba-wajood
woh Deen se nikle huwe honge. Jab woh zarooriyaat-e Ahle
Sunnat ya zarooriyaat-e deen mein se kisi baat ka inkaar karenge
to Namaaz-o Roza aur Qur’an ka padhna unhe badmazhab aur
murtad hone se nahi bacha sakega.

Murtadon se rishte:
ALLAH ‫ ﷻ‬wa RASOOL ‫ ﷺ‬aur Auliya-e kiraam wa Buzurgaan-e
deen ki shaan mein gustaakhi karne waala murtad, Ahl-e Sunnat
Wa jamaat ke yahaan Shaadi biyaah karne ki ziyada koshish karta
12 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

hai is liye ke is tarah woh apne rishtedaar ko be-deen banaane


mein aasaani ke saath kamyaab ho jaata hai, aur naam nihaad
sunni ALLAH wa RASOOL ‫ ﷺ‬aur Buzurgaan-e Deen ki mohabbat
ka jhoota daawedaar unke dushmanon ke yahaan rishta kar leta
hai. Haalaanke unke saath Shaadi karna zinakaari ka darwaza
kholna hai is liye ke murtad ke saath nikah jaayez hi nahin hota
jaisa ke Fatawa-e Aalamgeeri jild awwal matbooa-e Misr safha
263 mein hai.

Murtad ka nikah murtada, muslima aur kaafir-e asliya kisi se


jaayez nahin. Aise hi murtada ka nikah kisi se nahin ho sakta. Isi
tarah Imam Muhammad Rahmatullahi Alahi ki kitab-e Mabsoot
mein hai.

Hairat hai ke Sunni apne baap dada ke dushmanon se rishta


nahin karta magar ALLAH ‫ ﷻ‬wa RASOOL ‫ ﷺ‬aur Buzurgaan-e
deen ke dushmanon ke yahaan Shaadi biyaah karne mein koi
rukaawat nahin mehsoos karta, aur jab unke yahaan rishta karne
se manaa kiya jaata hai to kehta hai ke ab woh zamaana nahin
raha ke unke yahaan Shaadi karne se roka jaaye.

Aise log jab aur taraqqi karenge to hinduon ke yahaan rishta


karne se bhi inko koi aiteraaz na hoga jaisa ke aajkal baaz naam
nihaad taraqqi yaafta Musalmaan gair Muslimon ke yahaan
Shaadi karne lage hain.
Aur phir aise log jab aur bhi zyada taraqqi kar jaayenge to apni
behen beti ko bhi biwi banaakar rakh lene mein koi rukaawat nahin
hogi, aur jab manaa kiya jaayega to yahi kahenge ke ab woh
zamaana nahin raha jaisa ke baaz taraqqi yaafta mumaalik ke log
behen aur beti ko biwi banaakar rakhne lage hain.
‫و العیاذ اب تعال‬
Ba’az jaahil gawaar kehte hain ke ladki laane mein koi harj nahin
albatta unko ladki dena galat hai. haalaan ke ladki ho ya ladka kisi
ka rishta unse jaayez nahin jaisa ke Fatawa-e Aalamgeeri ke
hawale se abhi guzra.
Aur phir ladki dene mein to sirf ek fard ko murtad ke hawaale
karna hai aur murtad ki ladki laane mein apne ladke aur uski
aulaad ko irtidaad ke raaste par khada karna hai, is liye ke aksar

13 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

yehi hota hai ke jis Sunni ladke ki biwi murtad ke yahaan se laayi
gayi kuch dinon ke baad woh behki behki baatein karne lagta hai
aur uski aulaad naani naana ka asar qabool kar leti hai, murtad ka
murdaari zabeeha khaati hai, unhi ka taur wa tareeqa ikhtiyaar
karti hai, yahaan tak ke kuch dinon baad woh waqt aa jaata hai ke
poora ghar be-deen ho jaata hai.
Khulaasa yeh hai ke murtad ki ladki laana inko ladki dene se
zyada khatarnaak hai ke is tarah sunniyat ko zyada nuqsaan
pohonchta hai.

Shaitaani fareb:

Jab koi naam nihaad Sunni kisi murtad ke yahaan rishta karna
chaahta hai to duniya-daar maulvi shaitaani fareb se kaam leta
hai, yaani tauba karwa ke nikah padha deta hai aur paise lekar
apna raasta pakadta hai aur tauba karne waala murtad badastoor-
e saabiq apne puraane tareeqe par rehta hai.

Isiliye Shari'at-e Mutahhara ka yeh hukm hai ke tauba ke baad


fauran uske saath nikah nahin kiya jaayega balke kuch dinon usey
dekha jaayega ke apne tauba par woh qaayem hai ya nahin. Jaise
koi faasiq-e Moallin tauba karle to fauran usey Imaam nahin bana
diya jaayega. Fatawa-e Razwiya, Jild suwwam, safha 213 mein
hai ke Fatawa-e Qazi Khan phir Fatawa-e Aalamgeeri mein hai:

Faasiq tauba karle tab bhi uski gawaahi nahin qabool ki jaayegi
jab tak ke itna waqt na guzar jaaye ke use par tauba ka asar zaahir
ho.

Aur Aala Hazrat Imam-e Ahl-e Sunnat Faazil-e Barelvi


Rahmatullai Ta’ala Alahi tehreer farmaate hain: Ameerul
Momineen Ghaizul Munaafiqeen Imaamul Aadileen Sayyedna
Umar Farooq-e Aazam Raziyallahu Ta’ala Anhu ne jab Subeeg
se jis par ba-wajah behes mutashaabihaat bad-mazhabi ka
andesha tha baad-e zarb-e shadeed tauba li. Abu Moosa Ash’ari
Raziyallahu Ta’ala Anhu ko farmaan bheja ke Musalmaan iske
paas na baithein, is ke saath khareed-o farokht na karein, bimaar

14 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

pade to iski ayaadat ko na jaayein aur mar jaaye to iske janaaze


par haazir na ho. Ba-taameel-e hukm ahkam ek muddat tak yeh
haal raha ke agar sau aadmi baithe hote aur woh aata sab
mutafarriq (titar-bitar) ho jaate. Jab Abu Moosa Ash’ari Raziyallahu
Ta’ala Anhu ne arzi bheji ke ab is ka haal achha ho gaya us waqt
ijaazat farmaayi.
(Fatawa e Razwiya, jild suwwam, safha 213)

Dekhiye! Subeeg sirf aayat-e mutashaabihaat ke misl mein


behes kiya karta tha, woh murtad nahin tha balke us par sirf bad-
mazhabi ka andesha tha magar is ke ba-wajood Hazrat Umar
Farooq-e Aazam Raziyallahu Ta’ala Anhu ne tauba ke baad bhi
us ka sakht boycott kiya jab tak ke itmenaan nahin ho gaya.

Lihaaza murtad aur bad-mazhab ko tauba karaane ke baad


badarja-e aula kayi baras tak dekha jaayega. Jab us ki baat-cheet
aur taur-o tareeqe se khoob itminaan ho jaaye ke woh Ahl-e
Sunnat-o jamaat ka aadmi ho gaya tab us ke saath nikah kiya
jaayega warna nahin. Lihaaza jo shakhs murtad ya murtadda ko
tauba karaane ke baad fauran un ke saath apne ladka ladki ka
aqad kare aur jo Maulvi aisa nikah padhe Musalmaanon ko
chaahiye ke un donon ka mazhabi boycott kare aur aise duniya
daar maulvi ke peeche Namaaz na padhein.

Badmazhab aur murtad kaun?

Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke


Sarkaar-e Aqdas ‫ ﷺ‬ne farmaaya:

Aakhri zamaane mein kuch log fareb dene waale honge. Woh
tumhare saamne aisi baatein laayenge jin ko na tum ne kabhi suna
hoga, na tumhare baap dada ne. To aise logon se bacho aur inhe
apne qareeb na aane do taake woh tumhe Gumraah na kardein
aur fitne mein na daalein.
Hazrat Sheikh Abdul Haq Mohaddis Dehalvi Bukhari
Rahmatullahi Ta’ala Alaihi is Hadees Shareef ki sharah mein
tehreer farmaate hain:

“Yaani bohot log honge jo makkaari wa fareb se Ulema,


15 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

Mashaaikh aur Sulaha bankar apne aap ko Musalmaanon ka khair


khwaah aur musleh (‫ ) ُمصلِح‬zaahir karenge taake apni jhooti
baatein phailaayein aur logon ko apne baatil aqeedon aur faasid
khayaalon ki taraf bulaayein.
(Ash’atul Lamaat, jild awwal, safha 133)

Is Hadees Shareef se HUZOOR ‫ ﷺ‬ne aakhri zamaana mein jin


dajjaalon aur kazzaabon ke paida hone ki khabar di thi, maujooda
zamaana mein in ke mukhtalif giroh paaye jaate hain jo
Musalmaanon ke saamne aisi baatein bayaan karte hain ke in ke
baap dada ne kabhi nahin suna hai. Yahi log badmazhab aur
murtad hain.

Jin mein se chand yeh hain....

1)Chakdaalvi:

Yeh giroh apne aap ko ahle Qur’an kehta hai. Inka aqeeda hai
ke HUZOOR ‫ ﷺ‬sirf elchi (postman) hain aur bas. Khullam khulla
saari hadeeson ka inkaar karta hai yaani ALLAH ke MEHBOOB ‫ﷺ‬
ki farmaabardaari ko nahin tasleem karta–MA'AZALLAH. Yeh
woh baatein hain jin ko hamare baap dada ne kabhi nahin suna
tha balke in ko KHUDA-E TA'ALA ne yeh hukm diya hai. "Aye
Imaan waalon! ALLAH ki itaa’at karo aur RASOOL ‫ ﷺ‬ki
farmabardaari karo".
(Para-5 rukoo-5)

2) Qaadyaani:

Yeh log mirza gulam ahmed ko Mehdi, NABI aur RASOOL ‫ﷺ‬
maante hain. HUZOOR SAYYED-E AALAM ‫ ﷺ‬ke baad doosre
NABI ka paida hona jaayez thehraate hain-
‫معاذ ﷲ‬
Yeh woh baatein hain jin ko hamaare aaba wa ajdaad ne kabhi
nahin suna tha. KHUDAWANDE QUDDUS ne in se yeh farmaaya
tha:
"MUHAMMAD ‫ ﷺ‬tumhare mardon mein se kisi ke baap nahin,
haan ALLAH ke RASOOL hain aur sab Nabion ke pichle.
(Para-22, Rukoo-2)

16 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

Aur NABI-E KAREEM ‫ ﷺ‬ne unhe bataya tha:

"MAIN khaatimul Ambiya hoon. MERE baad koyi naya NABI


nahin hoga".
(Mishkaat Shareef, safha 465)

Yaani HUZOOR ‫ ﷺ‬par NABIYON ki paidaaish ka silsila khatm


ho gaya. AAP ‫ ﷺ‬ne baab e Nabuwwat par mohar laga di. Ab AAP
‫ ﷺ‬ke baad koyi NABI hargiz nahin paida hoga.
3)Raafzi:

Yeh woh giroh apne aap ko shia kehta hai, yeh log Afzalul
Bashar baad’al Ambiya Hazrat Abu Bakr Siddiq, Hazrat Umar
Farooq-e Aazam, Hazrat Usman Ghani aur bahut se Sahaaba-e
Kiraam Rizwaanullaahi Alaihim Ajmaeen ko bura bhala kehte hain
aur in ko khullam khulla gaaliyaan dete hain. MA'AZALLAH.
Yeh woh baatein hain jin ko hamare baap dada ne kabhi nahin
suna tha. in ko Qur’an e kareem ne yeh bataaya tha:

"KHUDA-E TA'ALA ne saare Sahaaba se bhalaayi ka waada


farmaaya hai yaani Jannat ka."

Aur Qur’an-e Kareem ne in se yeh Irshaad farmaaya tha:


"ALLAH TA’ALA Sahaaba-e Kiraam se Raazi hai aur woh ALLAH
se raazi hain. KHUDA-E TA’ALA ne in ke liye aise baagaat
taiyyaar kar rakhe hain jin ke neeche nehre jaari hain. Woh log in
mein hamesha rahenge yahi bohot badi kaamyaabi hai."

Aur SARKAAR-E AQDAS ‫ ﷺ‬ne in ko yeh hukm diya tha:


"MERE Sahaaba ki izzat karo is liye ke woh tum sab se behtar
hain."
(Mishkaat Shareef, safha 554)
Aur HUZOOR ‫ ﷺ‬ne in se yeh irshaad farmaaya tha:
"MERE as’haab ke baare mein ALLAH Ta’ala se daro, ALLAH
ta’ala se daro. MERE baad unhe nishaana-e aitraaz na banaana."

Aur NABI-E AKRAM ‫ ﷺ‬ne unhe yeh hukm farmaaya tha:


"MERE Sahaaba ko gaali na do."
(Bukhari-Muslim-Mishkaat, safha 553)

17 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

Raafzi Sahaaba-e Kiraam ko gaaliyaan dene ke alaawa aur bhi


bohot se kufri aqeede rakhte hain yahaan tak ke in mein ke baaz
firqe Hazrat Ali Karramallaahu Ta’ala wajjahul Kareem ko KHUDA
qaraar dete hain.
‫معاذ ﷲ‬

Tafseel ke liye "Tohfa-e Asna Ashriya" dekhein.

4)Khaarji:

Is giroh ko yazeedi bhi kaha jaata hai. Yeh log Hazrat Ali
Raziyallahu Ta’ala Anhu ko bura bhala kehte hain, nawasa-e
RASOOL Hazrat Imam Husain raziyallahu Ta’ala Anhu ko baagi
qaraar dete hain aur Un ki shaan mein tarah tarah ki gustaakhi aur
be-adabi karte hain– aur yazeed paleed jis ne Kaba-e Moazzima
aur Roza-e Munawwara ki sakht be-hurmati ki, Masjid-e Nabvi
mein ghode bandhwaaye jin ki leed aur peshab Mimbar-e Aqdas
par pade, hazaaron Sahaaba aur Taba'een ko begunaah shaheed
kiya. Madeena Taiyyaba ki paak daaman paarsa aurton ko teen
roz apne khabees lashkar par halaal kiya aur jigar paara-e Rasool
farzand-e batool Hazrat Imam Husain Raziyallahu Ta’ala Anhu ko
teen din be-aab wa daana rakh kar maidaan-e Karbala mein pyasa
zibah kiya aur phir baad-e Shahaadat Un ke tan-e Naazneen par
ghode daudaaye gaye yahaan tak ke un ki haddiyaan chakna
choor ho gayin. (Dekhiye Fatawa e Razwiya, jild 6, safha 107) magar jis ne
yeh sab kuch kiya aise yazeed khabees ko yeh khaarji jannati
qaraar dete hain aur usey Ameerul Momineen wa Raziyallahu
Ta’ala Anhu kehte hain. MA'AZALLAH.

5) Wahabi Deobandi:

Is giroh ka aqeeda yeh hai ke jaisa ilm HUZOOR ‫ ﷺ‬ko haasil hai
aisa ilm to bachhon, paagalon aur jaanwaron ko bhi hai. Jaisa ke
devbandiyon ke peshwa Maulvi Ashraf Ali Thaanvi ne HUZOOR ‫ﷺ‬
ke liye Qul Ilm-e Gaib ka inkaar karte huwe sirf baaz Ilm-e Ghaib

18 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

ko saabit kiya phir baaz ilm-e Ghaib ke baare mein yun likha ke.
“Is mein HUZOOR ‫ ﷺ‬ki kya takhsees hai aisa ilm to zaid-o amr
balke har sabi-o majnu balke jamee haiwaanaat-o bahaayem ke
liye bhi haasil hai.
(Hifzul Imaan, safha-8)”
MA'AZALLAH.

Is giroh ka ek aqeeda yeh bhi hai ke HUZOOR SAYYAD-E


AALAM ‫ ﷺ‬Khaatimul Ambiya nahin hain. Aap ke baad doosra
NABI ho sakta hai jaisa ke Molvi Qaasim Naanotvi, baani Daarul
Uloom Devband ne likha hai ke “Awaam ke khayaal mein to
RASOOLULLAH ‫ ﷺ‬ka khaatim hona ba'een maana hai ke AAP ka
zamana-e Ambiya-e saabiq ke zamane ke baad aur AAP ‫ ﷺ‬sab
mein aakhri NABI hain magar ahl-e faham par roshan hoga ke
taqaddum ya ta'akhur zamaane mein bizzaat kuch fazeelat nahin.
(Tahzeer un-Naas, Safha 3)”

Is ibaarat ka khulaasa yeh hai ke khaatimun Nabiyyeen ka yeh


matlab samajhna ke AAP ‫ ﷺ‬sab mein aakhri NABI hain yeh naa-
samajh aur gawaaron ka khayaal hai, aur aage phir yun likha ke
“Agar Bil farz baad-e zamana-e Nabvi ‫ ﷺ‬koi NABI paida ho to phir
bhi khaatmiyat-e Muhammadi mein kuch farq na aayega.
(Tehzeer un naas)”
‫معاذ ﷲ‬

Is ibaarat ka khulaasa yeh hai ke HUZOOR ‫ ﷺ‬ke baad doosra


NABI paida ho sakta hai. ‫والعیاذ ابﷲ تعال‬
Is giroh ka ek aqeeda yeh bhi hai ke shaitaan aur Malakul maut
ke ilm se HUZOOR SAYYAD-E AALAM ‫ ﷺ‬ka ilm kam hai. Jo
shakhs shaitaan-o Malakul maut ke liye wasee ilm maane woh
momin Musalmaan hai lekin SARWAR-E KAAINAAT ‫ ﷺ‬ke ilm ko
wasee aur zaayed maanne waala mushrik be-Imaan hai. Jaisa ke
is giroh ke peshwa Maulvi Khalil Ahmed Ambethi ne likha ke
“Shaitaan wa Malakul maut ko wus’at nass se saabit huwi Fakhr-
e Aalam ‫ ﷺ‬ke wus’at-e ilm ki kaun si nass-e qatai hai jis se tamaam
nusoos ko radd karke ek shirk saabit karta hai.
(Baraheen qat’aa, safha 51)”
‫معاذ ﷲ‬
19 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

Aur in logon ka ek aqeeda yeh bhi hai ke HUZOOR ‫ ﷺ‬mar kar


mitti mein mil gaye hain, jaisa ke Taqweeyatul Imaan, safha 79 par
likha hai.
‫معاذ ﷲ‬

Mazkoora baala aqeedon ke alaawa aur bhi is giroh ke bohot se


kufri aqaid hain. Is liye Makka Moazzima, Madeena Taiyyaba,
Hindustan, Pakistan, Burma aur Bangladesh ke sekdon Ulma-e
kiraam-o Muftiyaan-e Uzzaam ne in logon ki kaafir-o murtad hone
ka fatwa diya hai.

Tafseel ke liye Fatawa Husaamul Harmain aur As Sawaaramul


Hindiya ka mutaala karein.

6)Wahaabi gair muqallid:

Yeh giroh apne aap ko Ahl-e Hadees kehlaata hai jo wahaabiyon


devbandiyon ki ek shaakh hai. In ke tamaam kufriyaat mein
shareek hai aur yeh log Hazrat Imaam-e Aazam Abu Haneefa aur
Hazrat Imaam Shaafa'i wagaira Aimma-e deen Raziyallahu Ta’ala
Anhuma ko bura-bhala kehte hain. Aur in logon ka ek aqeeda yeh
bhi hai ke Hazrat Ghaus-e Aazam Sheikh Abdul Qaadir Jeelaani,
Hazrat Khwaaja Moinuddin Ajmeri, Hazrat Qutbuddin Bakhtiyaar
kaaki, Hazrat Fareeduddin Ganj Shakar, Hazrat Mehboob-e Ilaahi
Nizaamuddin Auliya, Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangeer
Samnaani Kachauchwi, Hazrat Imaam Rabbaani Sheikh Ahmed
Sarhindi Mujaddid Alf-e Saani, Hazrat Sheikh Abdul Haq
Mohaddis Dehalvi Bukhari aur Hazrat Makhdoom Maahimi
wagaira saare buzurgaan-e deen Rizwaanullaahi Ta’ala Alaihim
Ajmaeen Gumraah wa badmazhab the, is liye ke yeh sab ke sab
muqallid the aur kisi Imam ki taqleed inke (wahaabi gair
muqallidon ke) nazdeek Gumraahi wa badmazhabi hai. ‫معاذ ﷲ‬
7)Tableegi jamaat:

Is giroh ke bhi saare aqeede wohi hain jo wahaabiyon


devbandiyon ke hain. Magar yeh log Ahl-e Sunnat-o jamaat ko
20 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

apna hum aqeeda banaane ke liye azraahe fareb sirf Kalma-o


Namaaz ka naam lete hain. Aur jab koyi Sunni dhoke se inki
jamaat mein shaamil ho kar in ke zaahiri aa'maal se mutaassir ho
jaata hai to phir yeh log aasaani ke saath usey pakka wahaabi
banaakar ALLAH ‫ ﷻ‬wa RASOOL‫ ﷺ‬ki baargaah ka gustaakh bana
lete hain.

8)Maudoodi jamaat:

Yeh giroh apne aap ko jamaat-e Islami kehlaata hai. Yeh bhi
wahaabiyon devbandiyon ki ek shaakh hai yaani buniyaadi taur
par dono ek hain. Is ke alaawa is jamaat ke baani Abul-aalaa
Maudoodi ne tamaam Ambiya-e kiraam khususan Hazrat NOOH,
Hazrat YUSUF, Hazrat MOOSA, Hazrat DAWOOD aur Hazrat
YOUNUS yahaan tak ke SAYYAD-UL AMBIYA HAZRAT
MUHAMMAD MUSTAFA ‫ ﷺ‬ki shaan mein gustaakhi wa be- adabi
ki hai.
Aur tamaam Sahaaba-e kiraam khaas kar Hazrat Abu Bakr
Siddique, Hazrat Umar Farooq, Hazrat Usman Ghani aur Hazrat
Khalid bin Waleed Raziyallahu Ta’ala Anhum par nukta cheeni
karke unki tauheen ki hai, aur Raafziyon ko khush karne ke liye
Sahaabi-e Rasool kaatib-e Wahi Hazrat Ameere Muawiya
Raziyallahu Ta’ala Anhu ki zaat par aise ilzaamaat lagaaye hain
ke Musalmaan to Musalmaan kaafir bhi Sharma jaaye aur
Ummahaatul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa wa Hazrat Hafsa
RadiyAllahu Ta’ala Anhuma ko zabaan daraaz qaraar diya hai.
Note: Abul Aala Maudoodi ki in saari gustaakhiyon aur be-
adabiyon ki tafseel kitaabon ke naam aur unki jild-o safha ke
hawaalon ke saath jaanne ke liye kitaab “Jamaat-e Islami” tasneef
Hazrat Allama Arshadul Qaadri Qibla aur kitaab “Do Bhai
Maudoodi aur Khomaini” ka muta'ala karein.

Allah Aur Malaaika ki Laanat:

Chakdaalwiyat, Qaadyaaniyat, Raafziyat, Wahaabiyat,


Devbandiyat aur Ghair Muqalladdiyat wagairah Ahl-e Sunnat-o
Jamaat ke khilaaf jitne firqe hain maujooda zamaane ke zabardast

21 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

fitne hain. Har padhe-likhe logon par umooman aur Aalimon,


Peeron par khusoosan laazim hai ke woh awaam-e Ahl-e Sunnat
ko in fitnon se aagaah karein, aur SARKAAR-E AQDAS ‫ ﷺ‬ke
irshaadaat ke mutaabiq inke yahaan uthne baithne se rokein aur
unke yahaan Shaadi biyaah karne se sakhti ke saath mana karein.
agar woh aisa nahin karenge aur sab logon ki laanat ke mustahaq
honge aur inka koyi farz-o nafl qabool na hoga jaisa ke Hadees
Shareef mein REHMAT-E AALAM ‫ ﷺ‬ne farmaaya:
"Jab fitne zaahir ho aur har taraf be-deeni phailne lage aur aise
mauqe par Aalim-e Deen apna ilm zaahir na kare aur apni kisi
maslihat ya mafaad ki laalach mein khaamosh rahe, to is par
ALLAH ki aur tamaam Farishton ki aur saare Insaanon ki laanat
hai. ALLAH na is ka farz qabool karega aur na is ki nafl." Aur
Mohaddiseen-e Kiraam, Mujtahideen-e Aalaam, Fuqha-e Izaam,
Mujaddideen Zawil-ehteraam aur Aimma-e Islam khususan Imam
Ghazaali, Hazrat Imam Rabbaani Mujaddid Alf-e Saani aur Hazrat
Shah Waliullaah Mohaddis Dehalvi par nukta cheeni karke unki
be-adabi ki hai. Yahaan tak ke Qur’an-e Kareem ke baare mein
likha ke woh najaat ke liye nahin balke hidaayat ke liye hai–jis ka
matlab yeh huwa ke jo shakhs najaat chaahe woh koi aur kitaab
talaash kare.
‫والعیاذ ابہلل تعال‬

HUZOOR ‫ ﷺ‬ke raaste par nahin:

Jo log ke Musalmaanon ko fitnon mein padte huwe dekh rahe


hain ke woh badmazhabon aur murtaddon ke yahaan Shaadi
biyaah karke Gumraah wa murtad ho rahe hain aur ALLAH ‫ ﷻ‬wa
RASOOL ‫ ﷺ‬ki baargaah ke gustaakh ban rahe hain, magar woh
log qudrat ke baawajood awaam mein maqbooliyat haasil karne,
zyada se zyada aamdani hone ya aur kisi mafaad ke pesh e nazar
khaamosh rehte hain aur aisi zabardast Buraayi ke jis se log kufr
wa irtedaad mein mubtela ho jaate hain, manaa nahin karte woh
yaqeenan HUZOOR SAYYAD-E AALAM ‫ ﷺ‬ke raaste par nahin
hain, jaisa ke Tirmizi mein Hazrat Ibn-e Abbas Raziyallahu Ta’ala
Anhu se Hadees Shareef marwi hai ke khud NABI-e KAREEM ‫ﷺ‬
irshaad farmaate hain:
"Jo Musalmaan hamaare chhoton par meharbaani na kare,

22 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

hamare badon ki taazeem na kare, achhi baat ka hukm na de aur


buri baat se na roke woh hamare raaste par nahin."
(Mishkaat Shareef, safha 423)
Aur aise log Naayeb-e RASOOL ‫ ﷺ‬nahi sirf naam ke Aalim hain.
Is liye ke RASOOL ‫ ﷺ‬logon ko Gumraahi wa badmazhabi se
bachaane aur inko saheeh raaste par chalaane ki fikr mein din raat
laga rehta hai. Lihaaza jo Aalim inke naqsh e qadam par chale aur
inka raasta ikhteyaar kare wohi naayeb-e RASOOL ‫ ﷺ‬hai warna
duniya kamaane ke liye woh sirf naam ka Aalim hai.

Sab se Kamzor Imaan waala:

Acchi baat ka hukm dena aur buri baat se rokna Musalmaanon


par waajib hai jaisa ke Hazrat Shaikh Abdul Haq Mohaddis Dehlvi
Bukhari Rahmatullahi Ta’ala Alaihi tehreer farmaate hain:
"Achhaayi ka hukm dena aur Buraayi se rokna waajib hai. Is par
Ummat ka ijmaa’ hai."
(Ash'atul lamaat, jild 4, safha 173)
Lihaaza agar koi haath aur zabaan se Buraayi na rok sake aur
sirf dil se bura jaane to woh sab se kamzor Imaan waala hai. Jaisa
ke Muslim shareef mein Hazrat Abu Saeed Khudri Raziyallahu
Anhu se Hadees Shareef marwi hai ke SARKAAR-E AQDAS ‫ ﷺ‬ne
irshaad farmaaya:

"Jo shakhs koyi baat khilaaf-e Shar'a dekhe to usey apne haath
se rok de. Aur agar apne haath se rokne ki qudrat na ho to zabaan
se manaa kare. Aur agar zabaan se bhi manaa karne ki qudrat na
ho to dil se bura jaane aur yeh sab se kamzor Imaan hai."
(Mishkaat Shareef, safha 436)

Buraayi Na rokne par azaab:

Bohot se Musalmaan is galat fehmi mein mubtela hain ke agar


log bura kaam kar rahe hain to woh us ka jawaab denge. Hum se
kya garz? Aur yeh soch kar woh khaamosh rehte hain ke kuch
nahin bolte. Balke baaz log to Buraayi rokne waale ki mukhaalifat
karte hain aur kehte hain aap se kya matlab? haalaan ke is

23 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

Buraayi se rokna sab logon par laazim hai. Agar qudrat ke


baawajood nahi rokenge to sab par azaab naazil hoga. jaisa ke
Ibn-e Adi Kindi Raziyallahu Ta’ala Anhu se Hadees Shareef
riwaayat hai ke HUZOOR SAYYAD-E AALAM ‫ ﷺ‬ne farmaaya:

"ALLAH TA’ALA sab logon ko baaz logon ke amal ke sabab


azaab nahi deta magar jab ke woh apne darmiyaan bure kaam
hote dekhein aur usey rokne ki taaqat rakhte huwe na rokein. Agar
unhone aisa kiya to KHUDA-E TA’ALA aam aur khaas sab ko
azaab dega."
(Mishkaat shareef, safha 438)
Yaani agar kuch log koyi gunaah karein to is ke sabab Allah
Ta’ala doosron par azaab nahi farmaata lekin Buraayi dekh kar
chup rehna aur ise na mitaana aisa gunaah hai ke is ke sabab
Buraayi karne waale aur chup rehne waale donon par azaab naazil
farmaata hai. Buraayi karne waale par Buraayi ke sabab aur chup
rehne waalon par chup rehne ke sabab.
Aur Tirmizi Shareef mein Hazrat Huzaifa Raziyallahu Anhu se
Hadees Shareef marwi hai ke NABI-E AKRAM ‫ ﷺ‬ne farmaaya:

"Qasam hai US zaat ki jis ke qabza-e qudrat mein MERI jaan


hai, tum zaroor achhi baaton ka hukm karna aur bure kaamon se
manaa karte rehna. Warna anqareeb ALLAH TA’ALA tum par
Apne paas se azaab bhej dega. Phir tum US se dua karoge to
tumhari dua qabool nahi ki jaayegi."
(Mishkaat Shareef, safha 436)

Hazrat Sheikh Abdul Haq Mohaddis Dehalvi Bukhari


Rahmatullahi Alaihi is Hadees Shareef ki shar'ah mein tehreer
farmaate hain:
“Yaani doosre azaab aur museebatein dua se door ho sakti hain
lekin acchhi baat ka hukm dena aur buri baat se rokna chhod dene
ke sabab jo azaab naazil hoga woh dua is ke baare mein qabool
na hogi.”

Aur Tirmizi wa Ibn-e Maaja ki Hadees hai. Hazrat Abu Bakr


Siddique Raziyallahu Ta’ala Anhu ne farmaaya ke Main ne
RASOOL-E AKRAM ‫ ﷺ‬ko farmaate huwe suna ke:
"Log jab koyi bura kaam dekhein aur usko na mitaayen to
24 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

anqareeb KHUDA E-TA’ALA un sab ko Apne azaab mein mubtela


karega."
(Mishkaat Shareef, Safha 436)
Aur Abu Dawood wa Ibn-e Maaja ki Hadees hai, Hazrat Jurer bin
Abdullah farmaate hain ke main ne RASOOL-E KAREEM ‫ ﷺ‬ko
farmaate huwe suna ke:

"Kisi qaum ka koyi aadmi unke darmiyaan gunaah karta ho aur


woh usey rokne ki taaqat rakhte hon magar na rokein to KHUDA-
E TA’ALA un sab par azaab bhejega is se pehle ke woh marein."
(Mishkaat Shareef, safha 437)

Hazrat Sheikh Abdul Haq Mohaddis Dehalvi Bukhari


Rahmatullahi Ta’ala Alaihi is Hadees Shareef ke tahet likhte hain:

“Is Hadees Shareef se maaloom hua ke achhi baat ke hukm


dene aur Buraayi se rokne ko chhod dene ke sabab duniya mein
bhi azaab hoga aur aakhirat mein bhi. Bakhilaaf doosre gunaahon
ke, ke duniya mein un par azaab laazim nahi.”
(Ash’atul lamaat, jild 4, safha 177)

Behqi shareef mein Hazrat Jaabir Raziyallahu Ta’ala Anhu se


riwaayat hai ke SARKAAR-E AQDAS ‫ ﷺ‬ne farmaaya:

"KHUDA-E TA’ALA ne Jibraeel Alaihissalam ko hukm farmaaya


ke fulaan shaher ko jo aisa aur aisa hai us ke baashindon samet
ulat do. Jibraeel Alaihissalam ne arz kiya aye mere
PARWARDIGAAR! Un bashindon mein TERA fulaan banda bhi
hai jis ne ek lamha bhi TERI naafarmaani nahin ki hai, to KHUDA-
E TA’ALA ne farmaaya MAIN phir hukm deta hoon ke is par aur
qul baashindon par shaher ko ulat do is liye ke is ka chehra
gunaahon ko dekh kar MERI khushnoodi ke liye ek lamha bhi
mutagayyar nahin huwa.

Hazrat Sheikh Abdul Haq Mohaddis Dehelvi Bukhari


Rahmatullahi Ta’ala Alaihi is Hadees Shareef ki shar'a mein
tehreer farmaate hain.

"Aye gunaah-e Azeem sat wa lihaaza taqdeem kard alaihi

25 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

raabar alaihim." Yaani gunaahon ko dekh kar KHUDA-E TA’ALA


ki khushnoodi ke liye chehra ka rang na badalna bohot bada
gunaah hai isi liye ALLAH TA’ALA ne alaihi ko alaihim par
muqaddam kiya. Yaani us nek bande par azaab dene ka hukm
pehle farmaaya aur gunaah karne waalon par azaab dene ka
hukm baad mein.
(Ash’atul Lamaat, jild 4, safha 183)

Aur kisi ke chup rehne par jabke log yeh kehne lage ke fulaan to
itne bade Aalim aur buzurg hain magar woh kisi ko nahin manaa
karte. Ek aap hi hain rokne aur manaa karne waale. Kya woh Aalim
nahin hain. Agar yeh baat galat hoti to woh bhi zaroor manaa karte
–is soorat mein khaamosh rehne waale aur Buraayi ko dekh kar
na rokne waale Peer-o Maulvi aur zyada azaab ke mustahaq
honge.

Tarah tarah ke fareb:

Aaj kal Ahl e Sunnat wa jamaat ke yahaan jalse aur conference


in bohot hoti hain jin mein aksar taqreerein sirf dramaayi aur rasmi
hoti hain. Imaan ke daaku jis raaste se sunniyon ke gharon mein
ghus kar in ke Imaan par daaka-zani kar rahe hain aur sunniyat ko
bohot zabardast nuqsaan pohoncha rahe hain is raaste ko band
nahin karte. yaani badmazhabon ke saath uthne baithne se nahin
rokte aur na inke yahaan Shaadi biyaah karne se manaa karte
hain balke baaz Maulvi aur Peer khud hi inke yahaan rishta kar
lete hain jise sunni awaam sanad banaakar badmazhabon ke
yahaan Shaadi biyaah karte hain aur thode dinon mein ghar ke
ghar Gumraah wa badmazhab ho jaate hain.

In haalaat mein agar kahin koyi Aalim-e deen is Buraayi ke


khilaaf kuch bolta ya likhta hai to naseehat qabool karne ke
bajaaye us se dushmani karte hain aur tarah tarah ke fareb se us
ki haq baaton ka asar zayel kar dete hain. Logon ko behkaate hain.
Na khud amal karte hain aur na doosron ko amal karne dete hain.
26 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

Kahin koyi us ki haq goyi ko aib-jui qaraar deta hai aur ulte usi ko
gunaahgaar thehraata hai. Jab ke posheeda aibon ko talaash
karna aib-jui hai aur jo Buraayi ailaaniya ki jaati ho us ke khilaaf
bolna haq goyi hai, aib-jui nahin.
Aur kuch log kehte hain ke yeh geebat hai, haalaan ke jo Buraayi
koi khullam khulla karta hai us ka logon mein zikr karna geebat
nahin. Faqih-e Aazam-e hind Hazrat Sadarush Shari'a
Alaihirrahma tehreer farmaate hain.
“Jo shakhs ailaaniya bura kaam karta ho aur us ko is baat ki koyi
parwaah nahin ke log usey kya kahenge to us shakhs ki is buri
harkat ka bayaan karna geebat nahin magar us ki doosri baatein
jo zaahir nahin hain un ko zikr karna geebat hai. Hadees Shareef
mein hai ke jis ne hayaa ka hijaab apne chehre se hata diya uski
geebat nahin."
(Bahar e shari'at, hissa 16, bayaan e geebat ba-hawala e Raddul Mukhtaar)”

Aur baaz log kehte hain ke woh Urs mein aurton ko aane se kyun
nahi rok paate. Yaani jab woh Aalim-e Deen Urs mein aurton ko
aane se rokne par kaamyaab ho jaayega tab woh badmazhabon
aur murtaddon se rishta nahin karenge warna unke yahaan woh
barabar Shaadi biyaah karte rahenge.
Aur kuch log kehte hain ke woh Aalim bade haq goh hain to
aakar aurton ko mazaar se hataayein. Aye kaash! aise log haq
goyi ka maana jaante. aur agar jaante hain to jaahil na bante ke
haq goyi ka maana hai haq baat keh dena is ke maana mazaar se
aurat hataana nahin hai.
Aur baaz log yeh kehte huwe nazar aate hain ke jab us mein
khud fulaan fulaan Buraayi paayi jaati hai to woh doosron ko
Buraayi se rokne ka haq nahin rakhta - aise logon ko maaloom
hona chaahiye ke us par do cheezein waajib hain. Khud buraaiyon
se bachna aur doosron ko bachne ki taakeed karna, to ek waajib
ke chhootne se doosre waajib ka chhootna jaayez nahin.
Mohaqqiq alal itlaaq Hazrat Sheikh Abdul Haq Mohaddis Dehelvi
Bukhari Rahmatullahi Ta’ala Alaihi tehreer farmaate hain: "Amr bil
Ma'roof ke Waajib hone mein khud aamir ka bhi aamil hona shart
nahi balke bagair amal bhi amr bil ma'roof jaayez hai, is liye ke
apne aap ko amr bil ma'roof karna waajib hai aur doosre ko amr
bil ma'roof karna doosra waajib hai. Agar ek waajib chhoot jaaye
to doosre waajib ka chhodna hargiz jaayez na hoga. Aur woh jo
27 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

Qur’an Majeed para 29 mein aaya hai. Agar usey amr bil ma'roof
aur nahi anil munkar ke baare mein tasleem bhi kar liya jaaye to
amal na karne par zajr-o taubeekh muraad hai na kehne par.
Aur phir tehreer farmaate hain: "Doosron ko amr-o nahi karna aur
khud is par amal na karna mojib e azaab hai. Lekin yeh azaab
amal na karne ki wajah se hai amr-o nahi ki wajah se nahin hai. Is
liye ke agar amr-o nahi bhi nahi karega to do waajib tark karne ke
sabab aur zyada azaab ka mustahaq hoga.
(Ash’atul Lama’at, Jild 4, Safha 175)

Phir koyi maaqool aadmi yeh baat hargiz nahin kahega ke main
haq baat is liye nahin qabool karunga ke is ka pesh karne waala
khud is par nahin chal raha hai, is ki misaal bilkul aisi hai jaise koyi
logon se hifzaan e sehat ke usool bayaan kare aur sunne waale
dekhein ke yeh shakhs khud hifzaan e sehat ke usoolon par amal
na karne ke sabab apni sehat barbaad kar raha hai. To woh log
yeh nahi keh sakte ke tum khud chunke in usoolon par amal na
karne ke sabab apni sehat kharaab kar rahe ho, is liye hum
hifzaan-e sehat ke yeh usool qabool na karenge. Albatta jise aql
se koyi hissa na mila ho woh aisi baat kar sakta hai.
Hazrat Sheikh Saadi Rahmatullahi Ta’ala Alaihi Farmaate Hain:

"Guft e Aalim bagosh e jaan bu shunu, war namaand


baguftanash kirdaar.
Baatil ast aan ke muddayi goyad, Khuftaraa khufta ke kunad
bedaar.
Masrad e baayad ki geerad andar gosh, war na bashtast pand
bar deewaar"

Dua hai ke KHUDA ‫ ﷻ‬saare Musalmaanon ko APNE MEHBOOB


PYARE MUSTAFA ‫ ﷺ‬aur Sahaaba e kiraam wa Buzurgaan-e
Deen ki sachchi mohabbat ataa farmaye aur unke dushmanon se
door rehne ki taufeeq-e rafeeq bakhshe. Aameen!

Aameen bi jaahi Habeebika Sayyidil Mursaleen ‫ ﷺ‬Ajma'een.

Jalaaluddin Ahmad Amjadi


12 Rabiul Aakhir 1410 Hijri
12 November 1989.

28 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g
Badmazhabon Se Rishte Ka Hukm

Huzoor Tajushshariah Allama


Mufti Muhammad Akhtar Raza Khan
Rahmahullahu Ta’ala founded

In Bareilly Shareef

His Beloved Son Hazrat Allama


Mufti Muhammad Asjad Raza Khan
(The Grand Mufti of India, Managing trustee.)

This trust is performing different activities with below divisions:

Offer your Sadqaat, Zakaat and Atiyaat

https://www.imamahmadrazatrust.org/donation

29 | P a g e | w w w . i m a m a h m a d r a z a t r u s t . o r g

You might also like