گلشن نعت رسولﷺ

You might also like

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 14

‫ﷺ‬

Chamak Tujhse Paate Hain


Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Waale
Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Waale

Barasta Nahi Dekh Kar Abr E Rehmat


Badoo(n) Par Bhi Barsa De Barsane Waale

Me Mujrim Hu AAQA Mujhe Saath Le Lo


Ke Raste Me Hai Jaa Baja Thane Waale

Haram Ki Zamee(n) Aur Qadam Rakh Ke Chalna


Are Sar Ka Mouqa Hai O Jaane Waale

Tera Khaye Tere Ghulamo Se Uljhe


Hai Munkir Ajab Khaane Gurrane Waale

Ye najdi munafiq hi ganda hi wallah


Galazat ka palke pulanda hi wallah
Jahannam me nam iska kunda hi wallah

Jo murda kahe tumko o khud murda hi wallah


Tu zinda hi wallah Tu zinda hi wallah
Bus mere chashme aalam se chup jane wale

Madine Ke Khitte Khuda Tujhko Rakhhe


Ghareebo Faqeero Ke Thehrane Waale

Gulam e Nabi Khuld me ja basega


Jahannam me aaqa ka munkir jalega

Jo sunni hi vo to hameesha kahega


Rahega yu hi unka Charcha rahega
Bade Khak hojaye jaljane vale

Raza Nafs Dushman Hai Dumme Na Aana


Kaha Tumne Dekhe Hai Chandrane Waale
Koi Duniya e Ata Mein Nahin Hamta
Tera
Koi Duniya e Ata Mein Nahin Hamta Tera
Ho Jo Haatim Ko Mayassar Ye Nazara Tera

Keh Uthe Dekh Ke Bakhshish Meiñ Ye Rutba Tera

Wah Kya Jood o Karam Hai Shah-e Bat’ha Tera


Nahiñ Sunta Hi Nahiñ Mangne Wala Tera.

Ilm Aisa bhi na de khud ko kahuñ un jaisa


Isse behtar mere maula mujhe jaahil kar de

Kuch Bashar Hone Ke Naate Tujhe Khud Sa Jaaneñ


Aur Kuch Mahaz Payaami Hi Khuda Ka Jaaneñ
Inki Auqaat Hi Kya Hai Ke Ye Itna Jaaneñ

Farsh Wale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaaneñ


Kusrawa Arsh Pe UDtaa Hai Pharera Tera

Na koi tujh sa sakhi hi na koi mujh sa gareeb


Chashme beedar jagade mere khaabida naseeb

Jo raza teri raza rab ki tum itne ho qareeb


Mi to malik hi kahoonga ke ho maalik ke habeeb
Yani mahboob o muhib me nahi mera tera

Chandni raat me jabir ka nazara deekhe


Chand ko kabhi sarkaar ka chehra dekhe
Bol uthe oo bhi to aakhir yahi jumla deekhe
Tere qadmon me jo hi gair ka moo kya deekhe
Kon nazron pe chade deekh ke talva tera
Jayegi khuld me aaqa ki hi ummat jitni
Tere daman ko ata ho gai usat kitni
Khatm is misre pe hooti hi balagat kitni
Yek mi kya mere isya ki haqeeqat kitni
Mujh se 100 laakh ko kaafi hi ishara tera..

Salla Alika Ya rasoolallah

Chalo Diyare Nabi Ki Janib

Darood Lab Par Saja Saja Kar

Baharen Lootenge Ham Karam Ki

Dilon Ko Daman Bana Bana Kar

Salla ‘Alaika Ya Rasoolallah

Wa Sallam ‘Alaika Ya Habiballah


Na Unke Jaisa Sakhi Hai Koi

Na Unke Jaisa Ghani Hai Koi

Wo Be Nawaaon Ko Har Jagah Se

Nawazte Hain Bula Bula Kar

Chalo Diyare Nabi Ki Janib

Darood Lab Par Saja Saja Kar

Salla ‘Alaika Ya Rasoolallah

Wa Sallam ‘Alaika Ya Habiballah

Hai Unko Ummat Se Payar Kitna

Karam Hai Rahmat Shi’aar Kitna

Hamare Jurmo Ko Dho Rahe Hain

Huzoor Aansoo Baha Baha Kar

Chalo Diyare Nabi Ki Janib

Darood Lab Par Saja Saja Kar


Salla ‘Alaika Ya Rasoolallah

Wa Sallam ‘Alaika Ya Habiballah

Main Wo Nikamma Hun Jiski Jholi Me

Koi Husn-E-Amal Nahin Hai

Magar Wo Ehsaan Kar Rahe Hain

Khatayen Meri Chhupa Chhupa Kar

Chalo Diyare Nabi Ki Janib

Darood Lab Par Saja Saja Kar

Salla ‘Alaika Ya Rasoolallah

Wa Sallam ‘Alaika Ya Habiballah

Ye Hi Ehsas-E-Amal Hai Meri

Isi Se Bigdi Bani Hai Meri

Sametta Hun Karam Khuda Ka

Nabi Ki Naaten Suna Suna Kar


Chalo Diyare Nabi Ki Janib

Darood Lab Par Saja Saja Kar

Salla ‘Alaika Ya Rasoolallah

Wa Sallam ‘Alaika Ya Habiballah

Agar Muqaddar Ne Aawari Ki

Agar Madine Gaya Main Khalid

Qadam Qadam Khak Us Gali Ki

Main Choom Lunga Utha Utha Kar

Chalo Diyare Nabi Ki Janib

Darood Lab Par Saja Saja Kar

Salla ‘Alaika Ya Rasoolallah

Wa Sallam ‘Alaika Ya Habiballah


Tu kuja man kuja

Tu Kuja Man Kuja Tu Kuja Man Kuja


Tu Kuja Man Kuja Tu Kuja Man Kuja

Tu Ameer-E-Haram Mein Fakir-E-Ajam


Tere Gun Aur Ye Lab Mein Talab Hi Talab
Tu Ata Hi Ata...

Tu Kujaa Man Kujaa Tu Kujaa Man Kujaa


Tu Kujaa Man Kujaa Tu Kujaa Man Kujaa

Ilhaam Jama Hai Tera, Quran Imaama Hai Tera


Mimbar Tera Arshe Bari, Ya Rahmatallil Aalameen

Tu Kujaa Man Kujaa Tu Kujaa Man Kujaa


Tu Kujaa Man Kujaa Tu Kujaa Man Kujaa

Tu Haqeeqat Hai Main Sirf Ehsaas Hoon


Tu Samundar Main Bhatki Hui Pyas Hoon
Mera Ghar Khaak Par Aur Teri Rahguzar
Sidrat-Ul-Muntaha...

Tu Kujaa Man Kujaa Tu Kujaa Man Kujaa


Tu Kujaa Man Kujaa Tu Kujaa Man Kujaa

Khair-Ul-Bashar Rutba Tera, Aawaz-E-Haq Khutba Tera


Aafaaq Tere Sama'een, Ya Rahmatallil Aalameen

Tu Kujaa Man Kujaa Tu Kujaa Man Kujaa


Tu Kujaa Man Kujaa Tu Kujaa Man Kujaa

Dagmagaun Jo Halat Ke Samne


Aaye Tera Tasawwur Mujhe Thamne
Meri Khush Kismati Main Tera Ummati
Tu Jaza Mein Riza...

Tu Kujaa Man Kujaa Tu Kujaa Man Kujaa


Tu Kujaa Man Kujaa Tu Kujaa Man Kujaa

Allahumma Salliala Sayyidina Muhammadin


Allahumma Salliala Sayyidina Muhammadin

Mere Aaqa Safe Ambiya Ke Imam


Naam Par Jinke Lazim Duroodo Salam

Sabse Aala Wa Wala Hamara Nabi


Sabse Bala O Wala Hamara Nabi
Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi
Donon Aalam Ka Dulha Hamara Nabi

Wo Hai Hamara Nabi

Kaun Deta Hai Dene Ko Munh Chahiye


Dene Wala Hai Saccha Hamara Nabi

Tu Kuja Man Kuja Mustafa Mujtaba


Khatamul Mursalin Ya Rahmatallil Aalameen
Tu Kujaa Man Kujaa Tu Kujaa Man Kujaa
Tu Kujaa Man Kujaa Tu Kujaa Man Kujaa
Cehra e Anwar se jab parda hataye
mustafa
Cehra e anwar se jab parda hataye Mustafa
Gum shuda sooi mile jab muskuraye Mustafa

Ho ke jo beemaar e ishqe Mustafa me margaya


Kyu na us ki qabr me tashreef laye Mustafa

Roz o shab karta hu apne rab se roo roo kar dua


Jab naza ka waqt aaye chehra dikhaye Mustafa

Dhond paayenge firishte kise mujrim ko bhala


Daaman e Rahmat me apne jab chupaye Mustafa

Maalik e kul hi unhe rab ne doya hi ikhtiyaar


Jis ko chahe hashr ke din baqshwayen Mustafa

Apni ummat se unhe gulzaar kitna pyaar hi


Khuld bhi den aur kousar bhi pilaayen Mustafa
Lab pe Salle Ala ke Tarane

Lab pe SalleAla ke Tarane


Ashk Aankhon mein aaye huye hein
Ye Hawa Ye Faza keh rahi hai
Aaqa Tashreef laye huye hein

Jinki Khaatir Ye Aalam Banaaya


Laamakaan Jinko Rabb ne Bulaaya
Aye Halima Ye Aap ka Mukaddar
Aap ke Ghar mein Wo aaye huye hein

Mein Madine ki Galiyon pe Kurbaan


Jinse Guzre hein Shaahe Madina
Is Tarha se Mahekte hein Raaste
Itar Jaise Lagaaye huye hein

Aaj Puri huyi Dil ki Hasrat


Kyun na Jee bhar ke Karlun Ziyaarat
Qabr mein Apna Jalwa dikhaane
Mere Sarkar aaye huye hein

Naam Nabiyon ke Beshak bade hein


Azmaton ke Nageene Jade hein
Muktadi Banke Pichhe khade hein
Wo Jo Pahele se aaye huye hein

Ye Hawa Ye Faza keh rahi hai


Aap Tashreef laye huy

Bhar do Jholi meri sarkare madeena


Bhardo jholi Meri sarkare madeena
Lot Kar main na jaunga Khali

Kuch nawaso ka sadka Adda ho


Dar pe aaya hu banke sawali

Tumhare aastaan se Zamana Kya nahi pata


Koi bhi dar Khali Mangne Wala nahi jata

Bhardo jholi Meri sarkare madeena


Lot Kar main na jaunga Khali

Kuch nawaso ka sadka Adda ho


Dar pe aaya hu banke sawali

Haq se paai oo shane kareemi Marhaba doono aalam ke waali


Uski qismat ka chamka sitaara jispe nazr e karam tim ne daali

Bhardo jholi Meri sarkare madeena


Lot Kar main na jaunga Khali

Aashiq e Mustafa ki Azaane ALLAH ALLAH kitna asar tha


Arsh waale bhi sunte the jisko kya azan thi azan e bilali

Bhardo jholi Meri sarkare madeena


Lot Kar main na jaunga Khali

Zindagi baqsh di bandagi ko aabro deen ehaq ki bachali


Mere Aaqa ka pyara nawasa jis ne sajde me gardan katali

Jo ibne Murtaza ne kiya kaam khoob hi


Qubrbaani ye hussain ka anjam khoob hi
Qurbaan hoke faatima zehra ke chain ne
Deen e khuda ki shan badai hussain ne
Baqshi hi jisne mazhabe islam ko hayat
Kitni azeem hazrat e shabber ki hi zaat
Midaan e karbala me shahe khush kisaar ne
Sajde me sar kata ke MUHAMMED ke laal ne

Zindagi baqsh di bandagi ko aabro deen ehaq ki bachali


Mere Aaqa ka pyara nawasa jis ne sajde me gardan katali

Hashr me unko deekhenge jis dam ham ummati ye kahenge Khushi se


Aarahe hi oo dekho MOHAMMED jin ki hi shan sab se Nirali..

Dag e Furqate Tyba Qalb e Muzma


Hiljata

Dagh e Furqat e Taiba Qalb Muzmahil Jata

Kash gumbad e khazra Dekhne ko mil jata


Dam meera nikal jata unke Aastane per

Unke Aastane ki khak main main mil jata.

Mere Dill Se Dhol jata dagh e Furqat e Taiba

Taiba main fana huker Taiba hi Main mil jata.

Maut leke Aajati Zindagi Madine main

Maut se gale mil ker Zindagi main mil jata.

Khuld Zaar e Taiba ka is tarah safar hota

Peche peche sar jata Aage Aage Dill jata.

Dill pe jab kiran padh ti unke Sabz Gumbad ki

Uski Sabz rangat se baag banke ke khil jata.

Furqat e Madina ne wo diye mujhe sadme

Koh per agar pad te koh bhi tu hil jata.

Dill mera bicha huta unki rah guzaroon main


Unke Naqshe Paa Se yoon mil ke mustaqil jata.

Mere Dill main bas jata jalwa Zaar Taiba ka

Daag e Furqat e Taiba phool banke khil jata.

Unke der pe Akhtar ki hasrate huyen poori

Sail e Dare Aqdas Kaise munfa il jata

You might also like