Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 4

CONFIDENCE

Tumne iss video pe click kiya kyuki tum maante ho ki tum me confidence nahi hai
kyuki agar tum kisi cheej ko paana chahte ho iska matlab ye hai ki wo tumhare pass
nahi hai

Aur agar tumhe confidence chaiye to pehele ye bhul jao ki tumhe confidence chaiye

kyuki agar tum apni "EGO" ko jo ye word hai "MAI" isse agar durr rakho to tumhe
confidence ki bilkul jarurat nahi hai kyuki tumhare man me kisi cheej ka importance
nahi hai na hi tumhe kuch protect karna hai aur na hi tumhe kuch khone ka darr hai
to fir tum ek normal insaan jaise act karoge tumhe kuch aur banne ki jarurat hi
nahi hai

For example tumhe apne mummy papa se apne friends se baat karte waqt confidence ki
jarurat nahi padti kyuki na hi tumhe kuch achieve karna hai na hi kisi baat ka darr
hai tum bas normally baat karte ho aur tumhare dimag me kuch nahi chal raha

Par kya ye practical hai ?


To nahi
kyuki reality me tumhe kuch achieve karna hota hai shayad wo job interview me
select hona ho ya fir kisi ladki ko reach out karna ho tab tumhare dimag me Darr
take over kar leta hai

aur tum khudko doubt karne lagte ho


too iss case me tumhe fake confidence ki jarurat nahi kyuki confidence kya hai ?
confidence kisi bhi insaan ka khudki kabiliyat par bharosa hona hai ki wo koi kaam
kar sakta hai aur uss insaan ko khudpe bharosa tab hoga jab uske pass koi proff ho
ki usne wo kaam pehele bhi kiya hai

for example agar koi insaan bohot interview de chuka hai aur unme select bhi hua
hai to wo use ek confidence deta hai ya kaho ek proof deta hai ki agar maine pehele
kiya tha to iss baar bhi jyada chances hai ki mai ye kar lunga same goes for when
approaching someone agar mene pehele kaafi logo ko approach kiya hai to ye insaan
bhi bakiyo jaisa hai

Ab itne saare proofs k baad bhi tum Daroge


kyu ?

kyuki tumhare maan me uss insaan ya uss job interview ko leke bohot importance hai
aur tum continiously sochte rehte ho ki kya hoga agar mujhe wo job nahi mili ya fir
uss ladki ne mujhe reject kar diya aur tum inn thoughts k bare me nahi sochna chate
aur tum sochte ho ki ye thoughts nahi aane chaiye par indirectly tum unhi thoughts
k bare me soch rahe ho naa chate hue bhii

ab isse solve karne k tarike hai

Clarity and Acceptance

Clarity iss baat ki ki tumne uss cheej ko jyada importance de rakha hai jab ki agar
use normally dekha jaye to wo itna bhi important nahi hai jitna maine use apne maan
me bana rakha hai

Aur acceptance ki its ok agar mujhe wo ladki nahi mili to ya its ok agar mujhe wo
job nahi mili aur jab tum ye accept kar loge tab tum parr se pressure hatt jayega
par yaha ek sawal aate hai ki kya ho agar kisike liye ye job bohot important ho
kyuki unki financial condition bohot buri ho aur unke pass koi dusra rasta na ho
iss job k aalava too iss case me the pressure is real
too iss type ka pressure sirf tab kam ho sakta hai jab tumhe apni ability pe
bharosa ho , Jab tumne baaki candidates se bohot hard work kiya ho apna best diya
ho aur tumne bharosa hai ki uss job k liye tumse aacha candidate shayad hi koi ho
to pressure kaafi hadd tak reduce ho jata hai

Tumhara confidence bohot saari cheejo ki wajah se affect hota hai


jaise

tumhara Childhood
tumhara environment
tumhari insecurities
and even your Genetics

ab agar baat kare tumhare childhood aur environment ki


to tumhara confidence shape karte hai tumhare parents aur tumhare dost
for example agar bachpan se hi tumhe ye bataya gaya ho ki tum padhai me aache nahi
ho tumhara bhai tumse padhne me aacha , tumhare dost tumse better hai , baaki saare
log tumse better dikhte hai to yehi sahi cheeje build up hoke tumhare self esteem
kam kar deta hai matlab tumhe lagta hai ki tumhari sachme koi value nahi hai aur
jab tum ye maan lete ho ki tumme sachme koi value nahi hai to tum duniya me wahi
cheeje dekhne lagte ho jo tumhari iss belief ko confirm karta hai

par you need to understand ki ye sab completely sach nahi hai


shayad tumhare parents tumhari capicity ko nahi pehchan paye
shayad tumhare hi friends toxic the
aur shayad tum apne bare me galat ho kyuki insaan ki ek aadat hai wo apne aas paas
sirf unhi cheejo pe dhyan deta hai jinhe wo khud believe karta hai aur agar tum
believe karte ho ki tumme kuch kami hai to wo tumhe bahar real world me bhi dikhegi
so you need to change this Through self reflection yani khudke bare me jaan k jiske
bare me hum aage baat karenge

ab agar baat kare Insecurities ki to sabko koi na koi insecurity hoti hi hai chahe
wo insaan tumhare liye perfect ho

and harr kisi me kuch aisi cheeje hoti hai jo unhe nahi pasand shayad kisi ka skin
colour unhe pasand nahi ho ya fir kisiko unki height kam lagti hai , kisi ki skin
pe acne jyada hai to Yess ye saari cheeje Sach hai par tumhe kisne bataya ki inn
sab cheejo ko hona galat hai ya fir tumhe tabhi pyarr milega jab tu iss tarah
dikhoge social media ne right,tumhare culture ne ye jo digital aur physical
environment hai in sabne tumhe brainwash kar diya hai and mujhe bhi kyuki ye sab
bachpan se ho raha hai jab humare pass clearly sochne ki ability hi nahi thi

pehele humm sab theek the hum sab perfect the humari height , skin colour, acne inn
me se kuch bhi hume itna matter nahi karta tha par firr society aayi aur aachank
hum sabko humare aandar kamiya dikhne lag gayi hum khudko hate karne lag gaye aur
hum hamari kamiya dusro dikhne lagi ki wo mujhse kitna gora hai uski skin kitni
aachi
hai ya uski height mujhse better hai and the sad part is ki nearly sab yehi maante
hai
par agar hum ek bacche ko dekhe to wo itna concious hi nahi hota wo 1000 logo k
samne royega aur agar use kisine uthaya ho to wo unki shirt pe susu bhi kar dega
socho
tum me itna confience hai kisi ki shirt pe su.....
sorry out of topic chala gaya aisa karna mat

to basically chote bacche dont give a fuck wo kuch sochte hi nahi


aur iss baat k do reasons hai pehela unki consiousness
aur dusra unki identity
yani samjho maine tumhe bola ki tumhe samne ja k kisi ladki ya ladke se baat karni
hai to tum nervous ho jaoge aur uss situation ko avoid karoge par wahi agar mai
tumhe ek mask de du jisse tumhari identity ya tumhari pehchan chupi rahe to tum iss
barr kam nervous feel karoge kyuki tumne kuch bachane ki jarurat nahi hai aur na hi
kuch khone ka darr and agar hum ek aur step jaye aur iss baar tumhe sirf uss insaan
se chat karna hai fake id bana k to fir tum bohot naturally act kar paoge

par tumhari self-awareness bohot high hai jo janam deti hai lack of confidence ko
(Actual video of pregnant lady)

to jaise maine kaha tha (self refletion karke past video clip)
ab self reflection yani tum khudke bare me soch rahe ho Tumhari insecurities,
tumhare dimag me aane wale thought
aur inn sab ko likh lena hai kyuki dimag me sab store karto eksaath to jaldi thak
jaoge

Aur jab tum ye list bana lo tum unn list me se saari cheejo ko question karne lago
for example kya meri height hai, mai aacha nahi dikhta aur agar ye baate sach hai
to kitni sach hai, kya mai inke bare me kuch kar sakta hu agar kar sakta hu to
theek hai, aur agar nahi kar sakta to bhi theek hai kyuki sabme koi na koi kisi na
kisi area me kami hoti hai chahe wo intelleuctual ho physical ho ya emotional ho

Ab self reflection se tum kuch hadd better feel kar sakte ho


par ek aur tarika hai jisse tum aur better feel kar sakte ho
aur wo hai comparison

Ab tumhe khusko aise insaan see compare karna hai jiske pass tumhari insecurities
hai par fir bhi wo successsful hai ya confident hai aur apni jagah comfortable hai
isse hoga ye ki tumhe proof mil jayega ki its ok not to be perfect

for example mai apni height ko leke kaafi insecure tha mai dusre heighted logo ko
dekh k ye sochta tha ki kaash meri bhi aisi height hoti aur shayad tum bhi apni
insecurities dusro me dekhte honge , par jab maine kevin hart ko dekha jo ki ek
american comedian aur actor hai jinki height around 5,2 se 5,4 feet k aas paas hai
aur fir bhi wo successful hai to uhne dekh k I felt better about myself aur mujhe
meri insecurity jyada pareshan nahi karne lagi and I think tumhe bhi ye karna
chaiye and jo insecurities tum theek nahi kar sakte unhe accept kar lena chaiye

Ab next cheej jo tumhe samajhni hai ki confidence vary karte rehta hai yani badalte
rehta hai for example agar tumhe cricket aache se khelna aata hai to for sure tum
uss me confident hoge par wahi agar mai kahu ki tumhe sky diving karni hai aur agar
tumne wo pehele kabhi nahi ki to kya tum itne confident hoge Nahi, right ?

to aise hi confidence badhta hai khudko baar baar mushkil cheejo me daalna aur baar
baar practice karna jisse tumhara dimag k liye wo situation uncomfortable hoti hai
aur wo naye Neural connections banata hai and fir eventually wo tumhare liye aasan
ho jata hai
lack of confidence bohot jagah milega tumhe chahe wo kisi luxury store me jana ho,
ya agar tumhe koi dikh jaye jiske kapde tumse aache ho to apne aap hi tum khudko
unse inferior feel karne lagte ho but you have to understand ki tumhe khudki value
badhani hai, dusro ki value ko realistically dekhna hai, aur khudki insecurities
jinhe change nahi kiya ja sakta unhe accept karna hai
see you in the next video bb-bye
woosh! (camera covering).

You might also like