Iqbal 1

You might also like

Download as rtf, pdf, or txt
Download as rtf, pdf, or txt
You are on page 1of 2

sitāroñ se aage jahāñ aur bhī

haiñ
abhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ

tahī zindagī se nahīñ ye fazā.eñ


yahāñ saikḌoñ kārvāñ aur bhī
haiñ

qanā.at na kar ālam-e-rañg-o-bū


par
chaman aur bhī āshiyāñ aur bhī
haiñ

agar kho gayā ik nasheman to


kyā
ġham
maqāmāt-e-āh-o-fuġhāñ aur bhī
haiñ

tū shāhīñ hai parvāz hai kaam


terā
tire sāmne āsmāñ aur bhī haiñ

isī roz o shab meñ ulajh kar na


rah jā
ki tere zamān o makāñ aur bhī
haiñ

ga.e din ki tanhā thā maiñ


anjuman
meñ
yahāñ ab mire rāz-dāñ aur bhī
haiñ

You might also like