Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 4

Title: The Eternal Loop

Fade In

Act 1:

Exterior - Blackwood Manor - Night

Ahmad, 28-salla larka jo paranormal/ghair insani cheezon pe believe nahi rakhta, apny vlog
ki shooting ke liay Blackwood Manor nami ghar main jata hai jhan kha jata hai ke yahan se
awazain ati hai aur wahan jany walon ke sath hadsaat pesh aty hain.

Ahmad: (muskratay howay) Chalo dhekty hain ke iss ghar main kya rakha hai.

Jesy hi woh ghar ke ahatay main dakhil hota hai, ghar ke lakri ke floor se awazain ana shuru
ho jati hai jesy ke ye bht purana ho.

Interior - Blackwood Manor - Foyer - Night

Ahamd gahr main dakhil hoya aur idhr udhr torch mar ke jaiza leny laga.

Ahmad: (bura sa munn banaty howay) Ugh, ye jagah tu bht sunsan hai.

Act 2:

Interior - Blackwood Manor - Various Rooms - Night

Streetlight ki halki halki roshni kharkion se undar aa rahi thi. Khirkian lakriyon ke pieces se
band ki gai thi. Ahmad ke chalnay se floor main se awaz ati hai.

Ahmad: (halki awaz main) Yaar ye tu aik purna ghar hai. Iss main kya Darnay wali baat hai.

Kuch dair guzarnay ke baad halki halki awazain ana shuru ho jati hain. Ahmad ye soch ke
taal deta hai ke ye kisi bahir janwar ki hon gi. Joon joon waqat guzarta jata hai, awazon ki
intensity bharti jati hai. Aisa lagta hai jesy koi sath kamry se bol rha hu magar uss kamray
main janay par kuch nahi mily.

Disturbances: Shadows and Whispers

Interior - Blackwood Manor - Living Room - Night


Bahir aik dum achanak tez hawa se darwaza zoor se band hota hai.

Ahmad: (heran ho kar) Ye kya howa?

Ab awazain unchi hona shuru ho jati hain aur aisy lagta hai ke koi sath waly kamry main
chal rha ho .

Whispers: Yahan se chalay jao.

Ahamd pershan ho kar idhr udhr dhekta hai. Phir awaz ati hai.

Whispers: Bhaag jao iss ghar se.

Ab Ahamd pershan ho kar pury ghar ka jaiza leta hai ke koi uss ke sath shararat tu nahi kar
rha. Pury ghar main ghoomnay ke baad uss ko pata lagta hai uss ke ilawa iss ghar main aur
koi nahi hai. Magar phir bhi woh yehi samajta hai ke ye koi uss ke sath masti kar rha hai.

Ahmad: (tang ho kar) Yaar ye kon hai jo tang kar rha hai mujy.

Ab Ahamd ko zameen par se aik qagaaz milta hai jis pe likha hota hai “Ahmad, thumain
apny choty bhai ka wasta yahan se nikl jao”. Ahmad ab pershan aur khoofzada ho jata hai
ke uss ke idhr anay ka kisi ko nahi pata tha.

Ahmad: (khoofzada) Ye kya......

The Escape

Interior - Blackwood Manor - Hallway - Night

Ab Ahamd ko realize ho chuka hota hai ke uss ke sath koi paranormal cheez hai.

Whispers: (zoor se) Bhaago!

Ahmad: (pershani main) Mian ab ye aur nahi bardasht kar saktha.

Ahamd ab bahir ki taraf bhagta hai aur jab woh darwazay pe ponchta hai tu darwaza nahi
khulta. Ahmad fight aur flight reflexes ka use karty howy darwazy ko laat marta hai aur uss
ko toor deta hai.

Ahmad: (unchi awaz main) Nahi!

Ahamd saans phooly howy bhair bhaagta hai.

Exterior - Blackwood Manor - Night

Ahmad saans phoolnay ki wajah se bahir ghaas pr late jata hai aur unchay unchay saans
leny shuru kar deta hai.

Ahmad: (unchay saans lety howy) Ye kya howa?


Abhi woh leta saans le hi rha hota hai ke uss ki nazar ghar ki uss khirki ki taraf jati hai jo uss
ne kholi thi.

Ahmad: (darr kar) Ye khirki tu main ne kholi thi tu ye itni jaldi band kesy ho gai.

Abhi woh yehi dhek rha hota hai ke uss ke nazar uss darwazy ki taraf jati hai jo woh tor kar
aya tha jo ab bilkul sahi halat main hai.

Ahmad: (khoofzada) Ye ......

The Twist

Exterior - Blackwood Manor - Night

Ahmad apny pairoon pe khara hota hai, issi doran uss ko awaz ati hai woh murr ke dhekta
hai tu uss ko apni hum shakal nazar ka banda nazar ata hai. Ye hamshakal torchlight on kar
ke aur cheray pr mushkarat le kar ghar ke darwazy ke taraf bharta hai. Kuch dair dheknay
ke baad Ahmad ko pata chalta hai ke ye woh khud hai.

Younger Ahmad: (muskratay howay) Chalo dhekty hain ke iss ghar main kya rakha hai.

Ahmad heran ho kar dhekta hai apny younger self ki taraf jo uss darwazy ki taraf ja rha hota
hai jis ko uss ne tora tha aur ab woh bilkul sahi halat main hai.

Ahmad: (unchi awaz main) Nahi! Andr na jao!

The Loop

Exterior - Blackwood Manor - Night

Ahamd pershan aur khoofzada ho kar uss ke pechay bhaagta hai. Woh uss ko bulany ki
koshish karta hai magar uss ko awaz sunai nahi deti. Joon hi woh uss ko roknay ke liay hath
agay bhartha hai uss ka hath uss ke jism se aisy guzarta hai jesy hawa main se hath.

Ahmad: (cheekhtay howay) Nahi!

Ab uss ko realize hota hai ke jo koi bhi woh paranormal entity hai woh uss ko yahan se na
janay de gi na uss ko apny past self ko warn karny dy gi.

Interior - Blackwood Manor - Foyer - Night

Ahmad apny past self ke peechay baagta hai ke woh uss ko kisi tarah warn kar saky. Pehly
woh darwaza zoor se band karta hai ke uss ka past self darr jay. Jab iss se kaam nahi chalta
tu woh uss se kehna shuru kar deta hai ke “Chaly jao yahan se” aur “Bhaag jao iss ghar
se”.
Ahmad: (pershani main) Nahi… please, nahi....

Kuch dair baad uss ko realize hota hai ke uss ko kisi aur tarah se apny ap ko darana ho ga.
Ab Ahmad aik kagaz pe kuch likhta hai aur apny past self ke pass gira deta hai ta ke woh ye
parhay aur yahan se bhaag jay. Joon hi woh younger Ahmad partha hai woh darwazay ki
taraf bhaagtha hai aur Ahmed kush ho jata hai. Abhi woh khara khush hi ho rha hota hai ke
uss ko realize hota hai ke uss ne wohi sub kuch kia jo uss ke sath past main howa tha.

The Endless Cycle

Exterior - Blackwood Manor - Night

Younger Ahamd darwaza toor ke bahir bhagta hai. Ahmad (present) ke ankhoon se ansoo gir
kar gaal pe aa jata hai jub ussy realize hota hai ke woh iss unending loop ko nahi khatam kar
sakta chahay kuch bhi kar ly woh.

Ahmad: (ahista se) Nahi… Nahiiiiiiiiiii…

Ahmad ki apni curiosity aur daring hony ne uss ko dubo dia hai aur ab woh iss ghar main
jhunum ki zindigi guzaray ga hamesha ke liay.

Fade Out

You might also like