Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 1

Hello doston, welcome to our channel.

Apne pichle part mein maine aapko bataya tha ki ek mnc interview ka “tell me about yourself” question
kaise answer karte hain…ab chalte hain baaki questions ki ore…

Ab questions 2 type ke honge, pehla type hai technical questions.. jo ki aapki job specific knowledge test
karenge..for eg agar aap ek software engineer ho ya IT background se ho to aapke coding ya different
programming skills test karenge…

Doosra type hai behavioural questions jo ki aapki new company mein cultural fit ko assess karenge…

Par dono hi type ke questions ko answer karne ka tareeka same hi hona chahiye…yeh ek proven
systematic tareeka hai to answer any and all of your questions…

Ise kehte hain STAR yaani STAR format

S hota hai situation jahan aap problem ka background batayenge..yeh section 20-30 seconds ka hona
chahiye

T hota hai task jahan aap batayenge ki uss problem ko solve karne ke liye aapko kya karna hoga..yeh
section 15 se 20 second ke hona chahiye

A hota hai action jahan aap batayenge ki aapne kya kiya…yeh sabse detailed section hoga aur yeh kareeb
1 se dedh minute ka hona chahhiiye

Aur R yaani result jahan aap apne actions ka impact batayenge ki faayda kya hua..yeh section bhi 15-20
second ka hona chahiye

Aaiye ek example se smajahte hain ki answer kaisa hona chahiye…

You might also like