Kya apna tel aayega ? Bas meeting hi karoge ya koi sach ko bhi batayega, Humse bada fande-waaz hi koi nahi, Time se implement ho aisa plan-ichh koi nahi, MDT kya kabaad lega Meeting kya ukhaad lega Teen ghante ki meeting karke, tees din minutes banayega, Action pta nahi, bas angregi se pakayega,
Kyunki meeting me tu…
Funda dene aaya tha
Tu funda le ke jayega
Kya apna tel aayega ?
Kya apna tel aayega ?? Apne hisse ki duty pe Data ki purity Kya tu apni kasam khayega Gulugulu wale data se kya khak decision ho payega Plan banta rhta hai Bas implement na ho payega Jitna tune fenka tha Utna kab kar payega
Kya apna tel aayega ?
Kya apna tel aayega ? Jag ja tu PSU Khwab se Uth ja ab talash me Ab bhi badalna chaho, To kuchh achha hi ho jayega
Varna forced VRS ab door nahi,
Achhe din ka pta nahi Par bahut bura ho jayega Funda deta jar ha tha Ghar anda le ke jayega