Khamosh Adalat jaari hai.docx

You might also like

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 48

1

Khamosh Adalat jaari hai


Writer: Vijay Tendulkar

Translated by: Kamlakar Sontakke

Cast:
Samant

Benaare

Rokade

Mr. Ponkchhe

Sukhatme

Karnik

Mr. Kashikar

Ms. Kashikar

ACT: 1
(ek hall mein Roshni hoti hai, isme do darwaje hai, isme do darwaje hai, ek
bahar jaane ke liye, dusra sath wale kamre mein jaane ke liye, achanak bahar
se kuch ahat hoti hai, darwaje ki kundi bahar se khulti hai, ek vyakti jiska naam
Samant hai iss andaaz se andar ghusta hai, maano wo khud bhi iss hall ko pahli
baar dekh raha ho, uske hath mein ek khilauna hai jo ki kapde se bana hua hara
rang ka tota hai, aur dusre hath mein ek pustak hai)
SAMANT: (hall ko dekhte huye) yahi hai wo, aaiye yahi hai wo hall.. maloom
hota kooda wagairah savere hi saaf hua hai. Aaj program hai na issiliye.
(Benaare darwaje pe khadi hai, ungli daanto tale,dusre hath mein parse, aur ek
tokri liye huye)
Kya hua..kundi kholte samay ungli dab gai..? inn purani kundiyon ka yahi hota
hai, seedhi tarah se kabhi nahi khiskegi, aur zara sa kundi bahar rahi aur saankal
puri tarah se nahi khinchi gai to kya hota hai, pata hai.? Darwaja andar se
band, aur bahar se kundi. Chus lo ungli araam milega, ek baar kundi mein mere
daahine hath ki ungli fans gai thi, pure panch din tak aisa suja raha ki bas chaar
ungliyo se hi sab kuch karna pad raha tha mujhe.
2
BENAARE: achcha..! nahi kuch nahi.. bas yuhi.. mujhe aadat hai., mujhe bahut
achcha lag raha hai.., waha station par sabke sath utri ki bahut dino ke baad sab
achcha lagne laga.
SAMANT: wo kyun ?
BENAARE: na jaane kyu.., aur tumhare sath yaha aate waqt aur bhi achcha
laga. Achcha hua sab peeche rah gaye, kitni jald hum pahuch gaye, nahin..?
SAMANT: ji haa.. matalab mujhe itna tez chalne ki aadat nahi, par aap to bahut
phata-phat chalti hai.
BENAARE: hamesha thode hi chalti hu.. aaj chali.. laga sabko piche chhod du…
aur tumhare sath kahi dur tak chalti rahu..
SAMANT: (chakrakar) mere sath..?
BENAARE: yes tum mujhe achche lage.
SAMANT: (sharmaate huye ) kya bekaar aap bhi.. mujh mein kya,,,
BENAARE: tum bahut achche ho, aur bataau..? tum bilkul nishpaap aur bhale
ho.
SAMANT: (avishwas se) mein ?
BENAARE: haa…aur ye hall bhi, mujhe bahut pasand hai.
SAMANT: hall bhi..? waise to purana hi hai, yun kahiye ki shahar ke saare show
issi hall mein hote hai. Sabhaayen, bhashan, mundan, shadi byaah, aur to aur
aurton ki bhajan mandali bhi yahi par abhyas ke liye adda jamaati hai, aaj raat
program hai naa, issliye din mein aurton ka bhajan nahi hoga, puchiye kyu..?
kyuki raat ke tamaashe ke liye wo ghar ka kaam jaldi jaldi niptaati hai, nahi to
aayengi kaise..?
BENAARE: lagta hai tumhari biwi bhi hai bhajan mandli mein hai…?
SAMANT: nahi… biwi nahi Bhabhi.., meri biwi hai hi nahi…
BENAARE: ( hath mein pakde kapde ke hare tote ki orr ishara karke) to phir ye
kiske liye..?
SAMANT: ye.? Bhatije ke liye, bahut pyara ladka hai, apko pasand aaya ye
khilauna..?
3
BENAARE: haa… yaani tum..
SAMANT: mera matlab hai meri abhi tak shadi hi nahi hui hai., pet palne layak
Naukri hai… par nahi hui.. haa.. kuch din pahle yaha par ek jaadu ka khel hua
tha, drishtibhram.., Mohini-vidya..
BENAARE: tumne dekha tha..?
SAMANT: haa ha. Har program mein rahta hu main..
BENAARE: achcha..?
SAMANT: ji sabhhi program nahi chhodta, waise bhi yaha ji bahlane ke liye kya
hai..?
BENAARE: sach..? (uske pass jaakar uspar bharosa jataane wale swar mein)
jaadu tumne pass se dekha hai..?
SAMANT: haa mera matlab hai ye ekdum pass se bhi nahi part phir bhi.. pass se
hi.. kyun.. ?
BENAARE: (fasla aur apnapan kayam rakte huye) wo jeebh kaatkar kaise jodte
hai…?
SAMANT: (zara dur jaater huye) jeebh naa..? jeebh … mera matlab hai waise
kah nahi sakte..
BENAARE: phir bhi bataao na..
SAMANT: haan..par.. ( wo phir se utna hi pass aa jaati hai, wo sankoch se durr
hatata hai) ye rahi jeebh.. ( ungli ko jeebh ke samne lata hai)
BENAARE: dikhaao..
SAMANT: ye jeebh.. ye yun kato, kya hoga.. khoon aayega, par nahi aata, ab
khoon kyun nahi aata..? iska maltab hai Mohini Vidya mein zaroor kuch hai,
maltab koi khas baat.. issi kaaran khoon nahi aata, kuch bhi nahi hota.., dard
bbi nahi hota.., sachmuch..!
BENAARE: ab tak kyun nahi aaye ye log., chal rahe honge jhoomte huye.,
insaan ko phurtila hona chahiye.
SAMANT: haa to main jeebh ke baare mein bata raha tha.. Mohini vidya..
4
4
BENAARE: school ki pahli ghanta par mera pair school ke compound mein hota
hai.., pichle 8 saal mein maine kisi ki bhi nahi suni., padhaane ke baare mein
mera hissa kabhi piche nahi rahta.., copiyaan samay par check, kisi ko kuch bhi
kahne ka mauka nahi diya maine..
SAMANT: mastarni hai shayad aap..
BENAARE: nahi..! teacher.. main kya mastarni lagti hu..?
SAMANT: nahi nahi , mere kahne ka matlab…..
BENAARE: chaho to kah lo.
SAMANT: ji. Mastarni se mera matlab hai bachcho ko padhaane wali., issi arth
mein kaha tha maine.
BENAARE: bachche budho se to behtar hote hai.. kharoch kar khoo nikaalne ke
baad darpoko ki tarah ve bhaagte to nahi..
SAMANT: wo jeebh ka qissa pura karu kya..? Mohini vidya… dhyan se dekho ye
jeebh..
BENAARE: bas.. ab rahne do..
SAMANT: achcha…(achcanak se aage badhke ek kursi lekar uske pass rakhta
hua) aap tahal kyu rahi hai..? baithiye na.. aapke pair dukhne lagenge.
BENAARE: khade khade padhaane ki aadat hai mujhe..class mein baith kar
main kabhi nahi padhaati. Issi kaaran saari class meri nazar mein rahti hai, koi
bhi mischief nahi kar sakta, mere liye mere bachche sab kuch kar sakte hai.,
kyuki main apna khoon sukhati hu unhe padhaane ke liye.., issiliye bahut se log
mujhse jalte hai., par mera kya kar lenge ve..? jaanch padtaal kar rahe hai…
mere padhaane mein to koi kor kasar nahi, ji jaan se padhaati hu…maine
khoon paseena ek kar diya hai iss Naukri mein. sirf ek aarop siddh hua to kya
kar sakte hai wo. Mujhe nikaal denge., nikaalne do. Maine kabhi kisi ka buran
ahi kiya..kiya hai to sirf apna, par ye kya koi nikaal dene ka aarop ho sakta hai..?
mujhe kya karna chahiye kya nahi ye bataane wale wo kaun hote hai..? meri
zindagi meri apni hai..apni zindagi ka main jo chahe karungi. Apna faisla main
khud karungi.. ( anjaane mein apna haath pett par, achanak samant par anazar
jaate hi chup ho jaati hai)
SAAMANT: main dekh aau., ve sab abhi tak kyu nahi aaye..?
5
BENAARE: nahi...! mujhe akele darr sa lagta hai..!
SAMANT: phir nahi jaaunga, apki tabiyat thik nahi hai kya.. ?
BENAARE: mujhe kuch bhi to nahi hua..i am fine.. ( aone apse halke halke ek
English gana gungunati hai)
O I have a sweet heart., who courage all my books,
He plays in my dolls house, he says he likes my looks,
I will tell you a secrete, he want to marry me,
But mummy says I am too little, to have sach thoughts in me.
(gaana adhura chhod ke) hum kya karne ja rahe hai pata hai..? apka naam.
SAMANT: samant.
BENAARE: haa wahi..
SAMANT: haa.., mandir ke pass board laga hai sonar moti chal , bambai ki
jagriti sabha dwara abhirup nyayalay nyaay, thik 8 baje.
BENAARE: kya kuch matlab bhi jante ho iska..?
SAMANT: baai.. uska pata nahi ., par Adalat ka kuch…
BENAARE: ekdum thik.., par sachmuch ki Adalat nahi , jhooth mooth ki.
SAMANT: matalab Adalat ka ek khel..
BENAARE: wahi.., shiksha dena bhi hamaare program ka ek khas uddeshya hai.,
jo hamare adhyaksh kaashikar tumko natak ke bich bich mein bataayenge,
dusra ek hai Mrs. palne ki dori- yaani ki Mrs kaashikar., Adarsh grihani.,
bechaari., bechari unki ye palne kid or palna dekhne ko bhi taras gai…
SAMANT: (dono haatho ko jhulaate huye) ye nahi hai unke.. ?
BENAARE: right..! tum to kaafi hoshiyaar ho.. Mr. kaashikar aur paalne ki dori
ne apne ghar mein udaasi se jaan na chali jaayeissiliye ek ladka paal rakha hai.,
uska naam hai baalu rokde.. aur kahne ke liye humare program meinek kanoon
da hai humare bich mein., kanoon ki unki jaankari ke kya kahne.., aisi dhaak hai
unki ki koi gaya beeta muwakkil bhi unke hisse nahi aata., court mein akele
baith kar aur makkhiyaan maarte hai. Aaj ke natak Adalat ke mukadme mein ek
bade bhari wakeel ki Bhumika mein hai wo..tum khud hi dekh loge unki
6
wakaalat. Aur ek hai ( pipe muh mein pakdne ki acting karte huye)
hmmmmmm.. scientist.., inter fail.
SAMANT: jo bhi ho.. badha maza aayega..
BENAARE: ek intellectual bhi hai humare sath.. I mean keetaabi keeda..kori
baato par ghamand kare aur kaam ke waqt doom daba ke bhaag jaaye., muh
churaaye., wo aaj nahi aayenge., kya mazaal hai jo ab aaye..
SAMANT: par mukadma kis baare mein hai aaj ka. ?
BENAARE: nuclear weapons ke baare mein president jonson par mukadma hai..
SAMANT: baba re baba..!
BENAARE: sh.. sh..! khamosh lagta hai sab aa gaye.., tum idhar aao.. chip
jaao..( samant aur benaare darwaaje ke piche chhipe hai..) baalu Adalat ka
samaan lekar aate huye andar aata hai.. uske piche sukhatme, ponkche andar
aate hai..unke andar aate hi benaare zor se chilaati huye sabko daraati hai)
bho.. .! ( sab chauk jaate hai.,aur benaare zor zor se hasne lagti hai..)
ROKDE: itni zor se..! benaare baai ye sab niche gir gaya hota to.., khamkhaah
mujhe Kashikar baai se daant pad jaati.
PONKCHE: (bhari chashma utaarte huye) dekhu to kaha hai wo.. ( bhagta hua
dusre darwaje ke andar chala jaata hai.)
SUKHATEME: ( beedi pite huye ek dhuaa chhodte huye) ek nannhi si munni
basi hai mere mann mein. Chahe jo ho jaaye aap apni naasamjhi chhodne ko
taiyyar nahi.
BENAARE: kyu.. waise class mein to kaafi gambir rahti hu main,par mai puchti
hu insaan ko har samay lamba, chaukor chehra banaaye ghumte rahne ki kya
zaroorat hai punkche ki tarah..? sharam haya chhodkar bedhadak jeena
chahiye., tumhari zindagi khatam hone par kya koi dusra tumhe apni zindagi
dega.. kyu Samant.. dega koi ?
SAMANT: bilkul sahi kaha apne., sakshaat Tukaram maharaj ne bhi yahi kaha
hai.

7
BENAARE: are unki chhodo meri suno..main leela benaare.., ek jeeti jagti stri.,
apne Anubhav se kahti hu.., zindagi kisi dusre ke liye nahi hoti hai.., wo sirf
apne liye hoti hai., uska har pal anmol hai.
SUKHATME: (taaliyaan bajaate huye) here .. here..! ( anadar se ponkche aa
jaata hai)
BENAARE: here nahi ( ponkche ki taraf ishara karte huye) there..!
PONKCHE: kya hua…
BENAARE: ponkche .. sach bataao natak shuru hone ke pahle jo nervesness
hoti hai.., isiliye saara intezaam anadar dekhne gaye they na..?
SUKHATME: aap jo chahe kah lijiye, par ponkche humari Adalat mein gawaah
ke katghare mein scientist ke roop mein kya janchte hai..( rokde has deta hai)
PONKCHE: daant mat dikhaao rokde.. Mrs kaashikar ke diye tukdo par nahi pala
hu main, inter fail bhale hi sahi, par hu to apni kamaai par., nonsence…!
BENAARE: (chidhaate huye) nonsense..! ekbaat bata du…bachpan mein main
apne aapse bolti thi..kuch bhi hone par zor se ro padti thi..
PONKCHE: tabhi to ab ekdum iske ulti ho gai ho..
BENAARE: bilkul.. kyu samant..
SAMANT: yaani.. koi bhi ho sakta hai.. mujhe thode hi maaloom hoga..
BENAARE: main school ke pahle din pahle panne par chhote aksharo mein
phool banaati aur likhati.. “the grass is green , the rose is red, this book is mine,
till I am dead.”
ROKDE: (jhat apne jhole mein se ek notebook nikalakr likhna shuru kar deta)
bahut sundar., the grass is green., the rose is red.. aura age bich meinmya tha
benaare baai..?
BENAARE: ye sarasar behudi aadat hai rokde. Main baar baar class mein
ladkiyo ko yahi batata ki adhura sun kar use likhne ki jaldbaazi nahi karo..
SUKHATME: benaare baai aap chalne dijiye..
BENAARE: main ek kahaani sunaau..kahaani.. ? bachcho.. baith jaao.., ek tha
bhediya..
8
ROKDE: are wah..! shuru kijiye.. baithiye sukhtme sahab, aap bhi baithiye
ponkche.
BENAARE: nahi ek Kavita sunaati hu.., nahiek gaana suno…
G……..A………A….N…….A….
(sabhi maze se gaane ar sath dete hai..tabhi muh mein paan khaaye Kaarnik jo
ki ek actor hai andar aata hai)
KARNIK: achcha ..! mujhe laga shayad bhool naa jaau… ( baaki sabki taraf
dekhta hai) kya huaa..?
ROKDE: huh..! mamla thapp ho gaya..
SUKHATME: benaare baai gaa rahi thi.. bahut sundar, bahut meetha.
(benaare use Thenga dikhaati hai aur zor se hasti hai..kaarnik haal ko dekh raha
hai.)
SUKHATME: (mazaak udaate huye) Mr. karnik , apke mann mein ye chal raha
hai na ki ye hall darshko ke sar ke upar se nikal jaane wala apka natak thik hai
nahi.
KARNIK: ji nahi , balki ye hall sachmuch ke court se jyada behtar hai.
BENAARE: sach.., phir to aaj ke apne natak Adalat mein khoob rang jamega.
Bilkul asli Adalat ki tarah.
ROKDE: par kaashikar baii abhi tak kyu nahi aai.. ?
Karnik: aa rahi hai.. raste mein Mr kashikar gajra le rahe they. So ruk gaye dono.
Rokde baaki natak ke liye saari taiyyari ho gai hai na. pichli baar ki tarah koi
kami nahi honi chahiye. Thank god mere mere jagah koi aur actor hota to
jaaane sab gadbad kar deta. Lekin maine sab sambhal liya.
BENAARE: huh..! waise ek baat Mr aur Mrs. kashikar ke baare mein kisi ke
dhyan mein aai..?
ROKDE: kya..?
PONKCHE: yes what.. ?
SUKHATME: main batata hu.. but let me see benaare baai.. common out with
it.
9
BENAARE: apki samjh mein kuch bhi nahi aaya sukhatme. Faltu mein apna
wakeelana rob naa dikhaaiye. Mr. kashikar Mrs kashikar ko gajra dete hai.. aur
Mrs. kashikar unhe bushirt deti hai.
KARNIK: (paan thook kar) bhai aisi formalities kisi pati patni mein jyada dikhaai
de to samjh lo unke relation mein zaroor kuch ghapla hai..
ROKDE: (gusse mein) ye tumhare uss experimental natako mein hota hoga..
KARNIK: jo baat samjh mein nahi aati usme gyan mat baghaar., main apni biwi
ko kabhi gajra nahi deta.., matlab dil mein aane par bhi taal deta hu..
BENAARE: ( tont way ) chu chu chu chu…!
KARNIK : kya hua.. ?
BENAARE: main apki jagah hoti to main apni biwi ko daily gajra leke deti.
SUKHATME: I wonder aap jise bushirt dengi kaisa hoga wo bhagyawaan, apke
jaisa akkhad hua to phir mamla hi khatm.
BENAARE: huh..!
( Mr. aur Mrs. Kashikar andar aate hai)
Mrs. KASHIKAR: (haste huye) ye dekhiye sab yahi hai..
SUKHATME: aaiye kashikar, kaisa raha veni program.
Mrs. KASHIKAR: sab samaan thim se le aaya na baalu ?
ROKDE: bilkul
KASHIKAR: abhi to kahte ho sara samaan le aaye ho.. par har waqt kuch na
kuch bhool jaate ho. Chobdaar ka danda hai.? Sirf gardan na hilaao, dikhaao
kaha hai wo.. ?
ROKDE: ye dekhi.. kabhi kabhar bhool jaata hu.. opar har waqt thode hi bhoolta
hu..
KASHIKAR: har samay kya hota hai isse chhod.. aaj sab kuch thik hai na..mera
wig judge ka..? le aaye ho ?
ROKDE: haa wo to sabse pahle le liya tha.
KASHIKAR: aap sukhatme..wakeel ka gown… le aaye ho na.. ?
10
SUKHATME: yes your owner.. use main sapne mein bhi nahi bhool sakta
hu.apka kya hai ponkche ?
PONKCHE: well.. I am alwys ready.kuch rahna nahi chahiye., mera zara nervas
temperament hai na.. pipe na ho to witness box mein mujhe kuch sujhta hi
nahi.
Mrs. KASHIKAR: aaj main pahle tumhari line karwa lungi.
PONKCHE: waise koi zaroorat nahi hai.
Mrs. KASHIKAR: ori benaare.. (jude ka gajra thik karte huye) tere liye bhi gajra
lene jar ahi thi main. Dekho wo….
BENAARE: (ponkche ki tarah) hmmm
Mrs. KASHIKAR: kyu ji.. par hua wo ki…
BENAARE: gajra udd gaya furrr.., ya kauaa le gaya., par main chahti hi nahi.,
nahi to kya meri gajra lene ki haisiyat nahi.. khud kamaati hu..
Mrs. KASHIKAR: achcha school kya kahta hai tumhara.. ?
BENAARE: ( thoda savdhani se) kuch bhi nahi kahta.
KASHIKAR: main kahta hu judge ki kursi iss taraf ki jaaye ya uss taraf ?
KARNIK: zaahir hai iss taraf.. stage udhar hai..president johnson iss taraf khada
hoga..
SAMANT: (ashcharya se) president johnson..! ( rokde se) ye president johnson
sachmuch yaha aayenge.?
ROKDE: aji sach much mein kaha se aane lage.., yahi karnik hai na wahi hai aaj
kal. ( Mrs kashikar se) abhi professor damle nahi aaye. ?
Mrs. KASHIKAR: are .., humesha ki tarah der se hi aayenge wo..benaare tumse
mile they ve.. ?
BENAARE: kaun .?
Mrs. KAASHIKAR: prof. Damle ?
BENAARE: nahi to..
KASHIKAR: ye ek aur sar dard hai..
11
SUKHATME: usme kya badi baat hai.. aap fikar na kijiye..
KASHIKAR: fikar kaise na kare.. we are something to the people sukhatme..
natak hai.. koi mazaak to nahi na..
PONKCHE: kya hua..?
KASHIKAR: aji , par ab mujrim ka wakeel kaun banega..?
SUKHATME: don’t worry, aaj ke liye sarkari wakeel ke sath sath wo kaam bhi
main hi kar lunga. usme kya hai wakeel hu main, koi kami nahi padne dunga.,
KARNIK: bahut sahi., ye jyada dramatic hoga.
PONKCHE: yakeenan (pipe ka ek gahra kash lete huye)
BENAARE: yakeenan (punkche gusse se ghutra hai)
ROKDE: (ek kaagaz dekhta hua) aur chautha gawaah., sukhatme sahab, wo bhi
kamm hai., yaha se (Mrs kashikar) apko lene ka tay huya tha.,
SUKHATME: you mean yaha ka..
ROKDE: main kar lu ye kaam aaj.? Mera role zara sa to hai, mera kkoi bhi kar
lega.,mujhe chauthe gawaah ki laaine bhi yaad hai.
KARNIK: I appose …! Chobdaar ka hi kyu na ho, character asaan nahi hai wo.
Lines nahi hai to kya hua, yu hi kisi ko ain mauke par khade karne se kaam nahi
chalega. Rokde tum hi karoge wo.
ROKDE: par ek din main wo dusra kar lu to…!
KASHIKAR: nahi..
Mrs. KASHIKAR: baalu.., nahi kahte hai to kahi karo. To phir kaun banega
chautha gawaah.. ?
SUKHATME: (samant ko niharte huye) i know.., ye dekhiye chautha gawaah.,
samant..
SAMANT: (ghabrakar) kya hua..
PONKCHE: (pipe phookte huye) not bad.
KASHIKAR: (samant se) kyu ji., apne kabhi drame waame mein kaam kiya hai ?
SAMANT: kabhi nahi., kyu kya hua..?
12
Mrs. KASHIKAR: aap banoge chauthe gawaah, bataaiye ? arri benaare..
chauthe gawaah ke role mein ye kaise lagte hai tujhe ?
BENAARE: ye..? not bad matlab sundar lagte hai., (samant sankoch karta hai,
benaare hasti hai) gawaah ke role mein kaha maine. Chautha gawaah.
SUKHATME: Mrs kashikar,karnik, ponkche don’t worry. Main zimmewari leta
hu., hai hi kya usme, main taiyyar karunga., Mr. kya naam hai apka ?
SAMANT: Raghu samant.
SUKHATME: Mr. samant, hamne aaj ke natak ki Adalat mein apko chautha
gawaaah banaya hai.
SAMANT: main.. magar mujhe..
Mrs KASHIKAR: apne Adalat dekhi hai na,,?
SAMANT: ji nahi. Aaj tak nahi.
KARNIK: natak mein ?
SAMANT: aisa natak kabhi hua hi nahi yaha.
SUKHATME: ye thik hai.., kam se kam Adalat ke baare mein koi galat
dhaarnaaye to nahi hai inki.
SUKHATME: mister samant, main apko program ke pahle achchi tarah se
taiyyar kar dunga.
SAMANT: par mujhe kisi chiz ki jankari nahi.., uss par Adalat ka to naam sunte
hi damm ghutne lagta hai mera.
Mrs KASHIKAR: main kahti hu, hum inko lekar ek rehrsal kyu na kare. (kashikar
se) kyu ji..? kyu ri benaare.. ?
BENAARE: haa mujhe koi aitraaz nahi hai. Waise bhi natak shuru hone mein
bahut time hai.
SUKHATME: kyu rokde.. shapath ke liye le aaye ho bible ya geeta. Ya bhool gaye
?
ROKDE: ( apne jhole mein dekhta hai) nahi laaye hai., shayad bhool gaya.
KASHIKAR: mujhe pata tha ye kuch na kuch gadbad zaroor karega. Ab to
humein iss oxford dictionary se hi natak mein kaam chala hoga.
13
KARNIK: rehrsal ka idea mujhe bilkul Manzoor hai.
PONKCHE: (rokde se) I don’t mind.
SAMANT: haa, pahle sab dekha hua ho to phir sawaal nahi rahta.
BENAARE: samant hum sab ne aaj raat ka mukadma pichle 3 maheene mein 7
baar kar chuke hai, aaj aathvi baar karne se mujhe koi inkaar nahi.
SUKHATME: I agree with you Mrs benaare. To phir program shuru hone ke
pahle uski ek rehrsal kar le , jisse chauthe gawaah ke liye samant ko samjh mein
aa jaaye ki use karna kya hai.
BENAARE: main aai (apne basket mei se napkin, soap nikaal kar uthati hai aur
gungunaate huye dusre darwaze se andar chali jaati hai.
Mrs. KASHIKAR: baalu, zara tab tak court to laga do.
(baalu rokde saara court ka set-up lagaata hai.
KARNIK: cast raat ki ho, matlab judge , wakeel wagairah.
SUKHATME: o yes. by all means. Usme koi change karne ki zaroorat nahi.
Wakeel main hi ho jaaunga.
Mrs. KASHIKAR: par main kahti hu muzrim to zara alag rahne do. Kyu karnik ?
KARNIK: nahi .. uski koi zaroorat nahi, you knw one thing ponkche >
PONCHE: what ?
KARNIK: (andar ke kamre ki or ishara karke) uske baare baare mein ? rokde told
me.
PONKCHE: what..?
KARNIK: abhi nahi raat mein program ke baad yaad dilaana.
PONKCHE: main bhi kuc bataaunga benaare ke baare mein, (sabhi se) waise
alag muzrim ka kiya jaaye to behtar hoga.
KASHIKAR: haa., use dilchaspi badhegi.
Mrs. KASHIKAR: wahi..

14
KASHIKAR: wahi kya.. apni zubaan pe zara lagaam rakhiye.. baat karne ki zara si
tameej nahi.
SUKHATME: I don’t mind, mujhe lagta hai why not rokde.
(rokde khush ho jata hai)
ROKDE: haa, mai taiyaar hu.
KARNIK: phir to mujhe hi bana do mujrim. Waise shuru karne se pahle agar sab
apne zaroorat ke hisaab se bahar se paan ciggrate wagairah mangwa lo.. baad
mein mujhe kisi baat ka disturbance nahi chahiye.
PONCHE: bahut sahi.
SUKHATME: samant aap ek kaam karo aap bahar se mera beedi le lena.
KARNIK: aur mere liye paan.
SAMANT: thik hai main abhi le aaya (wo bahar jaata hai)
KASHIKAR: main kahta hu yadi hum kuch karne hi ja rahe hai hai to, bekaar hasi
mazaak na kare, mujrim main banta hu sukhatme, mujhe mujrim banaaiye.
PONKCHE: consider me then.
ROKDE: (mrs kashikar se) par main kya bura hu baai.
Mrs.KASHIKAR: aji sunte ho.., main kya kah rahi hu. Main ho jaau, chaho to ho
jaaungi.
KASHIKAR: koi zaroorat nahi. Zara chaar logo ke bich aana jaana lagan ahi bas
shuru… aage aage.. aage aage.. huh
Mrs. KASHIKAR: bas bas.. huh.. thik hai nahi banti main, ho gai tasalli.
SUKHATME: mujrim bilkul alag banaayenge to thik rahega. Waise humaari
benaare kaisi rahengi. Kyu ponkche kaisa choice ?
PONKCHE: thik hai.
SUKHATME: kyu Mrs kashikar thik rahega ye ?

15
Mrs KASHIKAR: aap kahte hai to chalega. Waise bhi aurat par chalaya gaya
mukadma kaisa hota hai wo bhi dekhne ko milega. kyu ji sab kuch dhyan se jo
dekhna hai..
KASHIKAR: haa haa kyu nahi..kya pata apko suprim court ka joudge hi bana
diya jaaye .
Mrs. KASHIKAR: huh.. mera matlab wo thode hi tha..
SUKHATME: dekhiye case mein kuch jyada fark nahi hota hai, par aurat ke
pinjre mein par case mein eka lag hi rang aa jaata hai.
Mrs KASHIKAR: to phir tay., aaj ki mujarim humari benaare, par jurm kaun sa.?
KASHIKAR: koi samajik mahtva ka jurm hona chahiye.
PONKCHE: thik hai.. sab idhar aao.. ( wo sabhi ko kuch plan batata hai, ishaare
se bich bich mein benaare jis kamre mein gai hai udhar nirdeshit karta hai)
( tabhi benaare napkin se muh pochte huye bahar aati hai , aur side mein rakhe
ek table pe baih jaati hai tabhi sabhi ek katghara laake benaare ko katghare
mein daal dete hai, aur kashikar joudge ki kursi par baith jaata hai, benaare
kuch pal ke liye ye sab kuch samjh nahi paati hai, issi bich sukhatme wakeel ka
gown pahan leta hai, baaki sabhi apni apni jagah baith jaate hai)
KASHIKAR: mujrim miss leela benaare , Indian penal code ki dafaa 302 ke tahat
aap par bhroon hatya ka iljaam lagaya jaata hai. Ye iljaam apko Manzoor hai yan
ahi. ( mahul thoda serious ho jata hai)
KASHIKAR: (table ke pass ek nyaaydheesh ki robe mein baithe hai) mujarima
miss leela benaare Indian penal code ki dafa 302 ke tahat aap par bhrun hatya
ka ilzaam lagay gaya hai. Ye ilzaam Manzoor hai ya na Manzoor ?
SAMANT: (darwaje par khada ab dheere se karnik ko) ye lijiye . masala paan.
Aur ciggrate packet.
Mrs KASHIKAR: mujhe paan masala.
KARNIK: ciggrate packet mujhe.
SAMANT: samant special paan mujhe idhar.
SUKHATME: ek paan ek beedi, aur apko kashikar.
16
KASHIKAR: masala paan.
(rokde samat se paan lekar kashikar ko deta hai)
SUKHATME: (eka paan benaare ko dete huye) have it benaare.
BENAARE: (kursi mein baithi hui) no thank you.
SUKHATME: benaare baai .. achanak aap itni Gambhir kyu ho gai.? After all this
is just a game. Itni bhi serious kyu ho rahi hai.
BENAARE: (hasne ki koshish karti hai) kaun serious hai… main to bilkul light
hu. Main to bas court ka atmosphere lane ke liye zara sa serious ho gai. Bas.
Aur phi raise mukadme se mujhe kyu darr lagne laga.
SAMANT: (karnik se) abhi unhone kya kaha…?
KARNIK: (kash lekar) kis baare mein ?
SAMANT: kisi ilzaam ke baare mein kah rahe they we. Kashikar sahab. Lekin
main puri tarah se kuch samjh nahi paya.
KARNIK: ye ilzaam… hatya ka ?
SAMANT: ji haa…
SUKHATME: bachche ke paida hone se pahle hi use maar dene ka ilzaam.
SAMANT: hey bhagwan.. bahut bhayanak ilzaam. Humaare gaav mein bhi ek
baar aisa hua tha.. ek dedh saal pahle ek bechari vidhwa thi..
SUKHATME: achcha… kashikar.. ilzaam bhi kya chunakr lagaya apne. A-1
ilzaam.
KASHIKAR: aur phir samajik drishti se bhi iss ilzaam ka bahut mahtva hai.
Issiliye maine ye ilzaam jaanbujh kar lagay ki samaj ki bhalaai ke silsile mein
humari dilchaspi har baat mein jhalakti hai. Benaare baai.. now come-on.
Rokde mera hathuda.. ? (rokde jaldi se hathuda laakar table par rakh deta hai)
kaam chal jaata .. par main dekhna chah raha tha ki tum laaye ho yan nahi.
(hathuda patakte huye) order order.. to chaliye sukhatme start kijiye. Adhikasya
adhikam phalam.pahle meri kaan ki teeli (jeb mei se dhoodh kar nikaalte hai)

17
SUKHATME: milord.. main Adalat se arz karna chahta hu ki Adalat ka aage ka
kaam asaani se chal sake issiliye mukdame se releted sabhi ko muh ka paan
thookne ke liye 15 second ka time diya jaaye.
KASHIKAR: (muh mein fasa paan ka tookda jeebh se bahar phekte huye) sabhi
ko 15 second ka samay diya jaata hai.
(ye sunte hi sabhi bhaag ke kone mein rakhe dustbin mein paan thookate hai.
Aur apni apni jagah aakar baith jaate hai)
KASHIKAR: (hathoda peetate huye) khaamosh.. silence must be observed
Mrs KASHIKAR: samant.. ye paan waan ka sab mazaak mein tha.aham baat ye
hai ki kisi bhi baat ke liye court mein permission leni padti hai.
SAMANT: haa .. samjh mein aaya.
KASHIKAR: silence must be observed when court is in session.
Mrs KASHIKAR: par maine to sirf samant ko.. huh… jab dekho tab mujhe hi
daatate rahte hai.
BENAARE: ye.. baalu…
ROKDE: (chidhate huye) matt kaho mujhe baalu.
KASHIKAR: now back to bhroon hatya. Mujrima miss leela benaare aap para
lagaya ilzaam Manzoor hai ya nahi.?
BENAARE: aap par lagaya jaaye to aap karenge ?
KASHIKAR: order order.. har haalat mein court ki izzat honi chahiye.
Baigair uske samant ko Adalat ki sahi karywaahi ka pata nahi lagega.
BENAARE: ya bhroon hatya ki karyawaahi ka… tumhara ye shabd mujhe bilkul
bhi pasand nahi. Bhroon hatya.. are lagana hi hai to koi public property ko
hathiyaane ka aarop lgaate.
Mrs KASHIKAR: nahi ji.. lagaya gaya ilzaam itna bhi bura to nahi hai.
BENAARE: order , order. Adalat ki izzat kijiye. Ghar mein bhi chik chik yaha bhi
chik chik.
Mrs KASHIKAR: benaare. Ab bas bhi kar.
18
KASHIKAR: mujrima miss benaare apne wakeel ke adhikaaro ko apne haath
mein lekar Adalat ki karyawahi mein rukaawat paida ki.
BENAARE: thanks. Iske liye aapko diya jaata hai masala paan.
KARNIK: yahi.. yahi.. hai wo… matlab kuch serious lena hi nahi hai to baat hi
khatm.
SUKHATME: benaare baai please..
BENAARE: serious ho jaaiye.. huh. Now back to bhrron hatya.. mujhe ilzaam
bilkul bhi Manzoor nahi.makkhi tak ko marne se main darti hu.. phir bhroon
hatya kaise kar sakti hu.
KASHIKAR: rokde kasam ka potha ? (rokde jaldi se bhaari potha nikaalta hai)
aur gawaahi ka katghara ? ( rokde gawaahi ka katghara lagata hai)
Mrs KASHIKAR: (samant se) iske baad sarkaari wakeel ka bhashan hoga.
SUKHATME: (do kursiyo ke bich mein pair faila kar dono haath sarr piche pakad
kar baithe huye they, wo susti se uth khada ho jaata hai) milord mujrima par
lagay gaya ilzaam ( karnik ki ciggrate par beedi sulgakar dhuua chhodte huye)
bahut bhayankar hai.
BENAARE: apko kaise maloom..? (sabhi benaare ko ghoor ke dekhte hai) order,
order..! (ponkche jhujhulakar andar ke kamre mein chala jata hai..)
KASHIKAR: benaare aapko phir se ek baar Adalat ki karyawaahi mein baadha
dalne ke liye agaah kiya jaata hai.
SUKHATME: milord…matritva yaani motherhood bahut hi Pavitra hota
hai..maa par bahut badi zimmedaari hoti hai, waqt aane par ek maa apni jaan
par khel kar apne bachcho ki Raksha karti hai.. par..,
KASHIKAR: ek baat bhool gaye., Janani janmbhumishch swargadapi dareeyasi,
aisa Sanskrit ka wachan hai.
Mrs KASHIKAR: (utsaah se gaate huye) aur tu kitni achchi hai.. o maa….!
BENAARE: order order..!
SUKHATME: milord.., I am deeply greatfull for your ideal., aurat.. ye ek lamhe ki
biwi aur sadiyon ki maa hai.
19
(samant taaliyaan bajata hai)
Mrs KASHIKAR: (samant se) abhi to thik hai par raat ke naatak mein aisa nahi
karna..
SAMANT: haa.. par mujhse raha nahi gaya..kitna badhiya bola inhone.
SUKHATME: sach hai.. aisi haalat mein ki stri apne pet ke pal rahe bachche ki
jaan le le to hum ek pratishthit nagrik hone ke naate usse kya kahenge. ? hum
kahenge ki isse badhkar neech aur ghinauna kaam koi hai hi nahi.
(tabhi andar ke kamre se ponkche aata hai) mujrima ne ye ghinauna kaam kiya
hai, issi tarah kuch baate saabit karne ki koshish karne jar raha hu.
BENAARE: (chidhaate huye) ye baalu… (hasti hai)
SUKHATME: humare pahle gawaah hai mash-hoor scientist Mr gopal ponkche.
Kyu Ponkche kaisa laga achanak tumhe mash-hoor bana diya.
(pokche gawahi ke katghare mein aata hai.)
PONKCHE: (pothe ka pahla panna dekh kar) main G N Ponkche .. oxford
dictionary par hath rakh kar kasam kha kar kahta hu ki main jo kuch kahunga
sach kahunga, sach ke siwa kuch nahi kahunga. (benaare hsati hai)
Mrs. KASHIKAR: baalu.. geeta kaha gai.. ?
ROKDE: wo.., galati se dictionary le aaya.. aakhir kis kis baat ka khyal rakhu.
BERNAARE: (mazaak udaate huye) chi chi.. behcara baalu..
ROKDE: aap mujh pe day ana dikhaaiye haa… kahe deta hu.
KASHIKAR: (hathuda pitkar) examination to start.
SUKHATME: (ponkche se) apka naam ?
PONKCHE: G.N.Ponkche.. aage chaliye. Detail sab raat ke show mein.
SUKHATME: mujrima ko aap jante hai ?
BENAARE: ( bich mein bol deti hai) haa.
PONKCHE: ji haa , khoob achchi tarah se.
SUKHATME: mujrima ka social status aap kaise bayan karenge ?
20
PONKCHE: mastarni
BENAARE: (muh chidhate huye) huh
SUKHATME: Mr Ponkche mujrima ki shadi hui hai yan nahi ?
PONKCHE: ye baat khud mujrima se hi kyu nahi puch lete.
SUKHATME: par apko pucha jaaye to aap kya jawaab denge.
PONKCHE: laukik drishti mein unmarried hai.
BENAARE: aur waise ?
KASHIKAR: order, order..! benaare baai ..court mein sayyam ka mahtav matt
bhooliye. (sukhatme se) you may continue.. main abhi aaya.. (uth kar andar ke
kamre mein jaate hai)
Mrs KASHIKAR: (samant se) ye sirf abhi ke liye raat mein aisa nahi hoga..
SUKHATME: Mr. ponkche apkin raai mein mujrima ka naitik chaal chalan kaisa
hai..
BENAARE: ye unko kaise pata hoga ?
PONKCHE: different hai..
SUKHATME: misaal ke taur par.. ?
PONKCHE: mujrima kuch jyada hi….
SUKHATME: jyada ka matlab.. ?
PONKCHE: matlab ye ki ye mardo kea age peeche, I mean kuch jyada hi ghulti
milti hai.
BENAARE: ch. Ch.. ch.. bechaare mard.
SUKHATME: miss benaare ye Adalat ki be-adbi hai.
BENAARE: Adalat uss kamre mein gai hai, phir iss kamre mein uski be-adbi aise
ho sakti hai.
SUKHATME: tumhare muh lagne se kuch haasil nahi hoga. ( issi bich ponkche
katghare se bahar nikalkar karnik ke pass jaake baat kar raha hai) nobody is
serious. ( ponkche katghare mein wapas aa jata hai) Mr ponkche mujrima ka
21
kisi vivaahit ya avivaahit se koi khas taalluk they ya hai.. iss baare mein aap bata
sakte ho..
BENAARE: (bich mein hi) haa, tum sarkaari wakeel sukhatme ke sath hi,
nyaymurti ke sath bhi, ho sake to iss ponkche ke sath , iss balu aur karnik ke
sath bhi.
ROKDE: benaare baai bata de raha hu bhari padega haa..
PONCKHE: … hmm. Aisi haalat mein iss mukadme ki khilli udaane mein kya
rakha hai..sukhatme.. nobody is serious, wo kashikar udhar andar gaye huye
hai, inka ye haal hai.. aur mujhe kuch kahne hi nahi diya ja raha…
Mrs KASHIKAR: dekh ri benaare, tujh akele ki wajah se raat ke show mein agar
kuch gadabd hua to dekh lena.. kahe deti hu.
BENAARE: main to sirf inki madad hi kar rahi hu.
(kashikar andar se aate huye)
KASHIKAR: what happened ? continue Mr sukhatme, meri kaan ki tilli kaha gai..
BENAARE: chalo main zara tahal leti hu., aap chalaaiye mukadma.. bhroon
hatya huh..,
KARNIK: yadi aisa hota hai to phir bas kijiye..
Mrs KASHIKAR: nahi ji.. karywaahi ekbaar puri hone dijiye.. hath mein liya hua
kaam pura hona hi chahiye.
SAMANT: (mrs kashikar se) kya ab rehrsal nahi hoga.
KASHIKAR: (kaan ki tilli milne par) mil gai, chaliye hearing to continue
SUKHATME: Mr ponckhe mujrima ke bartaav mein apko kuch khatkne wali baat
nazar aai thi ?
PONCKHE: yes bahut kuch.
SUKHATME: wo kya..?
PONKCHE: kai baar uska bartaav kuch aisa hota hi jaise kisi pagal ka..
SUKHATME: for example?
22
PONKCHE: for example ek din usne meri shadi karaane ka…. (benaare use
jeebh nikalkar chidha rahi hai) Itna hi nahi iss waqt ye paagal ki tarah mujhe
zubaan dikha kar chidha rahi hai.
SUKJATME: good.. ab aap jaake baith sakte hai pokche. Our next witness is
karnik the great actor.
(kaarnik dramatic way mein katghare ke andar aata hai)
KARNIK: ask
SUKHATME: kasam, naam, dhandha wandha sab ho gaya.., to Mr karnik aap
actor hai.. ?
KARNIK: (dramatic way ) yes.. aur mujhe uss par naaz hai.
SUKHATME: thik hai thik hai.. par Mr karnik you knw this lady ?
KARNIK: yes sir, I think I know this lady.
SUKHATME: think ka kya matlab karnik ?
KARNIK: think matlab sochna ya vichar karna, aap chahe to wo rahi oxford
dictionary mein dekh lo.
SUKHATME: (dictionary ki taraf jaate jaate ruk jaata hai) mujhe iski zaroorat
nahi, Mr karnik ya to aap inhe pehchante ho yan ahi pahchante. Isme aap
yakeenan kya kahenge ?
KARNIK: strange..! kabhi kabhaar humein lagta hai ki hum pehchante hai, par
asal mein hum nahi pahchante , truth is strange then fiction.
SUKHATME: apki inse mulakaat kaha hui. ?
KARNIK: humare club mein, natak Adalat ke progrsm mein main bhi inhi ke sath
kaam karta hu.
SUKHATME: Mr karnik satya ko sakshi rakh kar aap mujhe bataaiye., maan lijiye
aapse kaha gaya ki maa ki paribhasha kijiye to aap kya kahenge.
KARNIK: jo janm deti hai wo maata hai hai.
SUKHATME: Mr karnik , janm diye huye bachche ko pal poskar bada karti hai
wo maa hai ya ishthurta se uski hatya karti ho maa hai.. ?
KARNIK: dono bhi maa hi hai.. dono hi janm deti hai..
23
SUKHATME: Mr karnik aap matritrva kise kahenge ?
KARNIK: bachche ko janm dene ko.
SUKHATME: janm to ek kutiya bhi apne pille ko deti hai.
KARNIK: wo bhi maa hi hoti hai, kaun inkaar karta hai, insaano mein hi maa
hoti jaanwaro mein nahi., ye kisne kaha.
BENAARE: wah karnik wah..!
SUKHATME: karnik bade mood mein hai aaj.
KASHIKAR: apko jo kuch bhi kartab dikhana hai wo raat ko natak mein
dikhaaiyega.
SUKHATME: Mr. karnik, ab puri tarah se soch samajh kar zawaab dijiye,
muzrima ke naitik chal chalan ke baare mein apki kya raai hai ?
KARNIK: matlab adalati ya reality ?
SUKHATME: in reality
KASHIKAR: (kaan saf karte huye) mujhe lagta hai ki mukadme ki had tak hi
sawaal puche jaaye to achcha rahega sukhatme.
KARNIK: aisi baat hai to phir koi fikar nahi, mujhe mujrima ke naitik chal chalan
ke baare mein kuch bhi maloom nahi.
SUKHATME: are you sure ?
KARNIK: yes.. mukadme ke silsile mein to bilkul bhi nahi.
(benaare ka thodi serious ho jaati hai)
SUKHATME: Mr. karnik, kisi khas samay par khas halat mein mujrima par
sandeh ki sthiti mein paya hai ya nahi ? zawaab dijiye.. haa ya nahi..
KARNIK: mujh se nahi.. iss rokde se pucho.
ROKDE: (hadbadakar) mujhe.. mujhe kuch pata nahi..
SUKHATME: Mr. karnik thank you so much, you can take your seat now. mr.
rokde , aap gawaahi ke katghare mein aaiye.
Mrs KASHIKAR: (samant se) samjh rahe hai na aap ?
24
SAMANT: ji bilkul.
ROKDE: main.. nahi..!
SUKHATME: milord , mukadme ke intrest mein rokde ki gawaahi zaroori hai.
ROKDE: nahi.. mujhe nahi jaana ha, chaho to main yaha se chala jaata hu.
(benaare zor se hasti hai)
KASHIKAR: (gusse se) rokde..!
(rokde chup chap katghare mein jaakar khada ho jaata hai )
POKCHE: (karnik se) kya dekha usne.. ?
KARNIK: are kuch nahi.. maine bas mazaak kiya.. tune mujhe fasaya , maine
usse.. khel chalna chahiye ya nahi.
SUKHATME: kasam , naam , dhandha, aage mr. rokde.. ( rokde thoda ruaasa sa)
MR karnik ne apni gawaahi mein apka zikra kiya, iss baat par aapnkuch Roshni
daal sakte hai ?
Mrs. KASHIKAR: baalu, ab bina ruke ek badhiya gawaahi de do.baat bani to
agle show mein tumhe chance milega, warna itna achcha mauka tujhe nahi
milega. Samant aap bas dekhte rahiye. ( kashikar usse aakhe dikhaate hai, wo
ekdum se chup hoke apni jagah baith jaati hai)
SUKHATME: kahiye rokde, apne kya dekha ? bhagwan ko sakshi maan kar
kaho, apne kya dekha.. answer plz.
ROKDE: ( ghabrate huye) bramhaand ..! (benaare hasne lagti hai)
KASHIKAR: gadha..!
Mrs KASHIKAR: baalu, phir aisa mauka nahi milega, darr ki bhi koi had hoti hai,
insan ko kuch to stage free hona chahiye ya nahi, ye baalu.. fatafat bol naa..
BENAARE: ye baalu … bol na.. a, aa, e,ee.. !
ROKDE: khamosh..! main batata hu, kuch din pahle main gaya tha uske pass.
SUKHATME: kiske pass gaye they.. ?
ROKDE: bich bich mein mujhe matt rokiye, main gaya unn.. unn.. daamle ke
yaha.. ( benaare shock)
25
PONCKHE: our professor daamle ?
KARNIK: matlab unke college hostel ke kamre par ?
ROKDE: haa aise hi kaam ko gaya tha., andhera hote hote.. to waha ye thi.. ye
benaare baai.
SAB: kaun ?
ROKDE: (benaare se) ab hasiye.. kijiye mazaak, yahi thi waha., daamle aur
benaare baai.
SAMANT: suniye, ye sab issi khel ka hissa hai ya sach baat hai?
SUKHATME: Mr rokde aapne waha kya dekha ? kya dekha waha par ?
KASHIKAR: ( bahut hi intrest lete huye) intresting , par sukhatme ye sab zara
personal level par ho raha hai waise.
SUKHATME: nahi nahi milord, ye sirf daawe ki had tak hi hai, to rokde..
BENAARE: ye mujhe Manzoor nahi, bataaye de rahi hu, iss Adalat ke khel se
iska kya tallluk?
Mrs. KASHIKAR: par tum itni laal peeli kyu ho rahi ho benaare ? chalne do.
BENAARE: meri neezi baate isme lane ki koi zaroorat nahi, main kahi bhi jaau,
daamle mujhe koi kha nahi Raheb they.
SUKHATME: waha apne jo dekha saaf saaf bataaiye, wo kamre mein kya kar
rahe they.?
ROKDE: baithe they.
SUKHATME: aur ?
ROKDE: aur kya ? dono waha baithe they kamre mein.
SUKHATME: aur kya dekha waha ?
ROKDE: itna hi dekha., par mujhe achanak dhakka laga, andhera hote hi
daamle ke kamre mein.
BENAARE: bachcha hai abhi.

26
ROKDE: to phir apka chehra mujhe dekh kar peela kyu pad gaya tha. Bataaiye
na, bahar se hi bhagaya daamle ne mujhe, waise to humesha mujhe kamre
mein bula lete they.
BENAARE: kyu bhagaya ye to daamle jaane, aur chehra peela pada tha kyuki
daamle ne tumhe mere samne bhagaya, mera chehra kyu peela padne laga,
achcha khasa laal tha , laal hai. Huh.
SUKHATME: (kashikar se) milord, rokde ne jo dekha, usse lagta hai zaroor kuch
gadbad tha waha.
BENAARE: kya zaahir hota hai ? kuch bhi nahi, agar main principal saaheb ke
kamre mein dikh jaau to kya wo bhi sandhaspad hoga, 65 saal ki umra hai
humaare principal ki.
SUKHATME: milord, mujrima ka ye remark bhi saboot ke taur par hum istemaal
kar sakte hai, issliye usse bhi note kiya jaaye.
BENAARE: haa, chaho to aise aur 25 logo ke naaam aur pate main apko de sakti
hui jinke sath main akeli hoti hu, huh.
SUKHATME: milord..! mujrimanka ye bayan bhi humari nazar mein ek khas
matlab rakhta hai, issiliye isse bhi note kiya jaaye.
BENAARE: haa, kuch der pahle yaha iss samant ke sath bhi akeli thi, issliye unka
nnaam bhi likh lijiye.
SAMANT: nahi ji, ye baai to mere sath bilkul thik dhang se pesh aai, jaadu aur
Mohini vidya ke baare mein humari baat cheet hui thi.. bas.
SUKHATME: milord, Mohini vidya, ka zikra kuch khashiyat rakhta hai, issliye
usse bhi darz kar liya jaaye.
KASHIKAR: par sukhatme, court ki karywaahi ke oosulo mein ye kaha tak aata
hai?
KARNIK: ohho, this is just a rehrsal.
PONCHE: this is just a game., so don’t be serious about anything, maza aa raha
hai sukhatme, aise hi chalne do.

26
SUKHATME: Mr rokde , aap gawaahi ke katghare se jaa sakte hai (rokde
katghare se nikal kar seedha andar ke kamre mein chala jaata hai) now Mr.
samant.
SAMANT: ( khade ho kar) main ? mujhse.?
SUKHATME: aaiye yaha.
(samnt gawaahi ke katghare mein aata hai)
Mrs KASHIKAR: daro nahi samant, jo sawal wo karte hai…
SAMANT: uttar dene honge.
SUKHATME: hoshiyaar ho.
Mrs KASHIKAR: ye to practice hai. Asli to raat ko hoga.
SAMANT: haa.. (sukhatme se) (seedha dictionary uthata hai aur uss par hath
rakhta hai)saugandh leta hu, main Raghunath mikaji samant , sach bolunga,
sach ke sivaa kuch nahi bolunga, (mrs kashikar se) dekha aapne, mujhe darr
nahi lagta, (sukhatme se) puchhiye na..
SUKHATME: aap mujrima miss benaare ko jaante hai ?
SAMANT: ji haa, par bahut kamm , do dhaai ghanta mein kya pehchaan hone
lagi., waise bahut achchi hai ye.
SUKHATME: par humari raai mein unke baare mein apka good impression utna
bharose layak nahi maana ja sakta.
SAMANT: haa.. nahi nahi.., kyu nahi maana ja sakta, maana jaa sakta hai, meri
maa ek min mein chehre se insaan ko parakh leti thi.
(issi bich benaare apne katghare meinbaithi aakhe moond kar chehra dhak kar
susta rahi hai) shayad wo so gai hai benaare baai.

BENAARE: (band aakho se) jaag raho hu, neend jab chaho kabhi nahi aati.
SUKHATME: mujrima benaare ko rokde ne shaam ko professor daamle ke
kamre mein dekha.
SAMANT: ji haa..
27
SUKHATME: uss samay damle aur mujrima ke alawa teesra koi nahi tha waha..
SAMANT: correct, aisa rokde ne kaha.
SUKHATME: mujrima ka chehra usse dekh kar peela pad gaya, aisa bhi rokde ne
kaha.
SAMANT: correct.. par mujhse bhi kuch puchhiye na.
SUKHATME: puch raha hu., uske aadhe ghanta baad aap waha pahuche.
SAMANT: kaha ? nahi ji, aji wo karma bombai mein, main iss gaav mein, main
kaise pahuch sakta hu..?
SUKHATME: pahuche.
SAMANT: aap kuch galat samjh rahe hai wakeel saahab.
SUKHATME : mukadme ke liye kuch baate farz maan kar chalte hai samant.
SAMANT: (mrs kashikar se) matlab maine hi kuch gadbad kiya, (sukhatme se)
thik hai, aadhe ghanta baad main professor daamle ke kamre par pahucha,
aage kya ?
SUKHATME: wo aap hi bataaiye.
SAMANT: lo, main kaise bata sakta hu.,
SUKHATME: to phir aur kaun bataayega ?
SAMANT: are haa.. main hi bataaunga. Par hai mushkil, mujrima aur daamle ..
room ,, shaam…
PONCKHE: din doobne laga tha..
KARNIK: uske aadhe ghanta baad, matlab kuch andhera, night scene, college ke
compound mein sun-saan.
SAMANT: to main pahucha.. to.. to kya hua.. darwaaja band.
SUKHATME: Darwaza band ?
SAMANT: haa darwaza band, bahar se nahi, andar se, aur main darwaza khat
khataya , bhool hui.. ghatnti bajaai, Darwaja khul gaya, saamne ek ajnabi khada
tha pahchaniye kaun tha wo. ? aji professor daamle .
PONKCHE: wah samant..!
28
Mrs KASHIKAR: (karnik se) achchi gawaahi de raha hai..
SAMANT: (over excited) samne daamle, mujhe dekh kar kuch jhujhulakar hi
unhone pucha, kisko milna hai ?
POKNCHE: ekdum sahi jaa rahe ho..
SAMANT: maine kaha professor daamle , unhone kaha, ghar par nahi hai, aur
dhad se unhone darwaza band kar diya, kuch der main sunn hokar khadar aha,
main sochne laga, main sochne laga wapas jaau ya dobara baith jaau, kyu ki
mujhe zaroori kaam tha.
SUKHATME: kaun sa.. ?
SAMANT: kaun sa.., samjh lijiye ki iss professor daamle ka lecture mujhe tai
karna hai, lecture dete hai na wo..? issiliye wahi khadar aha, tabhi kamre mein
se rone ki awaaz sunaai di.
Mrs KASHIKAR: rone ki ?
SAMANT: haa ji.. rone ki halki awaaz. Aur wok ek aurat ki aawaaz thi.
SUKHATME: yesss..!
SAMANT: mere to kuch samjh nahi aa raha tha., ki aisa lag raha tha ki koi chori
chori ro raha ho, par apne hi ghar mein koi chori chori kyu rone laga, ye soch
kar main wahi khada ho gaya,tabhi ek shabd sunaai diya.
Mrs KASHIKAR: shabd sunaai diye ?
KARNIK: kiske ?
SAMANT: nahi nahi.. aap nahi.. ye to wakeel sahab ko puchna chahiye..
SUKHATME: kiske ?
SAMANT: uss aurat ke jo andar thi.
Mrs KASHIKAR: bechari, bataaiye top sahi kaun thi wo..(benaare ki taraf dekh
kar)
SAMANT: ohho.. wo puchenge.., aap nahi..
SUKHATME: puchh liya., wo shabd kya they ? time waste na karo, be quick..
SAMANT: shabd they.. sab ke sab bata du.. ?
29
SUKHATME: yaad ho to bataaiye.
SAMANT: (jaldi se apne jhole mein se ek novel nikaalta hai usme se kuch read
karke) aise iss haalaat mei mujhe chhod diya to main kaha jaaungi ?
(benaare ekdum shock)
Mrs KASHIKAR: aise pucha ?
SAMANT: aur phir daamle ne kaha.. mujhe tum par bahut raham aata hai, par
main kuch bhi nahi kar sakta, iss par aurat ne kaha.. tum itne nishthur kaise ho
sakte hai.
KASHIKAR: (zor se kaan saaf kartye huye) I see… I see..
SUKHATME: kamaal hai.. !
SAMANT: benaare ne kaha..aapne mujhe akele chhod diya to main atmghaat
kar lungi, sivaay mujhe dusra chaara bhi nahi.. daamle ne kaha to phir kar
lo..main kuch nahi kar sakta.
SUKHATME: simply thrilling…!
SAMANT: damle ne kaha, aisi dhamkiyon se main apne nirnay se zara bhi nahi
hatne wala, phir benaare baai ne kaha, dhyaan mein rakho ek nahi do jeevo ki
hatya ka paap tumhe lagega..
BENAARE: (gusse mein) bas kijiye..!
KASHIKAR: order order..!
BENAARE: jhooth hai ye, sarasar jhooth hai ye..
KARNIK: jhooth hoga, par very effective.
Mrs KASHIKAR: aap aage bataaiye ji samant.
BENAARE: nahi.. rok lijiye ye sab.. bas kijiye..
SAMANT: (sochte huye) par hua kya..?
BENAARE: isse roko.. ism eek bhi akshar sach nahi hai..
SAMANT: ji haa wahi to..
BENAARE: jhooth hai..
30
SAMANT: ji haa.
BENAARE: jhooth bol rahe ho tum.
SAMANT: wahi to., (novel utha katr dikhate huye) issi se to main sab kuch bata
raha hu.
SUKHATME: Mr samant, aage kya hua.. ?
BENAARE: isse aage akshar bhi bola to main yaha se chali jaaungi.
SUKHATME: Mr samant…
BENAARE: main ye sab tod dungi.. chur chur ho jaayega sab, chur chur ..!
Mrs KASHIKAR: arri , agar apna maal itna hi khara hai to asmaan kyu sarr par
utha rahi ho..
BENAARE: jaan bujh kar aap sab mujhe fasa rahe ho.
SAMANT: nahi nahi.. sachmuch aisa kuch nahi hai..
SUKHATME: Mr. samant uske baad kamre ke andar ki stri kya boli. ?
SAMANT: (jaldi se novel dekhar) ek min wo panna khol lu phir batata hu.
BENAARE: samant..! aage ek akshar bhi bolanto dekh lena..
SUKHATME: (gusse mein) Mr samant..!
SAMANT: wo panna bhi nahi mil raha.
SUKHATME: milord, bayan kiya huaa sab waakye apne aap mein itna saaf hai ki
isse aage kuch kahne ki zaroorat hi nahi, iss saare wakaye ko mujrima ke khilaaf
humaare sabot ke taur par note kiya jaaye.
KASHIKAR: request granted
BENAARE: likh lijiye, chahe jitna darz kijiye kya kar lenge aap mera. Kijiye…!
(benaare gusse aur rote huye dusre karme ki taraf chali jaati hai)
SAMANT: are..! achanak ye kya ho gaya baai ko.
KASHIKAR: achanak sab kuch rahasya purn ho gaya.. sukhatme , suddhata ke
naam pe ab kuch bhi sesh nahi raha.
SUKHATME: it should not be taken lightly.
31
Mrs KASHIKAR: bilkul thik.
SUKHATME: sirf sochne se kaam nahi chalega, kuch karna bhi hoga, kyu karnik?
KARNIK: yes, action..!
PONCKHE: right.!
SUKHATME: yaha emotional hone se kaam nahi chalega, we must take some
action.
Mrs KASHIKAR: par asal mein hua kya ye to bataaiye ?
KASHIKAR: (daatate huye) aap chup rahiye.. asal mein kya hua hoga sukhatme,
kuch andaaza ?
SUKHATME: that is the mistry, and I think we know the answer to this mistry.
Dosto seedhi baat hai, samant ne novel mein se padhkar bayan kiya usme
asaliyat hai, its hold the truth.
Mrs KASHIKAR: matlab miss benaare aur professor daamle…
SUKHATME: yes, isme koi shaq nahi..
Mrs KASHIKAR: maiyya ri..!
ROKDE: mujhe to pahle se iska pata tha.
SUKHATME: shssss…!
(benaare dusre darwaaje se baahar aati hai, sabhi chup ho jaate hai, wo apna
bag uthaati aur samaan uthaati hai, aur bahar jaane wale darwaaje ki orr jaane
lagti hai, benaare darwaza kholne ki koshish karti hai par wo bahar se band
hone ki wajah se khul nahi pata, wo koshish karti hai kholne ki, lekin Darwaja
nahi khulta, wo lachaar si piche mud kar sabki taraf dekhti hai)
SAMANT: lagta hai bahar se sankal lag gai… chahe jo kijiye ab ye nahi khulega
office band hone ki wajah se bahar bhi koi nahi hoga..( benaare baar baar
darwaaza khatkhatai hai par nahi khulta..)

INTERWAL
32
ACT: 2
(sabhi last postion mein)
SUKHATME: ye milord, pahle mujrim ko hi katghare mein bulaya jaaye.
KASHIKAR: miss benaare, witness box mein aaiye.katghare mein chaliye miss
benaare. (benaare wahi khadi rahti hai)
Mrs KASHIKAR: rukiye main hi le aati hu, chal ri benaare.. chal bhi. (zabardasti
khichte huye katghare mein laake khada kar deti hai.)
SUKHATME: milord iss mukadme ke badalte huye gambir rukh ko madden azar
rakhte huye ap bhi apna gown pehan lijiye.
KASHIKAR: exactly rokde mera gown dena.
(rokde gown laakar kashikar ko deta hai wo gown pehan kar Gambhir hoke apni
judge ki kursi par baithta hai.baaki sabhi apni apni jagah baith jaate hai , mahul
kaafi serious hai)

SUKHATME: now to business, mujrima ko kasam khane dijiye, (rokde dictionary


lekar benaare ke samne khada ho jata hai, benaare ekdum chup waise hi khadi
hai)
KASHIKAR: topi thik karte huye, mujrima miss benaare , kasam kha lo..
SAMANT: baai le lijiye na.. khel hi to hai ye.. (benaare chup)
Mrs KASHIKAR: are laaiye, mujhe dijiye, (rokde se dictionary lekar) benaare
kasam khaa ki sach kahogi, sach bologi, jhooth nahi bologi.. (benaare chup)
KASHIKAR: kamaal hai.
Mrs KASHIKAR: (rokde ko dictionary lautaate huye) samajh lijiye usne kasam
khaa li hai, uska hath to dictionary par tha hi, jo puchna ho puchiye sukhatme.
KASHIKAR: mujrima benaare court tumhe agaah karta hai ki aisi koi bhi harqat
tumse na hone paaye, jisse court ki be-adbi ho.
KARNIK: sukhatme fire..!
33
SUKHATME: (kuch der benaare ke samne se chakkar kaat kar ) tumhara naam
leela daamle .
SAMANT: nahi nahi.. , benaare, daamle to wo professor hai na..
Mrs KASHIKAR: samant, aap zara chup rahiye, usse bolne dijiye.
SUKHATME: miss leela benaare, aap zara apni umra court ko bataiyega.
KASHIKAR: mujrima benaare, gawaah ke naate kiye gaye sawaalo ka zawaab
dene ki zimmewaari aap par hai, (kuch ruk kar) mujrima miss benaare kis baat
ka wait kar rahi hai. Answer please..!
Mrs KASHIKAR: main kahti hun usse puchne ki kya zaroorat hai, mujhe andaaza
hai ki 32 se upar hi samjh lijiye. Ek aadh saal jyada hi hoga, chehra jo batata hai.
SUKHATME: thank you Mrs kashikar.
KASHIKAR: wait, thank you Mrs kashikar ka kya matlab ? mujrima ne abhi tak
apni umra nahi bataai hai. Benaare umra..?
Mrs KASHIKAR: par main….
KASHIKAR: mujrima se puche gaye sawaal ka koi shaks zawaab de , aisa kisi bhi
Adalat mein nahi hai, tum bich mein mat bolo, Mujrima ka zawaab, answer
please..(benaare stabdh)
SAMANT: baat dar-asal ye hai ki kisi aurat se uski umra ke baare mein puchna
zara stri jaati ke…….!
KASHIKAR: is this a court or what.. ?
PONKCHE: bilkul thik , ye court ki be-adbi hai.
KASHIKAR: mujrima ne yadi zawaab nahi diya to uske liye dusra ilaaj dhoodhna
padega, muzrima ko 10 second diya jaata hai (ghadi dekhta hai)
SUKHATME: (after 10 second) milord..! mujrima ki khamoshi pe sawaal ka
zawaab mil gaya, isiliye main apna sawaal wapas leta hu.
KASHIKAR: maun sammati lakshanam, all right..34 se kam nahi hogi.

34
SUKHATME: yes milord..! miss benaare, itni umra taka ap bina shaadi ke kaise
rahi ? iss baat ka zawaab aap court ke samne de sakti hai ? chaliye dusre tarike
se puchta hu, shaadi ke kitne mauke apki life mein aaye aur kyu chale gaye ?
KASHIKAR: answer.. (ghadi nikal kar dekhta hai) this is too much..
Mrs KASHIKAR: lagta hai seedhi tarah se baat na karne ki isne than li hai.
SUKHATME: milord..! mujrima ka examination kuch der ke liyue rok di jaaye.
(benaare katghare se bahar jaana chahti hai, tabhi mrs kashikar usse rok kar
uske samne khadi ho jaati hai)
KASHIKAR: next wetness ?
SUKHATME: Mrs kashika..!
(mrs kashikar apna naam sunte hi pallu sawaarte hui bade utsaah se gawaah ke
katghare mein ja kar khadi ho jaati hai)
KASHIKAR: waah..! wah.., isse kahte hai utsaah, naam liya nahi ki jhatt aakar
khadi ho gai, aaa.. haa.. ha..!
Mrs KASHIKAR: itna ye karne ki koi zaroorat nahi, (phirgawah ke andaz se)
kasam to main kha hi chuki hun, benaare ne aur main eek sath hi kha li samjh
lo. Aur haa, main sach hi bolungi, mujhe kisi ka darr thode hi hai ?
SUKHATME: thik hai., aap ek baat bataaiye ki iss umra tak miss benaare bina
shaadi ke kyu rahi ?
Mrs KASHIKAR: usme kaun si badi baat hai, shadi hui nahi issiliye.
SUKHATME: that’s it, par misses kashikar, umra ke battiswe…
Mrs KASHIKAR: (bich hi mein) chautees.., chautees rakhiye sukhatme.
SUKHATME: chauteeswe saal take k padhi likhi achche khandan ki ladki..
Mrs KASHIKAR: ladki ? aji aurat kahiye aurat.ye ladki hai to phir main to yuvati
hui.
SUKHATME: aurat hi kahenge hum, lekin shadi kyu nahi hui ?
Mrs KASHIKAR: aji jinhe karna hota hai, unka bade maze se hota hai vivaah.
SUKHATME: matlab miss benaare shaadi karna hi nahi chahti thi.
35
Mrs KASHIKAR: aur kya.. bagair shadi sab kuch milne par yahi hota hai
zamaane mein. Such chahiye , par zimmewari nahi. Main batati hu.. humare
zamaane mein naakti, kaali, bhaundi, kaisi bhi ho unki shadi ho hi jaati thi. Ye
kamaane wamaane ke nakhre jaha shuru hota hai wahi sab bigdata hai
sukhatme. Aage puchiye..
SUKHATME: apne kaha ki bagair shadi ke sab kuch milne par aisa hota hai..
Mrs KASHIKAR: haa, aur kya?
SUKHATME: sab kuch ka matlab zara samjhayengi.
Mrs KASHIKAR: aji chaliye (sharmaati hai)
KASHIKAR: (kaan saaf karte huye) ab iss umra mein ye sharm kaahe ki ?
Mrs KASHIKAR: meri umra ginaane ki koi zaroorat nahi kahe deti hu, haa.
KASHIKAR: answer..!
Mrs KASHIKAR: sab kuch yaani ghar sansaar mein jo kuch milta hai wo sab
kuch.
SUKHATME: miss benaare ke baare mein apke pass koi saboot ho to bataaiye.
Mrs KASHIKAR: uska chal chalan hi batata hai, kahna to nahi chahiye par kahti
hu, mardo ke sath chahe kitni bhi jaan pehchaan kyu na ho, lekin kya to ye zor
zor se hasti hai, kya gaati hai, kya nachti hai, kya hasti mazaak karti hai, raat
nahi, din nahi, jaane kis kis ke sath akeli ghumti hai..
SUKHATME: mrs kashikar, isse jyada se jyada insaan ke broad minded , I mean
khule vichar ka.
Mrs KASHIKAR: khula dil hi nahi, sabhi baato mein khula, kahna to nahi, par
ab waqt aa gaya hai issiliye Adalat mein bayan karti hu, zara isse isse to
thamiye ( bunne ka samaan sukhatme ke hatho mein deti hai) raat ke program
ke baad ghar pahuchane ke liye isse professor damle hi kyu chahiye ? (benaare
chup)
SUKHATME: I see..!
Mrs KASHIKAR: aur kya.. ek baar hum, matlab ye aur main, pichle September ki
baat hogi, kyu ji September hi tha na. ?
36
KASHIKAR: aapse pucha jar aha hai, aap hi zawaab dijiye..
Mrs KASHIKAR: haa, September hi, raat ko ye akeli jaa rahi thi, issiliye humne
kaha hum tujhe ghar pahucha dete hai, lekin iski himakat to dekhiye daamle ke
saath bhaag nikli. Dhoodhne lage to ye laapata.
SUKHATME: peculiar..!
Mrs KASHIKAR: thodi der pahle jhooth hai, kah kar shor macha rahi thi , auer
ab dekhiye kaise chup baithi hai, issi se jo samjhna hai samjh lijiye., saanch ko
aanch kaha..laaiye wo unn (sukhatme se apna sweater aur unn le leti hai)
SUKHATME: par daamle to shaadi suda hai..
Mrs KASHIKAR: haa.. 5 bachche bhi hai unke.
SUKHATME: to ho sakta hai miss benaare ek saaf dil se aur ek bujurg ke naate
unkw sath apkesha karti ho ?
Mrs KASHIKAR: to phir hum aur ye kya chor uchakke the ? maan liya daamle
bujurg hai, par iss baalu ka kya ? (rokde chauk uthta hai)
SUKHATME: rokde ka kya ?
Mrs KASHIKAR: wahi bata rahi hu, arri iske sath bhi benaare ne program ke
baad andhere mein chhedchad kit hi, usne khud mujhe bataya, hai na baalu ?
ROKDE: haa.. nahi..!
SAMANT: nahi ji abhi kuch der pahle humare sath bhi thi, tab to kuch bhi nahi..
SUKHATME: mrs kashikar apki gawaahi khatm, milord rokde ko dobara gawaahi
ke katghare mein bulaya jaaye.
(rokde apni jagah thoda jhijhakta hai)
KASHIKAR: rokde gawaahi dene jaao.
(rokde benaare ki or dekhta hai aur phir dheere dheere katghare mein jaata
hai)
Mrs KASHIKAR: ye baalu..! sach sach jo bhi hai sab bata do.
SUKHATME: rokde, Mrs kashikar ne jo bhi benaare ke baare mein kaha kya wo
sach hai ?
37
(rokde gardan nahi mein hilaata hai)
Mrs KASHIKAR: baalu.. tumhi ne to mujhse kaha tha.
SUKHATME: rokde., uss din program khatm hone ke baad kya hua tha ?
ROKDE: mein… mujhe.. (ghabrata hai)
SUKHATME: program khatm hone ke baad sabhi aage chale gaye they..
KARNIK: aur ye dono hi peeche rah gaye they..
Mrs KASHIKAR: benaare ne tumhara haath pakda tha na..
PONCKHE: oh god..!
SUKHATME: aur.., aur kya hua rokde bataao.
Mrs KASHIKAR: main batati hu..
KASHIKAR: aap bataane ka kasht naa kare shrimati ji.. usse hi bolne de.
Kab se bich mein Chabad Chabad kiye jaa raahi hai.
SUKHATME: yes rokde.. bina jhijhak bataao.
ROKDE: mera.. inhone.. mera hath pakda.. waise maine inhko kaha ki ye.. ye
thik nahi hai. Aur mujhe ye sab pasand nahi, apko Shobha nahi deta ye sab.
SUKHATME: aage ?
ROKDE: maine haath chhuda liya , wo dur hatt gai, mujhse kaha jo kuch hua kisi
ko batana nahi.
BENAARE: jhooth hai ye..!
KASHIKAR: (hathoda peetkar) order order.. bich mein rukawat paida karne ke
liye mujrima ko sakht taaqeed ki jaati hai.
SUKHATME: kab ki baat hai ye ?
ROKDE: yahi ko 8 din pahle.
SUKHATME: milord mujrima ne apne se kam umra k eek bachche ke sath raat
mein zabardasti kiitna hi nahi usse gupt rakhne ki koshih ki. Aage kya hua
rokde?
ROKDE: main ek tamaacha jad diya.
38
POKNCHE: what..!
KARNIK: how melo-dramatic.
ROKDE: haa.. maine kah diya tumne mujhe samjh kya rakha hai, jo chahe karna
hai kar lena mera par mainye baat logo ko zaroor bataunga, issiliye maine
Bhabhi ji ko bata diya.
KASHIKAR: haa, sab kuch usse hi bata, mujhe to kabhi kuch bata hi nahi.
SUKHATME: aage kya hua rokde..what next ?
ROKDE: aage kuch nahi, bas itna hi hai. Jaau main.. ?
SUKHATME: yes… (rokde katghare se bahar nikal kar apni jagah par jaata hai,
sukhatme soch raha hai) 8 din pahle..
Mrs KASHIKAR: ye tamaache wala kissa to tumne mujhse kaha hi nahi tha…
SAMANT: mujhe top vishwas hi nahi hota.
PONCKHE: my witness. meri gawaahi lijiye..
SUKHATME: katghare mein aaiye ponkche.
PONKCHE: main kuch important baat miss benaare ke baare mein batana
chahta hu., unse sirf ye puchiye ki ve apne parse mein tik-twenty kis liye rakhti
hai ?
Mrs KASHIKAR: ye kya bala hai ?
PONKCHE: ye khatmal marne ki ek zehreeli dawa hai.
SAMANT: ghar le jaa rahi hongi.
SUKHATME: tik-twenty .. hmm , ye khatrnaak dawa apko mujrima benaare ke
perse mein kab aur kaise mili ?
PONKCHE: 10 din pahle inki ek student jo mere ghar ke pass mein hi rahti hai
wo mere pass lekar aai , kahne lagi madam ne diya hai.
KASHIKAR: tik-twenty ?
POKCHE: maine lifafa khola to usme ek kaagaz tha, uss par likha tha, mujhse
mil sakoge ? khair maine socha dekhte hai mazra kya hai, issiliye inse milne
chala gaya. Jaha miss benaare kaafi ghabraai hui si thi.
39
SUKHATME: I see.
KASHIKAR: phir aage kya hua ponkche ?
PONKCHE: unhone apna rumaal nikaalne ke liye perse khola to ek shishi ludhak
ke gir padi.
SUKHATME: aur wo tik-twenty thi. Lekin Mr ponkche isse pahle apke aur miss
benaare ke bich mein kya huaa, matlab apse jo kaam tha uske baare mein
bataya hi nahi.
PONKCHE: mujh se shadi karne ka iraada zaahir kiya unhone.
Mrs KASHIKAR: kya…! (baaki sab chauk jaate hai)
KASHIKAR: ye to bahut interesting lag raha hai sukhatme.
SUKHATME: apse pyar vyar hone ke baare mein inhone kuch kaha?
PONKCHE: nahi..! par kaha ki wo maa banne wali hai.
(sabhi sock ho jaate hai, wahi benaare ka sar jhuk jaata hai)
KARNIK: ponkche tum sach kah rahe ho na ?
PONKCHE: to kya jhooth bol raha hu ?
KASHIKAR: continue ponkche.. ruko nahi..
PONKCHE: miss benaare ke bachche ki responsibility jis par tha uska naam
kisinko na bataane ki mujhe kasam dilaai inhone. Aur maine usse ab tak
nibhaya.
Mrs KASHIKAR: par kaun tha wo ?
KASHIKAR: aap thodi der ke liye chup baithengi zara.
SUKHATME: you mean aapne miss benaare ka proposal accept kar liya ?
PONKCHE: main kyu lene laga apne upar kisi aur ka paap.aap kahe to aage ki
baat chit bhi bata du. ?
BENAARE: (khadi ho jaati hai) nahi.. nahi… nahi..!
KASHIKAR: silance…! Abhi naam ka bhi pata chal jaayega.
BENAARE: nahi , apko meri kasam ponkche ..
40
SUKHATME: ponkche , aisi kaun si baat hui apke aur benaare ke bich mein ki ye
itni pareshan ho gai.
BENAARE: (ponkche ke samne aa kar) ponkche..!
KASHIKAR: order , order..! mujrima katghare mein jaao. Rokde mujrima ko
katghare mein le jaao. ( rokde benaare ko kich kar katgare mein le jane ki
koshish karta hai phir piche hatt jaata hai)
BENAARE: (gusse aur bebasi se) aap kah kar to dekhiye , ponkche..!
KASHIKAR: mujrima.. katghare mein jaao…
Mrs KASHIKAR: (aage badh kar benaare ka haath pakad kar) chup chap khadi
ho ja waha, chal rokde pakad iska haath) chalti hai ki nahi… chal… ( benaare
ko khich ke katghare mein daal deti hai)
KASHIKAR: tum kaho ponkche.
SUKHATME: uske baad kya baatchit hui.
PONKCHE: inhone kaha apki shadi kahi thik hui ya nahi, maine kaha meri shadi
thik karne ke liye aap itni utaavali kyu hai, unhone kha ek ladki hai, jiska prem
bhang hua hai, uske pyar ka phal uske pet mein pal raha hai,asal mein uska koi
dosh nahi, par usse uss bahche ko paalna hai, sach to ye hai ki ussi ke liye wo
aage jeena chahti hai, byaah karne ki soch rahi hai, mujhe shaq hua, issiliye
sach kya hai ye jaane ke liye maine kaha.. chchchch….! Bechari ke sath bahut
bura hua… kaun hai wo neech aadami. ?
SUKHATME: iss par benaare ne kya kaha ?
PONKCHE: kaha bhagwan ke liye nich na kahiyue, shayad ho sakta hai wo
achcha bhi ho, shayad ladki hi kamm padd gai ho, wo purush shayad uske
sharer ko hi samjh saka , uske baad ye boli, daamle ki ghar grihastha mein jagah
milna shayad sambhav nahi hai hai unka.
SABHI: daamle ki ?
POKNCHE: sach puchiye to naam naa bataane ki kasam se bandh gaya tha
main, par..
SUKHATME: don’t worry Mr ponkche. Matlab wo bachcha daamle ka hai.

41
PONKCHE: haa.. inhone mere pair pakad liye. Maine kahaa ki apne socha bhi
kaise ki main apse shadi kar lunga. Phir achanak wo hasne lagi aur boli main to
sirf mazaak kar rahi thi.
Mrs KASHIKAR: mazaak.. huh..!
PONKCHE: ye to inki chahre aur aansu se hi pata cal raha tha ki sach mazaak
nahi tha.
SUKHATME: thank you mr ponkche, aap jaa sakte hai..
KARNIK: wait .. wait. Iss mukadme ke silsile mein mujhe bhi kuch kahna hai.
SUKHATME: Mr karnink, witness box mein aaiye.
KARNIK: satya ko sakshi maante huye mujhe ye kahna hai ki rokde ne mujrima
ko tamaacha nahi maara tha.
ROKDE: jhooth hai ye.
KARNIK: miss benaare ne rokde ko roka, issiliye aage kya situation banne jar ahi
hai wo dekhne ke liye main ek or andher mein khada ho gaya. Mujrima ne
pucha phir tumne kya tai kiya.. rokde ne bola bina Bhabhi ji ke ijaazat ke main
kuch bhi nahi kar sakta , benaare ne bola kab tak Bhabhi ji ki gulaami karte
rahoge, rokde ne kaha filhaal main shadi ke baare mein nahi soch sakta,
benaare ne bola main tumhe paalungi , tumhe kisi chiz ki kami nahi hogi, rokde
ne kaha mujhe darr lagta hai, aisi sthiti mein main tumse shadi kar lunga to log
mujh par thookenge, humare khaandaan mein isi ne aisa nahi kiya, aap mere
bharose naa rahe, iss par gusse mein benaare ne..
ROKDE: jhooth hai..
KARNIK: rokde ke muh par thappad de maara.
ROKDE: jhooth hai ye .. jhooth.
SUKHATME: thank you karnik., matalab mujrima ne rokde ko bhi shaadi ke liye
pucha. aap jaa sakte hai karnik.
KARNIK: mujhe aur bhi kuch kahna hai milord.
KASHIKAR: ab bolo bhi..

42
KARNIK: mujrima k eek mausere bhaai se meri jaan pehchaan hai, usne mujhe
bataya ki benaare ne ek baar suicide bhi karne ki koshish kit hi.
SUKHATME: that’s the point.
KRANIK: ye suicide mujrima ne pyar tootne par ki, aisa usne bataya.ye toota
hua pyar mujrima ne 15 saal ki umra mein apne hi mama ke sath kiya tha.
Mrs KASHIKAR: (shock) mama..!
SUKHATME: yaani ki maa ke bhai ke sath anaitik sambandh… miord.. mujrima
ka wartmaan ka rang dhang to pura bahka hua hai hi, uska ateet bhi papo se
lath-path hai.
(benaare bahar jaane ke katghare se bahar nikalna chahti hai, tabhi mrs
kashikarusse rok deti hai)
Mrs KASHIKAR: kaha ja rahi hai, darwaza band hai, baith yahi., baith..!
KARNIK: mujhe bas itna hi kahna tha.
SUKHATME: milord, the case for the prosecution rests.
KASHIKAR: (joudge ki tarah serious) attorney for the exsiccused, apki mujrima
ki taraf se koi gawaahi ho to bulaaiye.
SUKHAATME: (mare huyedhang se uth kar) yes milord..! humaare gawaah hai
professor daamle.
ROKDE: professor damle hazeer ho, prof. daamle haazeer ho, (kashikar se) wo
gair haazeer hai.
SUKHATME: fariyaadi ki taraf se gawaaho ko cross examine karne ka humaara
iraada hai milord.
KAASHIKAR: arzi naa-manzoor, take your seat.
SUKHATME: ( waise hi kamar jhukaaye jaakar dusri kursi par baithb jaata hai)
KAASHIKAR: good! Now attorney for the prosecution argue.
(sukhatme dheere se uthta hai, sabki taraf dekhta hai, phir benaare ki taraf
dekhta hai, aur ek taraf hokar bolna shuru karta hai)
SUKHATME: milord..! mujrima miss leela benaare par lagaaye gaye ilzamaat ka
roop bahut hi bhayanak hai, milord, katghare mein khadi aurat ne matritva ke
43
muh par bhayankar kaalikh lagaai hai, aur iske liye kanoon jo bhi kadi se kadi
saza de wo bhi kamm hogi, mujrima ka chaal-chalan bahut hi geera huaa hai,
She has no moralty, inta hi nahi isne social values ko bhi bhrasht kiya hai,
mujrima samaaj ki bahut badi dushman hai, mujrima par bhroon hatya ka
ilzaam laghaya gaya hai, par usse bhi badhkar mujrima ne ek aur apraadh kiya
hai, wo hai shaadi se pahle maa banne ka.shadi se pahle wale matritva ko
humaare samaj mein ek bahut bada apraadh maana hai, iske alaawa mujrima
ne iss najaayaz bachche ko bada karne ka nishchay kiya,jo ki samaaj ke Astitva
ko hi dagmaga dega, aur dusri taraf gair kaanuni sambandho se paida hui
santaan ko agar zinda rahne diya jaaye to samaaj mein vivaah sanstha naam ki
koi bhi chiz nahi rahegi.,humaarin parmpra , humari sanskriti aur humara
dharm inn sab ko baarood se udaa dene ka nishchay mujrima ne kiya hai,
mujrima ek aurat hai, issliye she should the spired , aurat to samaaj ke bharan
aur poshan ki bahut badi zimmedaari hoti hai, Adalat ko chahiyue ki wo kisi bhi
tarah ki day ana dikhate huye, mujrima ke iss bhayanakar apradh ke liye kadi se
kadi saza dein.
KASHIKAR: good attorney for the acssicute.. mujrima ka wakeel ..
SUKHATME: ( dheemi , kamzor chaal ke saath) milord.. ! gunaah bahut hi
Gambhir hai, iske baare mein main bahas nahi karna chahta, par insaan
aakhirkaar, insaan hu, aur Jawaani to har insaan ko lubhaati hai, ye dhyan mein
rakh kar mujrima ke haatho jo bhayankar gunaah huaa aur jo ho raha hai usse
raham dili se dekha jaaye milord.
KASHIKAR: good, now mujrima benaare.. faisla hone se pahle tumhe kuch
kahna hai ?
(ghadi chaltne ka back ground music hota hai, sabhi frizz, light benaare par
padti hai, baaki sabhi dim light mein)
BENAARE: haa., bahut kuch kahna hai mujhe. ( angdaai lete huye) kitne warsho
se kuch bhi kaha nahi, pal aaye , pal beete, gale mein umadte huye toofaan ,
seene mein praanaantak aakrosh , par maine har baar hoth bhich liye, lagta
jaise koi bhi nahi jaan sakega, koi samjh nahi sakega, jab shabdo ki badi badi
lahre hotho par par dhadakti to lagta , saare maanav praani neere buddhu hai,
wo bhi jo bilkul apna hai, lagta chhati phat jaaye to… Jeevan hi bojh ban jaata,
praan nikalne par praano ka mahtva samjh mein aata hai, jeene ka mahtva
44
samjh mein aata hai. Such sa,jh mein aata hai, aane waala har pal,jaise naya
apoorva hota hai, hum apne apke liye bhi naye ho jaate hai. Kaash , panchhi ,
baadal , kisio thooth ka dheere se jhakta koi hissa, khidki ke hilte parde, aas
pass chhai shanti aur door se aati koi aawaaz. Aspataal ki dawaao ki gandh bhi
Jeevan se ott prott lagti hai. Lagta hai Jeevan chaarop orr bhar kar, kewal apne
hi liye gaa raha ho, asafal aatm-hatya ka bhi aanand bada hota hai. Seene ki
vedna se bhi bada. (lambi saaans lete huye)praano ko uchhal dene ke baad hi,
praano ka such samjh mein aata hai, aur praano se badh kar jab praano ki
Raksha karte hai, to aisa lagta hai, ye to uchhal dene ke laayak hai. Vichitra hai..
nahi ? kisi bhi tarah ki purti nahi, baar baar wahi.. waisa hi..
Jeevan aise hai.., Jeevan ye hai.., Jeevan wo hai.., jeevan char charaa kar phat
jaane wala granth hai, Jeevan apne aap mein kaat khaane wala ek vishaila
saanp hai.., Jeevan yaani vishwaas-ghaat, Jeevan yaani prataadna.., Jeevan
yaani nashaa.., Jeevan… nahi ke.. thelaa gaadi hai…, Jeevan kuch bhi nahi..,
(adalati andaaz mein) milord..! Jeevan hi ek maha-bhayankar baat hai.., Jeevan
ko faansi par Chadha dena chahiye., naa Jeevan jeeavn-marhati.., Jeevan ki
jaanch padtaal karke usse Naukri se barkhasht kar diya jaaye..,
(muljima ki tarah) par kyu… ? kyu..? maine apne kaam mein koi kasar ki..,
main ji jaan se apne bachcho se hil- mil gai…, main janti thi jeevamn seedha
aada nahi.., aadmi bada kroor ho sakta hai.., apne sage bhi humein samjhna
nahi chahte.., Jeevan mein ek hi baat sarv-maanya hai.., mujhe sab kuch dikh
raha tha., phir bhi main wahi sab ji rahi thi.., chun rahi thi.., kya koi janta hai..
maine unn nanhe jeevo ko wo sab nahi seekhaya.., , ye zehar main khud peeti
gai…, aur unhe uski aanch se bhi bacha kar rakha ., maine unhe saundarya
seekhaya.. pavitrata seekhaai.., mann mein roti rahi par unhe hasaati rahi..,
bhitar niraasha se kudhati hui…, main unhe aashawaadi banati rahi., kis
apraadh pe meri Naukri.., mera ekmaatra mann bahlaav mujh se hi chheena jar
hai., mera vyaktigat Jeevan mera apna prashna hai., mujhe., mera kya karna
hai … ye main tai karungi., jiase har kisi koi apne aatm neernay ka haq hai.. wo
kisi aur ka prashn nahi ho sakta., samjhe..? usse auro ka kya sambandh…,
(achanak class mein bachcho ka shor ka music)
Shhhhhhh….!!! Shhhh………….!!!!!!! Shhhhh….!!!!!!! Awaaz band., silance..,
kitna shor hai.. ? ( baaki sabhi alag alag animals ke mukhaute pahan ke pair ke
bal lekar idhar udhar chal rahe hote hai, unke bich se benaare sabko chup
45
karate huye stage ke center mein aati hai) bachcho.. ye sab kaun hai.. ? dekho
kaise eke k ka chehra jangali lag raha haihotho par gheese pete sundar sundar
shabd aur pet mein.. ? atript waasnaaye..
(school ki ghanta bajti hai- sabhi frizz – benaare dari sahmi)
Manzoor hai….! Haa maine paap kiya.., maa ke bhaai se pyar kiya., ghar ke
kade anushaasan mein mere gadraate youvan mein wahi mere pass aaya, aur
mere youvan ki prashanshaa kiya.., mujhe laad karne laga.., mujhe kya pata tha
ki kaleja phod kar , ji jaan se main jiske sath ek roop ho jaana chahti hu.., jiske
neere sahwaas se saara jeena sarthak huaa sa lagta hai.., wo yadi mama huaa ,
to wahi sab kuch paap ho jaata hai.., mujhe kya pata tha ..? main uss samay 14
baras ki hi to thi.., paap kya hota hai ye bhi main nahi janti thi., maa ki
saugandh..(ekdum chhoti bachchi ki tarah roti jaati jaati hai ). Maine shaadi ka
hath kiya , issliye ki mujhe bhi sabhi ke samaan sundar sansaar mile.., par maa
se lekar sabhi ne iska virodh kiya.., mera purush bhi dum daba kar bhaag nikla..,
mann kiya ki muh noch lu uska.., chauraahe par sabke samne thook du uske
muh pe..,par main kazor thi.., so maut ko gale lagaane ke liye khidki se kood
padi .., par mari nahi,, sharer se nahi mari , laga mann se puri tarah marr gai
hu.., par mann se bhi nahi mari.., maine dobara prem kiya., prodh hokar kiya..,
ji tod kar kiiya.., maan liya ki ye sabse alag hai.., adheek paripakva hai.., balki ye
prem hai hi nahi.., ye to bhakti hai.., par yaha bhi wahi bhool.., mann se ki hui
bhakti ke liye deh ka pasaad huaa.., aur utna hi lekar mera buddhuimaan
bhagwaan chalta bana.., mera mann , meri bhakti chahiye hi nahi tha usse.., ye
sharer hi saara ghaat kar raha hai..,
(she is act like she is having a pain in her abdoman )
Iss sharer se ghinnn aati hai mujhe.., saath hi bahut pyar huaa aata hai..,us suss
pal ye sharer hi mujhe sharer se pare uche .., ek divya lok mein le gaya.., ab ussi
shareen mein ek pal ka saakshi, ek nanha sa komal ankur.., merebachche ka ..,
mere praano ke ankur., ye dekh mujhe uske liye chahiye … ussi ke lioye
chahiye.., usse ek maa chahiye.., ek baap chahiye..,
(benaare apni pahle wali position mein baith jaati hai katghare ke andar, ghadi
ki sui chalne ka background.. full light hone pe baaki sabhi apni apni jagah
pahle ki tarah hote hai )

46
KASHIKAR: time is up..! lagta hai mulzima koi kuchh nahi kahna hai….tamaam
bayaano aur sabooto se tumhe kisi bhi haaalat mein maaf nahi kiya ja
sakta..tum jaisi aurat samaj ke liye dhabba hai.. issliye court tumhare pet mein
pal rahe bachche ko maar giraane ki saza deti hai…
BENAARE: (zor se chikhte huye roti hai) naaahhi….! Naaahii… (roti hai)
(achanak darwaaza khulta hai ek adami aur aurat andar aate hai- natak shuru
ho gaya kya..? stage ke sabhi character dheere se uthkar bahar chale jaate hai..
benaare akele roti rahti hai.. peeche se samnt apne paas ki kapde ka hare ranga
ka tota benaare ko deta hai.. aur chala jata hai. Benare hath mein tota liye roye
jaa rahi hai- tabhi peche se naare ki aawaaz aati hai- naari mukti zindaabaad..
naari mukri zindaabaad.., benaare rote huye audience ki taraf dekhti hai.. aur
rote huye puchti hai – hoga.. ? hoga ? .. aur phir rone lagti hai)
(sabhi actors stage pe aate hai benaare ko uthaate hai)

THE END

You might also like