Zabaan ki hifaazat - Transliteration

You might also like

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 2

Khutba-e-Juma

ka tarjama wa mafhoom Zabaan ki hifaazat


Qur'aan wa Hadees ki roshni mein

Aaj ka khutba "Zabaan ki hifaazat" ke unwaan par Qur'aan wa Hadees ki roshni mein diya jaayega, jis ka urdu
tarjama wa mafhoom pesh kiya ja raha hai, aap hazraat khoob gaur se sunein.
Zabaan munh ke andar maujood gosht ka ek lothda hai, jo dekhne mein ek chhota sa tukda hai; magar is ka kaam
bahot bada hai, zabaan ke saheeh istemaal se aapas mein mohabbat badhti hai, bigde huwe mu’aamlaat bhi durust
ho jaate hain, roothhe huwe dilon ko manaaya ja sakta hai; jab ke zabaan ke galat istemaal se aapasi ta'alluqaat
kharaab ho jaate hain, bane banaaye mu’aamlaat bigad jaate hain, aapas mein dushmani paida ho jaati hai, tarah
tarah ke fitne janam lete hain; balke dunya mein jitne jhagde hote hain, agar un ki gehraayi tak pahoncha jaaye, to
maaloom hoga ke un jhagdon ka asal sabab zabaan ka galat istemaal hi hai. Zabaan ki isi ehmiyat ki wajah se Qur'aan
wa hadees mein zabaan ki hifaazat ki sakht taakeed ki gayi hai. Lihaaza aaj ke is khutbe mein "Zabaan ki hifaazat" se
muta'alliq Qur'aan wa Hadees ki roshni mein chand baatein bayaan ki ja rahi hain.
No. 1 | Insaan jo kuch bhi bolta hai, woh sab record hota hai: Allah Ta'ala irshaad farmaate hain:
Insaan koi lafz zabaan se nikaal nahin paata; magar us par ek nigraan muqarrar hota hai, jo har waqt likhne ke liye
tayyaar rehta hai. [Sura-e-Qaaf: 18] } Allah Ta'ala ne har insaan ke saath do farishte muqarrar kar diye hain, jo har waqt
us ki baaton ko record karte rehte hain, woh jo kuch bhi bolta hai, chaahe woh baat jhooti ho ya sachhi, achchhi ho ya
buri, har ek ko woh farishte mehfooz kar lete hain, qiyaamat ke din har woh baat jo us ne apni zabaan se nikaali hogi,
use apni aankhon se dekh lega aur us ka badla paayega.
No. 2 | Zabaan ke galat istemaal karne se khaamosh rehna ziyaada behtar hai: Rasoolullah ‫ﷺ‬
irshaad farmaate hain: Jo admi Allah par aur aakhirat ke din par Imaan rakhta ho, use chaahiye ke ya to achchhi aur
nek baat kahe ya khaamosh rahe. [Bukhari: 6018, Abu Hurairah �] } Ek aur Hadees mein hai ke, ek martaba Aap ‫ ﷺ‬ne
Hazrat Abu Zar � se farmaaya: Aye Abu Zar! Kya main tum ko aisi 2 aadatein na bata doon jo peeth par bahot halki
hain, yaani un par amal karna bahot aasaan hai aur Allah ki meezaan (taraazu) mein bahot bhaari hongi? Hazrat Abu
Zar � ne kaha ke zaroor bata dijiye. Aap ‫ ﷺ‬ne farmaaya: Ziyaada khaamosh rehne ki aadat aur achchhe akhlaaq.
Qasam hai us zaat ki jis ke qabze mein meri jaan hai! insaanon ke aamaal mein in donon ki tarah koi aur amal nahin
hai.[Sho'bul Imaan: 4941, Anas �] } Yeh donon riwaayatein bataati hain ke bezaroorat aur naa-pasandeeda baaton se
aadmi apni zabaan ko roke rakhe, jo aadmi is par amal karega, woh qudrati taur par kam bolne waala aur ziyaada
khaamosh rehne waala hoga; Chunke Zabaan Allah Ta'ala ki di huwi bahot badi ne’mat hai, hum sab par is ne’mat
ka shukr ada karna waajib hai aur zabaan ke shukr ada karne ka tareeqa yeh hai ke us ko qaabu mein rakhein, galat
baatein zabaan se na nikaalein, soch samajh kar bolein aur khair wa bhalaayi ki hi baatein karein, galat baatein
zabaan se nikaalne se hazaar darja behtar hai ke insaan khaamosh rahe. Allah Ta’ala poori insaaniyat ko zabaan ke
galat istemaal se mehfooz rakhe. Aameen
No. 3 | Aisi baatein na karo jis ki kal tum ko maazirat karni pade: Riwaayat mein aata hai ke ek
shakhs ne Huzoor ‫ ﷺ‬ki khidmat mein haazir ho kar arz kiya ke mujhe mukhtasar naseehat famaaiye, Rasoolullah ‫ﷺ‬
ne irshaad farmaaya: Jab tum namaaz ke liye khade ho, to rukhsat hone waale shakhs ki tarah namaaz padho, koi aisi
baat zabaan se na nikaalo, jis ki kal tumhein maazirat karni pade aur logon ke paas jo kuch (maal wa daulat wagaira)
hai, us se ummeed mat rakho. [Musnade Ahmad: 23498,Abu Ayyub Ansari�] } Is hadees ka paigaam yeh hai ke hum soch kar
bolein, bol kar na sochein, kyun ke aksar sharmindagi na soch kar bolne mein uthhaani padti hai.
No. 4 | Rasoolullah ‫ ﷺ‬ko sab se ziyaada darr zabaan ka tha: Hazrat Sufyaan bin Abdillah Saqafi�
bayaan karte hain ke main ne Rasoolullah ‫ ﷺ‬se arz kiya ke ya Rasoolallah! mere baare mein jin baaton ka Aap ko
khatra ho sakta hai; un mein sab se ziyaada khatarnaak kya hai? Hazrat Sufyaan � kehte hain ke Aap ‫ ﷺ‬ne apni
zabaan pakad kar farmaaya: Sab se ziyaada khatra is (zabaan) se hai. [Tirmizi: 2410] } Matlab yeh ke tum se kisi aur
buraayi ka to ziyaada khatra nahin hai, albatta yeh khatra hai ke kahin tumhaari zabaan galat na chalne lage, lihaaza
is baare mein hoshiyaar raho aur ehtiyaat ke saath zabaan ka istemaal karo. Allah Ta'ala poori ummat ko ehtiyaat ke
saath zabaan istemaal karne ki taufeeq de. Aameen
No. 5 | Zabaan ke galat istemaal se log Jahannam mein jaayeinge: Hadees mein aata hai ke Ek
martaba Hazrat Mu'aaz bin Jabal � ne Huzoor ‫ ﷺ‬se arz kiya ke ya Rasoolallah! Mujhe aisa amal bata dijiye, jis
ki wajah se main Jannat mein pahonch jaaun aur Jahannam se dur rakha jaaun. Aap ‫ ﷺ‬ne un ko Deen ki intihaai
ahem aur bunyaadi baatein (jaise sirf ek Allah ki ibaadat, namaaz, roza, zakaat, haj wagaira) bataayein aur aakhir
mein irshaad farmaaya ke kya main tum ko woh cheez na bata doon, jis par goya in tamaam cheezon ka madaar hai?
unhon ne kaha ke zaroor bata dijiye. Aap ‫ ﷺ‬ne apni zabaan pakdi aur farmaaya : Is ko roke rakho. Hazrat Mu'aaz �
kehte hain ke main ne arz kiya ke aye Allah ke Nabi! hum jo baatein karte hain, kya un par bhi humaari pakad hogi?
Aap ‫ ﷺ‬ne farmaaya: Aye Mu'aaz! Allah tera bhala kare, logon ki zabaanon ki be-baakaana baatein hi hongi, jo un
ko munh ke bal aundhe kar ke dozakh mein dalwaayeingi. [Tirmizi : 2616] } Is riwaayat se maaloom huwa ke zabaan ka
galat istemaal hi insaanon ko bahot saare gunaahon mein mubtala kar deta hai, phir woh un gunaahon ki wajah se
Jahannam ki aag mein pahonch jaata hai.
No. 6 | Zabaan par qaabu rakhne waale ke liye najaat hai: Hazrat Uqba bin Aamir � kehte hain
ke ek din meri mulaaqaat Huzoor ‫ ﷺ‬se huwi, to main ne arz kiya ke kis cheez mein najaat hai? Yaani najaat haasil
karne ke liye mujhe kya kaam karna chaahiye? Aap ‫ ﷺ‬ne farmaaya: Apni zabaan par qaabu rakho aur tumhaare ghar
mein tumhaare liye gunjaaish honi chaahiye aur apne gunaahon par roya karo. [Tirmizi : 2406] } Is hadees mein yeh jo
farmaaya gaya ke " tumhaare ghar mein tumhaare liye gunjaaish ho", is ka matlab yeh hai ke chunke ghar se baahar
fitne hote hain, is liye jab baahar koi kaam na ho, to be fikron ki tarah yunhi baahar na ghooma karo, balke fursat
ke auqaat mein apne gharon mein raha karo. Allah Ta'ala hum sub ko zabaan par qaabu rakhne ki taaqat naseeb
farmaaye. Aameen
No. 7 | Zabaan ki hifaazat karne waale Jannat mein jaayeinge: Aap ‫ ﷺ‬ne irshaad farmaaya:
Jo aadmi mujhe 2 cheezon ki guarantee de de, main us ko Jannat ki guarantee deta hoon. Ek woh cheez jo donon
jabdon ke darmiyaan hai (yaani zabaan, ke is ko galat istemaal se bachaaye) aur doosri woh cheez jo donon pairon
ke darmiyaan hai (yaani sharmgaah ke is ko naajaaiz taur par istemaal na kare). [Bukhari: 6474, Sahal bin Sa'ad �] } Yeh
hadees bataati hai ke zabaan ki hifaazat jannat mein le jaane ka zariya hai; lihaaza hum sab is ki hifaazat karein aur
bekaar ki baaton se parhez karein.
No. 8 | Subah ke waqt poora jism zabaan ko naseehat karta hai : Rasool-e-Akram ‫ ﷺ‬ne farmaaya:
Jab aadmi subah karta hai, to us ke saare aaza poori aajizi ke saath zabaan se kehte hain ke humaare baare mein
Allah se dar, kyun ke hum to tere hi saath bandhe huwe hain, tu thheek rahi, to hum thheek raheinge aur agar tune
galat raasta ikhtiyaar kiya, to hum bhi galat raasta ikhtiyaar kar leinge. (phir us ki saza bhugatni padegi). [Tirmizi : 2407,
Abu saeed �] } Aap ‫ ﷺ‬ke is farmaan se yeh baat waazeh ho jaati hai ke zabaan ki wajah se aksar gunaah hote hain aur
us gunaah ke nateeje mein insaan ko Jahannam mein sakht saza jhelni padegi; is liye jism ka ek ek hissa rozaana
subah ke waqt zabaan se darkhwaast karta hai ke woh seedhi rahe, saheeh baatein bole aur galat baaton se parhez
kare; taake kal aakhirat mein is ki wajah se poore jism ko saza na jhelni pade. Allah Ta'ala poori ummat ko zabaan ki
hifaazat karne ki taufeeq ata farmaaye. Aameen
No. 9 | Ek galat baat bhi Jahannam mein le jaane ke liye kaafi hai: Nabi-e-Aakhiruzamaan ‫ﷺ‬
ki mubaarak hadees hai ke baaz auqaat ek aadmi zabaan se aisi baat nikaalta hai, jo Allah Ta'ala ko naaraaz karne
waali hoti hai aur woh aadmi laaparwaahi mein us ko nikaal deta hai magar is ki wajah se woh Jahannam mein chala
jaata hai. [Bukhari: 6478, Abu Hurairah �] } Is riwaayat mein hidaayat hai un logon ke liye jo aam taur par apni zabaan ko
qaabu mein nahin rakhte aur be soche samjhe jo chaahte hain bolte rehte hain. In baaton ka anjaam kya hoga is ki
bilkul fikr nahin hoti. Haalaanke baaz martaba laaparwaahi ki haalat mein zabaan se aisi baat nikal jaati hai, jo Allah
Ta'ala ki sakht naaraazgi ka sabab hoti hai.
No.10 | Sahaaba-e-kiraam zabaan ke mu’aamle mein bahot dara karte the: Riwaayat mein
aata hai ke ek martaba Hazrat Abu bakr siddeeq � apni zabaan ko pakad kar baithhe the aur us ko marod rahe the,
logon ne dekha to poochha: Aap aisa kyun kar rahe hain? Unhon ne jawaab diya: Is zabaan ne mujhe badi museebaton
mein daal rakha hai. [Muatta : 3621] } Gaur karne ka maqaam hai hazrat Abu bakr siddeeq � jo tamaam sahaaba
mein sab se afzal hain aur Huzoor ‫ ﷺ‬ke baad khaleefa-e-awwal hain. Jin ko Aap ‫ ﷺ‬ne dunya hi mein Jannat ki
khushkhabri suna di thi; magar woh bhi zabaan ke galat istemaal se kis qadar dara karte the, jab Hazrat Abu bakr�
jaise log zabaan se is qadar darr rahe hain, to hum sab ko is se kitna darna chaahiye, yeh hum khud gaur kar lein.
Allah Ta'ala poori ummat ko zabaan ki hifaazat karne waala banaaye. Aameen
Aaj ka Arabi khutba jis ka urdu tarjama wa mafhoom "Zabaan ki hifaazat" ke unwaan
par Qur'aan wa Hadees ki roshni mein pesh kiya gaya hai, ab aap ke saamne is ka
mukhtasar khulaasa pesh kiya ja raha hai, lihaaza khoob gaur se sunein: Aaj ke khutbe
mein  Qur'aan se pehli baat yeh bataayi gayi ke zabaan ke zariye hum jo kuchh bolte hain, Allah Ta'ala us ko
farishton ke zariye record karwaate hain.  Doosri hidaayat hadees shareef se yeh di gayi ke jab bhi kuch bolein,
to achchhi baat bolein, warna humaare liye khaamosh rehna ziyaada behtar hai.  Teesri qeemti baat riwaayat
se yeh bataai gayi ke jab bhi kuchh bolna ho, to soch samajh kar bolna chaahiye. Bila soche aisi baat nahin bolna
chaahiye jis se kal humein maazirat karni pade.  Chautha dars farmaan-e-Nabawi ‫ ﷺ‬se yeh diya gaya ke Aap
‫ ﷺ‬ko apni ummat ke baare mein sab se ziyaada darr zabaan se hi tha.  Paanchween naseehat hadeese paak
se yeh ki gayi ke aksar log Jahannam mein zabaan ke galat istemaaal karne ki wajah se hi jaayeinge  Chhati
baat hadeese mubaarak se yeh bataayi gayi ke zabaan par qaabu rakhne waale ke liye aakhirat mein najaat hai.
 Saatween khuskhabri hadees shareef se yeh sunaai gayi ke zabaan aur sharmgaah ki hifaazat karne waale ke
liye Jannat hai.  Aathhween baat hadeese mubaarak se yeh bataayi gayi ke subah ke waqt poora jism zabaan ko
seedhe tareeqe par rehne ki naseehat karta hai.  Nawaan sabaq hadeese Rasool ‫ ﷺ‬se yeh diya gaya ke zabaan
se nikalne waali ek baat bhi, insaan ko Jahannam mein le jaane ke liye kaafi hai.  Dasween ek khair khwaahaana
naseehat yeh ki gayi ke sahaaba-e-kiraam � zabaan ke mu’aamle mein bahot dara karte the; is liye hum sab
ko bhi darte rehna chaahiye. Lihaaza aaj ke is khutbe mein "Zabaan ki hifaazat" se muta'lliq Qur'aan wa Hadees
ki roshni mein bayaan ki gayi baaton par amal karne ki koshish karein aur ghar waalon ko bhi yeh baatein suna
kar amal karaayein. Allah Ta'ala hum sab ko in baaton par amal karne ki taufeeq ata farmaaye aur hum sab ki
khidmaat ko qubool farmaaye. Aameen
Note : Neeche diye gaye khulaase ko salaam ke baad aur dua se pehle padh kar sunaayein.
Aaj ke khutbe ka tarjama aur mafhoom "Zabaan ki hifaazat" par Qur'aan wa Hadees ki roshni mein pesh kiya gaya hai,
Allah Ta'ala poori insaaniyat ko zabaan par qaabu rakhne aur durust baat kehne ki taufeeq inaayat farmaaye. Aameen
Note: (1) Yeh deeni parcha hai. is ka ehtiraam hamaare liye zaroori hai. is liye ise idhar udhar hargiz na daalein.

You might also like